1- Assunanul Kubra Lil Baihaqi, Hadees No.2580.
Tarjuma :- Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Se Marwi Hai, Farmaate Hai'n Ke Jisne Imaam Ko Ruku Ki Haalat Me'n Paaliya Agar Usne Ruku Kiya Imaam Ke Sar Uthaane Se Pehle Usne Woh Rak'at Paali.
Yeh Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Ka Fatwa Hai Ke Jo Shakhs Ruku Ki Haalat Me'n Imaam Ko Paale Aur Yeh Bhi Paho'nch Jaaye Ruku Me'n Imaam Ke Sar Uthaane Se Pehle To Usne Woh Rak'at Paali.
2- Assunanul Kubra, Hadees No.2587.
Tarjuma :- Hazrat Zaid Bin Wahab Waaqe'ah Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ke Ghar Se Ham Nikle Masjid Ki Taraf, Jab Aap Masjid Ke Darmiyaan Me'n Paho'nche To Imaam Ne Ruku Kar Liya, Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Bhi Ruku Karliya Aur Mai'n Bhi Ruku Kiya Aur Ham Ruku Ki Haalat Me'n Aage Chale Yahaa'n Tak Ke Ham Saf Ko Paho'nche Aur Imaam Ne Sar Uthaaliya, Namaaz Mukammal Hone Ke Ba'ad Mai'n Khada Huwa, Mai'n Ne Samjha Ke Meri Rak'at Chhoot Gayi Hai, To Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Mera Haath Pakda, Aap Radiallaahu Anhu Ne Mujhe Bithaaya, Aur Farmaaya Beshak Tu Ne Paaliya, (Ya'ni Iss Rak'at Ko Tu Ne Paaliya Jis Rak'at Me'n Tu Imaam Ke Saath Tha).
Mohtaram Qaari'een :- Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ka Fatwa, Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhu Ka Fatwa (Aur Yeh Jaleelul Qadr Sahaabi e Rasool ﷺ Hai'n) Yeh Ke Jo Shakhs Imaam Ko Haalat e Ruku Me'n Paale To Usne Woh Rak'at Paali.
Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ki Hadees Jo Upar Zikr Huwi Iss Hadees Ke Baare Me'n "Al-Jaame'ul Kaamil Fil Hadeesis Saheehish Shaamil"
Jisme'n Tamaam Ahaadees Saheeh Hai, Uske Musannaf Hai'n "Muhammad Abdullaah Aa'zami" Aur Yeh Masjid e Nabvi Ke Mudarris Hai'n, Iss Kitaab Ke Jild No.3 Aur Safha No.39 Me'n Likhte Hai'n, Upar Mazkoor Riwaayat Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Waali Riwaayat Ko Naqal Karke Neeche Likhte Hai'n "Yeh Hadees Saheeh Hai, (Ya'ni Jo Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya Tha Apne Saathi Ko Ke Tu Ne Woh Rak'at Paali Jisme'n Tu Imaam Ke Saath Mil Gaya) Aage Farmaate Hai'n Ke, Jamhoor Mohaddiseen Iske Qaa'il Hai'n Ke Jo Shakhs Imaam Ko Ruku Me'n Paale Usne Woh Rak'at Paali Yeh Unki Daleel Hai".
3- Bukhaari Shareef, Abwaabu Sifatis Salaat, Jild No.1 Safha No.156, Hadees No.783.
Tarjuma :- Riwaayat Hai Hazrat Abu Bakrah Radiallaahu Anhu Se Ke Woh Nabi e Kareem ﷺ Tak Gaye, Uss Waqt Aap Ruku Me'n The, Unho'n Ne Saf Me'n Paho'nchne Se Pehle Ruku Kar Liya, Phir Unho'n Ne Iska Nabi e Kareem ﷺ Se Zikr Kiya To Aap Ne Farmaaya, Allaah Paak Tumhaari Hirs Zyaadah Kare Dobaarah Aisa Na Karna.
Fat'hul Baari Sharah Saheeh Bukhaari Me'n Allaama Ibne Hajar Asqalaani Alaihir Rehma Iss Hadees Ki Tashreeh Karte Huwe Farmaate Hai'n Ke Hadees Me'n Jo Zikr Huwa "Wala Ta'ud" Ya'ni Jaldi Jaldi Daud Ke Namaaz Ki Taraf Na Aana, Jaldi Jaldi Chal Ke Namaaz Ki Taraf Aane Se Nabi e Kareem ﷺ Ne Mana Farmaaya Hai, Aap ﷺ Ne Farmaaya Hai Ke Itmenaan Wa Sukoon Ke Saath Namaaz Ki Taraf Aao, Iss Hadees Paak Se Yeh Bhi Ma'loom Huwa Ke Agar Koi Aadmi Imaam Ke Peechhe Kisi Saf Me'n Tanha Khada Hokar Namaaz Padhle To Namaaz Ho Jaayegi, Aur Yeh Bhi Ma'loom Huwa Ke Muqtadi Ko Sureh Faateha Padhna Zaroori Nahee'n Warna Hazrat Abu Bakrah Radiallaahu Anhu To Ruku Me'n Shaamil Huwe Aur Unho'n Ne To Sureh Faateha Padhi Hi Nahee'n Phir Bhi Unki Namaaz Ho Gayi To Ma'loom Huwa Muqtadi Ki Namaaz Sureh Faateha Ke Bagair Ho Jaati Hai.
Mohtaram Qaari'een :- In Tamaam Dalaa'il Se Ma'loom Huwa Ke Imaam Ke Saath Ruku Me'n Shareek Hone Waale Shakhs Ki Woh Rak'at Maani Jaayegi.
By Alahazrat Foundation Research Team - 7710809266/9892708816