Namaaz e Janaazah Me'n 4 Takbeere'n Hai'n :- Namaaz e Janaazah Ki Takbeeraat Ke Muta'alliq Mukhtalif Ahaadees Marwi Hai'n, Ba'az Riwaayaat Me'n 4 Takbeere'n, Jabke Ba'az Me'n 5, Ba'az Me'n 7 Tak Zikr Ki Gayi Hai'n, Isi Ikhtelaaf Ki Buniyaad Par Sahaaba e Kiraam Alaihimur Ridwaan Bhi Mukhtalif Takbeeraat Padhte The Aur Har Ek Ke Paas Daleel Hoti Thi, Lekin Jab Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ka Daur e Mubaarak Aaya, To Aapne Tamaam Sahaaba e Kiraam Alaihimur Ridwaan Ko Jama Farmaaya Aur Unse Iss Masle Ke Muta'alliq Mashwarah Kiya Aur Iss Baare Me'n Poochha, To Sab Ki Raaye 4 Par Muttafiq Ho Gayi Aur Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Tamaam Sahaaba Ko Inhi 4 Takbeero'n Par Jama Farma Diya Tha, Uss Din Se Sahaaba e Kiraam Alaihimur Ridwaan Ka 4 Takbeero'n Par Ijma Ho Gaya Tha, Isiliye Hazrat Abu Waa'il Radiallaahu Anhu Farmaate The, 4, 5, 7 Takbeere'n Padhi Gayi Hai'n, Lekin Musalmaano'n Ka Ijma 4 Takbeero'n Par Ho Gaya Hai, Isi Wajah Se Aaj Ham Bhi Janaazah Me'n 4 Takbeere'n Kehte Hai'n, (Yeh Hadees Ka Maf'hoom Bayaan Kiya Gaya Hai, Aage Insha Allaah Yeh Hadees e Paak Aayegi)
Nabi e Kareem ﷺ Ne 4 Takbeero'n Se Janaazah Padha Tha, Jaisa Ke Saheeh Bukhaari Wa Saheeh Muslim Me'n Maujood Hai,
Tarjuma :- Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Marwi Hai, Farmaate Hai'n Jis Din Najjaashi Faut Huwe Rasoolullaah ﷺ Ne Unki Maut Ki Khabar Di Aur Musalmaano'n Ko Lekar Eidgaah Gaye, Pas Unki Safe'n Banaayee'n Aur Janaazah Par 4 Takbeeraat Padhee'n, (Bukhaari Shareef, Kitaabul Janaa'iz, Hadees No.1333, Muslim Shareef, Hadees No.2205)
Umdatul Qaari Me'n Hai,
Tarjuma :- Yeh Riwaayat Iss Baat Par Dalaalat Karti Hai Ke Namaaz e Janaazah Me'n 4 Takbeere'n Hai'n Aur Jumhoor Ulama Ne Isi Se Daleel Pakdi Hai, Inme'n Se Muhammad Bin Hanfiya, Ata Bin Abi Rabaah, Muhammad Bin Seereen, Imaam Nakhayi, Suwed Bin Gafla, Sufiyaan Sauri, Imaam Abu Haneefa, Imaam Maalik, Imaam Shaafayi, Imaam Ahmad Bin Hambal Rehmatullaah Alaihim Aur Yehi Mo'aqqaf Hazrat Umar Bin Khattaab, Hazrat Abdullaah Bin Umar, Hazrat Zaid Bin Saabit, Hazrat Jaabir, Hazrat Ibne Abi Aufa, Hazrat Imaam Hasan, Hazrat Bara Bin Aa'zib, Hazrat Abu Hurairah Aur Hazrat Uqba Bin Aa'mir Radiallaahu Anhum Ka Hai, (Umdatul Qaari, Kitaabul Janaa'iz, Jild No.8, Safha No.116,)
Sharahul Nawawi Ala Muslim" Me'n Imaam Abu Zakariya Mohyuddeen Yahya Bin Sharf Nawawi Rehmatullaah Alaih Likhte Hai'n,
Tarjuma :- Iss Masle Me'n Sahaaba e Kiraam Alahimur Rizwaan Ka 3 Takbeeraat Se Lekar 9 Takbeeraat Tak Ikhtelaaf Hai, Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Se Marwi Hai Ke Woh Ahle Badar Par 6 Aur Deegar Sahaaba Par 5 Takbeere'n Kaha Karte The Aur Sahaaba Ke Alaawah Aur Logo'n Par 4 Takbeere'n Kehte The, Imaam Ibne Abdul Bar Rehmatullaah Alaih Farmaate Hai'n Ke Iske Ba'ad 4 Takbeero'n Par Ijma Mun'aqid Ho Gaya Aur Tamaam Fuqaha Aur Ahle Fatwa Ka Saheeh Ahaadees Ki Bina Par 4 Takbeero'n Par Ijma Hai Aur Unke Alaawah Jo Takbeeraat Ki Te'daad Hai, Woh Unke Nazdeek Shaaz Hai Jiski Taraf Tawajjoh Nahee'n Ki Jaayegi, (Sharahul Nawawi Ala Muslim, Jild No.7, Safha No.23,)
Nabi e Kareem ﷺ Ke Zamaane Me'n Janaaze Ki Takbeere'n 4, 5, 7 Hoti Thee'n, Magar Hazrat Umar Ke Daur Me'n 4 Par Ijma Ho Gaya, Jaisa Ke Musannaf Abdur Razzaaq Me'n Hai,
