Aajkal Kuchh Bidati Wa Gumraah Firqe Waale Kehte Hai'n Ke Taraaveeh 20 Rak'at Nahee'n Balke 8 Rak'at Padhna Sunnat Hai, Aa'iye Pehle Ham Aapko 20 Rak'at Taraaveeh Ki Daleel Pesh Karte Hai'n Phir Ba'ad Bidatio Ki Taraf Se 8 Rak'at Waali Hadees (Jisko Bidatio Ne Samjha Hi Nahee'n Hai Uss) Ka Jawaab De'nge.
20 Rak'at Taraaveeh Ke Dalaa'il :-
Imaam Ibne Hajar Asqalaani Ne "Attalkhees" Me'n Bayaan Kiya Hai Ke Huzoor Nabi e Akram ﷺ Ne Logo'n Ko 2 Raate'n 20 Rak'at Namaaz e Taraaveeh Padhaayi, Jab Teesri Raat Log Phir Jama Ho Gaye To Aap ﷺ Unki Taraf (Hujra e Mubaarak Se Baahar) Tashreef Nahee'n Laaye, Phir Subah Aap ﷺ Ne Farmaaya, Mujhe Andesha Huwa Ke (Namaaz e Taraaveeh) Tum Par Farz Kardi Jaayegi Lekin Tum Iski Taaqat Na Rakhoge. (Talkheesul Habeer, Jild No.2, Safha No.45, Hadees No.541(40))
Hazrat Abdullaah Bin Abbaas Radiallaahu Anhuma Se Marwi Hai Ke Huzoor Nabi e Akram ﷺ Ramzaanul Mubaarak Me'n Witr Ke Alaawah 20 Rak'at Taraaveeh Padha Karte The. (Mo'jamul Ausat, Hadees No.798, Mo'jamul Kabeer, Hadees No.12102, Musannaf Ibne Abi Shaiba, Hadees No.7692)
Hazrat Saa'ib Bin Yazeed Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Ham Hazrat Umar Faarooq Radiallaahu Anhu Ke Zamaane Me'n 20 Rak'at Taraaveeh Aur Witr Padhte The. (Imaam Bayhaqi, Sunanul Kubra, Hadees No.4393)
Imaam Bukhaari Ke Ustaad "Imaam Ibne Abi Shaiba" Al-Musannaf Me'n Hadees Naqal Karte Hai'n Ke Hazrat Yahya Bin Sa'eed Riwaayat Karte Hai'n Ke Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallaahu Anhu Ne Ek Shakhs Ko Hukm Diya Ke Woh Logo'n Ko 20 Rak'at (Taraaveeh) Padhaaye. (Musannaf Ibne Abi Shaiba, Hadees No.7764)
Hazrat Muhammad Bin Qudaama Hambali (Wafaat 595 Hijri) Farmaate Hai'n, Imaam Maalik Ne Yazeed Bin Romaan Se Riwaayat Kiya Hai Ke Woh Farmaate Hai'n, Hazrat Umar Ke Zamaana e Khilaafat Me'n Ramzaanul Mubaarak Me'n Log 23 Rak'at (Taraaveeh 20, Witr 3 Padha Karte The) Aur Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Se Marwi Hai Ke Unho'n Ne Ek Shakhs Ko Hukm Diya Ke Woh Logo'n Ko Ramzaanul Mubaarak Me'n 20 Rak'at Taraaveeh Padhaaye Aur Yeh Ijma Ke Maanind (Jaisa) Hai. (Al-Mugni, 2/604)
Hazrat Imaam Maalik (Wafaat 179 Hijri) Likhte Hai'n,
Ke Log (Sahaaba e Kiraam Wa Taaba'een e Izaam) Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ke Zamaane Me'n (3 Witr Ke Saath) 23 Rak'at Namaaze (Taraaveeh) Padhte The. (Mota Imaam Maalik, Hadees No.380)
Din Raat Bukhaari, Bukhaari Ki Rat Lagaane Waale Naam Nihaad Ahle Hadees Gair Muqallideen Najdiyo'n Ke Muh Par Imaam Bukhaari Ka Tamaacha :-
Hazrat Imaam Bukhaari Apni Kitaab "Taareekh e Kabeer" Me'n Likhte Hai'n,
Hazrat Suwed Bin Gafla Radiallaahu Anhu Ramzaanul Mubaarak Me'n 20 Rak'at Namaaz e Taraaveeh Padhte The. (Taareekh e Kabeer, Hadees No.334)
