asd
logoSunni Islamic App

Quran

Hadees

Aqaids

Audios

logoSunni Islamic App

Sunni Islamic App

🕌

Sunni Islamic App is a humble digital effort to spread the light of Deen in the hearts of believers. Rooted in the teachings of Imam Ahmed Raza Khan Barelvi (رحمة الله عليه) and guided by the path of Ahle Sunnat wal Jama'at, our mission is to make Quran, Hadith, Aqaid, and daily Islamic Masail accessible to everyone — in Roman Hindi and Urdu, with clarity, authenticity, and reverence. We strive to nurture Ishq-e-Rasool ﷺ, strengthen correct beliefs, and offer daily guidance for every Sunni Muslim in a simple, beautiful, and spiritually uplifting way.

Alahazrat Foundation is a non-profit Sunni organization dedicated to serving Islam through education and technology.

Navigate

📖 Quran📘 Hadith📜 Aqaid o Masail🎧 Audios🔐 Privacy Policy🧾 Terms & Conditions🗺️ Sitemap

📱 Join Community

🕊️ Follow us:

FacebookFacebookFacebookFacebook

Copyright © 2025

Sunniislamicapp.com

All rights reserved.

Developed with love for Deen with Ishq-e-Rasool ﷺ By Razvi Developer

Namaaz Me'n Rafa Yadain Na Karne Ke Dalaa'il

Namaaz Me'n Rafa Yadain Karna Ya Na Karna Aqaa'id Se Releted Nahee'n Hai Balke Yeh Ek Ikhtelaafi Masla Hai.

Imaam Abu Haneefa Aur Imaam Maalik Radiallaahu Anhuma Ke Nazdeek Rafa Yadain Na Karna Sunnat Hai, Imaam Shaafayi Aur Imaam Ahmad Bin Hambal Radiallaahu Anhuma Ke Nazdeek Rafa Yadain Karna Sunnat Hai.

Jo Rafa Yadain Karte Hai'n Ham Unko Bura Nahee'n Keh Sakte Aur Rafa Yadain Na Karne Waalo'n Ko Bhi Bura Nahee'n Keh Sakte Hai'n Kyu'n Ke Dono'n Ke Paas Apni Apni Daleele'n Maujood Hai'n.

Imaam Abu Haneefa Radiallaahu Anhu Ke Nazdeek Rafa Yadain Na Karna Sunnat Hai Aur Unke Yeh Dalaa'il Hai'n.

1 - Musnade Humaidi, Hadees No.626

Imaam Bukhaari Rehmatullaah Alaih Ke Ustaad Hadees Bayaan Karte Hai'n Ke, Saalim Bin Abdullaah Bayaan Karte Hai'n Ke Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhu Ne Kaha Ke Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Ko Dekha Jab Aapne Namaaz Shuru Ki To Shuru Me'n Haath Uthaaya Aur Jab Iraadah Farmaaya Ruku Karne Ka Aur Jab Ruku Se Sar Uthaaya To Aap ﷺ Ne Rafa Yadain Nahee'n Kiya Aur Na 2 Sajdo'n Ke Darmiyaan (Rafa Yadain Kiya). (Saheeh Hadees)

2 - Musannaf Ibne Abi Shaiba, Jild No.1, Hadees No.2452

Imaam Bukhaari Rehmatullaah Alaih Ke Ustaad Abu Bakar Ibne Abi Shaiba Rehmatullaah Alaih Hadees Bayaan Karte Hai'n Ke, Mai'n Ne Nahee'n Dekha Ibne Umar Radiallaahu Anhu Ko Ke Aap Rafa Yadain Karte Magar Sirf Shuru Me'n. (Matlab Sirf Takbeer e Tehreema Ke Waqt Rafa Yadain Karte The).

3 - Tirmizi Shareef, Hadees No.257

Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Kya Mai'n Tumhe'n Rasoolullaah ﷺ Ki Tarah Namaaz Na Padhaau'n? To Unho'n Ne Namaaz Padhaayi Aur Sirf Pehli Martaba Haath Uthaaye.

Imaam Tirmizi Kehte Hai'n Ibne Mas'ood Radiallaahu Anhu Ki Hadees Hasan Hai.

Iss Baab Me'n Bara Bin Aa'zib Radiallaahu Anhu Se Bhi Hadees Aayi Hai.

Sahaaba e Kiraam Aur Taaba'een Me'n Se Bahot Se Ahle Ilm Yehi Kehte Hai'n Aur Yehi Sufiyaan Sauri Aur Ahle Koofa Ka Bhi Qaul Hai.

