
Hazrat Abdullaah Bin Buhaina Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Hame'n Kisi Namaaz Ki 2 Rak'at Namaaz Padhaayi, Phir Aap Khade Ho Gaye Aur Baithe Nahee'n, Pas Namaazi Bhi Aapke Saath Khade Ho Gaye, Jab Aapne Apni Namaaz Poori Karli To Ham Aapke Salaam Ke Muntazir The, Aapne Salaam Pherne Se Pehle Takbeer Kaha, Phir Baithe Huwe 2 Sahw Ke Sajde Kiye, Phir Salaam Pher Diya.
Hazrat Abdullaah Bin Buhaina Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Zohar Ki 2 Rak'at Padh Kar Khade Ho Gaye Aur 2 Rak'at Ke Ba'ad (Tashah'hud Ke Liye) Nahee'n Baithe, Jab Aap ﷺ Ne Namaaz Padhli To(Sahw Ke) 2 Sajde Kiye, Phir Uske Ba'ad Salaam Pher Diya. (Namaaz Me'n Sahw Hone Ki Soorat Me'n Salaam Pherne Ke Ba'ad Bhi Sajdah e Sahw Rasoolullaah ﷺ Ne Kiya, Iske Liye Bukhaari Shareef Ki Hadees No.401 Dekhe'n.)
Hazrat Abdullaah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Zohar Ki Namaaz 5 Rak'aat Padha Dee'n, Aap ﷺ Se Poochha Gaya, Kya Ab Namaaz Me'n Izaafa Ho Gaya Hai? Aap ﷺ Ne Farmaaya, Iski Kya Wajah Hai? Hazrat Ibne Mas'ood Radiallaahu Anhu Ne Arz Kiya, (Ya Rasoolallaah ﷺ) Aap ﷺ Ne 5 Rak'aat Namaaz Padhaayi Hai, Aap ﷺ Ne Salaam Pherne Ke Ba'ad Sahw Ke 2 Sajde Kiye.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Hame'n Nabi e Kareem ﷺ Ne Zohar Ya Asar Ki Namaaz Padhaayi, Pas Salaam Pher Diya, Phir Aap ﷺ Se Hazrat Zul Yadain Radiallaahu Anhu Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Kya Namaaz Kam Ho Gayi Hai? Pas Nabi e Kareem ﷺ Ne Apne As'haab Se Poochha, Kya Yeh Baat Saheeh Hai Jo Yeh Keh Rahe Hai'n? Unho'n Ne Kaha, Ji Haa'n ! Pas Aap ﷺ Ne 2 Aur Rak'at Padhaayee'n, Phir (Sahw Ke) 2 Sajde Kiye, Sa'ad Ne Kaha, Aur Mai'n Ne Urwah Bin Zubair Ko Dekha Unho'n Ne Magrib Ki 2 Rak'at Padhaayee'n, Phir Salaam Pher Diya Aur Kalaam Kiya, Phir Baaqi Namaaz Padhaayi Aur (Sahw Ke) 2 Sajde Kiye Aur Kaha, Isi Tarah Nabi e Kareem ﷺ Ne Kiya Tha.
Baab, Jisne Sahw Ke 2 Sajdo'n Me'n Tashah'hud Nahee'n Padha, Aur Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Aur Hasan Basri Ne Salaam Phera Aur Tashahhud Nahee'n Padha, (Aur Hadees No.1228 Yeh Hai Ke) Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Ke Rasoolullaah ﷺ Do Rak'at Namaaz Padhaane Ke Ba'ad (Namaaziyo'n Ki Taraf) Mud Gaye To Aap ﷺ Se Hazrat Zul Yadain Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Kya Namaaz Kam Ho Gayi Hai Ya Aap ﷺ Bhool Gaye Hai'n? Pas Rasoolullaah ﷺ Ne Poochha, Kya Zul Yadain Radiallaahu Anhu Ne Sachh Kaha Hai? Logo'n Ne Kaha Ji Haa'n ! Pas Rasoolullaah ﷺ Khade Huwe, Aap ﷺ Ne Allaahu Akbar Kaha, Pas Aap ﷺ Ne Sajdah Kiya, Pehle Sajde Ki Tarah Ya Usse Taweel, Phir Aap ﷺ Ne Sajde Se Sar Uthaaya. Hame'n Sulemaan Bin Harb Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha, Hame'n Hammaad Ne Hadees Bayaan Ki Az Salma Bin Alqamah, Unho'n Ne Kaha, Mai'n Ne Muhammad Se Poochha, Kya Sahw Ke 2 Sajdo'n Me'n Tashah'hud Hai? Unho'n Ne Kaha, Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ki Hadees Me'n Nahee'n Hai.