Namaaz Khwaah Jehri Ho Ya Sirri Aur Namaazi Imaam Ho Ya Muqtadi Ya Munfarid In Sabke Liye Aahista Aawaaz Se Aameen Kehna Sunnat Hai, Jaisa Ke Fataawa Aa'lamgeeri Me'n Hai,
Tarjuma :- Aur Jab Sureh Faateha Se Faarig Ho To Aameen Kahe Aur Aameen Kehne Me'n Sunnat Yeh Hai Ke Aahista Kahe Aur Imaam, Munfarid Ka Ek Hi Hukm Hai Aur Aise Hi Muqtadi Keliye Bhi Aahista Aawaaz Se Kehna Sunnat Hai Jab Woh Sune. (Fataawa Aa'lamgeeri, Kitaabus Salaat, Jild No.01, Safha No.74)
Namaaz Me'n Aahista Aawaaz Se Aameen Kehna Dalaa'il e Naqliya Ya'ni Aayaat e Qur'aaniya, Ahaadees e Nabviya, Aqwaal e Sahaaba, Aasaar e Taaba'een Radiallaahu Ta'aala Alaihim Ajma'een Aur Dalaa'il e Aqliya Se Saabit Hai, Jinme'n Se Chand Ek Darj Zail Hai'n.
1- Sureh Aa'raaf, Aayat No. 55.
Tarjuma :- Apne Rab Se Du'aa Maa'ngo Gid Gidaate Aur Aahista.
Mazkoorah Aayat Se Ma'loom Huwa Ke Du'aa Aahista Karni Chaahiye Aur Aameen Bhi Du'aa Hai, Lehaaza Yeh Bhi Aahista Kehni Chaahiye, Jaisa Ke 5vee'n Sadi Hijri Ke Imaam "Allaama Qaazi Abu Bakar Sarakhsi Rehmatullaah Alaih " (Wafaat 483) Farmaate Hai'n,
Tarjuma :- Beshak Aameen Du'aa Hai, Kyu'nke Imaam Hasan Ke Farmaan Ke Mutaabiq Aameen Kehna Iss Ma'ni Me'n Hai Ke Aye Hamaare Rab ! Qabool Farma Aur Allaah Paak Ka Farmaan (Tum Dono'n Ki Du'aa Qabool Huwi) Iski Taa'eed Karta Hai, Kyu'nke Isme'n Moosa Alaihissalaam Du'aa Karte The Aur Haaroon Alaihissalaam Iss Du'aa Par Aameen Kehte The Aur Du'aa Me'n Ikhfaa (Aahista Aawaaz) Jehar (Buland Aawaaz) Se Behtar Hai, Allaah Paak Farmaata Hai, "Apne Rab Ko Aa'jizi Se Aur Aahista Pukaaro" Aur Huzoor Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya "Behtar Du'aa Woh Hai Jo Aahista Ho Aur Behtar Rizq Woh Hai Jo Kifaayat Kare", (Al-Mabsoot, Kitaabus Salaat, Baab Makroohaatus Salaat, Jild No.01, Safha No.130)
2- Musnad e Ahmad, Jild No.04, Safha No.316, Hadees No.18854.
Tarjuma :- Hazrat Waa'il Bin Hujar Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Unho'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Namaaz Padhi Pas Jab Aap ﷺ (Gairil Magdoobi Alaihim Walad Daalleen) Par Paho'nche To Aameen Kaha Aur Aahista Aawaaz Se Aameen Kaha.
3- Musnad e Abi Daawood Tayaalisi (Wafaat 204 Hijri), Hadees No.1108, Safha No.138.
Tarjuma :- Hazrat Waa'il Bin Hujar Radiallaahu Anhu Farmaate Hai'n Ke Mai'n Ne Namaaz Padhi Saath Rasoolullaah ﷺ Ke, Jab Aapne Padha, Gairil Magdoobi Alaihim Walad Daalleen (To) Kaha Aameen Past (Aahista) Karte Apni Aawaaz Ko Aur Rakhte Apne Daaye'n Haath Ko Baaye'n Haath Par (Aur Khatm Namaaz Par) Salaam Phera Apne Daaye'n Taraf Aur (Phir) Baaye'n Taraf.
