
Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Ne Khabar Di Ke Rasoolullaah ﷺ Ek Ghode Me'n Sawaar Huwe To Aap ﷺ Ka Daayaa'n Pehlu Zakhmi Ho Gaya (Ghode Se Girne Ke Sabab), (Phir) Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Ek Din Aap ﷺ Ne Hame'n Namaazo'n Me'n Se Koi Namaaz Padhaayi, Uss Waqt Aap ﷺ Baithe Huwe The, Pas Hamne Bhi Aap ﷺ Ki Iqteda Me'n Baith Kar Namaaz Padhi, Phir Jab Aap ﷺ Ne Salaam Phera To Farmaaya, Imaam Sirf Isliye Banaaya Jaata Hai Ke Uski Iqteda Ki Jaaye, Pas Jab Woh Khade Hokar Namaaz Padhe To Tum Khade Hokar Namaaz Padho Aur Jab Woh Ruku Kare To Tum Ruku Karo Aur Jab Woh Ruku Se Sar Uthaaye To Tum Bhi Ruku Se Sar Uthaao Aur Jab Woh Sajdah Kare To Tum Bhi Sajdah Karo Aur Jab Woh "Samiallaahu Liman Hamidah" Kahe To Tum Kaho "Rabbana Walakal Hamd".
Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ghode Se Gir Gaye, Pas Aap ﷺ Zakhmi Ho Gaye, Phir Aap ﷺ Ne Hame'n Baith Kar Namaaz Padhaayi, Hamne Bhi Aap ﷺ Ke Saath Baith Kar Namaaz Padhi, Phir Namaaz Se Faarig Hone Ke Ba'ad Aap ﷺ Ne Farmaaya Ke Imaam Sirf Isliye Banaaya Jaata Hai Ke Uski Iqteda Ki Jaaye, Pas Jab Woh Takbeer Padhe To Tum Bhi Takbeer Padho Aur Jab Woh Ruku Kare To Tum Bhi Ruku Karo Aur Jab Woh Ruku Se Sar Uthaaye To Tum Bhi Ruku Se Sar Uthaao Aur Jab Woh "Samiallaahu Liman Hamidah" Kahe To Tum "Rabbana Lakal Hamd" Kaho Aur Jab Woh Sajdah Kare To Tum Bhi Sajdah Karo.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Imaam Sirf Isliye Banaaya Jaata Hai Ke Uski Iqteda Ki Jaaye, Pas Jab Woh Takbeer Padhe To Tum Takbeer Padho Aur Jab Woh Ruku Kare To Tum Ruku Karo Aur Jab Woh Kahe "Samiallaahu Liman Hamidah" To Tum Kaho "Rabbana Walakal Hamd" Aur Jab Woh Sajdah Kare To Tum Sajdah Karo Aur Jab Woh Baith Kar Namaaz Padhe To Tum Sab Baith Kar Namaaz Padho.
Hazrat Saalim Bin Abdullaah Apne Waalid Abdullaah (Bin Umar Radiallaahu Anhum Ajma'een) Se Riwaayat Karte Hai'n Ke, Rasoolullaah ﷺ Jab Namaaz Shuru Karte To Apne Kandho'n Tak Rafa Yadain Karte (Ya'ni Haath Buland Karte) Aur Jab Ruku Keliye Takbeer Padhte Aur Jab Ruku Se Sar Uthaate To Usi Tarah Rafa Yadain Karte Aur Farmaate "Samiallaahu Liman Hamidah - Rabbana Walakal Hamd" Aur Sajde Me'n Iss Tarah Nahee'n Karte The. (Yaad Rahe Muslim Shareef Ki Hadees Me'n Hai Ke Hazrat Maalik Bin Huweris Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Jab Rasoolullaah ﷺ Allaahu Akbar Kehte To Haatho'n Ko Kaano'n Tak Buland Karte (Muslim Shareef Hadees No.391, Sunane Abu Daawood 745, Sunane Nisaayi 879, Sunane Ibne Maaja 859) (Yaad Rahe Ruku Me'n Jaate Waqt Aur Ruku Se Uthte Waqt Rafa Yadain Karne Me'n A'imma e Kiraam Ke Darmiyaan Ikhtelaaf Hai, Aur Ispar Kaafi Taweel Kalaam Kiya Jaata Hai, Yahaa'n Samajhne Keliye Mukhtasar Yeh Arz Kar Doo'n Ke, Iss Masle Ko Agar Gaur Se Dekhe'n To Ma'loom Hoga Ke Takbeer e Ula Me'n Rafa Yadain Hai Jispar Koi Ikhtelaaf Nahee'n, Aur 2 Sajdo'n Ke Darmiyaan Ki Takbeer Me'n Rafa Yadain Nahee'n Hai Ispar Bhi Koi Ikhtelaaf Nahee'n Hai, Aur Ruku Ki Takbeer Me'n Rafa Yadain Karne Na Karne Me'n Ikhtelaaf Hai, Ab Dekhe'n Ke Ruku Ki Takbeer, Takbeer e Tehreema Ki Tarah Hai Ya Sajdo'n Ki Takbeer Ki Tarah Hai? To Ham Dekhte Hai'n Ke Takbeer e Tehreema Farz Hai Aur Ruku Aur Sajdah Ki Takbeer Sunnat Hai, Pas Ma'loom Huwa Ke Ruku Ki Takbeer Sajdah Ki Takbeer Ki Tarah Hai, Takbeer e Tehreema Ki Tarah Nahee'n Hai, To Jis Tarah Sajdah Ki Takbeer Me'n Rafa Yadain Nahee'n Hai Usi Tarah Ruku Ki Takbeer Ke Saath Bhi Rafa Yadain Nahee'n Hoga Aur Yehi Qayaas Ka Bhi Taqaaza Hai, Iss Silsile Me'n Chand Daleele'n Bhi Dekhte Chale'n Ke, Mujaahid Bayaan Karte Hai'n Ke Mai'n Ne Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Ki Iqteda Me'n Namaaz Padhi, Unho'n Ne Sirf Takbeer e Ula Ke Waqt Rafa Yadain Kiya, (Musannaf Ibne Abi Shayba, Hadees No.2452, Sharah Ma'aani Aasaar, 1323) Neez Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Se Bhi Marwi Hai Ke Woh Sirf Iftetaah e Namaaz Ke Waqt Rafa Yadain Karte The, (Musannaf Ibne Abi Shayba, 2454) Hazraat Ab Zara Soche'n Ke Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Aur Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Jinho'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Rafa Yadain Karte Dekha Tha Phir Bhi Unho'n Ne Rafa Yadain Tark Kar Diya Yeh Usi Waqt Mumkin Hai Jabke Unke Nazdeek Bhi Rafa Yadain Mansookh Ho Chuka Ho Warna Nabi e Kareem ﷺ Ki Mukhaalefat Karna Unse Muhaal Hai)
Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Ne Khabar Di, Unho'n Ne Kaha Ke Mai'n Ne Dekha Ke Rasoolullaah ﷺ Jab Namaaz Me'n Khade Hote To Rafa Yadain Karte Hatta Ke Aap ﷺ Ke Dono'n Haath Kandho'n Ke Baraabar Hote Aur Jab Aap ﷺ Ruku Keliye Takbeer Kehte Aur Jab Ruku Se Sar Uthaate Tab Bhi Usi Tarah Karte Aur Aap ﷺ Farmaate "Samiallaahu Liman Hamidah" Aur Aap ﷺ Sajde Me'n Iss Tarah Nahee'n Karte The. (Rafa Yadain Karne Waali Hadees Ahnaaf Ke Nazdeek Mansookh Hai, Zyaadah Jaankaari Keliye Hadees No.735 Ki Sharah Padhe'n)
Riwaayat Hai Abi Qilaaba Se Ke Unho'n Ne Hazrat Maalik Bin Huweris Radiallaahu Anhu Ko Dekha Ke, Jab Woh Namaaz Padhte Hai'n To Takbeer Kehte Aur Rafa Yadain Karte Aur Jab Ruku Se Sar Uthaate To Rafa Yadain Karte Aur Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Isi Tarah Karte The. (Rafa Yadain Karne Waali Hadees Ahnaaf Ke Nazdeek Mansookh Hai, Zyaadah Jaankaari Keliye Hadees No.735 Ki Sharah Padhe'n)
Baab, Namaazi Kahaa'n Tak Haath Ko Buland Kare? Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Abu Humaid Ne Apne As'haab Ke Majma Me'n Kaha Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Kandho'n Ke Baraabar Haath Buland Kiye, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Ne Bayaan Kiya Ke, Mai'n Ne Dekha Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Namaaz Ki Ibteda Takbeer Ke Sath Ki, Pas Unho'n Ne Takbeer Padhte Huwe Kandho'n Ke Baraabar Rafa Yadain Kiya, Aur Jab Ruku Keliye Takbeer Kahi To Bhi Uski Misl Haath Buland Kiya Aur Kaha, "Rabbana Walakal Hamd" Aur Sajde Ke Waqt Iss Tarah Nahee'n Kiya Aur Na Sajde Se Sar Uthaate Waqt Iss Tarah Kiya. (Iss Hadees Ki Takhreej Wa Tashreeh Keliye Hadees No.735 Ka Mutaale'ah Keejiye)
Riwaayat Hai Hazrat Naafe Se Ke Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Jab Namaaz Me'n Daakhil Hote To Allaahu Akbar Kehte Huwe Rafa Yadain Karte Aur Jab Ruku Karte To Rafa Yadain Karte Aur Jab "Samiallaahu Liman Hamidah" Kehte To Rafa Yadain Karte Aur Jab 2 Rak'at Padh Kar Khade Hote To Rafa Yadain Karte, Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Ne Iss Hadees Ko Nabi e Kareem ﷺ Tak Marfu (Yani Sanad Ke Sath Rasoolullaah ﷺ Tak Mansoob) Kiya Hai, Aur Iss Hadees Ko Hammaad Bin Salma Ne Az Ayyoob Az Naafe Az Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Az Nabi e Kareem ﷺ Riwaayat Kiya Hai, Aur Iss Hadees Ko Ibne Tehmaan Ne Az Ayyoob Aur Az Moosa Bin Uqba Ikhtesaar Se Riwaayat Kiya Hai. (Iss Hadees Ko Samajhne Keliye Hadees No.735 Ka Mutaale'ah Kare'n)
Hazrat Sahl Bin Sa'ad Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Logo'n Ko Yeh Hukm Diya Jaata Tha Ke Aadmi Namaaz Me'n Apna Daayaa'n Haath Baaye'n Kalaayi Par Rakhe, Abu Haazim Ne Kaha Ke Sahl Ne Iss Qaul Ko Sirf Nabi e Kareem ﷺ Ki Taraf Mansoob Kiya Hai, Ismaa'eel Ne Kaha, Iss Qaul Ko Mansoob Kiya Jaata Hai Aur Yeh Nahee'n Kaha Jaata Ke Sahl Ne Iss Qaul Ko Mansoob Kiya Hai.
Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Kya Tum Yeh Gumaan Karte Ho Ke Mera Qibla Yahaa'n Hai? Allaah Ki Qasam ! Mujh Par Na Tumhaara Ruku Makhfi Hai Aur Na Tumhaara Khushu (Posheedah Hai) Aur Beshak Mai'n Tumhe'n Apni Peeth Peechhe Se Bhi Zaroor Dekhta Hoo'n.
Riwaayat Hai Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Se Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Ruku Aur Sujood Ko Sukoon Se Ada Karo, Pas Allaah Ki Qasam ! Mai'n Tumko Apne Peechhe Se Dekhta Hoo'n Aur Ba'az Auqaat Farmaaya, Apni Pusht Ke Peechhe Se, Jab Tum Ruku Karte Ho Aur Sajdah Karte Ho.
Riwaayat Hai Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Aur Hazrat Abu Bakar R6adiallahu Anhu Aur Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Namaaz Ki Ibteda "Alhamdulillaahi Rabbil Aa'lameen" Se Karte The.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Takbeer e Tehreema Aur Qir'aat Ke Darmiyaan Khaamoshi Ka Ek Waqfa Karte The, Abu Zur'ah Ne Kaha, Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Khaamoshi Ke Waqfa Ki Jagah Mera Gumaan Hai, "Hunayyata" Kaha, Ya'ni Thoda Sa, Mai'n Ne Kaha, (Ya'ni Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Arz Kiya) Ya Rasoolallaah ﷺ ! Aap Par Mere Baap Aur Maa'n Fida Ho'n Aap Takbeer Aur Qir'aat Ke Darmiyaan Waqfe Me'n Kya Padhte Hai'n? Aapne Farmaaya, Mai'n Yeh Du'aa Karta Hoo'n, Aye Allaah ! Mere Aur Meri Khataao'n Ke Darmiyaan Iss Tarah Doori Karde Jis Tarah Tu Ne Mashriq Aur Magrib Ke Darmiyaan Doori Ki Hai, Aye Allaah ! Mujhe Khataao'n Se Iss Tarah Paak Karde Jis Tarah Safed Kapda Mail Se Paak Ho Jaata Hai, Aye Allaah ! Meri Khataao'n Ko Paani Se Barf Aur Oolo'n Se Dho De. (Yaad Rahe Nabi e Kareem ﷺ Ma'soom Hai'n Aapka Koi Gunaah Nahee'n Hai Na Sageerah Na Kabeerah Sehwan Na Amdan Na Sooratan Na Haqeeqatan, Ya'ni Rasoolullaah ﷺ Tamaam Tarah Ke Gunaaho'n Se Paak Hai'n, Lekin Aapne Yeh Aisi Du'aaye'n Sirf Ta'leem e Ummat Keliye Ki Hai'n)
Riwaayat Hai Hazrat Asma Bint Abi Bakar Radiallaahu Anha Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Namaaz e Kusoof Padhi, (Tareeqa Yeh Tha Ke) Phir Aap ﷺ Ne Qayaam Kiya, Pas Bahot Taweel Qayaam Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Ruku Kiya, Pas Bahot Taweel Ruku Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Qayaam Kiya, Pas Bahot Taweel Qayaam Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Ruku Kiya, Pas Bahot Taweel Ruku Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Ruku Se Sar Uthaaya, Phir Sajdah Kiya Pas Bahot Taweel Sajdah Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Qayaam Kiya, Pas Bahot Taweel Qayaam Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Ruku Kiya Pas Bahot Taweel Ruku Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Ruku Se Sar Uthaaya, Pas Bahot Taweel Qayaam Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Ruku Kiya Pas Bahot Taweel Ruku Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Ruku Se Sar Uthaaya, Pas Sajdah Kiya Pas Taweel Sajdah Kiya, Phir Aap ﷺ Namaaz Se Faarig Hokar Namaaziyo'n Ki Taraf Mude, Pas Farmaaya, Tahqeeq Yeh Hai Ke Jannat Mere Qareeb Kar Di Gayi Hatta Ke Agar Mai'n Chaahta To Mai'n Tumhaare Paas Jannat Ke Khusho'n Me'n Se Ek Khusha Le Aata, Aur Dozakh Mere Qareeb Kar Di Gayi Hatta Ke Mai'n Ne Kaha, Aye Mere Rab ! Kya Mai'n Unke Saath Hoo'n? (Ya'ni Kya Mai'n Bhi Jahannamiyo'n Me'n Shaamil Hoo'n?) Pas Uss Waqt Ek Aurat Thi Jisko Ek Billi Noch Rahi Thi, Mai'n Ne Kaha, Usko Billi Kyu'n Noch Rahi Hai? Farishto'n Ne Kaha, Usne Uss Billi Ko Baa'ndh Kar Rakha Hatta Ke Woh Bhook Se Mar Gayi, Uss Aurat Ne Billi Ko Kuchh Khilaaya Na Usko Aazaad Kiya Ke Woh Kuchh Kha Leti, Naafe Ne Kaha, Mera Gumaan Hai Ke, Unho'n Ne Kaha, Woh Zameen Ke Koode Karkat Se Kuchh Kha Leti.
Baab, Namaaz Me'n Imaam Ki Taraf Nazar Utha Kar Dekhna, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Kaha Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Sooraj Gahen Ki Namaaz Me'n Farmaaya, Pas Mai'n Ne Dekha Ke Dozakh Ki Ba'az Aag Ba'az Ko Tod Rahi Thi, Jab Tumne Mujhe Peechhe Hat'te Huwe Dekha, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Abi Ma'mar Bayaan Karte Hai'n Ke Hamne Hazrat Khabbaab Radiallaahu Anhu Se Poochha, Kya Rasoolullaah ﷺ Zohar Aur Asar Ki Namaaz Me'n Qir'aat Karte The? Unho'n Ne Kaha, Haa'n ! Hamne Kaha, Tum Kis Cheez Se Usko Pehchaante The? Unho'n Ne Kaha Ke, Aapki Daadhi Ke Hilne Ki Wajah Se.
Is'haaq Ne Kaha Ke Mai'n Ne Abdullaah Bin Yazeed Se Khutba Me'n Suna, Unho'n Ne Kaha Ke, Hame'n Bara Radiallaahu Anhu Ne Hadees Bayaan Ki Aur Woh Jhoote Nahee'n The Ke Woh Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Namaaz Padhte The, Pas Aap ﷺ Ruku Se Sar Uthaate To Woh Sab Khade Rehte Hatta Ke Woh Aap Ko Sajdah Karte Huwe Dekhte.
Hazrat Abdullaah Bin Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ke Zamaane Me'n Sooraj Ko Gahen Lag Gaya, Pas Nabi e Kareem ﷺ Ne Namaaz Padhi, Sahaaba e Kiraam Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Hamne Dekha Ke Aap Apni Jagah Se Kisi Cheez Ko Pakad Rahe The, Phir Hamne Dekha Ke Aap Peechhe Hat Rahe The, Aapne Farmaaya, Mujhe Jannat Dikhaayi Gayi Pas Mai'n Ne Jannat Ke Ek Khosha Ko Pakadne Ka Iraadah Kiya Aur Agar Mai'n Usko Pakad Leta To Tum Usko Uss Waqt Tak Khaate Rehte Jab Tak Yeh Duniya Qaayem Rehti.
Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Hame'n Nabi e Kareem ﷺ Ne Namaaz Padhaayi, Phir Aap Mimbar Par Chadhe, Phir Aapne Apne Haatho'n Se Masjid Ke Qibla Ki Taraf Ishaarah Kiya, Phir Aapne Farmaaya, Abhi Jab Mai'n Ne Tumhe'n Namaaz Padhaayi Thi To Qibla Ki Uss Deewaar Me'n, Mai'n Ne Jannat Aur Dozakh Ki Misaale'n Dekhee'n, Aapne 3 Baar Farmaaya, Mai'n Ne Aaj Ki Misl Khair Aur Sharr Ko Nahee'n Dekha. (Yaad Rahe Pehle Jo Hadeese'n Guzri Usme'n Aapne Haqeeqatan Jannat Wa Dozakh Dekha Aur Iss Hadees Me'n Jannat Wa Dozakh Ki Misaale'n Dekhi Dono'n Alag Alag Waaqe'ah Hai)
Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Ne Hadees Bayaan Ki Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Unse Farmaaya, Un Logo'n Ka Kya Haal Hai Jo Apni Namaazo'n Me'n Aasmaan Ki Taraf Apni Nazre'n Uthaate Hai'n? Phir Aapne Usme'n Sakhti Ki Hatta Ke Aapne Farmaaya, Log Isse Baaz Aa Jaaye'n Warna Unki Basaarat Chheen Li Jaayegi.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Batlaaya Ke Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Se Namaaz Me'n Idhar Udhar Dekhne Ke Baare Me'n Poochha (To) Aap ﷺ Ne Farmaaya, Yeh To Daaka Hai Jo Ke Shaitaan Bande Ki Namaaz Par Daalta Hai.