Tarjuma :- Hazrat Abu Waa'il Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Sahaaba e Kiraam Alaihimur Ridwaan Nabi e Kareem ﷺ Ke Zamaane Me'n 7, 5 Aur 4 Takbeere'n Kaha Karte The, Hatta Ke Jab Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ka Daur e Mubaarak Aaya, To Aapne Sahaaba e Kiraam Alaihimur Ridwaan Ko Jama Kiya Aur Unse Iske Muta'alliq Poochha, To Har Ek Ki Jo Raaye Thi, Unho'n Ne Bayaan Farmaayi, Phir Aapne Un Sabko 4 Takbeero'n Par Jama Farma Diya, (Musannaf Abdur Razzaaq, Kitaabul Janaa'iz, Jild No.3, Safha No.479, Hadees No.6395)
Sharah M'aani Al Aasaar Me'n Iss Baat Ko Tafseel Se Bayaan Kiya Gaya Hai,
Tarjuma :- Hazrat Hammaad Rehmatullaah Alaih Hazrat Ibraaheem Rehmatullaah Alaih Se Riwaayat Karte Hai'n, Woh Farmaate Hai'n Ke Nabi e Kareem Alaihis Salaatu Was Salaam Duniya Se Tashreef Le Gaye, Jabke Namaaz e Janaazah Me'n Takbeero'n Ke Muta'alliq Logo'n Ka Ikhtelaaf Tha, Koi Kehta Tha Ke Mai'n Ne Nabi e Kareem Alaihis Salaatu Was Salaam Ko 7 Takbeere'n Kehte Huwe Suna, Koi Kehta Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Ko 5 Takbeere'n Kehte Huwe Suna Hai Aur Koi Kehta Ke Mai'n Ne Nabi e Kareem Alaihis Salaatu Wassalaam Ko 4 Takbeere'n Kehte Huwe Suna Hai, Iss Mu'aamle Me'n Unka Ikhtelaaf Hi Tha, Isi Ikhtelaaf Par Woh Log Barqaraar Rahe, Yahaa'n Tak Ke Hazrat Abu Bakar Siddeeq Radiallaahu Anhu Bhi Duniya Se Chale Gaye, Jab Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Khaleefa Bane Aur Aapne Logo'n Ko Iss Masle Me'n Ikhtelaaf Karte Dekha, Aap Par Yeh Baat Bahot Hi Naagawaar Guzri, Aapne Nabi e Kareem Alaihis Salaatu Was Salaam Ke Sahaaba e Kiraam Ki Taraf Paigaam Bhijwa Kar Unko Bulaaya Aur Farmaaya Ke Tum Rasoolullaah ﷺ Ke Sahaaba Ka Giroh Ho, Tum Agar Ikhtelaaf Karoge, To Log Tumhaare Ba'ad Ikhtelaaf Karte Rahe'nge, Jab Tum Kisi Ek Mu'aamle Par Ikat'the Ho Jaaoge, To Log Bhi Iss Mu'aamle Par Ikat'the Ho Jaaye'nge, To Tum Iss Baare Me'n Gaur Wa Fikr Karo Aur Kisi Mu'aamle Par Ikat'the Ho Jaao, Goya Ke Aap Radiallaahu Anhu Ne Un Sabko Tambeeh Farmaayi, To Sahaaba Ne Arz Kiya, Jee Haa'n ! Aye Ameerul Momineen ! Aap Ki Jo Raaye Hai, Hame'n Uska Mashwarah De'n, Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya, Balke Tum Mujhe Mashwarah Do, Mai'n To Tumhaari Misl Bashar Hoo'n, To Sahaaba e Kiraam Alaihimur Ridwaan Ne Aapas Me'n Iss Mu'aamle Par Mashwarah Kiya, Un Sab Ne Iss Baat Par Ittefaaq Kar Liya Ke Janaaze Me'n 4 Takbeere'n Kahi Jaaye'n To Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Un Sabko 4 Takbeero'n Par Jama Farma Diya, Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Rasoolullaah ﷺ Ke Sahaaba Ke Mashware Se Yeh Mu'aamla 4 Takbeero'n Ki Taraf Lauta Diya, Haalaa'nke Sahaaba e Kiraam Alaihimur Ridwaan Ne Nabi e Kareem Alaihis Salaatu Was Salaam Ke Fel (Amal) Ka Mushaahedah Kiya Huwa Tha To Goya Ke Sahaaba e Kiraam Alaihimur Ridwaan Ne Iss Masle Me'n Woh Mo'aqqaf Ikhtiyaar Kiya, Jo Unke Nazdeek Aula Tha, To Isse Unki Pehle Waali Raaye Mansookh Ho Gayi, Aur Unka 4 Takbeero'n Par Ijma Karna Hujjat Ho Gaya.(Sharah M'aani Al Aasaar, Kitaabul Janaa'iz, Jild No.1, Safha No.495, Hadees No.2846)
Namaaz e Janaazah Me'n Sureh Faateha Ki Tilaawat Nahee'n Ki Jaayegi :-
