Taraaveeh Se Sageerah Gunaah Mu'aaf Hote Hai'n :-
Rasoole Akram, Noor e Mujasaam ﷺ Ne Farmaaya, Jo Ramzaan Me'n Imaan Ke Saath Aur Talab e Sawaab Keliye Qayaam Kare, To Uske Guzishta Gunaah Bakhsh Diye Jaaye'nge. (Muslim Shareef, Safha No.382 Hadees No.759)
Mufassir e Shaheer Hakeemul Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yaar Khaan Na'eemi Ashrafi Alaihir Rehma Iss Hadees e Paak Ke Tahet Farmaate Hai'n Ke Taraaveeh Ki Paabandi Ki Barkat Se Saare Sageerah (Ya'ni Chhote) Gunaah Mu'aaf Ho Jaaye'nge Kyu'nke Gunaah e Kabeerah (Ya'ni Bade Gunaah) Tauba Se Aur Huqooqul Ibaad (Allaah Ki Baargaah Me'n Tauba Ke Saath) Haq Waale Ke Mu'aaf Karne Se Mu'aaf Hote Hai'n. (Mir'aatul Manaajeeh, Jild No.2 Safha No.288)
Ek Aur Hadees Me'n Hai,
Beshak Allaah Tabaarak Wa Ta'aala Ne Ramzaan Ke Roze Tum Par Farz Kiye Aur Mai'n Ne Tumhaare Liye Ramzaan Ke Qayaam Ko Sunnat Qaraar Diya Hai Lehaaza Jo Shakhs Ramzaan Me'n Roze Rakhe Aur Imaan Ke Saath Aur Husoole Sawaab Ki Niyat Se Qayaam Kare (Ya'ni Taraaveeh Padhe) To Woh Apne Gunaaho'n Se Aise Nikal Gaya Jaise Wilaadat Ke Din Usko Uski Maa'n Ne Jana Tha. (Nasaayi Shareef, Hadees No.2207)
Sunnat Ki Fazeelat :- Alhamdulillaah Ramzaanul Mubaarak Me'n Jahaa'n Hame'n Beshumaar Ne'mate'n Muyassar Aati Hai'n Unhee'n Me'n Taraaveeh Ki Sunnat Bhi Shaamil Hai Aur Sunnat Ki Azmat Ke Kya Kehne! Allaah Paak Ke Pyaare Rasool ﷺ Ka Farmaan e Aa'li Shaan Hai Ke Jisne Meri Sunnat Se Mohabbat Ki Usne Mujhse Mohabbat Ki Aur Jisne Mujhse Mohabbat Ki Woh Jannat Me'n Mere Saath Hoga. (Ibne Asaakir, Jild No.9 Safha No.343)
Taraaveeh Padhne Ka Hukm :- Taraaveeh Sunnat e Mo'akkedah Kifaaya Hai Aur Isme'n Kam Az Kam Ek Baar Khatme Qur'aan Bhi Sunnat e Mo'akkedah Hai.
Taraaveeh Ki Jamaa'at Bid'at e Hasana Hai :- Nabi e Akram ﷺ Ne Khud Bhi Taraaveeh Ada Farmaayi Aur Ise Khoob Pasand Bhi Farmaaya Chunaanche Nabi e Akram ﷺ Ka Irshaad e Paak Hai Ke Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Rasoole Akram ﷺ Ne Farmaaya, Jisne Imaan Ke Saath Aur Sawaab Ki Niyyat Se Ramzaan Ke Maheene Me'n Qayaam Kiya, Uske Pichhle Tamaam Gunaaho'n Ko Mu'aaf Kar Diya Jaayega, Ibne Shihaab Ne Kaha, Rasoolullaah ﷺ Ka Wisaal Ho Gaya, Aur (Logo'n Ka Amal) Usi Par Barqaraar Raha, Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Ki Khilaafat Ke Ayyaam Me'n Aur Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ki Khilaafat Ke Ibtedaayi Ayyaam Me'n Isi Par Musalmaano Ka Amal Raha. (Bukhaari Shareef Kitaabut Taraaveeh,
Hadees No.2009)
Phir Sarkaar e Do Aa'lam ﷺ Ne Iss Andeshe Ki Wajah Se Tark Farmaayi Ke Kahee'n Ummat Par (Taraaveeh) Farz Na Kardi Jaaye, Bukhaari Shareef Me'n Hai, Ameerul Momineen Hazrat Sayyaduna Umar Faarooq e Aa'zam Radiallaahu Anhu Ne (Apne Daur e Khilaafat Me'n) Maahe Ramzaanul Mubaarak Ki Ek Raat Masjid Me'n Dekha Ke Log Juda Juda Andaaz Par (Taraaveeh) Ada Kar Rahe Hai'n, Koi Akela To Kuchh Hazraat Kisi Ki Iqteda Me'n Padh Rahe Hai'n, Yeh Dekh Kar Aap Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya, Mai'n Munaasib Khayaal Karta Hoo'n Ke In Sabko Ek Imaam Ke Saath Jama Kardu'n, Lehaaza Aap Radiallaahu Anhu Ne Hazrat Sayyaduna Ubay Bin Ka'ab Radiallaahu Anhu Ko Sabka Imaam Bana Diya, Phir Jab Doosri Raat Tashreef Laaye Aur Dekha Ke Log Ba Jamaa'at (Taraaveeh) Ada Kar Rahe Hai'n (To Bahot Khush Huwe Aur) Farmaaya, "Yeh Achchhi Bid'at Hai". (Bukhaari Shareef Jild No.1 Safha No.658 Hadees No.2010)
Mohtaram Qaari'een!