Riwaayat Hai Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Ek Naqsh Wa Nigaar Waali Chaadar Me'n Namaaz Padhi, Phir Aap ﷺ Ne Farmaaya, Iss Chaadar Ke Naqsh Wa Nigaar Ne Mujhe Apni Taraf Mashgool Kar Diya, Isko Abu Jaham Ke Paas Le Jaao Aur Mujh Ko Saadah Chaadar Laado.
Baab, Kya Namaaz Me'n Koi Pesh Aamdah Amr Pesh Aajaye Ya Kuchh Dekhe Ya Qibla Ki Taraf Thuka Huwa Dekhe To Mud Kar Dekhe? Kisi Cheez Ya Qibla Ki Jaanib Balgam Ko Dekhe (To Kya Kare), Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Sahl Ne Kaha, Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Namaaz Me'n Mude To Unho'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Dekha, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Masjid Ke Qibla Ki Jaanib Balgam Pada Huwa Dekha, Uss Waqt Aap ﷺ Logo'n Ke Saamne Namaaz Padh Rahe The, Pas Aap ﷺ Ne Usko Khurcha, Phir Aap ﷺ Ne Logo'n Ki Taraf Mud Kar Farmaaya, Jab Tum Me'n Se Koi Shakhs Namaaz Me'n Ho To Uske Chehre Ke Saamne Allaah Paak Hota Hai, Pas Tum Me'n Se Koi Shakhs Namaaz Me'n Apne Chehre Ke Saamne Na Thooke, Aur Iss Hadees Ko Moosa Bin Uqba Aur Ibne Abi Rawwaad Ne Naafe Se Riwaayat Kiya Hai.
Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Musalmaan Fajar Ki Namaaz Padh Rahe The To Achaanak Rasoolullaah ﷺ Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Hujre Se Pardah Uthaaya Aur Sahaaba e Kiraam Ki Taraf Dekha, Woh Safe'n Baa'ndhe Huwe The, So Nabi e Kareem ﷺ Ha'nste Huwe Muskuraaye Aur Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Apni Aediyo'n Par Peechhe Huwe Taake Woh Saf Se Mil Jaaye'n, Unho'n Ne Yeh Gumaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Hujre Se Nikalne Ka Iraadah Kar Rahe Hai'n Aur Sahaaba e Kiraam Ne Yeh Iraadah Kiya Ke Woh (Khushi Ke Galbe Se) Namaaz Tod De'nge, Aap ﷺ Ne Unki Taraf Ishaarah Kiya Ke Tum Namaaz Poori Karo, Pas Aapne Pardah Gira Diya Aur Uss Din Ke Aakhir Me'n Aap Wisaal Farma Gaye.
Jaabir Bin Samurah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Ahle Koofa Ne Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Se Hazrat Sa'ad Bin Abi Waqaas Radiallaahu Anhu Ki Shikaayat Ki, Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Hazrat Sa'ad Bin Abi Waqaas Radiallaahu Anhu Ko Ma'zool Kar Diya Aur Ahle Koofa Par Hazrat Ammaar Radiallaahu Anhu Ko Aa'mil Bana Diya, Ahle Koofa Ne Apni Shikaayat Me'n Yeh Zikr Kiya Ke Hazrat Sa'ad Achchhi Tarah Namaaz Nahee'n Padhaate, Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Unko Bulaaya Phir Kaha, Aye Abu Is'haaq (Hazrat Sa'ad Bin Abi Waqaas Radiallaahu Anhu Ki Kunniyat) Yeh Log Yeh Gumaan Karte Hai'n Tum Achchhi Tarah Namaaz Nahee'n Padhaate, Hazrat Abu Is'haaq Ne Kaha, Sune'n ! Allaah Ki Qasam ! Mai'n Unko Rasoolullah ﷺ Ke Tareeqe Se Namaaz Padhaata Hoo'n, Mai'n Pehli 2 Rak'ato'n Me'n Lamba Qayaam Karta Hoo'n Aur Doosri 2 Rak'ato'n Me'n Takhfeef Karta Hoo'n, Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Aye Abu Is'haaq ! Tumhaare Muta'alliq Yehi Gumaan Tha, Phir Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Hazrat Sa'ad Ke Saath Ek Shakhs Ko Ya Kayi Ashkhaas Ko Koofa Ki Taraf Bheja, Phir Hazrat Sa'ad Radiallaahu Anhu Ke Muta'alliq Ahle Koofa Se Poochha Aur Har Masjid Waalo'n Se Hazrat Sa'ad Radiallaahu Anhu Ke Muta'alliq Sawaal Kiya, Sab Unki Ta'reef Aur Tehseen Karte The Hatta Ke Woh Banu Abs Ki Ek Masjid Me'n Gaye To Unme'n Se Usaama Bin Qataadah Naam Ka Ek Shakhs Khada Huwa Jiski Kunniyat Abu Sa'dah Thi Usne Kaha, Baher Haal Jab Tumne Hame'n Qasam Di Hai To Suno ! Beshak Hazrat Sa'ad Radiallaahu Anhu Lashkar Ke Saath Nahee'n Jaate Aur Baraabar Baraabar (Maal e Ganeemat) Taqseem Nahee'n Karte Aur Muqaddamaat Me'n Adl Nahee'n Karte, Hazrat Sa'ad Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Suno Allaah Ki Qasam ! Mai'n (Uske Khilaaf) 3 Du'aaye'n Karta Hoo'n, Aye Allaah ! Agar Tera Yeh Bandah Jhoota Hai Aur Dikhaane Aur Sunaane Keliye Khada Huwa Hai To Uski Umar Lambi Kar, Aur Uske Faqr Ko Zyaadah Kar, Aur Usko Fitna Me'n Mubtala Kar, Hazrat Jaabir Bin Samurah Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Ba'ad Me'n Jab Uss Shakhs Ke Muta'alliq Sawaal Kiya Jaata To Woh Kehta Tha, Mai'n Bahot Boodha Aur Fitna Me'n Mubtala Hoo'n, Mujhe Hazrat Sa'ad Radiallaahu Anhu Ki Du'aa Se Fitne Ka Saamna Hai, Abdul Malik Ne Kaha, Mai'n Ne Ba'ad Me'n Uss Shakhs Ko Dekha, Budhaape Ki Wajah Se Uski Bhawe'n Uski Aa'nkho'n Par Gir Gayi Thee'n Aur Woh Raaste Me'n Ladkiyo'n Se Chhed Khaani Karta Tha.
Riwaayat Hai Hazrat Ubaadah Bin Saamit Radiallaahu Anhu Se Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jo Shakhs Sureh Faateha Ko Na Padhe Uski Namaaz Kaamil Nahee'n Hoti. (Iss Hadees Ke Sabab Ba'az Log Kehte Hai'n Ke Imaam Aur Muqtadi Dono'n Ko Sureh Faateha Padhna Zaroori Hai, Jabke Hamaara Kehna Yeh Hai Ke Yeh Alag Alag Namaaz Jo Bhi Padhega Usko Sureh Faateha Padhna Zaroori Hai, Lekin Agar Imaam Ke Peechhe Namaaz Padh Raha Hai Koi To Uss Muqtadi Ko Sureh Faateha Padhne Ki Zaroorat Nahee'n, Kyu'nke Pehli Baat Yeh Ke Bukhaari Shareef Hi Ki Hadees Hai Jiska Mafhoom Hai Ke, Imaam Sirf Isliye Banaaya Jaata Hai Ke Uski Iqteda Ki Jaaye, Phir Rasoolullaah ﷺ Ne Bataaya Jab Imaam Yeh Kare To Tum Yeh Karo Jab Imaam Woh Kare To Tum Woh Karo Wagairah Wagairah, Maslan Bukhaari Shareef Ki Yeh Hadees Ke Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Imaam Sirf Isliye Banaaya Jaata Hai Ke Uski Iqteda Ki Jaaye Pas Jab Woh Takbeer Padhe To Tum Takbeer Padho Aur Jab Woh Ruku Kare To Tum Ruku Karo Aur Jab Woh Kahe "Samiallaahu Liman Hamidah" To Tum Kaho "Rabbana Walakal Hamd" Aur Jab Woh Sajdah Kare To Tum Sajdah Karo Aur Jab Woh Baith Kar Namaaz Padhe To Tum Sab Baith Kar Namaaz Padho, (Bukhaari Shareef, Abwaabu Sifatis Salaat, Jild 1 Safha 147, Hadees No.734) Agar Muqtadi Keliye Sureh Faateha Padhna Zaroori Hota To Aap Farmaate Jab Imaam Sureh Faateha Padhe To Tum Bhi Sureh Faateha Padho, Lekin Aisa Nahee'n Kaha Gaya Ma'loom Huwa Ke Imaam Ki Qir'aat Muqtadi Ki Qir'aat Hai Aur Sureh Faateha Bhi Qir'aat Me'n Daakhil Hai, Jaisa Ke Hadees Shareef Me'n Aaya Ke, Hazrat Jaabir Bin Abdullah Radiallahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jis Shakhs Ka Imaam Ho To Imaam Ki Qir'aat Uss Shakhs Ki Qir'aat Hai, (Sunane Ibne Maaja Shareef, Hadees No.850, Sunane Daar Qutni Hadees No.323) Aur Hazrat Abdullah Bin Shaddaad Radiallahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Rasoolullah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jis Shakhs Ka Imaam Ho To Imaam Ki Qir'aat Uss Shakhs Ki Qir'aat Hai, (Musannaf Ibne Abi Shayba, Hadees No.3779 Wa Musannaf Abdur Razzaaq, Hadees No.2802 Wa 2803) Aur Abu Waa'il Bayaan Karte Hai'n Ke Ek Shakhs Ne Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Radiallahu Anhu Se Sawaal Kiya Ke, Aaya Mai'n Imaam Ke Peechhe Qur'aan Padhu'n? Hazrat Abdullah Ne Farmaaya Namaaz Me'n Mashgooliyat Hai Aur Tumhaari Qir'aat Keliye Imaam Kaafi Hai, (Musannaf Ibne Abi Shayba, Hadees No.3780 Wa Musannaf Abdul Razzaaq, Hadees No.2806) Aur Hazrat Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Riwaayat Hai Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Imaam Isliye Banaaya Jaata Hai Ke Uski Itteba Ki Jaaye Jab Woh Qur'aan Padhe To Khaamosh Raho (Musannaf Ibne Abi Shayba, Hadees No.3799) To In Hadeeso'n Se Waazeh Ho Gaya Ke Muqtadi Ko Imaam Ke Peechhe Qur'aan Nahee'n Padhna Hai Aur Ek Bachcha Bhi Jaanta Hai Ke Sureh Faateha Qur'aan Hai, Aur Humaara Istedlaal Iss Hadees Shareef Se Bhi Hai Jisme'n Hazrat Ibne Abbaas Radiallahu Anhuma Ne Nabi e Kareem ﷺ Ke Marz e Wafaat Me'n Padhaayi Huwi Namaaz Ke Muta'alliq Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Wahaa'n Se Qir'aat Shuru Ki Jahaa'n Tak Hazrat Abu Bakar Radiallahu Anhu Qir'aat Kar Chuke The, (Sunane Ibne Maaja Hadees No.1235, Aur Musnad e Ahmad Me'n Bhi Yeh Hadees Maujood Hai) To Iss Hadees Se Waazeh Taur Par Ma'loom Huwa Ke Agar Har Namaazi Ko Ya'ni Imaam Wa Muqtadi Dono'n Ko Sureh Faateha Padhni Zaroori Hoti To Phir Nabi e Kareem ﷺ Bhi Shuru Hi Se Sureh Faateha Ki Qir'aat Shuru Karte Lekin Nahee'n Aapne Wahaa'n Se Shuru Kiya Jahaa'n Tak Hazrat Abu Bakar Radiallahu Anhu Padh Chuke The, Aur Bhi Bahot Si Daleele'n Hai'n Jo Ba'ad Me'n Bayaan Ki Jaayegi Insha Allah)
Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Ke Rasoolullaah ﷺ Masjid Me'n Daakhil Huwe, Phir Ek Shakhs Daakhil Huwa, Pas Usne Namaaz Padhi, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ko Salaam Kiya, Pas Aapne Salaam Ka Jawaab Diya Aur Farmaaya, Laut Jaao, Phir Namaaz Padho Kyu'nke Tumne Namaaz Nahee'n Padhi, So Laut Gaya, Phir Usne Uss Tarah Namaaz Padhi Jis Tarah Pehle Namaaz Padhi Thi, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ko Salaam Kiya, Aapne (Salaam Ka Jawaab Dene Ke Ba'ad) Farmaaya Laut Jaao, Pas Namaaz Padho Kyu'nke Tumne Namaaz Nahee'n Padhi, Yeh 3 Martaba Huwa, Phir Usne Kaha, Uss Zaat Ki Qasam Jisne Aapko Haq Dekar Bheja Hai ! Mai'n Isse Behtar Tareeqe Se Namaaz Nahee'n Padh Sakta, So Aap Mujhe Ta'leem Deejiye, Pas Aapne Farmaaya, Jab Tum Namaaz Ki Taraf Khade Ho, Pas "Allaahu Akbar" Kaho, Phir Tum Jitna Qur'aan Aasaani Ke Saath Padh Sakte Ho Utna Qur'aan Padho, Phir Ruku Karo Hatta Ke Tum Itmenaan Se Ruku Karo, Phir Tum Ruku Se Sar Uthaao, Hatta Ke Tum Seedhe Khade Ho Jaao, Phir Tum Sajdah Karo Hatta Ke Tum Itmenaan Se Sajdah Karo Phir Tum Sajde Se Sar Uthaao Hatta Ke Tum Itmenaan Se Baith Jaao Aur Apni Poori Namaaz Me'n Isi Tarah Karo.
Hazrat Jaabir Bin Samurah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Sa'ad Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Mai'n Ahle Koofa Ko Iss Tarah Namaaz Padhaata Hoo'n Jis Tarah Rasoolullaah ﷺ Zohar Ya Asar Ki Namaaz Padhaate The, Mai'n Usme'n Koi Kami Nahee'n Karta, Mai'n Pehli 2 Rak'at Me'n Taweel Qayaam Karta Hoo'n Aur Ba'ad Ki 2 Rak'at Me'n Takhfeef Karta Hoo'n, Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Tumhaare Muta'alliq Yehi Gumaan Hai.
Abdullaah Bin Abi Qataadah Apne Waalid Abi Qataadah Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Unke Waalid Abi Qataadah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Namaaz e Zohar Ki Pehli 2 Rak'at Me'n Sureh Faateha Aur 2 Soorte'n Padhte The, (Aur) Pehli 2 Rak'at Me'n Taweel Qir'aat Karte The Aur Doosri 2 Rak'at Me'n Kam Padhte The, Aur Kabhi Kabhi Hame'n Aayat Sunaate The, Aur Namaaz e Asar Me'n (Bhi) Sureh Faateha Aur 2 Soorte'n Padhte The, Aur Aap ﷺ Pehli Rak'at Taweel Padhte The Aur Namaaz e Fajr Ki Pehli Rak'at Bhi Taweel Padhte The Aur Doosri Rak'at Qaseer (Mukhtasar) Padhte The.
Hazrat Abi Ma'mar Ne Kaha, Hamne Hazrat Khabbaab Radiallaahu Anhu Se Sawaal Kiya, Kya Nabi e Kareem ﷺ Zohar Aur Asar (Ki Namaaz) Me'n Qur'aan Padhte The? Unho'n Ne Kaha (Ji Haa'n Phir Poochha Aap Kaise Ma'loom Karte The To Jawaab Diya), Nabi e Kareem ﷺ Ki Daadhi Ke Hilne Ki Wajah Se.
Hazrat Abi Ma'mar Ne Kaha, Mai'n Ne Hazrat Khabbaab Bin Arat Radiallaahu Anhu Se Poochha, Kya Nabi e Kareem ﷺ Zohar Aur Asar Me'n Qur'aan Padhte The? Unho'n Ne Kaha Haa'n ! Mai'n Ne Poochha, Aapko Kis Tarah Ma'loom Hota Tha Ke Nabi e Kareem ﷺ Qur'aan Padh Rahe Hai'n? Unho'n Ne Kaha, Nabi e Kareem ﷺ Ki Daadhi Ke Hilne Ki Wajah Se.
Abdullaah Bin Abi Qataadah Apne Waalid Abi Qataadah Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Unke Waalid Abi Qataadah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Zohar Aur Asar Ki Pehli 2 Rak'ato'n Me'n Sureh Faateha Aur Koi Aur Soorat Padhte The Aur Kabhi Kabhi Hame'n Sunaate The.
Hazrat Abdullaah Bin Abbaas Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Ummul Fazl Radiallaahu Anha Ne Un Ko Suna, Jab Woh, Sureh Wal Mursalaat Urfa, (Al-Mursalaat) Padh Rahe The, (To) Unho'n Ne Kaha Ke, Aye Mere Bete ! Allaah Ki Qasam ! Tumne Apni Iss Soorat Ki Qir'aat Se Mujhe Rasoolullaah ﷺ Se Suni Huwi Uss Aakhri Soorat Ki Qir'aat Ki Yaad Dila Di, Aap ﷺ Iss Soorat Ko Magrib Ki Namaaz Me'n Padha Karte The.
Marwaan Bin Hakam Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Mujhse Hazrat Zaid Bin Saabit Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Kya Wajah Hai Ke Aap Magrib Me'n Qisaar e Mufassal (Chhoti Chhoti Soorte'n) Padhte Hai'n, Haalaa'nke Mai'n Ne Suna Hai Ke Nabi e Akram ﷺ Badi Se Badi Soorte'n Bhi (Namaaz e Magrib Me'n) Padhte The.
Muhammad Bin Jubair Bin Mut'im Apne Waalid Jubair Bin Mut'im Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Unke Waalid Jubair Bin Mut'im Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke, Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Ko Magrib Ki Namaaz Me'n Sureh Toor Padhte Huwe Suna.
Abu Raafe Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ke Saath Isha Ki Namaaz Padhi To Unho'n Ne Yeh Aayat Padhi, Jab Aasmaan Ko Shaq Kar Diya Jaayega, (Sureh Inshiqaaq, Aayat No.1) Pas Unho'n Ne Sajdah Kiya, Mai'n Ne Uski Wajah Poochhi To Unho'n Ne Kaha, Mai'n Ne Abul Qaasim ﷺ Ke Peechhe Iss Aayat Par Sajdah Kiya Hai To Mai'n Hamesha Iss Aayat Par Sajdah Karta Rahoo'nga Hatta Ke Aapse Mulaaqaat Karoo'n.
