Yaad Rahe Ke Yeh Masla Aqaa'id Se Ta'alluq Nahee'n Rakhta Balke Yeh Ek Furuyi Ikhtelaafi Masla Hai.
Imaam e Aa'zam Abu Haneefa Rehmatullaah Alaih Ke Nazdeek Imaam Ke Peechhe Qur'aan Padhna Mana Hai Aur Unki Daleel Bhi Qur'aan Wa Hadees Me'n Maujood Hai.
1- Sureh Aa'raaf, Aayat No.204.
Tarjuma :- Aur Jab Qur'aan Padha Jaaye To Use Kaan Laga Kar Suno Aur Khaamosh Raho Ke Tum Par Rahem Ho.
2- Tafseer e Madaarik, Sureh Aa'raaf, Tehtul Aayah 204, Safha No.401.
Tarjuma :- Allaama Abdullaah Bin Ahmad Nasafi Rehmatullaah Alaih Farmaate Hai'n Ke Iss Aayat Se Saabit Huwa Ke Jis Waqt Qur'aan e Kareem Padha Jaaye Khwaah Namaaz Me'n Ya Khaarij e Namaaz Uss Waqt Sunna Aur Khaamosh Rehna Waajib Hai.
3- Tafseer Ibne Jareer, Sureh Aa'raaf, Tehtul Aayah 204, 6/161.
Tarjuma :- Hazrat Basheer Bin Jaabir Radiallaahu Anhu Farmaate Hai'n, Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Namaaz Padhaayi To Aapne Kuchh Logo'n Ko Suna Ke Woh Namaaz Me'n Imaam Ke Saath Qir'aat Kar Rahe Hai'n, Jab Namaaz Se Faarig Huwe To Farmaaya Ke Kya Abhi Tumhaare Liye Woh Waqt Nahee'n Aaya Ke Tum Iss Aayat Ke Ma'ni Samjho. (Ya'ni Sureh Aa'raaf Aayat No.204 Ke Ma'ni Samjho Aur Imaam Ke Peechhe Qir'aat Na Karo).
4- Muslim Shareef, Kitaabus Salaat, Baab Tashahhud Fis Salaat, Safha No.214 - 215, Hadees No.62 - 63 (404).
Tarjuma :- Hazrat Abu Moosa Ash'ari Radiallaahu Anhu Se Marwi Hai Ke Nabi e Akram ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Ke Jab Tum Namaaz Padhne Lago To Apni Safo'n Ko Durust Karlo, Phir Tum Me'n Se Koi Ek Imaamat Karwaaye, Pas Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Takbeer Kaho, Ek Riwaayat Me'n Itna Zaa'id Hai Ke Aur Jab Woh Qir'aat Kare To Tum Khaamosh Raho.
5- Ibne Maaja Shareef, Kitaab Iqaamatus Salaat Wassunnah 1/461, Hadees No.846.
Tarjuma :- Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Riwaayat Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Imaam Isi Liye Hota Hai Ke Uski Iqteda Ki Jaaye, Pas Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Takbeer Kaho Aur Jab Woh Qir'aat Kare To Khaamosh Raho.
6- Tirmizi Shareef, Abwaabus Salaat, 1/338, Hadees No.313)
Tarjuma :- Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Farmaate Hai'n Ke Jisne Ek Rak'at Bhi Bagair Sureh Faateha Ke Padhi Uski Namaaz Na Huwi Magar Yeh Ke Imaam Ke Peechhe Ho. (Ya'ni Imaam Ke Peechhe Sureh Faateha Na Padhe).
7- Sunan Ibne Maaja Shareef, Hadees No.850, Sunan Daar Qutni, Hadees No.323.
Tarjuma:- Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jis Shakhs Ka Imaam Ho To Imaam Ki Qir'aat Uss Shakhs Ki Qir'aat Hai.
8- Musannaf Ibne Abi Shaiba, Hadees No.3779, Musannaf Abdur Razzaaq, Hadees No.2802/2803.
Tarjuma :- Hazrat Abdullaah Bin Shaddaad Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jis Shakhs Ka Imaam Ho To Imaam Ki Qir'aat Uss Shakhs Ki Qir'aat Hai.
9- Musannaf Ibne Abi Shaiba, Hadees No.3780, Musannaf Abdur Razzaaq, Hadees No.2806.
Tarjuma :- Hazrat Abu Waa'il Bayaan Karte Hai'n Ke Ek Shakhs Ne Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Se Sawaal Kiya Ke Aaya Mai'n Imaam Ke Peechhe Qur'aan Padhu'n? Hazrat Abdullaah Ne Farmaaya, Namaaz Me'n Mashgooliyat Hai Aur Tumhaari Qir'aat Keliye Imaam Kaafi Hai.
10- Musannaf Ibne Abi Shaiba, Hadees No.3799.
Tarjuma :- Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Ke Imaam Isliye Banaaya Jaata Hai Ke Uski Itteba Ki Jaaye, Jab Woh Qur'aan Padhe To Khaamosh Raho.
Mohtaram Qaari'een :- In Tamaam Dalaa'il Se Saabit Hota Hai Ke Namaaz Me'n Imaam Ke Peechhe Qur'aan Shareef Nahee'n Padhna Chaahiye.
By Alahazrat Foundation Research Team - 7710809266/9892708816