asd
logoSunni Islamic App

Quran

Hadees

Aqaids

Audios

logoSunni Islamic App

Sunni Islamic App

🕌

Sunni Islamic App is a humble digital effort to spread the light of Deen in the hearts of believers. Rooted in the teachings of Imam Ahmed Raza Khan Barelvi (رحمة الله عليه) and guided by the path of Ahle Sunnat wal Jama'at, our mission is to make Quran, Hadith, Aqaid, and daily Islamic Masail accessible to everyone — in Roman Hindi and Urdu, with clarity, authenticity, and reverence. We strive to nurture Ishq-e-Rasool ﷺ, strengthen correct beliefs, and offer daily guidance for every Sunni Muslim in a simple, beautiful, and spiritually uplifting way.

Alahazrat Foundation is a non-profit Sunni organization dedicated to serving Islam through education and technology.

Navigate

📖 Quran📘 Hadith📜 Aqaid o Masail🎧 Audios🔐 Privacy Policy🧾 Terms & Conditions🗺️ Sitemap

📱 Join Community

🕊️ Follow us:

FacebookFacebookFacebookFacebook

Copyright © 2025

Sunniislamicapp.com

All rights reserved.

Developed with love for Deen with Ishq-e-Rasool ﷺ By Razvi Developer

Mard Aur Aurat Ki Namaaz Me'n Faraq Ahaadees Ki Roshni Me'n

Mard Aur Aurat Ki Namaaz Me'n Adaayegi Ke Tareeqe Ke Hawaale Se Kayi Cheezo'n Me'n Faraq Hai, Maslan Aurat Takbeer Me'n Haath Kandho'n Tak Uthaayegi Aur Mard Kaano'n Tak Uthaayega, Aurat Qayaam Me'n Haath Seene Par Baa'ndhegi Aur Mard Naaf Ke Neeche Baa'ndhega, Aurat Ruku Me'n Zyaadah Nahee'n Jhukegi Aur Na Hi Ghutno'n Par Zor Degi Jabke Mard Khoob Jhukega Aur Ghutno'n Par Zor Dega, Aurat Sajde Me'n Zameen Se Chimat Jaayegi Jabke Mard Ki Pindliyaa'n Zameen Se, Raane'n Pet Se, Aur Kohniyaa'n Zameen Aur Raano'n Se Juda Rahe'ngi, Aurat Qa'dah Me'n Tawarruk Karegi Ya'ni Apne Dono'n Paao'n Ko Apne Daaye'n Taraf Baahar Nikaalegi Jabke Mard Baayaa'n Paao'n Bichhaakar Uspar Baithega Aur Daayaa'n Paao'n Khada Rakhega.

Ahaadees e Mubaaraka Me'n Bhi Aurat Aur Mard Ki Namaaz Ka Faraq Maujood Hai, Chunaanche Sahaabi e Rasool Hazrat Waa'il Bin Hujr Radiallaahu Anhu Farmaate Hai'n,

Tarjuma :- Mujhse Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Aye Waa'il Bin Hujr ! Jab Tum Namaaz Padho To Haath Kaano'n Tak Buland Karo Aur Aurat Apne Haatho'n Ko Seene Tak Uthaaye. (Majma'uz Zawaa'id, Jild No.2, Safha No.272, Hadees No.2594)

Hazrat Ibne Juraij Rahimahullaah Farmaate Hai'n Ke Mai'n Ne Hazrat Ata Rahimahullaah Se Kaha Ke Kya Aurat Takbeer e Tehreema Kehte Waqt Mard Ki Tarah Ishaarah (Rafa Yadain) Karegi? Aapne Farmaaya, Aurat Takbeer Kehte Waqt Mard Ki Tarah Haath Na Uthaaye, Aapne Ishaarah Kiya Aur Apne Dono'n Haatho'n Ko Bahot Hi Past Rakhe Aur Unko Apne Se Milaaya Aur Farmaaya, Aurat Ki (Namaaz Me'n) Ek Khaas Hayyat Hai Jo Mard Ki Nahee'n. (Musannaf Ibne Abi Shayba Jild No.1, Safha No.239, Hadees No.2715)

Aurat Sajdah Kis Tarah Kare :-

Tarjuma :- Hazrat Yazeed Bin Abi Habeeb Rahimahullaah Se Marwi Hai Ke Rasoolullaah ﷺ Do Aurato'n Ke Paas Se Guzre Jo Namaaz Padh Rahi Thee'n, Aapne Farmaaya, Jab Tum Sajdah Karo To Apne Jism Ka Kuchh Hissa Zameen Se Mila Liya Karo Kyu'nke Aurat (Ka Hukm Sajdeh Ki Haalat Me'n) Mard Ki Tarah Nahee'n Hai.(Maraaseel Abi Daawood, Safha No.103, Raqamul Hadees 77(87)