Adi Ne Kaha Ke Unho'n Ne Hazrat Bara Radiallaahu Anhu Se Suna Ke Nabi e Kareem ﷺ Ek Safar Me'n The To Aapne Isha Ki Namaaz Ki 2 Rak'ato'n Me'n Se Ek Rak'at Me'n "Watteeni Wazzaitoon" Padhi.
Abi Raafe Ne Kaha Ke Mai'n Ne Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ke Saath Namaaz e Isha Padhi To Unho'n Ne Yeh Aayat Tilaawat Farmaayi, Jab Aasmaan Ko Shaq Kar Diya Jaayega, (Sureh Inshiqaaq, Aayat No.1) Phir Unho'n Ne Sajdah Kiya, Mai'n Ne Kaha Yeh Kaisa Sajdah Hai? Unho'n Ne Kaha Ke Mai'n Ne Abul Qaasim ﷺ Ke Saath Iss Aayat Par Sajdah Kiya, Pas Mai'n Hamesha Iss Aayat Par Sajdah Karta Rahoo'nga Hatta Ke Mai'n Aapse Mulaaqaat Karoo'n.
Adi Bin Saabit Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Hazrat Bara Radiallaahu Anhu Se Suna, Unho'n Ne Kaha Ke Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Namaaz e Isha Me'n Yeh Aayat Padhte Huwe Suna Hai, Anjeer Aur Zaitoon Ki Qasam, (Sureh Teen, Aayat No.1) Aur Mai'n Ne Aap ﷺ Se Zyaadah Khoobsurat Aawaaz Ya Khoobsurat Qir'aat Aur Kisi Se Nahee'n Suni.
Hazrat Jaabir Bin Samurah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Hazrat Sa'ad Radiallaahu Anhu Se Kaha, Ahle Koofa Ne Aapki Har Cheez Me'n Shikaayat Ki Hai Hatta Ke Namaaz Me'n Bhi, Hazrat Sa'ad Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Mai'n Namaaz Ki Pehli 2 Rak'ato'n Me'n (Sureh Faateha Ke Ba'ad) Zyaadah Qur'aan Padhta Hoo'n Aur Aakhri 2 Rak'ato'n Me'n (Sureh Faateha ke Alaawah) Qur'aan Nahee'n Padhta Aur Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Ki Namaaz Me'n Jis Cheez Ki Iqteda Ki Hai Usko Mai'n Tark Nahee'n Karta, Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Aapne Sachh Kaha Aur Aapke Saath Yehi Gumaan Tha Ya Aapke Saath Mera Yehi Gumaan Tha.
Baab, Namaaz e Fajar Me'n Qur'aan Padhna, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Ne Farmaaya Ke, Nabi e Kareem ﷺ Ne Sureh Toor Padhi, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Sayyaar Bin Salaama Ne Kaha Ke Mai'n Aur Mere Waalid Hazrat Abu Barzah Aslami Radiallahu Anhu Ke Paas Gaye Aur Hamne Unse Namaazo'n Ke Waqt Ke Muta'alliq Sawaal Kiya, To Unho'n Ne Bataaya Ke Nabi e Kareem ﷺ Zohar Ki Namaaz Sooraj Ke Zawaal Ke Waqt Padhte The, Aur Asar Ki Namaaz Uss Waqt Padhte The Jab Koi Shakhs Madeena Ke Aakhir Se Laut Aata Tha Aur Uss Waqt Sooraj Chamak Raha Hota Tha, Aur Mai'n Bhool Gaya Ke Magrib Ke Muta'alliq Unho'n Ne Kya Kaha Tha, Aur Aap Isha Ki Namaaz Me'n Tihaayi Raat Tak Ki Taakheer Me'n Koi Parwaah Nahee'n Karte The Aur Isha Ki Namaaz Se Pehle Sone Ko Na Pasand Karte The Aur Isha Ki Namaaz Ke Ba'ad Baate'n Karne Ko Na Pasand Karte The, Aur Fajar Ki Namaaz Aap Uss Waqt Padhte The Jab Koi Shakhs Namaaz Se Mudta To Apne Saath Baithe Huwe Shakhs Ko Pehchaan Leta, Aur Aap 2 Rak'ato'n Me'n Ya 2 Me'n Se Ek Rak'at Me'n 60 Se 100 Tak Aayaat Padhte The.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte The Ke Har Woh Namaaz Jisme'n Qur'aan Padha Jaata Tha, Pas Jis Namaaz Me'n Rasoolullaah ﷺ Ne Hame'n Qur'aan Sunaaya Ham Usme'n Tumko Qur'aan Sunaate Hai'n Aur Jis Namaaz Me'n Aap ﷺ Ne Hamaare Saamne Aahista Qur'aan Padha Ham Uss Namaaz Me'n Tumhaare Saamne Aahista Qur'aan Padhte Hai'n, Aur Agar Tum (Namaaz Me'n) Sureh Faateha Se Zyaadah Qir'aat Na Karo To Tumhaare Liye Kaafi Hai Aur Agar Tum Usse Zyaadah Qir'aat Karo To Yeh Zyaadah Achchha Hai. (Iss Hadees Shareef Me'n Gaur Karo To Kayi Baate'n Samajh Aati Hai'n, Maslan Yeh Ke Sureh Faateha Bhi Qir'aat Aur Qur'aan Me'n Daakhil Hai Aur Doosra Yeh Jaisa Ke Muqtadi Ko Sureh Faateha Padhne Par Kuchh Log Zor Dete Hai'n Unko Chaahiye Ke Sureh Faateha Ke Alaawah Doosri Soorte'n Bhi Padhne Par Zor De'n Imaam Ke Peechhe, Kyu'nke Iss Hadees Me'n Likha Hai Ke Aur Agar Tum Sureh Faateha Se Zyaadah Qir'aat Karo To Yeh Zyaadah Achchha Hai, To Phir Sirf Sureh Faateha Imaam Ke Peechhe Padhne Ka Zor Aur Achchhe Tareeqe Par Zor Nahee'n, Lekin Hamaara To Kehna Hai Ke Muqtadi Keliye Imaam Ki Qir'aat Kaafi Hai, So Muqtadi Ko Qir'aat Ki Zaroorat Hi Nahee'n Na Faateha Ki Na Doosri Soorat Ki, Jaisa Ke Aap Hadees No.756 Me'n Mulaaheza Farma Sakte Hai'n)
Baab, Namaaz e Fajar Me'n Buland Aawaaz Se Qur'aan Majeed Padhna, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Ne Kaha, Mai'n Ne Logo'n Ke Peechhe Tawaaf Kiya Aur Nabi e Kareem ﷺ Namaaz Padh Rahe The, Aur Sureh Toor Ki Qir'aat Kar Rahe The, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Apne As'haab Ki Jamaa'at Ke Saath Ukaaz Ke Baazaar (Arab Ka Ek Mash'hoor Baazaar Jaane) Ka Iraadah Karke Rawaana Huwe Aur Un Dino'n Aasmaan Ki Khabar Aur Shayaateen Ke Darmiyaan Koi Cheez Haa'il Ho Chuki Thi Aur Unke Upar Aag Ke Gole Phe'nke Gaye The Pas Shayaateen Apni Qaum Ki Taraf Gaye Aur Unse Poochha, Tumhaare Saath Kya Huwa? Unho'n Ne Kaha, Hamaare Aur Aasmaan Ki Khabro'n Ke Darmiyaan Koi Cheez Haa'il Ho Gayi Hai Aur Hamaare Upar Aag Ke Gole Phe'nke Gaye Hai'n, Unho'n Ne Kaha, Tumhaare Aur Aasmaan Ki Khabro'n Ke Darmiyaan Koi Nayi Cheez Haa'il Huwi Hai, Pas Zameen Ke Mashriq Aur Magrib Me'n Phail Jaao Aur Tafteesh Karo Ke Tumhaare Aur Aasmaan Ki Khabro'n Ke Darmiyaan Kya Cheez Haa'il Huwi Hai, Phir Woh Log Rawaana Huwe Aur Tihaama Ki Taraf Gaye Jahaa'n Nabi e Kareem ﷺ Ukaaz Ke Baazaar Ka Qasad Karke Gaye The Aur Nakhla Me'n Apne As'haab Ko Fajar Ki Namaaz Padha Rahe The, Jab Un Jinnaat Ne Qur'aan Suna To Uski Taraf Kaan Lagaaye, Pas Unho'n Ne Kaha, Yeh Hai Woh Cheez, Allaah Ki Qasam ! Tumhaare Aur Aasmaan Ki Khabro'n Ke Darmiyaan Jo Cheez Haa'il Huwi Hai Woh Yehi Cheez Hai, Pas Yahee'n Se Woh Apni Qaum Ki Taraf Laut Gaye, Pas Kaha, Aye Hamaari Qaum ! Hamne Ek Ajeeb Qur'aan Suna Ke Bhalaayi Ki Raah Bataata Hai To Ham Uss Par Imaan Laaye Aur Ham Hargiz Kisi Ko Apne Rab Ka Shareek Na Kare'nge, (Sureh Jinn, Aayat No.1/2) Tab Allaah Paak Ne Nabi e Kareem ﷺ Par Yeh Aayat Naazil Ki, Tum Farmaao Mujhe Wahi Huwi Ke Kuchh Jinno Ne Mera Padhna Kaan Laga Kar Suna, (Sureh Jinn, Aayat No.1) Haalaa'nke Aapki Taraf Sirf Jinn Ke Qaul Ki Wahi Ki Gayi Thi.
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Un Rak'aat Me'n (Buland Aawaaz Me'n) Qur'aan Padha Jin Me'n Aapko Hukm Diya Gaya Tha Aur Un Rak'aat Me'n (Buland Aawaaz Me'n Qur'aan Padhne Se) Sukoot Kiya Jin Me'n Aapko Hukm Diya Gaya Tha, Aur Aapka Rab Bhoolne Waala Nahee'n Hai, (Sureh Maryam, Aayat No.64) Aur Tehqeeq Yeh Hai Ke Tumhaare Liye Rasoolullaah ﷺ Ki (Seerat) Me'n Umdah Namoona Hai, (Sureh Ahzaab, Aayat No.21).
Baab, Namaaz Ki Ek Rak'at Me'n 2 Soorto'n Ko Jama Karke Padhna, Aur Soorat Ki Aakhri Aayat Ko Padhna, Aur Ek Soorat Se Pehle Soorat Ko Padhna, Aur Soorat Ke Awwal Hisse Ko Padhna, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Hazrat Abdullaah Bin Saa'ib Se Iss Riwaayat Ko Zikr Kiya Jaata Hai Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Namaaz e Fajr Me'n Sureh Mominoon Padhi Hatta Ke Jab Moosa Alaihissalaam Aur Haaroon Alaihissalaam Ka Zikr Aaya Ya Isa Ka Zikr Aaya To Aap ﷺ Ko Khaa'nsi Aayi, Pas Aap ﷺ Ne Ruku Kar Liya, Aur Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Pehli Rak'at Me'n Sureh Baqarah Ki 120 Aayaat Padhee'n Aur Doosri Rak'at Me'n Masaani Ki Koi Soorat Padhi, (Masaani Se Muraad Woh Soorte'n Hai'n Jin Me'n Baar Baar Ek Jaisi Aayat Aayee'n Jaise Sureh Rahmaan Ya Masaani Woh Soorte'n Hai'n Jin Me'n Aayaat Ki Te'daad 100 Se Kam Ho, Aur Sureh Faateha Ko Bhi Masaani Kaha Jaata Hai) Aur Hazrat Ahnaf Ne Namaaz Ki Pehli Rak'at Me'n Surah Kahaf Padhi Aur Doosri Rak'at Me'n Surah Yoosuf Padhi Aur Unho'n Ne Zikr Kiya Ke Unho'n Ne Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ke Saath Subah Ki Namaaz Me'n Yeh 2 Soorte'n Padhee'n, Aur Hazrat Ibne Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Namaaz Ki Pehli Rak'at Me'n Surah Anfaal Ki 40 Aayate'n Padhee'n Aur Doosri Rak'at Me'n Al-Mufassal Ki Soorte'n Padhee'n, (Al-Mufassal Qur'aan Ki Soorat Al-Hujuraat Se Lekar Qur'aan Ki Aakhri Soorat Tak Al-Mufassal Soorat Hai) Aur Qataadah Ne Kaha, Jo Shakhs Ek Soorat Ko 2 Rak'ato'n Me'n Padhta Hai Ya Ek Soorat Ko 2 Rak'ato'n Me'n Muqarrar Padhta Hai To Yeh Sab Kitaabullaah Hai'n, Phir Imaam Bukhaari Zikr Karte Hai'n Ke, Aur Ubaidullaah Bin Umar Ne Kaha Az Saabit Az Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Ansaar Ke Ek Shakhs Masjid e Quba Me'n Unko Namaaz Padhaate The, Woh Jab Bhi Namaaz Me'n Unke Liye Kisi Soorat Ko Padhna Shuru Karte To Apni Qir'aat Ka Iftetaah "Qul Huwallaahu Ahad" Se Karte Hatta Ke Uss Soorat Se Faarig Ho Jaate, Phir Uske Saath Koi Doosri Soorat Padhte Aur Woh Har Rak'at Me'n Isi Tarah Karte The, Unke As'haab Ne Unse Yeh Kaha, Aap Iss Soorat Se Iftetaah Karte Hai'n, Phir Aap Yeh Nahee'n Samajhte Ke Iss Soorat Ka Padhna Kaafi Hai Hatta Ke Aap Doosri Soorat Padhte Hai'n, Pas (Aa'indah) Aap Ya To Isi Soorat Ko Padhe'n Ya Isko Chhod De'n Aur Doosri Soorat Padhe'n, Unho'n Ne Kaha, Mai'n Iss Soorat (Ikhlaas) Ko Chhodne Waala Nahee'n Hoo'n, Agar Tum Chaahte Ho Ke Mai'n Tumko Isi Tarah Namaaz Padhaau'n To Mai'n Padhaau'nga Aur Agar Tum Isko Na Pasand Karo To Mai'n Tumko Chhod Doo'nga, Aur Wahaa'n Ke Log Yeh Samajhte The Ke Woh In Sabse Afzal Hai, Aur Unho'n Ne Isko Na Pasand Kiya Ke Unhe'n Koi Aur Shakhs Namaaz Padhaaye, Jab Un Logo'n Ke Paas Rasoolullaah ﷺ Tashreef Laaye To Un Logo'n Ne Aap ﷺ Ko Iss Waaqe'ah Ki Khabar Di, Aap ﷺ Ne Farmaaya Aye Fulaa'n ! Tumhe'n Apne As'haab Ki Baat Maanne Se Kya Cheez Maane Hai? Aur Iss Soorat Ko Har Rak'at Me'n Laazeman Padhne Par Kya Cheez Ubhaarti Hai? Unho'n Ne Kaha, Mai'n Iss Soorat Se Mohabbat Karta Hoo'n, Aap ﷺ Ne Farmaaya Iss Soorat Se Tumhaari Mohabbat Ne Tumhe'n Jannat Me'n Daakhil Kar Diya, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Abu Waa'il Ne Kaha, Ke, Ek Shakhs Hazrat Ibne Mas'ood Radiallaahu Anhu Ke Paas Aaya, Usne Kaha, Mai'n Ne Aaj Mufassal (Surah Hujuraat Se Aakhir Qur'aan Tak Ki Koi Soorat) Ko Ek Raat Me'n Padha, Hazrat Ibne Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Tumne Usko She'r Ki Tarah Jaldi Jaldi Padha Hoga, Mai'n Un Soorto'n Ki Nazaa'ir Jo Jaanta Hoo'n Jinko Nabi e Kareem ﷺ Mila Kar Padhte The, Phir Unho'n Ne Mufassal Se 20 Soorte'n Padhee'n, Har Rak'at Me'n 2 Soorte'n.
Abdullaah Bin Abi Qataadah Apne Waalid Abi Qataadah Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Zohar Ki Pehli 2 Rak'ato'n Me'n Sureh Faateha Aur 2 Soorte'n Padhte The Aur Aakhri 2 Rak'ato'n Me'n Sureh Faateha Padhte The Aur Hame'n Sunaate The Aur Pehli Rak'at Itni Lambi Padhte The Jitni Lambi Doosri Rak'at Nahee'n Padhte The Aur Isi Tarah Asar Me'n Aur Isi Tarah Subah Me'n.
Abi Ma'mar Bayaan Karte Hai'n Ke Mai'n Ne Hazrat Khabbaab Radiallaahu Anhu Se Poochha, Kya Nabi e Kareem ﷺ Zohar Aur Asar Me'n Qur'aan Padhte The? Unho'n Ne Kaha Haa'n ! Hamne Poochha, Aapko Kaise Ma'loom Huwa? Unho'n Ne Kaha, Aap ﷺ Ki Daadhi Ke Hilne Ki Wajah Se.
Abdullaah Bin Abi Qataadah Ne Apne Waalid Hazrat Abi Qataadah Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Zohar Aur Asar Ki Pehli 2 Rak'ato'n Me'n Sureh Faateha Aur Uske Saath Koi Soorat Padhte Aur Kabhi Kabhi Hame'n Aayat Sunaate Aur Aap Pehli Rak'at Ko Lamba Karte The.
Abdullaah Bin Abi Qataadah Apne Waalid Abi Qataadah Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Zohar Ki Pehli Rak'at Ko Lamba Karte The Aur Doosri Rak'at Ko Kam Karte The Aur Yeh Aap Namaaz e Fajar Me'n (Bhi) Karte The.
Baab, Buland Aawaaz Se Aameen Kehna, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Ata Ne Kaha, Aameen Du'aa Hai, Hazrat Ibne Zubair Ne Aameen Kahi Aur Unke Peechhe Waalo'n Ne Aameen Kahi Hatta Ke Masjid Goo'nj Uthi, Aur Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ba Aawaaz Buland Imaam Se Kehte, Hamaari Aameen Ko Chhod Na Dena, Aur Naafe Ne Kaha, Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Aameen Ko Nahee'n Chhodte The Aur Aameen Kehne Par Ubhaarte The, Aur Mai'n Ne Unse Iske Muta'alliq Achchhi Baat Suni Hai, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Imaam Aameen Kahe To Tum Bhi Aameen Kaho Pas Beshak Jiski Aameen Farishto'n Ki Aameen Ke Muwaafiq Hogi Uske Pichhle Gunaah Mu'aaf Kar Diye Jaaye'nge, Aur Ibne Shihaab Ne Kaha Aur Rasoolullaah ﷺ Aameen Kehte The.
Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Tum Me'n Se Koi Shakhs Aameen Kehta Hai Aur Farishte Bhi Aasmaan Me'n Aameen Kehte Hai'n Aur Dono'n Me'n Se Ek Ka Qaul Doosre Ke Muwaafiq Ho Jaata Hai To Uske Pichhle Gunaaho'n Ko Mu'aaf Kar Diya Jaata Hai.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Imaam "Gairil Magdoobi Alaihim Walad Daalleen" Kahe To Tum Aameen Kaho, Pas Jiska Qaul Farishto'n Ke Qaul Ke Muwaafiq Ho Gaya, Uske Pichhle Gunaah Mu'aaf Kar Diye Jaaye'nge, Sumayya Ki Mutaabe'at Muhammad Bin Amro Ne Ki Hai Az Abi Salma Az Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Az Nabi e Kareem ﷺ Aur Na'eemul Mujmir Ne Bhi Sumayya Ki Mutaabe'at Az Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ki Hai. (Allaama Ibne Bataal Likhte Hai'n Ke, Fuqaha Ki Ek Jamaa'at Ne Kaha Hai Ke Muqtadi Aahista Aameen Kahe, Imaam Tabri Ne Kaha Hai Ke Buland Aawaaz Se Aameen Kehne Aur Aahista Aameen Kehne Ki Dono'n Hadeese'n Saheeh Hai'n Aur Har 2 Hadeeso'n Par Ummat Ke Fuqaha Ne Amal Kiya Hai Aur Yeh Iski Daleel Hai Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Ummat Ko Ikhtiyaar Diya Hai Ke Woh Jis Tareeqe Par Chaahe Amal Karle'n Aur Aksar Sahaaba e Kiraam Aur Fuqaha Wa Taaba'een Ka Mukhtaar Aahista Aameen Kehna Hai. (Sharah Ibne Bataal, Jild No.2, Safha No.475, Daarul Kutub Al-Ilmiya Bairoot)
Riwaayat Hai Hazrat Abi Bakrah Radiallaahu Anhu Se Ke Woh Nabi e Kareem ﷺ Tak Gaye, Uss Waqt Aap Ruku Me'n The, Unho'n Ne Saf Me'n Paho'nchne Se Pehle Ruku Kar Liya, Phir Unho'n Ne Iska Nabi e Kareem ﷺ Se Zikr Kiya To Aapne Farmaaya, Allaah Paak Tumhaari Hirs Zyaadah Kare Dobaarah Aisa Na Karna. (Iss Hadees Se Ma'loom Huwa Ke Agar Koi Aadmi Imaam Ke Peechhe Kisi Saf Me'n Tanha Khada Hokar Namaaz Padh Le'n To Namaaz Ho Jaayegi, Doosri Baat Yeh Ma'loom Huwi Ke Muqtadi Ko Sureh Faateha Padhna Zaroori Nahee'n Warna Hazrat Abu Bakrah Radiallahu Anhu To Ruku Me'n Shaamil Huwe Aur Unho'n Ne To Sureh Faateha Padhi Hi Nahee'n Phir Bhi Unki Namaaz Ho Gayi To Ma'loom Huwa Muqtadi Ki Namaaz Sureh Faateha Ke Bagair Ho Jaati Hai)
Baab, Ruku Me'n Takbeer Ko Mukammal Karna, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Isko Nabi e Kareem ﷺ Se Riwaayat Karke Bayaan Kiya Hai, Iss Silsile Me'n Hazrat Maalik Bin Huweris Radiallaahu Anhu Se Bhi Riwaayat Hai, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Hazrat Imraan Bin Husain Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Unho'n Ne Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Ke Saath Basra Me'n Namaaz Padhi, Phir Unho'n Ne Kaha Ke Iss Shakhs Ne Hame'n Woh Namaaz Yaad Dila Di Jo Ham Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Padha Karte The, Pas Unho'n Ne Zikr Kiya Ke Aap Jab Bhi Upar Uthe Ya Neeche Jhukte To Allaahu Akbar Padhte. (Yaad Rahe Iss Hadees Se Ma'loom Huwa Ke Ruku Me'n Jaate Waqt Aur Sajdah Me'n Jaate Waqt Isi Tarah Dono'n Sajdo'n Ke Ba'ad Qayaam Keliye Uthte Waqt Allahu Akbar Ki "Laam" Ko "Mad" Ke Saath Padhe'n Taake Takbeer Ruku Me'n Khatam Ho Aur Isi Tarah Sajdah Me'n Khatam Ho Isi Tarah Dono'n Sajdo'n Ke Ba'ad Qayaam Karne Keliye Jab Uthe To Takbeer Qayaam Me'n Khatam Ho Ya'ni Ruku Me'n Jaate Huwe Takbeer Kahe'n Aur Ruku Me'n Khatam Kare'n Isi Tarah Sajde Me'n Jaate Huwe Takbeer Kahe Aur Sajde Me'n Khatam Kare'n Isi Tarah Dono'n Sajdo'n Ke Ba'ad Qayaam Me'n Uthte Huwe Takbeer Kahe Aur Qayaam Me'n Khatam Kare'n Aisa Nahee'n Ke Ruk'u Me'n Jaane Ke Ba'ad Takbeer Kahe Ya Sajde Me'n Jaane Ke Ba'ad Takbeer Kahe, Ya Dono'n Sajdo'n Se Qayaam Me'n Uthne Ke Ba'ad Takbeer Kahe)
Abi Salma Riwaayat Karte Hai'n Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Ke Woh Logo'n Ko Namaaz Padhaate The Aur Jab Bhi Namaaz Me'n Jhukte Ya Uthte To Takbeer Kehte Aur Jab Woh Namaaz Padh Kar Mude To Unho'n Ne Kaha, Mai'n Tumko Rasoolullaah ﷺ Ki Namaaz Ke Mushaaba Namaaz Padhaata Hoo'n.
Mutarraf Bin Abdullaah Bayaan Karte Hai'n Ke Mai'n Ne Aur Imraan Bin Husain Ne Hazrat Ali Bin Abi Taalib Radiallaahu Anhu Ke Peechhe Namaaz Padhi, Woh Jab Sajdah Karte To "Allaahu Akbar" Kehte Aur Jab Sajde Se Sar Uthaate To "Allaahu Akbar" Kehte Aur Jab 2 Rak'at Ke Ba'ad Uthte To "Allaahu Akbar" Kehte, Jab Unho'n Ne Namaaz Poori Karli To Hazrat Imraan Bin Husain Radiallaahu Anhu Ne Mera Haath Pakad Kar Kaha, Inho'n Ne Mujhe Sayyaduna Muhammad ﷺ Ki Namaaz Yaad Dila Di Ya Unho'n Ne Kaha, Inho'n Ne Hame'n Sayyaduna Muhammad ﷺ Ki Namaaz Padhaayi.
Hazrat Ikrima Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Ek Shakhs Ko Maqaam (Ibraaheem) Ke Paas Namaaz Padhte Huwe Dekha, Woh Har Baar Jhukte Huwe Aur Uthte Huwe Takbeer Kehta Tha Aur Jab Woh Khada Hota Aur Jab Neeche Jaata (To Bhi Takbeer Kehta), To Mai'n Ne Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ko Iski Khabar Di, To Unho'n Ne Kaha, Tumhaari Maa'n Mar Jaaye Kya Yeh Rasoolullaah ﷺ Ki Namaaz Nahee'n Hai?
Riwaayat Hai Hazrat Ikrima Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Makka Me'n Ek Shakhs Ke Peechhe Namaaz Padhi, Unho'n Ne Namaaz Me'n 22 Baar Takbeer Kahi, Mai'n Ne Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Se Kaha Yeh Shakhs Ahmaq Hai, Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Farmaaya, Tumhaari Maa'n Tujh Par Roye, Yeh Abul Qaasim ﷺ Ki Sunnat Hai, Aur Moosa Ne Kaha, Hame'n Abaan Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha Hame'n Qataadah Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha Hame'n Ikrima Ne Hadees Bayaan Ki.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Jab Rasoolullaah ﷺ Namaaz Ki Taraf Khade Hote To Qayaam Ke Waqt "Allaahu Akbar" Kehte, Jab Ruku Karte To "Allaahu Akbar" Kehte, Phir Jab Ruku Se Pusht (Peeth) Seedhi Karke Khade Hote To "Samiallaahu Liman Hamidah" Kehte, Phir Khade Hote To "Rabbana Lakal Hamd" Kehte, Abdullaah Ne Kaha "Walakal Hamd" Kehte, Phir Jab Jhukte To "Allaahu Akbar" Kehte, Phir Jab (Sajde Se) Apna Sar Uthaate To "Allaahu Akbar" Kehte, Phir Jab (Dobaarah) Sajdah Karte To "Allaahu Akbar" Kehte, Phir Jab (Sajde Se) Sar Uthaate To "Allaahu Akbar" Kehte, Phir Poori Namaaz Me'n Isi Tarah Karte Hatta Ke Usko Khatam Kar Lete, Aur Jab 2 Rak'at Padh Kar Baithne Ke Ba'ad Khade Hote To "Allaahu Akbar" Kehte.
Baab, Ruku Me'n Hatheliyo'n Ko Ghutno'n Par Rakhna, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Abu Humaid Ne Apne As'haab Me'n Kaha, Nabi e Kareem ﷺ Ne Apne Dono'n Haatho'n Ko Ghutno'n Par Jama Kar Rakha, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Abi Ya'foor Se Marwi Hai, Woh Kehte Hai'n Ke Mai'n Ne Mus'ab Bin Sa'ad Ko Farmaate Huwe Suna, Woh Kehte Hai'n Ke Mai'n Ne Apne Waalid (Sa'ad Bin Abi Waqqaas Radiallaahu Anhu) Ke Pehlu Me'n Namaaz Padhi, Mai'n Ne Apni Dono'n Hatheliyaa'n Jod Kar Apni Raano'n Ke Darmiyaan Rakhee'n To Mujhe Mere Waalid Ne Mana Kiya Aur Bataaya Ke Ham Pehle Iss Tarah Karte The Phir Hamko Isse Mana Kar Diya Gaya, Aur Hamko Yeh Hukm Diya Gaya Ke Ham Apne Haatho'n Ko Apne Ghutno'n Par Rakhe'n.
Zaid Bin Wahab Ne Bayaan Kiya Ke Hazrat Huzaifa Radiallaahu Anhu Ne Ek Shakhs Ko Dekha, Usne Namaaz Me'n Poori Tarah Ruku Aur Sajdah Nahee'n Kiya, Unho'n Ne Usse Kaha, Tumne (Kaamil) Namaaz Nahee'n Padhi, Agar Tum (Isi Tarah Namaaz Padhte Huwe) Mar Gaye To Tum Uss Tareeqe Ke Khilaaf Maroge Jis Tareeqe Par Allaah Paak Ne Sayyaduna Muhammad ﷺ Ko Paida Kiya Hai.
Baab, Ruku Me'n Pusht (Peeth) Ko Seedha Rakhna, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Hazrat Abu Humaid Radiallaahu Anhu Ne Apne As'haab Se Kaha Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Ruku Kiya Phir Apni Kamar Ko Jhukaaya, Baab, Ruku Poora Karne Ki Had Aur Ruku Me'n Ae'tedaal Aur Tamaaniyat, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Hazrat Bara Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ka Ruku Aur Sujood Aur 2 Sajdo'n Ke Darmiyaan Jalsa (Ya'ni Baithna) Aur Ruku Se Sar Utha Kar Qauma (Khade Hona) Siwaye Qayaam Aur Qu'ood Ke Sab Baraabar The.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Masjid Me'n Daakhil Huwe, Phir Ek Shakhs Masjid Me'n Daakhil Huwa, Pas Usne Namaaz Padhi, Phir Woh Aaya Aur Usne Nabi e Kareem ﷺ Ko Salaam Kiya, Nabi e Kareem ﷺ Ne Uske Salaam Ka Jawaab Diya, Phir Farmaaya Waapas Jaao ! Pas Namaaz Padho Kyu'nke Tumne Namaaz Nahee'n Padhi, Pas Usne (Dobaarah) Namaaz Padhi, Phir Aaya Aur Usne Salaam Kiya, Pas Aap ﷺ Ne (Salaam Ka Jawaab Dekar) Farmaaya Waapas Jaao ! Aur Namaaz Padho Kyu'nke Tumne Namaaz Nahee'n Padhi, Yeh Mukaalma 3 Baar Huwa, Aakhir Uss Shakhs Ne Kaha, Uss Zaat Ki Qasam Jisne Aap ﷺ Ko Haq Ke Saath Bheja Hai ! Mai'n Isse Zyaadah Achchhi Namaaz Nahee'n Padh Sakta, Lehaza Aap ﷺ Mujhe Namaaz Sikhaa'iye, Aap ﷺ Ne Farmaaya, Jab Tum Namaaz Ki Taraf Khade Ho To "Allaahu Akbar" Kaho, Phir Tum Aasaani Se Jitna Qur'aan Padh Sakte Ho Padho, Phir Tum Ruku Karo Hatta Ke Tum Itmenaan Se Ruku Karlo, Phir Ruku Se Sar Utha Kar Khade Ho Hatta Ke Ae'tedaal Se Seedhe Khade Ho Jaao, Phir Sajdah Karo Hatta Ke Ae'tedaal Se Sajdah Karlo, Phir Sajde Se Sar Utha Kar Itmenaan Se Baith Jaao, Phir (Doosra) Sajdah Karo Hatta Ke Itmenaan Se Sajdah Karlo, Phir Apni Poori Namaaz Isi Tarah Padho.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Apne Ruku Aur Sujood Me'n Du'aa Karte The, Paak Hai Tu Aye Allaah ! Hamaare Rab Aur Teri Hamd Ke Saath Yeh Du'aa Hai Ke Aye Allaah ! Tu Mujhe Bakhsh De.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Kaha Ke Jab Nabi e Kareem ﷺ "Samiallaahu Liman Hamidah" Padhte To (Uske Ba'ad) Kehte "Rabbana Walakal Hamd" Aur Nabi e Kareem ﷺ Jab Ruku Karte To "Allaahu Akbar" Kehte Aur Jab Ruku Se Sar Uthaate To Takbeer Kehte Aur Jab 2 Sajdo'n Se Khade Hote To "Allaahu Akbar" Kehte.
Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Imaam "Samiallaahu Liman Hamidah" Kahe To Tum Kaho "Allaahumma Rabbana Lakal Hamd" Kyu'nke Jis Shakhs Ka Qaul Farishto'n Ke Qaul Ke Muwaafiq Ho Gaya Uske Guzishta Gunaah Mu'aaf Kar Diye Jaaye'nge.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Mai'n Zaroor Nabi e Kareem ﷺ Ki Namaaz Ke Qareeb Namaaz Padhoo'nga, Pas Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Zohar, Isha Aur Fajar Ki Namaaz Ki Aakhir Rak'at Me'n "Samiallaahu Liman Hamidah" Ke Ba'ad Du'aa e Qunoot Padhte The, Usme'n Mominoon Keliye Du'aa e Khair Karte Aur Kuffaar Par La'nat Karte.
Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Magrib Aur Fajar Me'n Qunoot Padhi Jaati Thi.
Rifaa'ah Bin Raafe Zuraqi Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Ham Ek Din Nabi e Kareem ﷺ Ke Peechhe Namaaz Padh Rahe The, Jab Nabi e Kareem ﷺ Ne Ruku Se Sar Uthaaya To Aapne Farmaaya "Samiallaahu Liman Hamidah" To Ek Shakhs Ne Aapke Peechhe Kaha "Rabbana Walakal Hamd Hamdan Kaseeran Tayyiban Mubaarakan Feehi" Jab Aap Namaaz Padh Kar Mude To Aapne Poochha, Yeh (Kalmaat) Kaun Padh Raha Tha? Usne Kaha, Mai'n, Aapne Farmaaya, Mai'n Ne Dekha 30 Se Zyaadah Farishte In Kalmaat Ki Taraf Sabqat Kar Rahe The Ke Unme'n Se Kaun In Kalmaat Ko Pehle Likhta Hai.
Baab, Ruku Se Sar Utha kar Itmenaan Se Khade Hona, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Humaid Ne Kaha Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Sajde Se Sar Uthaaya, Phir Seedhe Baith Gaye Hatta Ke Har Jod Apni Jagah Par Aa Gaya, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Saabit Ne Kaha Ke, Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Hamaare Liye Nabi e Kareem ﷺ Ki Namaaz Ki Sifat Bayaan Karte The, (To Unho'n Ne Bataaya Ke) Aap ﷺ Namaaz Padhte The, Pas Jab Aap Ruku Se Sar Uthaate To Itni Der Khade Rehte Hatta Ke Ham Kehte, Shaayad Aap Bhool Gaye Hai'n.
Hazrat Bara Radiallaahu Anhu Ne Kaha Ke Nabi e Kareem ﷺ Ka Ruku Aur Sujood Aur Jab Aap Ruku Se Sar Uthaate Aur Dono'n Sajdo'n Ke Darmiyaan, In Sabka Waqt Baraabar Baraabar Hota Tha.
Abi Qilaaba Ne Bayaan Kiya Ke, Hazrat Maalik Bin Huweris Radiallaahu Anhu Hame'n Dikha Rahe The Ke Nabi e Kareem ﷺ Ki Namaaz Kis Tarah Thi Aur Yeh Namaaz Ka Waqt Nahee'n Tha, So Woh Khade Huwe Aur Unho'n Ne Itemenam Se Qayaam Kiya, Phir Ruku Kiya, To Itemenam Se Ruku Kiya, Phir Ruku Se Sar Uthaaya, Aur Seedhe Khade Ho Gaye, Yahaa'n Tak Ke Har Jod Apni Jagah Par Aa Gaya, Abu Qilaaba Kehte Hai'n, Phir Hamko Uss Boodhe Abi Buraid Ki Tarah Namaaz Padhaayi (Isse Muraad Hazrat Amro Bin Salma Ki Taraf Ishaarah Kiya) Jab Unho'n Ne Doosre Sajde Se Apna Sar Uthaaya To Seedhe Hokar Baith Gaye Phir Khade Huwe.
Baab, Sajde Ke Waqt "Allaahu Akbar" Kehte Huwe Jhukna, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Naafe Ne Kaha Ke Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Ghutno'n Se Pehle Apne Haatho'n Ko Rakhte, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Abu Salma Bin Abdur Rahmaan Ne Khabar Di Ke Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Har Namaaz Me'n Takbeer Padhte Khwaah Farz Namaaz Ho Ya Gair Farz Ho, Ramzaan Ho Ya Gair Ramzaan Ho, Pas Jab Woh Namaaz Me'n Khade Hote To Takbeer Padhte, Phir Ruku Ke Waqt Takbeer Padhte, Phir Sajde Se Pehle Kehte "Samiallaahu Liman Hamidah" Phir Kehte "Rabbana Walakal Hamd" Phir Sajde Me'n Girte Huwe "Allaahu Akbar" Kehte, Phir Sajde Se Sar Uthaate Huwe "Allaahu Akbar" Kehte, Phir 2 Sajdo'n Ke Ba'ad Baith Kar Uthte To "Allaahu Akbar" Kehte, Aur Har Rak'at Me'n Isi Tarah Karte Hatta Ke Namaaz Se Faarig Ho Jaate, Phir Namaaz Se Faarig Hone Ke Ba'ad Woh Kehte, Uss Zaat Ki Qasam Jiske Qabze Wa Qudrat Me'n Meri Jaan Hai ! Mai'n Rasoolullaah ﷺ Ki Namaaz Ke Mushaaba Namaaz Tumhaare Qareeb Kar Raha Hoo'n, Beshak Zaroor Yehi Rasoolullaah ﷺ Ki Namaaz Thi Hatta Ke Aap Duniya Se Tashreef Le Gaye.