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Zohar Ya Asar Ki Namaazo'n Me'n Se Koi Ek Namaaz Padhaayi, Muhammad Ne Kaha, Mera Zyaadah Gumaan Yeh Hai Ke Woh Asar Ki Namaaz Thi, Aap ﷺ Ne 2 Rak'at Namaaz Padha Kar Salaam Pher Diya, Phir Aap ﷺ Lakdi Ke Ek Sutoon Ki Taraf Khade Ho Gaye Jo Masjid Ke Agle Hisse Me'n Tha, Aap ﷺ Ne Uspar Apna Haath Rakha, Aur Namaaziyo'n Me'n Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Aur Hazrat Umar Radiallaahu Anhu The, Woh Aap ﷺ Se Kalaam Karte Huwe Dare Aur Log Jaldi Jaldi Nikle, Pas Logo'n Ne Arz Kiya, Kya Namaaz Kam Ho Gayi? Aur Ek Shakhs Jinko Rasoolullaah ﷺ Zul Yadain Kehte The Unho'n Ne Arz Kiya, (Ya Rasoolallaah ﷺ) Aap ﷺ Bhool Gaye Hai'n Ya Namaaz Kam Ho Gayi Hai? Aap ﷺ Ne Farmaaya, Na Mai'n Bhoola Hoo'n Aur Na Namaaz Kam Huwi Hai, Unho'n Ne Kaha, Kyu'n Nahee'n ! Tehqeeq Aap Bhool Gaye Hai'n (Ya Rasoolallaah ﷺ), Pas Aap ﷺ Ne 2 Rak'at Padhaayi, Phir Salaam Pher Diya, Phir Aap ﷺ Ne Allaahu Akbar Kaha, Phir Pehle Sajde Ki Misl Ya Usse Taweel Sajdah Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Sajde Se Sar Uthaaya Aur Allaahu Akbar Kaha, Phir Aap ﷺ Ne Apna Sar e Mubaarak Sajde Me'n Rakh Diya Aur Takbeer Kahi Aur Apne Sujood Ki Misl Ya Usse Lamba Sajdah Kiya, Phir Aap ﷺ Ne Apna Sar e Mubaarak Uthaaya Aur Takbeer Kahi.
Hazrat Abdullaah Bin Buhaina Asdi Jo Banu Abdul Muttalib Ke Haleef Hai'n, Woh Bayaan Karte Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Zohar Ki Namaaz Me'n Khade Ho Gaye, Haalaa'nke Aap ﷺ Ko Baithna Tha, Pas Jab Aap ﷺ Ne Namaaz Mukammal Ki To Sahw Ke 2 Sajde Kiye, Phir Har Sajde Keliye Aap ﷺ Ne Baithe Huwe Takbeer Kahi Aur Yeh Salaam Se Pehle Kiya Aur Logo'n Ne Bhi Aap ﷺ Ke Saath In Dono'n Sajdo'n Ko Ada Kiya, Yeh 2 Sajde Uss Baithne Ke Badle Me'n The Jise Aap ﷺ Bhool Gaye The.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Namaaz Ki Azaan Di Jaati Hai To Shaitaan Gooz (Paad) Maarta Huwa Peeth Pher Leta Hai, Hatta Ke Woh Azaan Na Sune, Pas Jab Azaan Poori Ho Jaati Hai To Woh Aa Jaata Hai, Pas Jab Namaaz Ki Iqaamat Kahi Jaati Hai To Phir Peeth Pher Leta Hai, Pas Jab Iqaamat Mukammal Ho Jaati Hai To Woh Aa Jaata Hai, Hatta Ke Insaan Ke Dil Me'n Baate'n Daalta Hai Aur Kehta Hai Fulaa'n Cheez Yaad Kar Aur Fulaa'n Cheez Yaad Kar Jo Usko Yaad Nahee'n Hoti, Hatta Ke Aadmi Ko Pata Nahee'n Chalta Ke Usne Kitni Rak'at Padhi Hai, Pas Jab Tum Me'n Se Kisi Ko Pata Na Chale Ke Usne 3 Rak'at Padhi Hai'n Ya 4 Rak'at Padhi Hai'n To Woh Baithe Huwe (Sahw Ke) 2 Sajde Kare.
Baab, Farz Aur Nafil Me'n Sahw Hona, Aur Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Witr Ke Ba'ad 2 Sajde Kiye, (Aur Hadees No.1232 Yeh Hai Ke) Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Beshak Jab Tum Me'n Se Koi Shakhs Namaaz Padhne Keliye Khada Hota Hai To Shaitaan Uspar Ishtibaah Daal Deta Hai, Hatta Ke Usko Pata Nahee'n Chalta Ke Usne Kitni Rak'aat Padhi Hai'n, Pas Jab Tum Me'n Se Koi Shakhs Iss Kaifiyat Ko Paaye To Woh Baithe Huwe 2 (Sahw Ke) Sajde Kare.