Huzoor ﷺ Ko Hamaara Kitna Khayaal Hai ! Mahez Iss Khauf Se Jamaa'at e Taraaveeh Par Hameshgi Na Farmaayi Ke Kahee'n Ummat Par Farz Na Kardi Jaaye, Iss Hadees e Paak Se Ba'az Waswaso'n Ka Ilaaj Bhi Ho Gaya, Maslan Taraaveeh Ki Baaqaa'idah Jamaa'at Sarkaar e Naamdaar ﷺ Bhi Jaari Farma Sakte The Magar Na Farmaayi Aur Yoo'n Islaam Me'n Achchhe Achchhe Tareeqe Raa'ij Karne Ka Apne Gulaamo'n Ko Mauqa Faraaham Kiya.
Ummul Momineen Hazrat Aa'yesha Siddeeqa Radiallaahu Anha Se Marwi Hai Ke Ek Raat Rasoolullaah ﷺ Ne Masjid Me'n (Nafil) Namaaz Padhi To Logo'n Ne Bhi Aap ﷺ Ke Saath Namaaz Padhi, Phir Aap ﷺ Ne Agli Raat Namaaz Padhi To Aur Zyaadah Log Jama Ho Gaye, Phir Teesri Ya Chauthi Raat Bhi Ikat'the Huwe Lekin Rasoolullaah ﷺ Unki Taraf Tashreef Na Laaye, Jab Subah Huwi To Farmaaya, Mai'n Ne Dekha Jo Tumne Kiya Aur Mujhe Tumhaare Paas (Namaaz Padhaane Keliye) Aane Se Sirf Iss Andeshe Ne Roka Ke Yeh Tum Par Farz Kardi Jaayegi, Yeh Waaqe'ah Ramzaanul Mubaarak Ka Hai. (Bukhaari Shareef, Hadees No.1077, Bukhaari Shareef, Kitaab Salaatut Taraaweeh, Hadees No.1908, Muslim Shareef, Hadees No.761, Abu Daawood Shareef, Hadees No.1373, Nasaayi Shareef, Hadees No.1604)
Imaam Ibne Khuzaima Aur Imaam Ibne Hibbaan Ne Hazrat Aa'yesha Siddeeqa Radiallaahu Anha Ki Riwaayat Me'n In Alfaaz Ka Izaafa Kiya Hai Ke Huzoor Nabi e Akram ﷺ Unhe'n Qayaam e Ramzaan (Taraaveeh) Ki Ragbat Dilaaya Karte The Lekin Hukman Nahee'n Farmaate The, Chunaanche (Targeeb Keliye) Farmaate Ke Jo Shakhs Ramzaanul Mubaarak Me'n Imaan Aur Sawaab Ki Niyat Ke Saath Qayaam Karta Hai To Uske Saabeqa Gunaah Bakhsh Diye Jaate Hai'n, Phir Huzoor Nabi e Akram ﷺ Ke Wisaal Mubaarak Tak Qayaam e Ramzaan Ki Yehi Soorat Barqaraar Rahi Aur Yehi Soorat Khilaafat e Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Aur Khilaafat e Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ke Ibtedaayi Daur Tak Jaari Rahi Yahaa'n Tak Ke Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Unhe'n Hazrat Ubay Bin Ka'ab Radiallaahu Anhu Ki Iqteda Me'n Jama Kar Diya Aur Woh Unhe'n Namaaz e (Taraaveeh) Padhaaya Karte The, Lehaaza Yeh Woh Ibtedaayi Zamaana Hai Jab Log Namaaz e Taraawlveeh Keliye (Ba Jamaa'at) Ikat'the Hote The. (Saheeh Ibne Hibbaan, Hadees No.141, Saheeh Ibne Khuzaima, Hadees No.2207)
By Alahazrat Foundation Research Team - 7710809266