Sureh Nisa, Aayat No.43
Tarjuma - Aye Imaan Waalo Nasha Ki Haalat Me'n Namaaz Ke Paas Na Jaao Jab Tak Itna Hosh Na Ho Ke Jo Kaho Use Samjho Aur Naapaaki Ki Haalat Me'n Be Nahaaye Magar Musaafiri Me'n Aur Agar Tum Beemaar Ho Ya Safar Me'n Ya Tum Me'n Se Koi Qazaaye Haajat (Paakhaane) Se Aaya Ya Tumne Aurato'n Ko Chhuwa Aur Paani Na Paaya To Paak Mitti Se Tayammum Karo To Apne Muh Aur Haatho'n Ka Masah Karo Beshak Allaah Mu'aaf Farmaane Waala Bakhshne Waala Hai.
Tayammum Kab Kare'n :- Wazu Aur Gusl Dono'n Ke Tayammum Ka Tareeqa Ek Hi (Same) Hai, Jiska Wazu Aur Gusl Na Ho Aur Use Paani Na Mil Raha Ho Ya Woh Itna Beemaar Ho Ke Kisi Maahir Doctor Ne Kaha Ho Ke Paani Iste'maal Karoge To Beemaari Badh Jaayegi Ya Agar Itna Beemaar Ho Ke Palang (Bed) Se Uth Nahee'n Sakta, Ya Aisi Sardi Ho Ke Usme'n Paani Iste'maal Karne Se Mar Jaane Ya Beemaar Ho Jaane Ka Kaamil Yaqeen Ho To Aisi Soorat Me'n Tayammum Kar Sakte Hai'n.
Tayammum Ka Tareeqa :- Sabse Pehle Niyat Kare'n, Phir Ek Baar Dono'n Haatho'n Ko Mitti Par Maarkar Poore Chehre Par Phere'n, Phir Isi Tarah Doosri Baar Dono'n Haatho'n Ko Mitti Par Maarkar Naakhun Se Lekar Kohniyo'n Ke Thode Upar Tak Pherle'n Ke Koi Jagah Baaqi Na Reh Jaaye.
Aisa Karne Se Bandah Na Paak Se Paak Ho Jaayega Aur Agar Wazu Keliye Tayammum Kiya Ho To Uska Wazu Ho Jaayega.
By Alahazrat Foundation Research Team - 7710809266/9892708816