Hazrat Abu Bakar Bin Abdur Rahmaan Aur Hazrat Abu Salma Dono'n Ne Kaha Ke Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Jab Ruku Se Sar Uthaate To Kehte "Samiallaahu Liman Hamidah Rabbana Walakal Hamd" (Aur) Kuchh Logo'n Ka Naam Lekar Unke Haq Me'n Du'aa e Khair Karte, So Aap Kehte, Aye Allaah ! Waleed Bin Waleed, Salma Bin Hishaam, Ayyaash Bin Rabee'ah, Aur Kamzor Momino'n Ko Nijaat Ata Farma, Aye Allaah !(Qabeela) Muzir Ko Shiddat Se Raund Daal Aur Unpar Aise Saal Musallat Karde Jaise Hazrat Yoosuf Alaihissalaam Ke Zamaane Me'n Qahet Ke Saal The Aur Un Dino'n Me'n Muzir Ahle Mashriq The Jo Aapke Mukhaalif The. (Yaad Rahe Ke, Waleed Bin Waleed Mugeerah Bin Abdullah Makhroomi Yeh Khaalid Bin Waleed Radiallahu Anhu Ke Bhaayi The Gazwa e Badar Ke Ba'ad Islaam Laaye The, Aur Salma Bin Hishaam Bin Mugeerah Yeh Abu Jahel Ke Bhaayi The Yeh Bahot Pehle Islaam Le Aaye The Aur Badi Takleef Di Aapko Kuffaar e Makkah Ne Islaam Laane Ki Wajah Se, Aur Ayyaash Bin Abi Rabee'a, Abi Rabee'a Ka Naam Umro Bin Mugeerah Hai Yeh Abu Jahel Ke Akhyaafi (Ya'ni Maa'n Shareek) Bhaayi The Yeh Bhi Shuru Daur e Islaam Me'n Musalmaan Ho Chuke The Aur Unko Bhi Badi Takleef Uthaani Padi Thi Abu Jahel La'een Ne To Unko Baa'ndh Kar Rakha Tha)
Sufiyaan Ne Kaha Ke Mai'n Ne Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Se Suna, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ghode Se Gir Gaye, Pas Aap ﷺ Ki Daaye'n Jaanib Zakhm Agaya, Ham Aap ﷺ Ke Paas Aap ﷺ Ki Ayaadat Keliye Aaye, Pas Namaaz Ka Waqt Aa Gaya, To Aap ﷺ Ne Hame'n Baith Kar Namaaz Padhaayi, Aur Ek Martaba Sufiyaan Ne Kaha Ke (Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Kaha Ke), Hamne Namaaz Baith Kar Padhi, (Aap ﷺ Ke Peechhe Aur) Jab Aap ﷺ Ne Namaaz Padhli To Farmaaya, Imaam Isliye Banaaya Jaata Hai Ke Uski Iqteda Ki Jaaye So Jab Woh Takbeer Kahe To Tum Bhi Takbeer Kaho Aur Jab Woh Ruku Kare To Tum Bhi Ruku Karo Aur Jab Woh Ruku Se Sar Uthaaye To Tum Bhi Ruku Se Sar Uthaao Aur Jab Woh "Samiallaahu Liman Hamidah" Kahe To Tum Kaho "Rabbana Walakal Hamd" Aur Jab Woh Sajdah Kare To Tum Sajdah Karo, Sufiyaan Ne Kaha, Kiya Isi Tarah Ma'mar Ne Bhi Riwaayat Ki Hai?Mai'n (Ya'ni Ali Bin Abdullaah) Ne Kaha, Haa'n ! Usne Isko Isi Tarah Yaad Rakha, Zohri Ne Kaha Ke "Walakal Hamd" Mai'n Ne Daaye'n Jaanib Ko Yaad Rakha Hai, Jab Ham Zohri Ke Paas Se Nikle To Ibne Juraij Ne Kaha, Aur Mai'n Unke Paas Tha Ke Aapki Daayee'n Pindli Zakhmi Ho Gayi.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Khabar Di Ke Logo'n Ne Kaha, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Kya Qayaamat Ke Din Ham Apne Rab Ko Dekhe'nge? Aap ﷺ Ne Farmaaya, Kya Tumhe'n Chaudhvi Raat Ke Chaa'nd Ko Dekhne Me'n Koi Pareshaani Hoti Hai Jab Uske Saamne Baadal Na Ho? Sahaaba e Kiraam Ne Kaha Nahee'n Ya Rasoolallaah ﷺ ! Aap ﷺ Ne Farmaaya, Kya Tumhe'n Sooraj Ko Dekhne Me'n Koi Pareshani Hoti Hai Jab Uske Saamne Baadal Na Ho? Sahaaba e Kiraam Ne Kaha Nahee'n ! Aap ﷺ Ne Farmaaya, Pas Tum Apne Rab Ko Isi Tarah Dekhoge Qayaamat Ke Din Ke Logo'n Ko Jama Kiya Jaayega, Pas Allaah Paak Farmaayega, Jo Shakhs Jiski Ibaadat Karta Tha Woh Uske Peechhe Khada Ho Jaaye, Pas Unme'n Se Ba'az Sooraj Ki Itteba Kare'nge Aur Unme'n Se Ba'az Chaa'nd Ki Itteba Kare'nge Aur Unme'n Se Ba'az Buto'n Ki Itteba Kare'nge Aur Yeh Ummat Baaqi Rahegi, Iss Ummat Me'n Uske Munaafiqeen Bhi Ho'nge, Phir Unke Paas Allaah Paak Aakar Farmaayega, Mai'n Tumhaara Rab Hoo'n, Pas Woh Kahe'nge Ham Yahee'n Rahe'nge Hatta Ke Hamaare Paas Hamaara Rab Aa Jaaye, Pas Jab Hamaara Rab Aa Jaayega To Ham Unko Pehchaan Le'nge, Phir Unke Paas Allaah Paak Aayega Pas Farmaayega, Mai'n Tumhaara Rab Hoo'n, So Woh Kahe'nge, Tu Hamaara Rab Hai, Pas Woh Unko Bulaayega, Phir Jahannam Ke Wast Ke Upar Ek Pul Bichha Diya Jaayega, Pas (Rasoolullaah صلی اللہ علیہ وسلم Ne Farmaaya) Rasoolo'n Me'n Sab Se Pahla Pehla Rasool Mai'n Ho'nga Jo Apni Ummat Ke Saath Uspar Se Guzrega Aur Uss Din Rasoolo'n Ke Siwa Koi Baat Nahee'n Karega Aur Uss Din Rasoolo'n Ka Kalaam Yeh Hoga, Aye Allaah ! Salaamat Rakh ! Salaamat Rakh ! Aur Jahannam Me'n Darakht Sa'daan Ke Kaa'nto'n Ki Tarah Aa'nkde (Huk) Ho'nge, Kya Tumne Darakht Sa'daan Ke Kaa'nte Dekhe Hai'n? Sahaaba e Kiraam Ne Kaha Ji Haa'n ! Aapne Farmaaya, Pas Beshak Woh Aa'nkde Darakht Sa'daan Ke Kaa'nto'n Ki Misl Ho'nge Lekin Allaah Paak Ke Siwa Unke Azeem Hone Ki Miqdaar Ko Koi Nahee'n Jaanta, Woh Unko Unke Gunaaho'n Ki Miqdaar Ke Hisaab Se Uchak (Pakad) Le'nge, So Unme'n Se Ba'az Apne Gunaaho'n Ki Wajah Se Halaak Ho Jaaye'nge Aur Unme'n Se Ba'az Kat Jaaye'nge, Phir Nijaat Pa Jaaye'nge Hatta Ke Allaah Paak Dozakhiyo'n Me'n Se Jinpar Rehmat Ka Iraadah Farmaayega, To Allaah Paak Farishto'n Ko Hukm Dega Ke Unme'n Se Jo Allaah Paak Ki Ibaadat Karta Tha Usko Nikaal De'n, Phir Farishte Unko Nikaal De'nge Aur Woh Unko Sajde Ki Nishaaniyo'n Se Pehchaane'nge Aur Allaah Paak Ne Sajde Ki Nishaaniyo'n Ko Khaana Aag Par Haraam Kar Diya Hai, So Unko Dozakh Se Nikaal Liya Jaayega, Woh Jal Kar Koyela Ho Chuke Ho'nge, Phir Unpar Hayaat Ka Paani U'ndela Jaayega, Pas Woh Iss Tarah Uge'nge Jis Tarah Daana Sailaab Ki Mitti Me'n Ugta Hai, Phir Allaah Paak Bando'n Ke Darmiyaan Faisla Karne Se Faarig Ho Jaayega, Aur Ek Shakhs Jannat Aur Dozakh Ke Darmiyaan Baaqi Hoga Aur Woh Dozakh Se Nikalne Waalo'n Me'n Se Aakhri Hoga Aur Jannat Me'n Daakhil Hone Waalo'n Me'n Se Aakhri Shakhs Hoga, Uss Waqt Uska Chehra Dozakh Ki Taraf Hoga Woh Kahega Aye Mere Rab ! Mera Chehra Dozakh Ki Taraf Se Pher De, Uski Badbu Ne Mujhe Halaak Kar Diya Hai Aur Uski Tezi Ne Mujhe Jala Daala Hai, Allaah Paak Farmaayega, Agar Tumhaare Saath Aisa Kar Diya Gaya To Shaayed Tum Phir Uske Alaawah Aur Koi Sawaal Karoge, Pas Woh Kahega Nahee'n, Teri Izzat Ki Qasam ! Phir Allaah Paak Usse Pukhta Ahed Aur Meesaaq Lega, Pas Allaah Paak Uske Chehre Ko Dozakh Se Pher Dega, Pas Jab Woh Jannat Ki Taraf Mutawajjeh Hoga Aur Uski Tarotaazgi Dekhega To Jitni Der Tak Allaah Paak Usko Khaamosh Rakhna Chaahega Woh Khaamosh Khada Rahega, Phir Kahega Aye Mere Rab ! Mujhe Jannat Ke Darwaaze Par Paho'ncha De, Pas Allaah Paak Usse Farmaayega, Kya Tumne Pukhta Ahed Aur Meesaaq Nahee'n Kiya Tha Ke Tum Pehle Sawaal Ke Alaawah Aur Koi Sawaal Nahee'n Karoge? Pas Woh Kahega Aye Mere Rab ! Mai'n Teri Makhlooq Me'n Sabse Bad Naseeb Na Ho Jaaoo'n, Allaah Paak Farmaayega, Agar Tumhaara Yeh Sawaal Poora Kar Diya Gaya, To Phir Tawaqqo Hai Ke Tum Koi Aur Sawaal To Nahee'n Karoge, Woh Kahega Nahee'n, Teri Izzat Ki Qasam ! Mai'n Iske Siwa Aur Koi Sawaal Nahee'n Karoo'nga, Phir Allaah Paak Jo Ahed Aur Meesaaq Chaahega Usse Lega, Phir Woh Usko Jannat Ke Darwaazah Par Le Jaayega, Pas Jab Woh Jannat Ke Darwaaze Par Paho'nchega Aur Jannat Ki Raunaq Aur Tarotaazgi Aur Khush Numaayi Dekhega To Jitni Der Allaah Paak Usko Khaamosh Rakhna Chaahega Woh Khaamosh Rahega, Phir Woh Kahega Aye Mere Rab ! Mujhko Jannat Me'n Daakhil Karde ! Allaah Paak Farmaayega, Aye Ibne Aadam Tum Par Afsos Hai, Tum Kitne Ahed Shikan Ho, Kya Tumne Pukhta Ahed Aur Meesaaq Nahee'n Kiye The Ke Tumko Jo Kuchh Diya Gaya Hai Tum Uske Alaawah Aur Koi Sawaal Nahee'n Karoge, Pas Woh Kahega Aye Mere Rab ! Mujhe Apni Makhlooq Me'n Sabse Zyaadah Bad Naseeb Na Bana, Pas Allaah Paak Usse Ha'nsega (Jaisa Uski Shaan Ke Laayeq Hai), Phir Usko Jannat Me'n Daakhil Hone Ki Ijaazat Dega, Phir Usse Farmaayega Ab Tum Tamanna Karo Pas Woh Tamanna Karega Hatta Ke Jab Uski Tamanna Poori Ho Jaayegi To Allaah Usse Farmaayega, Aur Fulaa'n Fulaa'n Cheez Ko Zyaadah Karo Aur Uska Rab A'zzowajal Usko Cheeze'n Yaad Dila Dega Hatta Ke Jab Uski Tamannaaye'n Khatam Ho Jaaye'ngi To Allaah Paak Usse Farmaayega Tum Yeh Cheeze'n Bhi Lelo Aur Unke Saath Unki Ek Misl Aur Lelo, Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Ne Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Kaha, Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Allaah Paak Irshaad Farmaayega, Tumhaare Liye Yeh Cheeze'n Bhi Hai'n Aur Unki 10 Misaale'n Aur Hai'n, Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Mujhe Rasoolullaah ﷺ Ka Sirf Yeh Qaul Yaad Hai, Allaah Paak Ne Irshaad Farmaaya, Tumhaare Liye Yeh Cheeze'n Hai'n Aur Unke Saath Unki Ek Misl Hai, Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Mai'n Ne Aapse Yeh Suna Tha, Tumhaare Liye Yeh Hai'n Aur Unki 10 Misaale'n Hai'n.
Riwaayat Hai Hazrat Abdullaah Bin Maalik Ibne Buhaina Se Ke Rasoolullaah ﷺ Jab Namaaz Padhte To Apne Haatho'n Ko Kushaadah Rakhte (Sajde Ki Haalat Me'n), Hatta Ke Aapke Baglo'n Ki Safedi Zaahir Hoti, Aur Lais Ne Kaha, Mujhe Ja'far Bin Rabee'ah Ne Iss Hadees Ki Misl Bayaan Ki.
Baab, (Pairo'n Ki) U'ngliyo'n Ke Atraaf Ka Muh Qibla Ki Taraf Rakhe, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Iss Hadees Ko Hazrat Abu Humaid Saa'idi Radiallaahu Anhu Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Riwaayat Ki Hai, (Ya'ni Hazrat Abu Humaid Saa'idi Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Hai Ke Namaaz Me'n Pairo'n Ki U'ngliyo'n Ke Siro'n Ko Qibla Ki Taraf Rakhe, Yeh Hadees Bukhaari Shareef Hadees No.828 Me'n Aayegi) Phir Imaam Bukhaari Baab Qaayem Karte Hai'n Ke, Jab Namaazi Poora Sajdah Na Kare, Phir Imaam Bukhaari Yeh Hadees Bayaan Karte Hai'n Ke, Hazrat Huzaifa Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Unho'n Ne Ek Shakhs Ko Dekha Ke Woh Namaaz Me'n Ruku Aur Sujood Mukammal Nahee'n Kar Raha Tha, Jab Usne Namaaz Padhli To Hazrat Huzaifa Radiallaahu Anhu Ne Usse Kaha, Tumne (Kaamil) Namaaz Nahee'n Padhi Aur Agar Tum (Isi Tarah Namaaz Padhte Huwe) Mar Gaye To Nabi e Kareem ﷺ Ki Sunnat Ke Khilaaf Par Maroge.
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ko 7 Aa'za Par Sajdah Karne Ka Hukm Diya Gaya Hai, Aur Yeh Ke Aap ﷺ Baalo'n Ko Na Samete'n Aur Na Hi Kapda (Sajde Me'n) Mode'n, Na Kapde Mode'n (Woh 7 Aa'za Yeh Hai'n) Peshaani, Dono'n Haath, Dono'n Ghutne, Dono'n Pair.
Riwaayat Hai Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Ke, Hame'n Yeh Hukm Diya Gaya Hai Ke Ham 7 Haddiyo'n Par Sajdah Kare'n Aur Na Ham Kapda Mode'n Aur Na Baal.
Abdullaah Bin Yazeed Khatmi Ne Kaha Ke Hame'n Hazrat Bara Bin Aa'zib Radiallaahu Anhu Ne Hadees Bayaan Ki Aur Woh Jhoote Nahee'n Hai'n, Unho'n Ne Kaha, Ham Nabi e Kareem ﷺ Ke Peechhe Namaaz Padhte The, Pas Jab Aap "Samiallaahu Liman Hamidah" Kehte To Ham Me'n Se Koi Shakhs Apni Peeth Ko Nahee'n Modta Tha, Hatta Ke Nabi e Kareem ﷺ Apni Peshaani Ko Zameen Par Rakh Dete.
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Mujhe Yeh Hukm Diya Gaya Hai Ke Mai'n 7 Haddiyo'n Par Sajdah Karoo'n, Peshaani Par Aur Aapne Apne Haath Se Naak Par Ishaarah Kiya Aur Dono'n Haatho'n Par Aur Dono'n Ghutno'n Par Aur Qadmo'n Ki Taraf Par Aur Ham Kapdo'n Aur Baalo'n Ko Na Mode'n.
Hazrat Abi Salma Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Ke Paas Gaya, Pas Mai'n Ne Kaha, Kya Aap Hamaare Saath Khajooro'n Ke Baag Ki Taraf Nahee'n Chalte Wahaa'n Ham Baate'n Kare'n? So Woh Nikle, Abu Salma Ne Kaha, Pas Mai'n Ne Kaha, Aap Hame'n Woh Hadees Bayaan Kare'n Jo Aapne Nabi e Kareem ﷺ Se Lailatul Qadr Ke Baare Me'n Suni Hai, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Ramzaan Ke Pehle Ashre Me'n Ae'tekaaf Kiya, Aur Hamne Bhi Aapke Saath Ae'tekaaf Kiya, Pas Aapke Paas Hazrat Jibra'eel Alaihissalaam Aaye Aur Unho'n Ne Kaha, Aap Jis Cheez Ko Talab Kar Rahe Hai'n Woh Aage Hai, Phir Aapne Darmiyaani Ashre Me'n Ae'tekaaf Kiya So Hamne Bhi Aapke Saath Ae'tekaaf Kiya, Aapke Paas Phir Jibra'eel Alaihissalaam Aaye Aur Kaha, Aap Jis Cheez Ko Talab Kar Rahe Hai'n Woh Aapke Aage Hai, Phir Rasoolullaah ﷺ Ne 20 Ramzaan Ki Subah Ko Khade Hokar Khutba Diya Aur Farmaaya, Jis Shakhs Ne Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Ae'tekaaf Kiya Hai Woh Laut Jaaye Kyu'nke Mai'n Ne Lailatul Qadr Ko Dekh Liya Aur Beshak Mujhe Woh Bhula Di Gayi Aur Woh Aakhri Ashre Ki Taaq Raat Me'n Hai Aur Mai'n Ne Khwaab Me'n Dekha Ke Mai'n Mitti Aur Paani Me'n Sajdah Kar Raha Hoo'n Aur Masjid Ki Chhat Khajoor Ki Tehniyo'n Ki Bani Huwi Thi Aur Ham Aasmaan Me'n Koi Cheez Nahee'n Dekh Rahe The, Phir Baadal Aaya Aur Ham Par Baarish Huwi, Pas Nabi e Kareem ﷺ Ne Hamko Namaaz Padhaayi Hatta Ke Mai'n Ne Mitti Aur Paani Ka Nishaan Aapki Peshaani Aur Naak Par Dekha, Yeh Aapke Khwaab Ki Tasdeeq Thi.