Aurat Zameen Ke Saath Chimat Kar Aur Pet Ko Raano'n Ke Saath Milaakar Sajdah Kare, Hadees Shareef Me'n Hai,

Tarjuma :- Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Aap ﷺ Ne Farmaya Ke Jab Aurat Namaaz Me'n Baithe To Apni Raan Doosri Raan Par Rakhe Aur Jab Sajdah Kare To Apne Pet Ko Raano'n Se Chipkaale, Iss Tarah Ke Uske Liye Zyaadah Se Zyaadah Pardah Ho Jaaye, Bila Shuba Allaah Paak Uski Taraf Nazar e (Rahmat) Farma Kar Irshaad Farmaata Hai Ke Aye Farishto'n, Mai'n Tumhe'n Gawaah Banaata Hoo'n Iss Baat Par Ke Mai'n Ne Ise Bakhsh Diya Hai.(Kanzul Ummaal Jild No.7, Safha No.549, Hadees No.2936)

Ek Aur Hadees e Paak Me'n Hai Ke,

Tarjuma :- Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Aap ﷺ Ne Farmaaya, Jab Aurat Namaaz Me'n Baithe To Apni Raan Doosri Raan Par Rakhe Aur Jab Sajdah Kare To Apne Pet Ko Raano'n Se Chipkaale, Iss Tarah Ke Uske Liye Zyaadah Se Zyaadah Pardah Ho Jaaye, Bila Shuba Allaah Paak Uski Taraf Nazar e (Rahmat) Farma Kar Irshaad Farmaata Hai Ke Aye Farishto'n, Mai'n Tumhe'n Gawaah Banaata Hoo'n Iss Baat Par Ke Mai'n Ne Ise Bakhsh Diya Hai. (Kanzul Ummaal Jild No.7, Safha No.549, Raqamul Hadees 2936)

Hazrat Haaris Rahimahullaah Farmaate Hai'n Ke Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya Ke Jab Aurat Sajdah Kare To Khoob Simat Kar Kare Aur Apni Dono'n Raano'n Ko Milaaye Rakhe. (Musannaf Ibne Abi Shaiba, Jild No.1, Safha No.279, Kitaabus Salaat, Abwaabu Sifatis Salaat, Raqamul Hadees 2701, Sunan e Kubra Lil Bayhaqi, Jild No.2, Safha No.222, Hadees No.2701)

Ek Aur Hadees Me'n Hai Ke,

Tarjuma :- Hazrat Abdullaah Bin Abbaas Radiallaahu Anhu Se Aurat Ki Namaaz Ke Baare Me'n Sawaal Huwa To Aapne Farmaaya Ke Woh Ikat'thi Hokar Aur Khoob Simat Kar Namaaz Padhe. (Musannaf Ibne Abi Shayba, Jild No.1, Safha No.270, Kitaabus Salaat, Abwaabu Sifatis Salaat, Raqamul Hadees 2702)

Hazrat Ibraaheem Nakhayi Rahimahullaah Farmaate Hai'n Ke Aurat Jab Sajdah Kare To Apna Pet Apni Raano'n Se Chipkaale Aur Apni Sureen Ko Upar Na Uthaaye Aur A'aza Ko Iss Tarah Door Na Rakhe Jaise Mard Door Rakhta Hai. (Musannaf Ibne Abi Shaiba, Jild No.1, Safha No.270, Kitaabus Salaat, Abwaabu Sifatis Salaat, Hadees No.2703)

Jaleelul Qadr Taabayi

Hazrat Mujaahid Rahimahullaah Iss Baat Ko Makrooh Jaante The Ke Mard Jab Sajdah Kare To Apne Pet Ko Raano'n Par Rakhe Jaisa Ke Aurat Rakhti Hai. (Musannaf Ibne Abi Shayba, Jild No.1, Safha No.270, Kitaabus Salaat, Abwaabu Sifatis Salaat, Raqamul Hadees 2704)

Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Se Sawaal Huwa Ke Rasoolullaah ﷺ Ke Zamaane Me'n Aurate'n Kaise Namaaz Padhti Thee'n, Aapne Farmaaya, Chahaar Zaano'n Baith Kar, Phir Unhe'n Hukm Diya Gaya Ke Woh Khoob Simat Kar Baitha Kare'n. (Musnad e Abi Haneefa, Raqamul Hadees 114)

Agar Mard Wa Aurat Ki Namaaz Me'n Koi Faraq Nahee'n To Kya Mard Hazraat Ko Bhi Aurato'n Ki Tarah Scarf (Odhni) Pahen Kar Namaaz Padhni Hogi ???

Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Farmaati Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Baaliga Aurat Ki Namaaz Odhni Ke Bagair Qabool Nahee'n Hoti. (Saheeh Ibne Hibbaan, Raqamul Hadees 1745, Saheeh Ibne Khuzaima, Raqamul Hadees 758)

Imaam Abu Isa Tirmizi Rahmatullaah Alaih Farmaate Hai'n, Hadees e Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Hasan Hai Aur Ahle Ilm Ka Isi Par Amal Hai Ke Aurat Jab Baalig Ho Jaaye Aur Namaaz Padhe To Na'nge Baalo'n Se Namaaz Jaa'iz Nahee'n Hogi, Yeh Imaam Shaafayi Ka Qaul Hai, Woh Farmaate Hai'n Ke Aurat Ke Jism Se Kuchh Hissa Bhi Na'nga Ho To Namaaz Nahee'n Hogi, Imaam Shaafayi Farmaate Hai'n, Kaha Gaya Hai Ke Agar Uske Paao'n Khule Reh Jaaye'n To Uss Soorat Me'n Namaaz Ho Jaayegi. (Jaame Tirmizi, Jild Awwal, Hadees No.364)

Mard Ko Masjid Me'n Aur Aurat Ko Ghar Me'n Namaaz Padhna Afzal Hai,

Tarjuma :- Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Aurat Ka Akele Namaaz Padhna Uski Namaaz e Ba Jamaa'at Par 25 Guna Fazeelat Rakhti Hai. (Jaame'ul Ahaadees Lil Suyooti, 13/497, Hadees No.13628)

Hazrat Umme Humaid Zauja Abu Humaid Saa'adi Radiallaahu Anha Se Marwi Hai Ke Ek Martaba Woh Nabi e Kareem ﷺ Ki Khidmat Me'n Haazir Huwee'n Aur Arz Ki, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Mai'n Aapke Saath Me'n Namaaz Padhna Mehboob Rakhti Hoo'n, Nabi ﷺ Ne Farmaaya, Mujhe Ma'loom Hai Ke Tum Mere Saath Namaaz Padhne Ko Pasand Karti Ho Lekin Tumhaara Apne Kamre Me'n Namaaz Padhna Hujre Me'n Namaaz Padhne Se Behtar Hai, Aur Apni Qaum Ki Masjid Me'n Namaaz Padhna Meri Masjid Me'n Namaaz Padhne Se Behtar Hai, Chunaanche Unke Hukm Par Unke Ghar Ke Sabse Aakhri Kone Me'n Jahaa'n Sabse Zyaadah Andhera Hota Tha Namaaz Padhne Keliye Jagah Banaadi Gayi Aur Woh Aakhri Dam Tak Wahee'n Namaaz Padhti Rahee'n. (Musnad Ahmad Bin Hambal, Raqamul Hadees 26459, Saheeh Ibne Hibbaan, Raqamul Hadees 2256, Saheeh Ibne Khuzaima, Raqamul Hadees 1599)

Qaza Namaaze'n Mard Ko Sab Ada Karni Hai'n, Jabke Aurat Ko Ayyaam e Haiz Me'n Na Namaaz Ada Karni Hai Aur Na Hi Ba'ad Me'n Uski Qazaa Laazim Hai,

Hazrat M'aazah Radiallaahu Anha Riwaayat Karti Hai'n Ke Ek Aurat Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Poocha, Kya 1 Aurat Ayyam e Haiz Ki Namaazo'n Ki Qaza Karegi? To Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Kaha Ke Kya Tu Harooriya Hai, Yaqeenan Ham Nabi e Kareem ﷺ Ke Hamraah Rehte The Aur Haiz Aata Tha, Magar Aap Hame'n Namaaz Ki Qaza Padhne Ka Hukm Na Dete The, Ya Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Yeh Kaha Ke Ham Qaza Na Padhte The. (Saheeh Muslim, Hadees No.761)

Jabke Qaza Namaaze'n Mard Ko Sab Ada Karni Hai'n, Hazrat Abu Ubaidah Bin Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Hazrat Abdullaah Ne Farmaaya Ke Mushriko'n Ne Gazwah e Khandaq Ke Din Rasoolullaah ﷺ Ko Rok Diya 4 Namaazo'n Se Yahaa'n Tak Ke Raat Guzar Gayi, Jitni Allaah Ne Chaahi Phir Aap ﷺ Ne Hukm Diya Bilaal Ko, Unho'n Ne Azaan Di, Phir Takbeer Kahi Aur Zohar Padhi, Phir Takbeer Kahi, Phir Asar Padhi, Phir Takbeer Kahi Aur Magrib Ki Namaaz Padhi Aur Phir Iqaamat Kahi Aur Isha Ki Namaaz Padhi.

