Attahiyyaat Me'n Kalma e Shahaadat Padhte Huwe Shahaadat Ki U'ngli Ke Zariye Ishaarah Karna Sunnat Hai Aur Yeh Saheeh Ahaadees e Mubaaraka Se Saabit Hai, Iska Durust Tareeqa Yeh Hai Ke Jab Namaazi Attahiyyaat Me'n Kalma e Shahaadat (Ash'hadu Alla Ilaaha Illallaah) Par Paho'nche, To Daaye'n Haath Ki Sabse Chhoti Aur Saath Waali U'ngli Band Kare, A'ngoothe Aur Beech Ki U'ngli Ka Halqa Banaaye Aur "La" Par Shahaadat Ki U'ngli Uthaaye Aur "Illa" Par Rakh De Aur Sab U'ngliyaa'n Pehle Ki Tarah Seedhi Karle Ya'ni Shahaadat Ki U'ngli Ko Musalsal Harkat Na Deta Rahe.
Hazrat Naafe Maula Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhu Ka Bayaan Hai,
Tarjuma :- Sayyaduna Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Jab Dauraan e Namaaz (Tashah'hud Me'n) Baithte To Haath Ghutno'n Par Rakhte Aur Apni (Shahaadat Waali) U'ngli Ke Saath Ishaarah Farmaate, Apni Nazar Bhi Usi U'ngli Par Rakhte, Phir Farmaate Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Tha, Yeh Shahaadat Waali U'ngli Shaitaan Par Lohe Se Bhi Sakht Padti Hai. (Musnad Ahmad Bin Hambal, 2:119, Hadees No.600)
Hazrat Abdullaah Bin Zubair Radiallaahu Anhu Farmaate Hai'n Ke,
Tarjuma :- Rasoolullaah ﷺ Jab Allaah Ko (Tauheed Ke Saath) Pukaarte To U'ngli Mubaarak Se Ishaarah Karte Aur U'ngli Ko Harkat Nahee'n Dete The. (Abu Daawood Shareef, Kitaabus Salaat,1/260, Hadees No.989 & Nisaayi Shareef, Kitaab Sifatis Salaat, 1/376, Hadees No.1193)
Mazkoor Ahaadees e Mubaaraka Se Waazeh Hota Hai Ke Tashah'hud Me'n U'ngli Uthaane Ka Tareeqa Wohi Hai Jo Upar Bayaan Kiya Gaya Hai.
Neez Aqal Ka Bhi Yehi Taqaaza Hai Ke U'ngli Ko Idhar Udhar Hilaaye Bagair Rakh Diya Jaaye, Ke Baar Baar Hilaate Rehna Khushu Wa Khuzu Se Maane (Rokne Waali) Hai Ke Nigaah God Me'n Rakhni Hoti Hai Aur Raan Par Rakhi U'ngli Se Baar Baar Ishaarah Kare'nge, To Tawajjoh Bat'ti Rahegi Aur Yeh Khushu Ke Khilaaf Hai.