4- Al-Mustadrak Alas Saheehain (Wafaat 405), Kitaabut Tafseer, Hadees No.2972, 2/278.
Tarjuma :- Alqamah Bin Waa'il Apne Waalid (Hazrat Waa'il Radiallaahu Anhu) Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Unho'n Ne Farmaaya Ke Mai'n Ne Namaaz Padhi Saath Rasoolullaah ﷺ Ke, Jab Aapne Padha, Gairil Magdoobi Alaihim Walad Daalleen" (To) Kaha Aameen Past (Aahista) Karte Apni Aawaaz Ko.
(Imaam Haakim Farmaate Hai'n Ke) Yeh Hadees (Sanad Ke Ae'tebaar Se) Saheeh Hai Jise Shaikhain (Ya'ni Imaam Bukhaari Wa Muslim) Ne Nahee'n Liya.
5- Sunan e Daar e Qutni (Wafaat 385 Hijri), Kitaabus Salaat, Hadees No.1102 (1256).
Tarjuma :- Hazrat Alqamah Bin Waa'il Ne Apne Waalid Hazrat Waa'il Bin Hujar Radiallaahu Anhu Se Bayaan Kiya Hai Ke Unho'n Ne Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Namaaz Padhi, Jab Aap "Gairil Magdoobi Alaihim Walad Daalleen" Par Paho'nche To Aapne Aameen Kahi Aur Usme'n Aawaaz Ka Ikhfaa (Posheedah) Kiya (Ya'ni Chhupaaya).
6- (Umdatul Qaari, Kitaabul Azaan, Jild No.06, Safha No.75, Matboo'ah Daarul Kutubul Ilmiyah, Bairoot.
Tarjuma :- Hazrat Abu Waa'il Farmaate Hai'n Ke Hazrat Umar Faarooq, Hazrat Ali Radiallaahu Anhuma Bismillaahir Rehmaannir Raheem Aur Aameen Jehar(Zor) Se Na Kehte The.
7- Nasabur Raayi, Kitaabus Salaat, Baab Sifatis Salaat, Jild No.01, Safha No.325.
Tarjuma :- Hazrat Ibraaheem Nakhayi Rehmatullaah Alaih Ne Farmaaya, Imaam 4 Cheeze'n Aahista Kahe, (1) A'oozubillaah (2) Bismillaah (3) Sub'haanakal Laahumma Wa Bi Hamdika (4) Aameen.
Aahista Aawaaz Se Aameen Kehne Par Aqali Daleel Bayaan Karte Huwe Mufti Ahmad Yaar Khaan Na'eemi Ashrafi Rehmatullaah Alaih Farmaate Hai'n, Aqal Bhi Chaahti Hai Ke Aameen Aahista Kahi Jaawe, Kyu'nke Aameen Qur'aan Ki Aayat Ya Kalma e Qur'aan Nahee'n, Isi Liye Na Jibra'eel Aameen Ise Laaye, Na Qur'aan e Kareem Me'n Likhi Gayi, Balke Du'aa Aur Zikrullaah Hai To Jaise Ke Sana Attahiyyaat, Darood e Ibraaheemi, Du'aa e Maasoorah Wagairah Aahista Padhi Jaati Hai'n, Aise Hi Aameen Bhi Aahista Honi Chaahiye, Yeh Kya Tamaam Zikr Aahista Huwe Aameen Par Tamaam Log Cheekh Pade, Yeh Cheekhna Qur'aan Ke Bhi Khilaaf Hai, Ahaadees e Saheeha Ke Bhi, Sahaaba e Kiraam Ke Amal Ke Bhi Aur Aqal e Saleem Ke Bhi, Rab Paak Amal Ki Taufeeq De. (Jaa Al Haq, Safha No.521, Matboo'ah Na'eemi Kutub Khaana, Gujarat)
Mohtaram Qaari'een :- In Tamaam Dalaa'il Se Yeh Baat Wazeh Hogai Ke Namaaz Khwaah Jehri Ho Ya Sirri Aur Namaazi Imaam Ho Ya Muqtadi Ya Munfarid In Sabke Liye Aahista Aawaaz Se Aameen Kehna Sunnat Hai.
By Alahazrat Foundation Research Team - 7710809266/9892708816