Iss Baab Me'n Hazrat Abu Sa'eed Aur Jaabir Radiallaahu Anhum Se Bhi Riwaayat Hai, Imaam Abu Isa Farmaate Hai'n Ke Abdullaah Ki Hadees Ki Sanad Me'n Koi Muzaa'iqa Nahee'n Lekin Abu Ubaidah Ne Abdullaah Se Nahee'n Suna Aur Ba'az Ahle Ilm Ne Isko Ikhtiyaar Kiya Hai Ke Faut Shudah Namaazo'n Keliye Har Namaaz Keliye Takbeer Kahi Jaaye Aur Agar Har Namaaz Keliye Takbeer Na Bhi Kahe Tab Bhi Jaa'iz Hai Aur Imaam Shaafayi Ka Bhi Yehi Qaul Hai. (Jaame Tirmizi, Jild Awwal, Hadees No.171)

Mard Wa Aurat Ki Namaaz Me'n Faraq Aqwaal e Fuqaha Se :-

Imaam Abu Al Hasan Ali Bin Abu Bakar Rahimahullaah (Wafaat 593 Hijri) Farmaate Hai'n,

Aur Aurat Apne Dono'n Haath Apne Mo'ndho'n Tak Uthaaye Yehi Saheeh Hai, Kyu'nke Yeh Tareeqa Uske Liye Zyaadah Parde Ka Hai, Neez Aage Chal Kar Farmaate Hai'n, Aur Aurat Apne Sajde Me'n Past Rahe Aur Apne Pet Ko Raano'n Se Milaaye Kyu'nke Yeh Uske Liye Zyaadah Parde Ka Baa'is Hai. (Hidaaya, Jild No.1, Safha No.100 Wa 110)

Imaam Abu Zaid Qairwaani Maaliki (Wafaat 386 Hijri) Farmaate Hai'n,

Aurat Namaaz Ki Hayyat Me'n Mard Hi Ki Tarah Hai Magar Yeh Ke Aurat Apne Aapko Milaakar Rakhegi Apni Raane'n Aur Baazu Khol Kar Nahee'n Rakhegi, Pas Aurat Apne Jalse Aur Sajde Dono'n Me'n Khoob Mili Huwi Aur Simti Huwi Hogi. (Ar'risaala Bahawaala Nasabul Umood, Safha No.50)

Hazrat Imaam Shaafayi Rahimahullaah (Wafaat 204 Hijri) Farmaate Hai'n,

Allaah Paak Ne Aurato'n Ko Yeh Adab Sikhlaaya Hai Ke Woh Pardah Kare'n Aur Yehi Adab Allaah Ke Rasool ﷺ Ne Bhi Aurato'n Ko Sikhlaaya Hai, Lehaaza Aurato'n Keliye Sajdah Me'n Pasandeedah Yeh Hai Ke Woh Apne Aa'za Ko Milaakar Rakhe'n Aur Pet Ko Raano'n Se Chipkaale'n, Aur Iss Tarah Sajdah Kare'n Ke Unke Liye Zyaadah Se Zyaadah Pardah Ho Jaaye, Isi Tarah Unke Liye Pasandeedah Hai Ruku Me'n Bhi Jalsa Me'n Bhi Balke Tamaam Namaaz Hi Me'n Ke Woh Iss Tarah Namaaz Padhe'n Ke Jisse Unke Liye Zyaadah Se Zyaadah Pardah Ho Jaaye. (Kitaabul Umm Jild No.1, Safha No.115)

Mohtaram Qaari'een :- Mundarja Baala Ahaadees Wa Aasaar, Ijma e Ummat Aur Fuqaha e Kiraam Ke Aqwaal Se Saabit Ho Raha Hai Ke Mard Wa Aurat Ki Namaaz Ek Jaisi Nahee'n Dono'n Me'n Faraq Hai.

By Alahazrat Foundation Research Team - 7710809266/9892708816