Imaam Qastalaani "Irshaadus Saari Sharah Saheeh Bukhaari" Me'n Likhte Hai'n, Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ke Zamaana e Khilaafat Me'n (Taraaveeh 20 Rak'at Par) Jo Huwa Usko Fuqaha Ne Ijma Ki Tarah Samjha Hai. (Irshaadus Saari Sharah Saheeh Bukhaari, 3/426)
Imaam Ibne Rushd (Wafaat 595 Hijri) Farmaate Hai'n, Fuqaha Ne In Rak'aat Ki Te'daad Ke Ikhtiyaar Karne Me'n Jo Log Ramzaanul Mubaarak Me'n Padhte Hai'n Ikhtelaaf Kiya Hai Pas Hazrat Imaam Maalik Ne Apne Ek Qaul Ke Mutaabiq, Hazrat Imaam Abu Haneefa, Hazrat Imaam Shaafayi, Hazrat Imaam Ahmad Bin Hambal Aur Daawood Zaahiri Ne Witr Ke Alaawah 20 Rak'at Taraaveeh Padhne Ko Ikhtiyaar Kiya Hai. (Bidaayatul Mujtahid. 1/166)
Wahaabiyo'n Ka Imaam Ibne Taimiya Apni Kitaab "Majmu'ah Al-Fataawa" Me'n Kehta Hai Ke Taraaveeh 20 Rak'at Sunnat Hai Iska Inkaar Kisi Ne Nahee'n Kiya. (Majmu'ah Al-Fataawa, 23/112)
Mohtaram Qaari'een! In Tamaam Dalaa'il Ko Padhne Ke Ba'ad Aapko Ma'loom Ho Gaya Hoga Ke Taraaveeh Ki Kul 20 Rak'ate'n Hi Hai'n Aur Jo 20 Ke Alaawah Padhte Hai'n Woh Logo'n Ko Dhoka Dete Hai'n, Allaah Hame'n Unke Fareb Se Bachaaye. Aameen
Bidatio Ki 8 Rak'at Waali Hadees Ka Jawaab :- Bidati Wa Gumraah Firqe Waale 8 Rak'at Taraaveeh Ki Daleel Iss Hadees Se Pesh Karte Hai'n,
Abu Salma Bin Abdur Rehmaan Bayaan Karte Hai'n Ke Unho'n Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu A'nha Se Sawaal Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ramzaan Me'n Kis Tarah Namaaz Padhte The ? Hazrat Aa'yesha Radiallaahu A'nha Ne Farmaaya, Ramzaan Ho Ya Gair Ramzaan Aap 11 Rak'aat Se Zyaadah Nahee'n Padhte The, Aap 4 Rak'at Padhte Tum Uske Husn Aur Tool Ko Na Poochho, Phir Aap 4 Rak'at Padhte Tum Uske Husn Aur Tool Ko Na Poochho, Phir Aap 3 Rak'at Padhte, Mai'n Ne Kaha, Ya Rasoolallaah ﷺ! Aap Witr Padhne Se Pehle So Jaate Hai'n? Aapne Farmaaya, Aye Aa'yesha! Meri Aa'nkhe'n Soti Hai'n Aur Mera Dil Nahee'n Sota. (Bukhaari Shareef, Kitaabus Salaatut Taraaveeh, Hadees No.2013)
Iss Hadees Me'n 11 Rak'at Ka Zikr Hai Jo Ke Ramzaan Aur Gair Ramzaan Me'n Rasoolullaah ﷺ Padhte The, Jabke Taraaveeh Sirf Ramzaan Me'n Hi Padhi Jaati Hai, Gair Ramzaan Me'n Nahee'n Padhiye Jaati, Isse Saabit Hota Hai Ke Yeh Hadees Taraaveeh Ke Muta'alliq Nahee'n Hai Balke Tahajjud Ke Muta'alliq Hai, Aur Iss Hadees Me'n 4-4 Rak'at Ka Zikr Hai, Jabke Taraaveeh 2-2 Rak'at Karke Padhi Jaati Hai Na Ke 4-4 Karke, Iss Hadees Se Yeh Saabit Nahee'n Hota Ke Taraaveeh 8 Rak'at Hai Balke Upar Jo Dalaa'il Pesh Kiye Gaye Unme'n Wazaahat Ke Saath Ramzaan, Taraaveeh Aur 20 Rak'at Ka Zikr Maujood Hai Jisse Saabit Hota Hai Ke Taraaveeh 20 Rak'at Hai.
By Alahazrat Foundation Research Team - 7710809266/9892708816