Hazrat Sahl Bin Sa'ad Ne Kaha Ke, Log Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Namaaz Padhte The Aur Chaadaro'n Ke Chhoti Hone Ki Wajah Se Unho'n Ne Un Chaadaro'n Ko Apni Gardano'n Me'n Girah Laga Kar Baa'ndha Huwa Tha (Take Satr Na Khule), Pas Khawaateen Se Kaha Gaya, Tum Uss Waqt Tak Apne Saro'n Ko Na Uthaana Hatta Ke Mard Seedhe Hokar Baith Jaaye.
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ko Yeh Hukm Diya Gaya Tha Ke Woh 7 Haddiyo'n Par Sajdah Kare'n Aur Na Kapdo'n Ko Mode'n Aur Na Baalo'n Ko Mode'n.
Riwaayat Hai Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Mujhe Yeh Hukm Diya Gaya Hai Ke Mai'n 7 Aa'za Par Sajdah Karu'n, (Aur) Na Baalo'n Ko Modoo'n Aur Na Kapde Ko.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Apne Ruku Aur Sajde Me'n Aksar Yeh Padhte The "Sub'haana Kalla Humma Rabbana Wabihamdi Kalla Hummag Firli" Aap Qur'aan Ke Hukm Par Amal Karte The.
Riwaayat Hai Abi Qilaaba Se Woh Kehte Hai'n Ke, Hazrat Maalik Bin Huweris Radiallaahu Anhu Ne Apne As'haab Se Kaha, Kya Mai'n Tumko Rasoolullaah ﷺ Ke Namaaz (Ke Tareeqe) Ki Khabar Na Doo'n Aur Uss Waqt Kisi Namaaz Ka Waqt Nahee'n Tha, Phir Unho'n Ne Qayaam Kiya, Phir Ruku Kiya, Phir "Allaahu Akbar" Kaha, Phir Apna Sar Uthaaya, Phir Thodi Der Khade Rahe, Phir Sajdah Kiya, Phir Apna Sar Uthaaya, Thodi Der (Baithe) Rahe, Phir Unho'n Ne Hamaare Uss Boodhe Hazrat Amro Bin Salma Radiallaahu Anhu Ki Tarah Namaaz Padhi, Ayyoob Ne Kaha, Unho'n Ne Ek Aisa Fe'l Kiya Jise Mai'n Ne Auro'n Ko Karte Huwe Nahee'n Dekha Tha, Woh Teesri Ya Chauthi Rak'at Me'n Baithe The.
Hazrat Maalik Bin Huweris Radiallaahu Anhu Ne Kaha Ke, Ham Nabi e Kareem ﷺ Ke Paas Aaye, Phir Ham Aapke Paas Thehre, Phir Aapne Farmaaya, Agar Tum Apne Gharo'n Ko Laut Jaao To Fulaa'n Namaaz Fulaa'n Waqt Me'n Padhna Aur Fulaa'n Namaaz Fulaa'n Waqt Me'n Padhna Aur Jab Namaaz Ka Waqt Aa Jaaye To Tum Me'n Se Ek Shakhs Azaan De Aur Tum Me'n Badi Umar Ka Tumhe'n Namaaz Padhaaye, (Agar Saahib e Ilm Ho To Warna Saahib e Ilm Namaaz Padhaaye).
Hazrat Bara Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ka Sujood Aur Ruku Aur 2 Sajdo'n Ke Darmiyaan Baithna Sab Taqreeban Baraabar The (Waqt Ke Ae'tebaar Se).
Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Kaha Ke, Beshak Mai'n Tumhe'n Namaaz Padhaane Me'n Uss Tareeqe Se Bilkul Kami Nahee'n Karta Jis Tareeqe Se Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Hame'n Namaaz Padhaate Huwe Dekha Hai, Saabit Ne Kaha Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Apni Namaaz Me'n Woh Kaam Karte The Jisko Mai'n Ne Tumhe'n Karte Huwe Nahee'n Dekha, Jab Woh Ruku Se Sar Uthaate To Khade Rehte Hatta Ke Koi Kehne Waala Kehta Ke Yeh Bhool Gaye Hai'n Aur 2 Sajdo'n Ke Darmiyaan Itni Der Baithte Ke Koi Kehne Waala Kehta Ke Yeh Bhool Gaye Hai'n.
Baab, Namaazi Sajde Me'n Apni Kalaa'iyaa'n Na Bichchaaye, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Hazrat Abu Humaid Ne Kaha, Nabi e Kareem ﷺ Ne Sajdah Kiya Aur Apne Haatho'n Ko Zameen Par Is Tarah Rakha Ke Na Unko Bichchaaya Aur Na Unko Pehluwo'n Se Door Rakha, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Riwaayat Hai Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Sajde Me'n Ae'tedaal Karo Aur Tum Me'n Se Koi Shakhs Apni Kalaa'iyo'n Ko Iss Tarah Na Bichchaaye Jis Tarah Kutta Bichchaata Hai.
Abi Qilaaba Ne Kaha Ke, Hame'n Hazrat Maalik Bin Huweris Laisi Ne Khabar Di Ke Unho'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Namaaz Padhte Huwe Dekha, Pas Jab Aap ﷺ Namaaz Ki Taaq Rak'at Me'n Hote To Uss Waqt Khade Nahee'n Hote Hatta Ke Seedhe Baith Jaate The.
Abi Qilaaba Ne Kaha Ke, Hamaare Paas Hazrat Maalik Bin Huweris Radiallaahu Anhu Aaye, Pas Unho'n Ne Hamko Hamaari Iss Masjid Mai'n Namaaz Padhaayi, Phir Unho'n Ne Kaha, Mai'n Tumko Namaaz Padha Raha Hoo'n Aur Mera Iraadah Namaaz Padhaane Ka Nahee'n Hai, Lekin Mera Iraadah Yeh Hai Ke Mai'n Tumko Yeh Dikhaaoo'n Ke Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Kis Tarah Namaaz Padhte Huwe Dekha Hai, Ayyoob Ne Kaha, Pas Mai'n Ne Abu Qilaaba Se Poochha Aur Unki Namaaz Kis Tarah Thi, Unho'n Ne Kaha, Hamaare Iss Boodhe Shakhs Ki Namaaz Ki Tarah Aur Unki Isse Muraad Hazrat Amro Bin Salma The, Ayyoob Ne Kaha, Aur Woh Boodhe Shakhs Poori Takbeer Padhte The Aur Jab Woh Doosre Sajde Se Sar Uthaate To Baith Jaate Aur Zameen Par Tek Lagaate Phir Khade Hote.
Baab, Namaazi Dono'n Sajdo'n Se Uthte Waqt Takbeer Kahe, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Hazrat Ibne Zubair Sajde Se Uthte Huwe Takbeer Kahte The, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Sa'eed Bin Haaris Ne Bayaan Kiya Ke Hame'n Hazrat Abu Sa'eed Radiallaahu Anhu Ne Namaaz Padhaayi, Jab Unho'n Ne Sajde Se Sar Uthaaya To Buland Aawaaz Se Takbeer Kahi Aur Jab Sajdah Kiya Aur Jab Sar Uthaaya Aur Jab 2 Rak'ato'n Se Khade Huwe (Tab Bhi Buland Aawaaz Se Takbeer Kahi), Aur Kaha, Mai'n Ne Isi Tarah Nabi e Kareem ﷺ Ko Dekha Hai.
Mutarrif Bayaan Karte Hai'n Ke Mai'n Ne Aur Imraan Ne Hazrat Ali Bin Abi Taalib Radiallaahu Anhu Ke Peechhe Namaaz Padhi, Pas Jab Woh Sajdah Karte To "Allaahu Akbar" Kehte Aur Jab Sajde Se Sar Uthaate To "Allaahu Akbar" Kehte Aur Jab 2 Rak'ato'n Se Uthte To "Allaahu Akbar" Kehte, Pas Jab Unho'n Ne Salaam Phera To Imraan Ne Mera Haath Pakad Kar Kaha, Inho'n Ne Hame'n Usi Tarah Namaaz Padhaayi Hai Jis Tarah Sayyaduna Muhammad ﷺ Hame'n Namaaz Padhaate The Ya Kaha, Inho'n Ne Mujhe Sayyaduna Muhammad ﷺ Ki Namaaz Yaad Dila Di.
Baab, Tashah'hud Me'n Baithne Ka Tareeqa, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Hazrat Umme Darda Radiallaahu Anha Namaaz Me'n Mard Ki Tarah Baithti Thee'n Aur Woh Faqeeha Thee'n, Abdullaah Bin Abdullaah Bayaan Karte Hai'n Ke Unho'n Ne Dekha Ke Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Namaaz Me'n 4 Zaanu (Ulti Paalti Maar Kar) Baithe The, So Mai'n Ne Bhi Usi Tarah Kiya Aur Uss Waqt Mai'n Kamsin Tha, To Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Ne Mujhe Mana Kiya Aur Bataaya Ke Namaaz Me'n Sunnat Yeh Hai Ke Tum Apna Daayaa'n Pair Khada Karo Aur Baayaa'n Pair Modo, Mai'n Ne Kaha, Aap To Iss Tarah Karte Hai'n? Unho'n Ne Kaha, Mere Pair Mera Bojh Nahee'n Utha Sakte.
Imaam Bukhaari Ne 2 Sanado'n Ke Saath Riwaayat Ki Ke, Muhammad Bin Amr Bin Ata Ne Bayaan Kiya Ke Woh Nabi e Kareem ﷺ Ke As'haab Ki Jamaa'at Ke Saath Baithe Huwe The, Pas Hamne Nabi e Kareem ﷺ Ki Namaaz Ka Zikr Kiya To Hazrat Abu Humaid Saa'idi Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Mujhe Aap Sab Se Zyaadah Rasoolullaah ﷺ Ki Namaaz Ka Tareeqa Yaad Hai, Mai'n Ne Aap ﷺ Ko Dekha Ke, Jab Aap ﷺ "Allaahu Akbar" Kehte To Aap ﷺ Apne Dono'n Haatho'n Ko Kandho'n Ke Baraabar Uthaate Aur Jab Aap ﷺ Ruku Karte To Apne Haatho'n Ko Ghutno'n Par Jama Kar Rakhte, Phir Aap ﷺ Apni Kamar Ko Jhukaate Aur Jab Aap ﷺ Ruku Se Sar Uthaate To Seedhe Khade Ho Jaate Hatta Ke Har Jod Apni Jagah Par Aa Jaata, Phir Jab Aap ﷺ Sajdah Karte To Apne Dono'n Haatho'n Ko Zameen Par Rakhte Na Un Haatho'n Ko Bichchaate Na Samet'te Aur Apne Pairo'n Ki U'ngliyo'n Ko Qible Ki Taraf Rakhte, Phir Jab 2 Rak'ato'n Ke Ba'ad Baithte To Apne Baaye'n Pair Par Baithte Aur Daaye'n Pair Ko Khada Kar Lete Aur Jab Aakhri Rak'at Me'n Baithte To Apne Baaye'n Pair Ko Aage Nikaal Lete Aur Doosre Pair Ko Khada Kar Lete Aur Apni Maq'ad Par Baithte, Iss Hadees Ko Lais Ne Yazeed Bin Abi Habeeb Se Aur Yazeed Ne Muhammad Bin Halhalah Se Aur Ibne Halhalah Ne Ata Se Suna Hai Aur Abu Saaleh Ne Lais Se Iss Tarah Suna Hai Ke Har Jod Apni Jagah Par Aa Jaata Aur Ibne Mubaarak Ne Yahya Bin Ayyoob Se Riwaayat Ki Hai Ke Mujhko Yazeed Bin Abi Habeeb Ne Hadees Bayaan Ki Ke Muhammad Bin Amr Ne Unse Hadees Bayaan Ki Usme'n Har Jod Ka Zikr Hai.
Abdur Rahmaan Bin Hurmuz Ne Hadees Bayaan Ki Jo Banu Abdul Muttalib Ke Aazaad Kardah Gulaam Hai'n Ke Aur Marrah Ne Kaha Jo Banu Rabee'ah Bin Haaris Ke Aazaad Kardah Gulaam Hai'n Ke Hazrat Abdullaah Bin Maalik Ibne Buhaina Jo Azdi Shahu'ah Se Hai'n Aur Woh Banu Abde Munaaf Ke Haleef Hai'n Aur Woh Nabi e Kareem ﷺ Ke As'haab Me'n Se The Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Namaaziyo'n Ko Zohar Ki Namaaz Padhaayi, Phir Aap Pehli 2 Rak'at Padh Kar Khade Huwe Aur Nahee'n Baithe (Ya'ni Tashah'hud Awwal Nahee'n Kiya) Pas Namaazi Bhi Aapke Saath Me'n Khade Ho Gaye Hatta Ke Jab Aapne Namaaz Poori Karli Aur Log Aapke Salaam Pherne Ke Muntazir The To Aapne "Allaahu Akbar" Kaha Aur Aap Baithe Huwe The Phir Aapne Salaam Pherne Se Pehle 2 Sahw Ke Sajde Kiye Phir Aapne Salaam Phera.
Abdullaah Bin Maalik Bin Buhaina Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Hame'n Zohar Ki Namaaz Padhaayi, Pas Aap ﷺ (2 Rak'at Ke Ba'ad) Khade Ho Gaye, Haalaa'nke Aap ﷺ Par Baithna Laazim Tha, Jab Namaaz Ka Aakhir Huwa To Aap ﷺ Ne Baithe Huwe 2 Sajde Kiye, (Sahw Ke).
Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Jab Ham Rasoolullaah ﷺ Ke Peechhe Namaaz Padhte The To Ham Kehte The "Assalaamu Ala Jibra'eel Wa Meekaa'eel" Aur "Assalaamu Ala Fulaa'n Wa Fulaa'n" To Rasoolullaah ﷺ Hamaari Taraf Mutawajjeh Huwe, Pas Farmaaya, Allaah Paak Khud Salaam (Ya'ni Salamati Waala) Hai, Pas Jab Tum Me'n Se Koi Shakhs Namaaz Padhe To Woh Kahe, Tamaam Qauli Ibaadate'n Allaah Paak Keliye Hai'n, Aur Tamaam Badani Ibaadate'n Aur Tamaam Maali Ibaadate'n Allaah Paak Keliye Hai'n, Aye Nabi ! Aap ﷺ Par Salaam Ho Aur Allaah Ki Rahmat Aur Barkate'n Ho'n, Aur Ham Par Salaam Ho Aur Allaah Ke Nek Bando'n Par Salaam Ho, (Ya'ni Yeh Tarjuma Hai Tashah'hud Ke Alfaaz Ka Aur Tashah'hud Ke Alfaaz Yeh Hai'n, التَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، السَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، السَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلَى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِينَ Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Tum Yeh Keh Loge To Aasmaan Aur Zameen Me'n Allaah Ke Har Nek Bande Par Yeh Rahmat Paho'nch Jaayegi, (Aur Yeh Kaho) Mai'n Gawaahi Deta Hoo'n Ke Allaah Ke Siwa Koi Ibaadat Ka Mustahiq Nahee'n Hai Aur Mai'n Gawaahi Deta Hoo'n Ke Muhammad ﷺ Allaah Ke Bande Aur Uske Rasool Hai'n (Ya'ni Tashah'hud Ke Jo Alfaaz Pehle Bayaan Huwe Usko Padhne Ke Ba'ad Yeh Alfaaz Kahe, " أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ "
Hazrat Aa'yesha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Namaaz Me'n Yeh Du'aa Kiya Karte The, Aye Allaah ! Mai'n Azaab e Qabar Se Teri Panaah Me'n Aata Hoo'n Aur Maseeh Dajjaal Ke Fitne Se Teri Panaah Me'n Aata Hoo'n Aur Zindagi Aur Maut Ke Fitne Se Teri Panaah Me'n Aata Hoo'n, Aye Allaah ! Mai'n Gunaah Aur Qarz Se Teri Panaah Me'n Aata Hoo'n, Phir Kisi Kehne Waale Ne Aap Se Arz Kiya, Aap Qarz Se Bahot Zyaadah Panaah Talab Karte Hai'n ! Aapne Farmaaya, Jab Koi Shakhs Maqrooz Hota Hai To Woh Baat Karta Hai To Jhoot Bolta Hai Aur Wa'dah Karta Hai To Khilaaf Warzi Karta Hai.
Aur Zohri Se Riwaayat Hai, Unho'n Ne Kaha Ke Mujhe Urwah Ne Khabar Di Ke Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Kaha, Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Se Suna, Woh Apni Raat Ki Namaaz Me'n Dajjaal Ke Fitne Se Panaah Talab Kar Rahe The.
Hazrat Abi Bakar Siddeeq Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Se Arz Kiya, Mujhe Du'aa Sikha Deejiye Jise Mai'n Apni Namaaz Me'n Padha Karoo'n, Aapne Farmaaya Yeh Kaho, Aye Allaah ! Mai'n Ne Apni Jaan Par Bahot Zulm Kiya Hai Aur Tere Siwa Koi Gunaah Nahee'n Bakhshega Pas Tu Apne Paas Se Mere Liye Magferat Karde Aur Mujh Par Rahem Farma, Beshak Tu Bahot Bakhashne Waala Maherbaan Hai.
Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Jab Ham Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Namaaz Padhte The To Ham Kehte The, Allaah Par Uske Bando'n Ki Taraf Se Salaam Ho Fulaa'n Par Salaam Ho Aur Fulaa'n Par, Pas Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Yeh Na Kaho Ke Allaah Par Salaam Ho Kyu'nke Allaah To Khud Salaam Hai Lekin Tum Yeh Kaho Ke, Tamaam Qauli Ibaadate'n Allah Keliye Hai'n, Aur Tamaam Badani Ibaadate'n Allaah Keliye Hai'n Aur Tamaam Maali Ibaadate'n Allaah Keliye Hai'n, Aye Nabi ! Aap Par Salaam Ho Aur Allaah Ki Rahmat Ho Aur Uski Barkate'n Ho'n, Ham Par Salaam Ho Aur Allaah Ke Nek Bando'n Par Salaam Ho, Kyu'nke Jab Tum (Yeh Salaam Padhoge) To Yeh (Salaam) Aasmaan Me'n Aur Zameen Me'n Har Bande Tak Paho'nch Jaayega (Aur Yeh Kehna Ke) Mai'n Gawaahi Deta Hoo'n Ke Allaah Ke Siwa Koi Ibaadat Ke Laayeq Nahee'n Hai Aur Mai'n Gawaahi Deta Hoo'n Ke (Sayyaduna) Muhammad ﷺ Uske Bande Aur Uske Rasool Hai'n, Phir Uske Nazdeek Jo Achchhi Du'aa Ho Usko Ikhtiyaar Kare. (Iss Hadees Se Ma'loom Huwa Ke Ba'ad Namaaz Du'aaye'n Karna Hadees Shareef Se Saabit Hai Aur Ikhtiyaar Diya Gaya Hai Jo Bhi Achchhi Du'aa Ho Woh Kare'n Koi Khaas Du'aa Ka Ikhtesaas Nahee'n Kiya Gaya Hai)
Baab, Jisne Apni Peshaani Aur Naak Se Mitti Nahee'n Po'nchhi Hatta Ke Namaaz Padhi, Phir Imaam Abu Abdullaah Bukhaari Ne Kaha, Mai'n Ne Humaidi Ko Dekha Woh Iss Hadees Se Istedlaal Karte The Ke Namaaz Me'n Peshaani (Se Mitti) Ko Na Po'nchha Jaaye, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Abu Salma Ne Kaha, Mai'n Ne Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Se (Iska) Sawaal Kiya To Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Dekha Rasoolullaah ﷺ Paani Aur Mitti Me'n Sajdah Kar Rahe The Hatta Ke Mai'n Ne Mitti Ka Nishaan Aapki Peshaani Par Dekha.
Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Jab Namaaz Ka Salaam Pherte To Khawaateen Usi Waqt Khadi Ho Jaatee'n Jab Aap Salaam Pherte Aur Aap Khade Hone Se Pehle Thodi Der Thaherte, Ibne Shihaab Ne Kaha "Wallaahu Aa'lam" ! Meri Raaye Yeh Hai Ke Aap Isliye Thaherte The Taake Namaaziyo'n Ke Waapas Jaane Se Pehle Khawaateen Guzar Jaaye'n.
Baab, Namaazi Uss Waqt Salaam Phere Jab Imaam Salaam Pherta Hai, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Isko Mustahab Kehte The Ke Jab Imaam Salaam Phere To Uske Peechhe Namaazi Bhi Salaam Phere'n, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Itbaan Ne Bayaan Kiya Ke Hamne Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Namaaz Padhi, Jab Aapne Salaam Phera To Hamne Salaam Phera.
Mehmood Bin Rabee Ne Khabar Di, Unho'n Ne Kaha Ke Unhe'n Rasoolullaah ﷺ Yaad Hai'n Aur Unko Yeh Waaqe'ah Yaad Hai Ke Aap ﷺ Ne Unke Ghar Me'n Dol Se Paani Lekar Unpar Kulli Ki Thi.
Imaam Bukhaari Zikr Karte Hai'n Ke Mehmood Bin Rabee Ne Kaha, Mai'n Ne Hazrat Itbaan Bin Maalik Ansaari Radiallaahu Anhu Se Suna, Phir Banu Saalim Ke Ek Shakhs Se Hazrat Itbaan Ne Kaha, Mai'n Apni Qaum Ko Banu Saalim Me'n Namaaz Padhaata Tha Pas Mai'n Nabi e Kareem ﷺ Ke Paas Aaya Aur Mai'n Ne Arz Kiya Ke Meri Beenaayi Kamzor Ho Chuki Hai Aur Mere Aur Meri Qaum Ki Masjid Ke Darmiyaan Nadi Haa'il Hai Pas Mai'n Chaahta Hoo'n Ke Aap Mere Ghar Tashreef Laaye'n Aur Mere Ghar Me'n Ek Jagah Namaaz Padha De'n Hatta Ke Mai'n Uss Jagah Ko Masjid Bana Loo'n, Aapne Farmaaya, Mai'n Insha Allaah Aisa Karoo'nga, Phir Subah Ko Rasoolullaah ﷺ Mere Paas Aaye Jab Din Chadh Chuka Tha Aur Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Bhi Aapke Saath The, Pas Nabi e Kareem ﷺ Ne Ijaazat Talab Ki To Mai'n Ne Aapko Ijaazat Di, Aap Uss Waqt Tak Nahee'n Baithe Hatta Ke Aapne Poochha, Tum Apne Ghar Me'n Kis Jagah Mujhse Namaaz Padhwaana Chaahte Ho? Unho'n Ne Uss Jagah Ki Taraf Ishaarah Kiya Jahaa'n Woh Namaaz Padhwaana Chaahte The, Phir Aap Khade Ho Gaye Aur Hamne Aapke Peechhe Saf Baa'ndhi, Phir Aapne Salaam Phera Aur Jab Aapne Salaam Phera To Hamne Bhi Salaam Pher Diya.
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Khabar Di Ke Rasoolullaah ﷺ Ke Ahed Me'n Logo'n Ka Ma'mool Tha Ke Woh Namaaz Se Faarig Hone Ke Ba'ad Allaah Paak Ka Zikr Karte The, Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Kaha Jab Mai'n Uss Zikr Ko Sunta To Mai'n Jaan Leta Ke Log Namaaz Se Faarig Ho Chuke Hai'n. (Iss Hadees Se Ma'loom Huwa Ke Namaaz Ke Ba'ad Zikrullaah Karna Durust Hai Aur Iss Hadees Se To Zikr Biljaher Saabit Hota Hai Kyu'nke Namaaz Ke Ikhtetaam Ka Ilm Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ko Zikr Sun Kar Hota Tha, Agar Yeh Zikr Aahista Hota To Aawaaz Sunaayi Nahee'n Deti, Baher Haal Phir Bhi Ham Kehte Hai'n Ke Ba'ad Namaaz Agar Koi Zikr Karta Hai To Behtar Amal Hai Chaahe Zikr Biljaher Kare Ya Aahista Zikr Kare, Lekin Ba'ad Namaaz Zikr Karne Ko Bid'at Kehne Waale Khud Bid'ati Hai'n Haa'n Ba'ad Namaaz Zikr Karna Zaroori Nahee'n Agar Koi Nahee'n Karta To Koi Baat Nahee'n)
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Kaha, Mai'n Rasoolullaah ﷺ Ki Namaaz Ke Ikhtetaam Ko Takbeer Se Pehchaanta Tha, Ali Bin Madyani Ne Kaha, Hame'n Sufiyaan Ne Hadees Bayaan Ki Az Amr, Unho'n Ne Kaha, Abu Ma'bad Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ke Aazaad Kardah Gulaamo'n Me'n Sabse Zyaadah Saadiq Hai'n, Ali Ne Kaha Unka Naam Naafiz Hai.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ke Paas Fuqara Aaye, Unho'n Ne Kaha, Maaldaar Log Apne Maal Ki Wajah Se Buland Darjaat Ko Aur Daa'imi Jannat Ko Le Gaye, Woh Bhi Usi Tarah Namaaz Padhte Hai'n Jis Tarah Ham Namaaz Padhte Hai'n Aur Woh Bhi Usi Tarah Roze Rakhte Hai'n Jis Tarah Ham Roze Rakhte Hai'n Aur Maal Ki Wajah Se Unki Zaa'id Ibaadaat Yeh Hai Ke Woh Hajj Karte Hai'n Aur Umrah Karte Hai'n Aur Jihaad Karte Hai'n Aur Sadqaat Dete Hai'n, Aap ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Mai'n Tumko Woh Amal Na Bataaoo'n Ke Agar Tumne Woh Amal Kiya To Tum Unka Darja Pa Loge Jinho'n Ne Tum Par Sabqat Ki Hai, Aur Tumhaare Ba'ad Tumhaare Darje Ko Koi Nahee'n Pa Sakega Aur Tum Apne Zamaane Me'n Sabse Afzal Hoge, Magar Woh Log Jo Tumhaari Tarah Woh Amal Kare'nge, Tum Har Namaaz Ke Ba'ad 33 Baar "Sub'haan Allaah" Aur "Alhamdulillaah" Aur "Allaahu Akbar" Padho Phir Hamaare Darmiyaan Ikhtelaaf Huwa, Hamne Kaha Ham 33 Martaba "Sub'haan Allaah" Aur "Alhamdulillaah" Kahe'nge Aur 34 Baar "Allaahu Akbar" Kahe'nge, Phir Mai'n Ne Unki (Nabi e Kareem ﷺ Ki) Taraf Ruju Kiya To Unho'n (Nabi e Kareem ﷺ) Ne Kaha, Tum "Sub'haan Allaah" , "Alhamdulillaah" Aur "Allaahu Akbar" Inme'n Se Har Ek Ko 33 Baar Padho. (Yaad Rahe Muslim Shareef Me'n Doosri Jagah Hai Ke Jab Rasoolullaah ﷺ Ne Fuqara Ko Tasbeehaat e Mazkoorah Bataayee'n To Phir Fuqara Dobaarah Aapke Paas Aaye Aur Kaha Ke Agniya Aur Maal Daaro'n Ko Jab Yeh Ilm Huwa Ke Ham Yeh Tasbeehaat Padh Rahe Hai'n To Unho'n Ne Bhi Tasbeehaat Padhni Shuru Kardee'n (Aur Woh Apni Maali Ibaadaat Ke Zariye Phir Bhi Hamse Badh Gaye, Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Yeh Allaah Ka Fazal Hai Woh Jisko Chaahe Ata Karde, (Muslim Shareef Hadees No.595, Neez Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Beshak Fuqara Muhaajireen Agniya Se 500 Saal Ki Miqdaar Pehle Jannat Me'n Daakhil Ho'nge, Sunan Tirmizi, Hadees No.2358, Sunan Ibne Maaja, 4123, Hilyatul Auliya Aur Kanzul Ummaal Me'n Bhi Yeh Hadees Maujood Hai, Manqool Hai Ke Hazrat Gause Aa'zam Sayyaduna Abdul Qaadir Jeelaani Alaihir Rahma Se Sawaal Kiya Gaya Ke Faqeer Saabir Aur Gani Shaakir Me'n Kaun Afzal Hai? To Aapne Farmaaya, Afzal Sirf Faqeer Saabir Hai, Ash'atul Lam'aat Jild 4, Safha 229, Maktaba Rashidiya Koyenta Ba Hawaala Ne'matul Baari Sharah Bukhaari Hadees No 843 Ke Tahet Az Allaama Gulaam Rasool Sa'eedi Alaihir Rehma)
Hazrat Abdul Malik Bin Umair Hazrat Warrad (Jo Hazrat Mugeerah Bin Sho'ba Radiallaahu Anhu Ke Kaatib The) Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Hazrat Mugeerah Bin Sho'ba Se Unho'n Ne Kaha Ke Hazrat Mugeerah Bin Sho'ba Radiallaahu Anhu Ne Mujhse Hazrat Mu'aaviya Radiallaahu Anhu Ki Taraf Ek Khat Likhwaaya Ke Nabi e Kareem ﷺ Har Namaaz e Farz Ke Ba'ad Yeh Zikr Karte The (Tarjuma) Allaah Ke Siwa Koi Ibaadat Ka Mustahiq Nahee'n, Woh Waahid Hai Uska Koi Shareek Nahee'n Hai, Usi Ki Saltanat Hai Aur Usi Keliye Hamd Hai Aur Woh Har Cheez Par Qaadir Hai, Aye Allaah ! Jo Cheez Tu Ata Kare Use Koi Rokne Waala Nahee'n Hai Aur Jis Cheez Ko Tu Rokle Use Koi Dene Waala Nahee'n Hai Aur Kisi Koshish Karne Waale Ki Koshish Tere Muqaable Me'n Nafa Nahee'n Degi, Aur Sho'ba Ne Iss Hadees Ko Abdul Malik Se Riwaayat Kiya Hai, Hasan Ne Kaha, "Jad" Ka Ma'ni Gani Hai, Hakam Ne Usko Az Qaasim Bin Mukhaimirah Az Warraad Riwaayat Kiya Hai.
Samurah Bin Jundab Ne Bayaan Kiya Ke Jab Nabi e Kareem ﷺ Namaaz Padh Lete To Hamaari Taraf Muh Karke Baithte. (Iss Hadees Se Ma'loom Huwa Ke Imaam Ka Salaam Pher Kar Namaaziyo'n Ki Taraf Muh Karna Durust Hai Lekin Jahaalat Ki Inteha Hai Ke Log Aaj Iss Tareeqe Ko Galat Samajhte Hai'n Jabke Imaam Ka Salaam Ke Ba'ad Daaye'n Taraf Muh Karke Baithna Hi Durust Hai Aisa Nahee'n Hai Balke Daaye'n Taraf Muh Kare To Tab Bhi Durust Aur Muqtadi Ki Taraf Muh Karke Baithe Tab Bhi Durust)
Zaid Bin Khaalid Juhani Bayaan Karte Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Suleh Hudaibiya Me'n Hame'n Subah Ki Namaaz Padhaayi, Uss Waqt Raat Ki Baarish Ke Aasmaan Par Aasaar The, Namaaz Se Faarig Hokar Aap Logo'n Ki Taraf Muh Karke Baithe Phir Aapne Farmaaya, Kya Tum Jaante Hoke Tumhaare Rab Ne Kya Farmaaya Hai? Sahaaba e Kiraam Ne Arz Kiya, Allaah Aur Uska Rasool Zyaadah Jaanne Waale Hai'n, Aapne Farmaaya, Allaah Paak Irshaad Farmaata Hai, Mere Kuchh Bande Subah Ko Imaan Laane Waale Huwe Aur Kuchh Bande Kaafir Huwe, Jinho'n Ne Kaha, Allaah Ke Fazal Aur Uski Rahmat Se Baarish Huwi Woh Mujh Par Imaan Laane Waale Hai'n Aur Sitaaro'n Ka Kufr Karne Waale Hai'n Aur Jinho'n Ne Kaha, Fulaa'n Fulaa'n Sitaare Ki Wajah Se Baarish Huwi Hai Woh Mera Kufr Karne Waale Hai'n Aur Sitaaro'n Par Imaan Laane Waale Hai'n.
Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Ek Raat Rasoolullaah ﷺ Ne Isha Ki Namaaz Aadhi Raat Tak Mo'akhkhar Kardi, Phir Hamaare Paas Tashreef Laaye, Pas Jab Namaaz Padhaali To Hamaari Taraf Muh Karke Farmaaya, Beshak Logo'n Ne Namaaz Padhli Aur So Gaye Aur Tum Uss Waqt Tak Namaaz Me'n Rahe Jab Tak Tum Namaaz Ka Intezaar Karte Rahe.
Hazrat Naafe Ne Bayaan Kiya Ke Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Usi Jagah Namaaz Padhte The Jahaa'n Unho'n Ne Farz Namaaz Padhaayi Thi, Qaasim Ne Bhi Isi Tarah Kiya Aur Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Marfoo'an Bayaan Karte Hai'n Ke Imaam Apni Jagah Me'n Nawaafil Na Padhe Aur Iss Hadees Ki Sanad Saheeh Nahee'n Hai.
Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Jab Nabi e Kareem ﷺ Salaam Pherte To Apni Jagah Par Thodi Der Thaherte, Ibne Shihaab Ne Kaha, Hamaari Raaye Yeh Hai Ke "Wallaahu Aa'lam" (Ke Rasoolullaah ﷺ Aisa Isliye Karte The) Taake Namaaz Se Faarig Hone Waali Aurate'n Guzar Jaaye'n.
Hind Bint Haaris Firaasiya Ne Khabar Di, Woh Riwaayat Karti Hai'n Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Se Aur Woh Unki Saheliyo'n Me'n Se Thee'n, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Aap ﷺ Salaam Pherte To Rasoolullaah ﷺ Ke (Namaazi Logo'n Ki Taraf) Mudne Se Pehle Aurate'n Namaaz Se Mudkar Apne Gharo'n Me'n Daakhil Ho Jaatee'n, Aur Ibne Wahab Ne Kaha, Az Yoonus Az Shihaab Ke Mujhe Hind Firaasiya Ne Khabar Di, Aur Usmaan Ne Umar Ne Kaha, Hame'n Yoonus Ne Khabar Di Az Zohri Ke Mujhe Hind Firaasiya Ne Khabar Di, Aur Zubaidi Ne Kaha Ke Mujhe Zohri Ne Khabar Di Ke Hind Bint Haaris Qurashiya Ne Khabar Di Aur Woh Ma'bad Bin Miqdaad Ke Nikaah Me'n Thee'n Aur Woh Banu Zohrah Ke Haleef The Aur Hind Nabi e Kareem ﷺ Ke Paas Jaati Rehti Thee'n, Aur Sho'aib Ne Kaha Az Zohri Mujhe Hind Qurashiya Ne Hadees Bayaan Ki Aur Ibne Abi Ateeq Ne Kaha Az Zohri Az Hind Firaasiya, Aur Lais Ne Kaha Mujhe Yahya Bin Sa'eed Ne Hadees Bayaan Ki, Unko Hadees Bayaan Ki Az Shihaab Az Khaatoon Quraish, Unho'n Ne Unko Nabi e Kareem ﷺ Se Hadees Riwaayat Ki.
Hazrat Uqba Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Madeena Me'n Nabi e Kareem ﷺ Ke Peechhe Asar Ki Namaaz Padhi, Pas Aapne Salaam Phera, Phir Aap Jaldi Se Uthe Aur Logo'n Ki Gardane'n Phalaa'ngte Huwe Apni Azwaaj e Mutahharaat Ke Kisi Hujre Ki Taraf Chale Gaye, Log Aapki Jaldi Ki Wajah Se Ghabra Gaye, Pas Aap Logo'n Ke Paas Aaye To Dekha Ke Woh Aapke Jaldi Jaane Ki Wajah Se Ta'ajjub Kar Rahe Hai'n To Aapne Irshaad Farmaaya, Mujhe Yaad Aaya Ke Hamaare Paas Kuchh Sona Hai Pas Mujhe Na Pasand Huwa Ke Woh Sona Roke Rakhe So Mai'n Ne Usko Taqseem Karne Ka Hukm Diya.
Baab, Namaaz Se Faarig Hone Ke Ba'ad Daaye'n Taraf Aur Baaye'n Taraf Mud Kar Baithna, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Daaye'n Taraf Bhi Mud Kar Baith'te The Aur Baaye'n Taraf Bhi Aur Iski Mazammat Karte The Jo Daaye'n Taraf Mud Kar Hi Baithne Ka Qasad Kare, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Hazrat Abdullaah Bin Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya, Tum Me'n Se Koi Shakhs Apni Namaaz Me'n Shaitaan Ka Koi Hissa Na Banaaye Ke Woh Yeh Ae'teqaad Kare Ke Uspar Waajib Hai Ke Woh Sirf Daaye'n Taraf Mud Kar Baithe Kyu'nke Mai'n Ne Bahot Dafa Nabi e Kareem ﷺ Ko Baaye'n Taraf Mude Huwe Dekha Hai. (Iss Hadees Se Ma'loom Huwa Ke Sharee'at Ke Jo Ahkaam Jis Haisiyat Ke Hai'n Uski Haisiyat Ko Tabdeel Karna Shaitaani Kaam Hai Maslan Mustahab Ko Farz Waajib Ka Darja Dena Yeh Shaitaani Kaam Hai, Aur Farz Wa Waajib Ko Mustahab Ka Darja Dena Shaitaani Kaam Hai)
Baab, Kachche Lehsan, Pyaaz Aur Gandna (Keede Makode) Ke Muta'alliq Jo Ahaadees Waarid Hai'n, Aur Nabi e Kareem ﷺ Ka Yeh Irshaad Ke Jisne Bhook Ya Bagair Bhook Ke Lehsan Ya Pyaaz Khaaya Woh Hamaari Masjid Ke Qareeb Na Aaye, Phir Imaam Bukhaari Ne Yeh Hadees Bayaan Ki Ke, Riwaayat Hai Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Guzwa e Khaibar Me'n Farmaaya, Jisne Iss Darakht Se Khaaya Ya'ni Lehsan So Woh Hamaari Masjid Ke Qareeb Na Aaye.
Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jisne Iss Darakht Se Khaaya, Aap ﷺ Ki Muraad Lehsan Tha, Woh Hamaari Masaajid Ko Na Dhaa'npe, Ata Ne Kaha, Mai'n Ne Poochha Isse Aap ﷺ Ki Kya Muraad Thi? Hazrat Jaabir Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Mera Sirf Yeh Gumaan Hai Ke Aap ﷺ Ki Muraad Kachcha Lehsan Tha, Aur Makhlad Bin Yazeed Ne Kaha Az Ibne Juraij, Sirf Uski Badbu, (Muraad Hai).
Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhuma Ne Kaha Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jis Aadmi Ne Lehsan Ya Pyaaz Khaaya Woh Hamse Door Rahe Ya Farmaaya Woh Hamaari Masjid Se Door Rahe Aur Apne Ghar Me'n Baithe Aur Beshak Nabi e Kareem ﷺ Ke Paas Ek Degchi Laayi Gayi Jisme'n Kuchh Sabziyaa'n Thee'n, Aapko Unse Badbu Aayi, Aapne Unke Muta'alliq Sawaal Kiya, Aapko Bataaya Gaya Ke Unme'n Fulaa'n Fulaa'n Sabziyaa'n Hai'n, Aapne Farmaaya, Inko Un Ba'az As'haab Ke Qareeb Kardo Jo Uss Waqt Aapke Saath The, Jab Aapne Unko Dekha To Unke Khaane Ko Na Pasand Kiya, Aapne Farmaaya, Tum Khaao Mai'n Isse Sargoshi Karta Hoo'n Jisse Tum Sargoshi Nahee'n Karte, Aur Ahmad Bin Saaleh Ne Kaha Az Ibne Wahab, Aapke Paas Tabaaq (Thaal) Laaya Gaya, Ibne Wahab Ne Kaha, Ya'ni Aapke Paas Aisa Thaal Laaya Gaya Jisme'n Sabziyaa'n Thee'n Aur Lais Ne Aur Abu Safwaan Az Yoonus Ne Degchi Ka Qissa Zikr Nahee'n Kiya, Pas Mujhe Ma'loom Nahee'n Ke Woh Zohri Ka Qaul Hai Ya Hadees Me'n Hai.
Hazrat Abdul Azeez Ne Kaha Ke Ek Shakhs Ne Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Se Sawaal Kiya, Aapne Nabi e Kareem ﷺ Se Lehsan Ke Muta'alliq Kya Suna Hai? Pas Unho'n Ne Kaha, Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jis Shakhs Ne Uss Darakht (Lehsan) Se Khaaya Woh Hamaare Qareeb Na Aaye, Ya Farmaaya, Hamaare Saath Namaaz Na Padhe.
Sha'bi Ne Kaha Mujhe Uss Shakhs Ne Khabar Di Jo Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Ek Munfarid Qabar Par Se Guzre, Aap ﷺ Ne Un Logo'n Ko Namaaz Padhaayi Aur Unho'n Ne Saf Banaayi, Mai'n Ne Kaha Aye Abu Amro ! Aapko Yeh Hadees Kisne Bayaan Ki? Unho'n Ne Kaha, Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne.
Riwaayat Hai Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Juma'h Ke Din Gusl Karna Har Baalig Par Waajib Hai. (Yahaa'n Waajib Ba Ma'ni Taakeed Ke Hai Ya'ni Agar Kisi Ne Juma'h Ke Din Gusl Nahee'n Kiya To Aisa Nahee'n Hai Ke Waajib Chhodne Ka Use Gunaah Hoga Lekin Haa'n Gusl Karne Ka Sawaab Bahot Zyaadah Hai Juma'h Ke Din)
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Kaha, Mai'n Ne Apni Khaala Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Ke Haa'n Raat Guzaari (Yaad Rahe Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Uss Waqt Chhote The), Pas Nabi e Kareem ﷺ So Gaye, Phir Jab Raat Ka Kuchh Hissa Guzar Gaya To Rasoolullaah ﷺ Khade Huwe, Pas Aapne Ek Latki Huwi Mushk Se Khafeef Wazu Kiya, Amr Ne Kaha, Woh Bahot Khafeef Aur Qaleel Wazu Tha, Phir Aap ﷺ Khade Hokar Namaaz Padhne Lage, Pas Mai'n (Ya'ni Hazrat Ibne Abbaas) Bhi Uth Kar Khada Huwa Aur Mai'n Ne Bhi Aapke Wazu Ki Misl Wazu Kiya, Phir Mai'n Aaya Aur Aapki Baaye'n Jaanib Khada Ho Gaya, Phir Aapne Mujhe Pher Kar Apni Daaye'n Jaanib Kar Diya, Phir Jitni Der Allaah Ne Chaaha Aapne Namaaz Padhi, Phir Aap Karwat Lekar Let Gaye Hatta Ke Kharraate Lene Lage, Phir Aapke Paas Mo'azzin Aaya Aur Usne Aakar Aapko Namaaz Ki Ittela Di, Aap Uske Saath Namaaz Ki Taraf Khade Ho Gaye, Aapne Namaaz Padhaayi Aur Wazu Nahee'n Kiya, Hamne Amr Se Kaha, Log Yeh Kehte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ki Aa'nkhe'n Soti Hai'n Aur Aapka Dil Nahee'n Sota, Amr Ne Kaha, Mai'n Ne Ubaid Bin Amr Ko Yeh Kehte Huwe Suna Hai Ke Ambiya Alaihimussalaam Ka Khwaab Wahi Hota Hai, Phir Unho'n Ne Yeh Aayat Padi, (Tarjuma) Beshak Mai'n Khwaab Me'n Dekhta Hoo'n Ke Mai'n Tumhe'n Zibah Kar Raha Hoo'n, (Sureh Saaffaat, Aayat No.102).
Riwaayat Hai Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Se Ke Unki Daadi Hazrat Mulaika Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Khaane Ki Da'wat Di, Jo Khaana Unho'n Ne Aapke Liye Tayyaar Kiya Tha Aapne Usko Khaaya Phir Farmaaya Utho ! Mai'n Tumko Namaaz Padhaaoo'n, Pas Mai'n Ek Chataayi Ki Taraf Utha Jo Kasrat e Iste'maal Se Maili Ho Chuki Thi, Mai'n Ne Uss Chataayi Ko Paani Se Dhoya, Pas Rasoolullaah ﷺ Khade Huwe Aur Yateem Mere Saath Tha Aur Badi Bee Hamaare Peechhe Thee'n, Aapne Hamko 2 Rak'at Namaaz Padhaayi. (Yaad Rahe Isme'n Jo Naam Hai Ke Yateem Woh Uss Waqt Na Baalig The)
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Gadhe (Balke) Gadhi Par Sawaar Hokar Aaya Aur Mai'n Un Dino'n Baloogat Ke Qareeb Tha Aur Uss Waqt Rasoolullaah ﷺ Bagair Deewaar Ki Oot Ke (Maqaame) Mana Me'n Logo'n Ko Namaaz Padha Rahe The, Mai'n Saf Ke Ba'az Hisse Ke Saamne Se Guzra, Pas Mai'n Utra Aur Mai'n Ne Gadhi Ko Charne Keliye Chhod Diya Aur Mai'n Saf Me'n Daakhil Ho Gaya, Phir Kisi Ne Mujh Par Inkaar Nahee'n Kiya.
Urwah Bin Zubair Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Andhera Kar Diya, (Phir Doosri Sanad Hai Ke Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Isha Ki Namaaz Me'n Andhera Kar Diya Hatta Ke Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Aap ﷺ Ko Aawaaz Dekar Kaha, Aurate'n Aur Bachche So Gaye, Tab Rasoolullaah ﷺ Hujre Se Nikle, Phir Aap ﷺ Ne Farmaaya, Iss Waqt Rooye Zameen Par Tumhaare Siwa Koi Bhi Namaaz Nahee'n Padh Raha Hai Aur Uss Waqt Ahle Madeena Ke Siwa Koi Bhi Namaaz Nahee'n Padhta Tha.
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Se Marwi Hai Ke Unse Ek Shakhs Ne Kaha, Aap Kabhi Rasoolullaah ﷺ Ke Saath (Hujre Se) Nikle Hai'n? Unho'n Ne Kaha Haa'n, Aur Agar Meri Umar Itni Na Hoti Ya'ni Mera Bachpan Na Hota To Mai'n Iss Mauqe Par Haazir Na Hota, Aap ﷺ Uss Pahaadi Par Aaye Jo Kaseer Bin Salt Ke Ghar Ke Paas Hai, Phir Aap ﷺ Ne Khutba Diya, Phir Aap ﷺ Khawaateen Ke Paas Gaye, Phir Aap ﷺ Ne Un Aurato'n Ko Naseehat Ki Aur Khutba Diya Aur Unko Sadqa Dene Ka Hukm Diya, Pas Aurate'n Apna Haath Apne Halaq Ki Taraf Le Jaati Aur Apne Zewar Utaar Kar Hazrat Bilaal Radiallaahu Anhu Ki Jholi Me'n Daal Deti, Uske Ba'ad Aap ﷺ Aur Hazrat Bilaal Radiallaahu Anhu Ghar Tashrif Le Jaate.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Riwaayat Karti Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Isha Ki Namaaz Me'n Andhera Kar Diya, Hatta Ke Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Aap ﷺ Ko Aawaaz Di Ke Aurate'n Aur Bachche So Gaye, Tab Rasoolullaah ﷺ Hujre Se Nikle Aur Farmaaya, Rooye Zameen Me'n Iss Namaaz Ka Tumhaare Siwa Aur Koi Intezaar Nahee'n Kar Raha Aur Uss Waqt Madeena Ke Siwa Aur Kahee'n Namaaz Nahee'n Padhi Jaati Thi Aur Woh Isha Ki Namaaz Shafaq Ke Gaayeb Hone Ke Ba'ad Se Tihaayi Raat Ke Awwal Hisse Tak Padhte The.
Riwaayat Hai Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhu Se Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Jab Tumse Tumhaari Aurate'n Raat Ko Masjid Me'n Jaane Ki Ijaazat Talab Kare'n To Unko Ijaazat De Do, Sho'ba Ne Iss Hadees Ki Mutaabe'at Ki Hai Az Aa'mash Az Mujaahid Az Ibne Umar Az Nabi e Kareem ﷺ. (Yaad Rakhe'n Agarche Hadees Me'n Aurato'n Ka Masjid Jaana Paaya Jaata Hai Magar Aurato'n Keliye Masjid Se Behtar Apne Gharo'n Par Namaaz Padhna Hai Iss Muta'alliq Chand Hadees Wa Aasaar Bhi Mulaaheza Karte Chale'n, (1) Abu Bakar Shaibaani Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Abdullah Bin Mas'ood Radiallahu Anhu Ne Kaha, Jis Aurat Ne Apne Ghar Me'n Namaaz Padhi Hai, Usse Afzal Kisi Aurat Ne Namaaz Nahee'n Padhi Maasiwa Uss Aurat Ke Jisne Masjid e Haraam Me'n Namaaz Padhi Ya Woh Boodhi Aurat Jisne Apne Puraane Mozo'n Me'n Namaaz Padhi Ho, (Al-Mo'jamul Kabeer, Jild 9, 9471 Majlise Ilmi Bairoot) (2) Sa'eed Bin Jubair Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Abdullah Bin Abbaas Radiallahu Anhu Se Ek Aurat Ne Masjid Me'n Juma Padhne Ke Muta'alliq Sawaal Kiya, Hazrat Ibne Abbaas Radiallahu Anhu Ne Farmaaya, Tumhaari Kothdi (Kamre) Me'n Namaaz Padhna Tumhaare Ghar Me'n Namaaz Padhne Se Afzal Hai Aur Tumhaara Ghar Me'n Namaaz Padhna Tumhaare Hujre Me'n Namaaz Padhne Se Afzal Hai Aur Tumhaara Hujre Me'n Namaaz Padhna Tumhaara Mohalle Ki Masjid Me'n Namaaz Padhne Se Afzal Hai, (Musannaf Ibne Abi Shaiba, 7697 Majlise Ilmi Bairoot) (3) Abu Umro Shaibaani Bayaan Karte Hai'n Ke Mai'n Ne Dekha Ke Hazrat Ibne Mas'ood Radiallahu Anhu Un Aurto'n Ko Ka'nkar Maar Rahe The Jo Juma Ke Din Masjid Se Nikal Rahee'n Thee'n, (Musannaf Ibne Abi Shaiba, 7699 Majlise Ilmi Bairoot) (4) Umme Humaid Bayaan Karti Hai'n Ke Mai'n Ne Arz Kiya Ya Rasoolallah ﷺ Humaare Khaawind Hume'n Aapke Saath Namaaz Padhne Se Man'a Karte Hai'n Aur Hum Aap ﷺ Ke Saath Namaaz Padhne Se Mohabbat Karti Hai'n To Rasoolullah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Tumhaara Gharo'n Me'n Namaaz Padhna Tumhaare Hujro'n Me'n Namaaz Padhne Se Afzal Hai Aur Tumhaara Hujro'n Me'n Namaaz Padhna Jama'at Ke Saath (Masjid) Me'n Namaaz Padhne Se Afzal Hai, (Musnad e Ahmad, Jild 6, Safha 361, Ibne Khuzaima, 1689, Al-Mo'jamul Kabeer 365, Musannaf Ibne Abi Shaiba, 7702 Majlise Ilmi Bairoot)
Hazrat Umme Salma Nabi e Kareem ﷺ Ki Zauja Radiallaahu Anha Ne Khabar Di Ke Rasoolullaah ﷺ Ke Zamaane Me'n Jab Aurate'n Farz Namaaz Se Salaam Phertee'n To Khadi Ho Jaatee'n Aur Rasoolullaah ﷺ Aur Jo Mard Namaaz Padhte Woh Jab Tak Allaah Paak Chaahta Apni Jagah Barqaraar Rehte, Phir Jab Rasoolullaah ﷺ Khade Hote To Log Bhi Khade Ho Jaate.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Riwaayat Hai Woh Bayaan Karti Hai'n Ke Beshak Rasoolullaah ﷺ Subah Ki Namaaz Padhaate, Phir Aurate'n Apni Chaadaro'n Me'n Lipti Huwi Mudtee'n, Andhere Ki Wajah Se Unhe'n Koi Nahee'n Pehchaanta Tha.
Hazrat Abdullaah Bin Abi Qataadah Ansaari Radiallaahu Anhu Apne Waalid Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Mai'n Namaaz Ki Taraf Qayaam Ka Iraadah Karta Hoo'n, Aur Mera Iraadah Hota Hai Ke Mai'n Namaaz Me'n Lamba Qayaam Karoo'n, Phir Mai'n Kisi Bachche Ki Rone Ki Aawaaz Sunta Hoo'n To Mai'n Apni Namaaz Me'n Takhfeef Karta Hoo'n Isko Na Pasand Karte Huwe Ke Uski Maa'n Par Taweel Qayaam Dushwaar Hoga.
Riwaayat Hai Amrah Se Ke Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Farmaaya Ke Agar Rasoolullaah ﷺ Aurato'n Ke Iss Banaao Singhaar Ko Dekh Lete Jo Unho'n Ne Ijaad Kiya Hai To Unko (Masjid Me'n Aane Se) Mana Farma Dete Jis Tarah Bani Ismaa'eel Ki Aurato'n Ko Mana Kiya Gaya Tha, Mai'n Ne Amrah Se Poochha Kya Unko Mana Kar Diya Gaya Tha? Unho'n Ne Farmaaya Haa'n ! (Iss Hadees Se Aap Andaazah Lagaaye'n Jab Hazrat Aa'yesha Radiallahu Anha Aaj Ki Aurto'n Ko Dekhti To Kya Farmaati? Waise Bhi Jab Hazrat Aa'yesha Radiallahu Anha Apne Zamaane Ki Aurto'n Ko Masjid Me'n Jaane Se Mana Karne Ki Baat Kar Rahi Hai'n To Zaahir Hai Aajki Aurto'n Ka Mu'aamla To Bahot Kharaab Hai To Koi Agar Aajki Aurto'n Ko Fitna Ki Wajah Se Masjid Me'n Jaane Se Mana Kare To Pareshaani Ki Kya Baat Hai Waise Bhi Aurto'n Ki Namaaz Masjid Ke Muqaable Me'n Ghar Me'n Padhna Zyaadah Afzal Hai (Az Shabbir Ahmed Raaj Mehli)
Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Jab Rasoolullaah ﷺ Salaam Pherte The To Aap ﷺ Ke Salaam Pherne Ke Waqt Aurate'n Khadi Ho Jaati Thee'n Aur Aap ﷺ Khade Hone Se Pehle Thodi Der Apni Jagah Par Khade (Hone Ki Haalat Me'n Thehre) Rehte The, Zohri Ne Kaha Allaah Paak Zyaadah Jaanta Hai, Hamaara Gumaan Yeh Hai Ke Aap ﷺ Isliye Khade (Hokar Thehre) Rehte The Ke Aurate'n Mardo'n Me'n Ikhtelaat Se Pehle Guzar Jaaye'n.
Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Se Marwi Hai Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Hazrat Umme Sulaim Radiallaahu Anha Ke Ghar Me'n Namaaz Padhi, Phir Mai'n Aur Yateem Aapke Peechhe Namaaz Keliye Khade Ho Gaye Aur Umme Sulaim Hamaare Peechhe Khadi Ho Gayee'n.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Marwi Hai Woh Bayaan Karti Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Subah Ki Namaaz Andhere Me'n Padhaate The, Pas Mominaat Mud Jaatee'n, Andhere Ki Wajah Se Unhe'n Koi Nahee'n Pehchaanta Tha, Na Woh Khud Ek Doosre Ko Pehchaanti Thee'n.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Marwi Hai Woh Bayaan Karti Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Subah Ki Namaaz Andhere Me'n Padhaate The, Pas Mominaat Mud Jaatee'n, Andhere Ki Wajah Se Unhe'n Koi Nahee'n Pehchaanta Tha, Na Woh Khud Ek Doosre Ko Pehchaanti Thee'n.
Hazrat Abdullaah Apne Waalid Se Riwaayat Karte Hai'n, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Tum Me'n Se Kisi Ki Beewi (Masjid Jaane Keliye) Ijaazat Talab Kare To Usko Mana Na Kare.
Bukhari Shareef : Abwaabu Sifatis Salaat
|
Bukhari Shareef : أَبْوَابُ صِفَةِ الصَّلاَةِ
|
•