4 - Nisaayi Shareef, Hadees No.1027

Hazrat Alqama Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhuma Ne Farmaaya, Kya Mai'n Tumhe'n Rasoolullaah ﷺ Ki Namaaz Ke Baare Me'n Na Bataau'n? Phir Aap Uthe (Namaaz Shuru Ki) Pehli Dafa (Takbeer e Tehreema Ke Waqt) Rafa Yadain Kiya Phir Na Kiya. (Saheeh Hadees)

5 - Nisaayi Shareef, Hadees No.1059

Hazrat Alqama Radiallaahu Anhu Se Manqool Hai Ke Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya, Kya Mai'n Tumhe'n Rasoolullaah ﷺ Ki Namaaz Jaisi Namaaz Na Padhaau'n? To Unho'n Ne Namaaz Padhi Aur Ek Dafa Se Zaa'id (Zyaadah) Rafa Yadain Nahee'n Kiya. (Saheeh Hadees)

6 - Abu Daawood Shareef, Hadees No.751

Hazrat Alqama Radiallaahu Anhu Se Manqool Hai Ke Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya, Kya Mai'n Tumhe'n Rasoolullaah ﷺ Ki Namaaz Jaisi Namaaz Na Padhaau'n? To Unho'n Ne Namaaz Padhi Aur Ek Dafa Se Zaa'id (Zyaadah) Rafa Yadain Nahee'n Kiya. (Saheeh Hadees)

7 - Musannaf Ibne Abi Shaiba, Jild No.1, Safha No.213

Imaam Bukhaari Ke Ustaad Imaam Ibne Abi Shaiba Rehmatullaah Alaih Ne Bahot Saari Aisi Hadeese'n Apni Kitaab Me'n Darj Ki Hai Aur Ek Baab Baa'ndha Hai Jiska Tarjuma Yeh Hai Ke "Jo Pehli Takbeer Me'n Rafa Yadain Karte Hai'n Phir Nahee'n Karte".

(Ya'ni Imaam Bukhaari Ke Ustaad Ka Bhi Yehi Maanna Hai Ke Rafa Yadain Nahee'n Karna Chaahiye)

8 - Nisaayi Shareef, Hadees No.1185

Hazrat Jaabir Bin Samurah Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai, Unho'n Ne Farmaaya Ke Rasoolullaah ﷺ Hamaare Paas Tashreef Laaye To Ham Namaaz Me'n Haath Utha Rahe The, Aap Ne Farmaaya "Inhe'n Kya Huwa Hai Ke Namaaz Me'n Haath Utha Rahe Hai'n Goya Ke Sarkash Ghodo'n Ki Dume'n Hai'n? Namaaz Me'n Sukoon Ikhtiyaar Karo". (Saheeh Hadees)

9 - Muslim Shareef, Hadees No.968

Hazrat Jaabir Bin Samurah Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Unho'n Ne Kaha Ke Rasoolullaah ﷺ Nikal Kar Hamaare Paas Tashreef Laaye Aur Farmaaya, Kya Wajah Hai Ke Mai'n Tumhe'n Namaaz Me'n Iss Tarah Haath Uthaate Dekh Raha Hoo'n Jaise Woh Budakte Huwe Sarkash Ghodo'n Ki Dume'n Ho'n, Namaaz Me'n Pursukoon Raho, Unho'n Ne Kaha, Phir Aap (Ek Aur Mauqe Par) Tashreef Laaye Aur Hame'n Mukhtalif Halqo'n Me'n Baithe Dekha To Farmaaya Kya Wajah Hai Ke Tumhe'n Toliyo'n Me'n (Bata Huwa) Dekh Raha Hoo'n? Phir (Ek Aur Mauqe Par) Tashreef Laaye To Farmaaya Tum Iss Tarah Saf Bandi Kyu'n Nahee'n Karte Jis Tarah Baargaah e Ilaahi Me'n Farishte Safbasta Hote Hai'n, Hamne Poochha, Aye Allaah Ke Rasool ﷺ ! Farishte Allaah Paak Ki Baargaah Me'n Kis Tarah Safbandi Karte Hai'n? Aapne Farmaaya, Woh Pehli Safo'n Ko Mukammal Karte Hai'n Aur Saf Me'n Ek Doosre Ke Saath Judkar Khade Hote Hai'n. (Saheeh Hadees)

In Ahaadees Se Saabit Hota Hai Ke Rasoolullah ﷺ, Kaseer Sahaaba, Taaba'een, Tabe Taaba'een Aur Mohaddiseen Wa Mujtahideen Rafa Yadain Nahee'n Karte The.

Alahazrat Foundation Research Team

7710809266 / 9892708816