Hadees e Paak Me'n Mazkoor Lafz "Harkat Nahee'n Dete" Ke Tahet Shaareh Masaabeeh Allaama Husain Bin Mehmood Sheraazi Muzhiri Hanafi Rehmatullaah Alaih (Saal e Wafaat 727 Hijri) Likhte Hai'n,
Tarjuma :- Jab Namaazi Ishaare Keliye U'ngli Uthaaye, To U'ngli Ko Harkat Dete Rehne Ke Muta'alliq Ikhtelaaf Hai, Asah Qaul Yeh Hai Ke Jab Shahaadat Par U'ngli Uthaaye To Use Bagair Hilaaye, Rakh De. (Al-Mafaateeh Sharahul Masaabeeh, Jild No.2, Safha No.158, Matboo'ah Daarul Noor)
Muheet e Burhaani, Fataawa Taataarkhaaniya, Fat'hul Qadeer Aur Deegar Kutub e Fiqah Me'n Hai,
Tarjuma :- Imaam Shamsul A'imma Halwaani Rehmatullaah Alaih Se Manqool Hai Ke Namaazi La Ilaaha Ke Waqt U'ngli Uthaayega Aur Illallaah Par Giraadega, Taake U'ngli Uthaana Nafi Shareek e Ilaahi Keliye Aur Rakhna Isbaat e Wehdaaniyat Keliye Ho Jaaye Aur Chaahiye Ke U'ngliyo'n Ko Poore Ghutno'n Ke Kinaare Par Rakhe. (Fat'hul Qadeer, Kitaabus Salaat, Jild No.1, Safha No.321)
Allaama Ibne Aa'bideen Shaami Damishqi Rehmatullaah Alaih (Saal e Wafaat 1252 Hijri/1836 Iswi) Likhte Hai'n,
Tarjuma :- Attahiyyaat Me'n Shahaadat Ki U'ngli Uthaana Sunnat Hai, Nafi Par Uthaaye Aur Isbaat Ya'ni, "Alla Ilaaha" Par Rakh De, Yehi Imaam e Aa'zam Abu Haneefa Aur Imaam Muhammad Rehmatullaah Alaihima Ka Qaul Hai, Isi Par Kaseer Ahaadees Wa Aasaar Marwi Hai'n, Lehaaza Isi Par Amal e Aula Hai Aur Yeh Riwaayaat Iss Baat Me'n Sareeh Hai'n Ke Mufta Bihi Qaul Yeh Hai Ke Baqiya U'ngliyo'n Ko Bayaan Kardah Kaifiyat Ke Mutaabiq Band Karke Shahaadat Ki U'ngli Se Ishaarah Kare, Na Ke Haath Ko Phailaakar, Kyu'nke Hamaare Nazdeek Haath Phailaakar Ishaarah Nahee'n Kiya Jaayega, Isi Wajah Se "Munyatul Musalli" Me'n Kaha, Jab Ishaarah Kare To Chhoti Aur Uske Saath Waali U'ngli Ko Band Kare, A'ngoothe Aur Darmiyaan Waali U'ngli Se Halqa Banaaye Aur Shahaadat Ki U'ngli Ko Uthaaye, (Raddul Mohtaar Ma Durre Mukhtaar, Kitaabus Salaat, Baab Sifatis Salaat, Jild No.2, Safha No.266)
Sayyadi Aa'la Hazrat Imaam e Ahle Sunnat Ash-Shaah Imaam Ahmad Raza Khaan Qaadri Barelvi Rehmatullaah Alaih (Saal e Wafaat 1340 Hijri/1921 Iswi) Likhte Hai'n, "Iss (Ya'ni Ishaarah Karne Ke) Baab Me'n Ahaadees Wa Aasaar Bakasrat Waarid, Hamaare Muhaqqiqeen Ka Bhi Maz'hab e Saheeh Wa Mo'tamad Alaih (Yehi) Hai....Allaama Badruddeen Ayni Ne Tohfa Se Uska Istehbaab Naqal Farmaaya Aur Saahib e Muheet Wa Mulla Quhestaani Ne Sunnat Kaha", (Fataawa Razviya, Jild No.6, Safha No.150, Matboo'ah Raza Foundation, Laahor)
Namaaz Ki Sunan Bayaan Karte Huwe Sadrush Sharee'ah Mufti Muhammad Amjad Ali Aa'zami Rehmatullaah Alaih (Saal e Wafaat 1367 Hijri/1947 Iswi) Likhte Hai'n "Shahaadat Par Ishaarah Karna (Sunnat Hai), Yoo'n Ke Chhu'ngliya Aur Uske Paas Waali Ko Band Karle, A'ngoothe Aur Beech Ki U'ngli Ka Halqa Baa'ndhe Aur "La" Par Kalme Ki U'ngli Uthaaye Aur "Illa" Par Rakh De Aur Sab U'ngliyaa'n Seedhi Karle. (Bahaar e Sharee'at, Jild No.1, Hissa No.3, Safha No.530, Matboo'ah Maktabatul Madeena, Karaachi)
By Alahazrat Foundation Research Team - 7710809266/9892708816