Sadrush Sharee'ah Maulana Mufti Amjad Ali Aa'zami Alaihir Rahma Farmaate Hai'n, Namaaz e Janaazah Me'n Qur'aan Ba Niyat e Qur'aan (Tilaawat e Qur'aan Ki Niyat Se) Ya Tashah'hud Padhna Mana Hai Aur Ba Niyat e Du'aa Wa Sana Alhamdulillaah Wagairah Aayaat Du'aa'iya Wa Sanaa'iya Padhna Jaa'iz Hai, (Bahaar e Sharee'at Jild No.1, Hissa 4, Safha No.838 Maktabatul Madeena)
Ab Ahaadees Se Dalaa'il Mulaaheza Farmaaye'n :-
Mota Imaam Maalik Me'n Hadees No.777 Hai,
Tarjuma :- Imaam Maalik Riwaayat Karte Hai'n Naafe Se Aur Naafe Kehte Hai'n Ke Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Namaaz e Janaazah Me'n Qir'aat Nahee'n Karte The,
Yeh Daleel Hai Namaaz e Janaazah Me'n Qir'aat Na Karne Par, Aur Usoole Hadees Me'n Jitni Bhi Kitaabe'n Hai'n Usme'n Ek Bahes Hoti Hai Ke Woh Kaunsi Hadees Hai Jiski Sanad Behtareen Ho To Usme'n Yeh Hai Ke, Maalik Ne Naafe Se Aur Naafe Ne Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Se, Lehaaza Yeh Hadees Sabse Behtareen Sanad Waali Hadees Hai.
Qir'aat Kisko Kehte Hai'n :- Qir'aat Qur'aan e Paak Ki Tilaawat Ko Kehte Hai'n To Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Namaaz e Janaazah Me'n Qir'aat Nahee'n Karte The Ya'ni Qur'aan e Paak Ki Tilaawat Nahee'n Kiya Karte The Ya'ni Sureh Faateha Nahee'n Padha Karte The.
Doosri Daleel :-
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Poochha Gaya, Yeh Bhi Mota Imaam Maalik Me'n Hadees No.775 Ke Tahet Mazkoor Hai,
Tarjuma :- Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Poochha Gaya Ke Aap Namaaz e Janaazah Kaise Padhaate Hai'n? Aapne Farmaaya, Jab Janaazah Rakha Jaata Hai To Mai'n Pehle Takbeer Padh Kar Allaah Ki Hamd Karta Hoo'n (Ya'ni Sana Padhta Hoo'n), Phir Nabi e Kareem ﷺ Par Darood Padhta Hoo'n Aur Phir Mayyat Keliye Du'aa Karta Hoo'n.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Kayi Namaaz e Janaazah Padhaaye Ho'nge, Unho'n Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ki Namaaz e Janaazah Padhaayi, Ab Bataaye'n Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ki Namaaz e Janaazah Huwi Ya Nahee'n Huwi, Kyu'nke Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Namaaz e Janaazah Me'n Sureh Faateha Nahee'n Padha Karte The Jaisa Ke Hadees Me'n Mazkoor Hai,
Teesri Daleel :-
Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Namaaz e Janaazah Kaise Padhaate The Musannaf Ibne Abi Shayba Hadees No.11376 Me'n Hai,
Tarjuma :- Ala Bin Musaib Apne Waalid Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Jab Namaaz e Janaazah Padhaate To Allaah Ki Hamd Se Ibteda Karte, Phir Nabi ﷺ Par Darood Bhejte, Phir Mayyat Keliye Du'aa Karte Hai'n.
Mohtaram Qaari'een :- Hadees Me'n Sureh Faateha Ka Zikr Hai Hi Nahee'n To Ab Bataaye'n Ke Hazrat Ali Radiallaahu Anhu, Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma, Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Namaaz e Janaazah Me'n Sureh Faateha Nahee'n Padhte The To Kya Yeh Sahaaba e Kiraam Radiallaahu Anhum Mukhaalif e Sunnat Thehre Aur Unho'n Ne Kitni Namaaz e Janaazah Padhaayi Ho'ngi To Kya Inki Padhaayi Huwi Namaaz e Janaazah Huwi Ya Nahee'n Huwi, Kyu'nke Unho'n Ne To Sureh Faateha Ki Qir'aat Nahee'n Ki Hogi Namaaz e Janaazah Me'n Jaisa Ke Ahaadees Me'n Mazkoor Hai, Haalaa'nke Aisa Nahee'n Hai, Balke Masla Yeh Hai Ke Namaaz e Janaza Me'n Qir'aat Nahee'n Hai, Namaaz e Janaazah Du'aa Hai Jisme'n Sana, Nabi e Paak ﷺ Par Darood Aur Mayyat Keliye Du'aa Hai Aur Yehi Hai Sunnat Tareeqa.
By Alahazrat Foundation Research Team - 7710809266/9892708816