Imaam Bukhaari Riwaayat Karte Hai'n Ke, Hame'n Yahya Bin Sulemaan Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha, Mujhe Ibne Wahab Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha, Mujhe Amro Ne Khabar Di Az Bukair Az Kuraib Ke Hazrat Ibne Abbaas, Hazrat Miswar Bin Makhrama Aur Hazrat Abdur Rahmaan Bin Azhar Radiallaahu Anhum Ne Unhe'n Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Paas Bheja, Pas Unho'n Ne Kaha Ke Tum Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ko Ham Sabki Taraf Se Salaam Kehna Aur Unse Asar Ke Ba'ad 2 Rak'ato'n Ke Muta'alliq Sawaal Karna, Aur Unse Kehna Ke Hame'n Ma'loom Huwa Hai Ke Aap Yeh 2 Rak'ate'n Padhti Hai'n Aur Hamko Yeh Hadees Paho'nchi Hai Ke Nabi e Kareem ﷺ In 2 Rak'ato'n Se Mana Karte The Aur Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Mai'n Hazrat Umar Bin Khattaab Ke Saath Milkar Logo'n Ko In 2 Rak'ato'n Ke Padhne Par Maarta Tha, Kuraib Ne Kaha, Mai'n Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Paas Gaya, Aur Jo Paigaam Dekar Unho'n Ne Mujhe Bheja Tha, Mai'n Ne Hazrat Aa'yesha Siddeeqa Radiallaahu Anha Ko Woh Paigaam Sunaaya, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Farmaaya, Tum Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Se Poochho, Mai'n Ne Un Hazraat Ke Paas Jaakar Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Jawaab Ki Khabar Di, Phir Unho'n Ne Mujhe Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Ke Paas Wohi Paigaam Dekar Bheja Jo Paigaam Dekar Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Paas Bheja Tha, Pas Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Ne Farmaaya, Mai'n Ne Nabi e Akram ﷺ Ko In 2 Rak'at Ke Padhne Se Mana Karte Huwe Suna Hai, Phir Mai'n Ne Dekha Ke Jab Aap ﷺ Asar Ki Namaaz Padhte The To Yeh 2 Rak'at Bhi Padhte The, Phir Aap ﷺ Mere Paas Uss Waqt Aaye Jab Mere Paas Ansaar Me'n Se Bani Haraam Ki Khawaateen Baithi Thee'n, Mai'n Ne Aap ﷺ Ke Paas Ek Baa'ndi Bheji, Mai'n Ne Unse Kaha Ke Tum Aap ﷺ Ke Pehlu Me'n Khadi Ho Jaana Aur Aap ﷺ Se Kehna, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Umme Salma Radiallaahu Anha Aap ﷺ Se Yeh Arz Karti Hai'n Ke Mai'n Ne Aap ﷺ Se Suna Hai Ke Aap ﷺ In 2 Rak'at Ke Padhne Se Mana Farmaate Hai'n Aur Mai'n Ne Aap ﷺ Ko Yeh 2 Rak'at Padhte Huwe Dekha Hai, Pas Agar Aap ﷺ Apne Haath Se Ishaarah Kare'n To Tum Peechhe Hat Jaana, Pas Uss Baa'ndi Ne Aisa Kiya, Aap ﷺ Ne Apne Haath Se Ishaarah Kiya To Woh Baa'ndi Peechhe Hat Gayi, Pas Jab Aap ﷺ Namaaz Se Faarig Ho Gaye To Aap ﷺ Ne Farmaaya, Aye Abu Umayya Ki Beti ! Tumne Asar Ke Ba'ad Ki 2 Rak'at Ke Muta'alliq Sawaal Kiya Hai, Iski Wajah Yeh Hai Ke Mere Paas Abdul Qais Ka Wafad Aaya Tha, Unho'n Ne Mujhe Zohar Ke Ba'ad 2 Rak'at Padhne Se Mashgool Rakha, So Woh 2 Rak'at Hai'n (Matlab Yeh Hai Ke Aap ﷺ Ne Wafad Abdul Qais Ko Ta'leem Dene Ki Wajah Se Zohar Ki Sunnate'n Nahee'n Padhi Thi Jo Aapne Ba'ad Me'n Padhee'n, Isi Wajah Se Shub'ha Paida Huwa Tha Jo Aap ﷺ Ne Khulaasa Kar Diya).
Baab, Namaaz Me'n Ishaarah Karna, Iska Zikr Kuraib Ne Kiya Az Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Az Nabi e Kareem ﷺ. Hazrat Sahl Bin Sa'ad Saa'idi Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ko Yeh Khabar Paho'nchi Ke Banu Amro Bin Auf Ke Darmiyaan Kuchh Ranjish Hai, Pas Rasoolullaah ﷺ Chand As'haab Ke Saath Unke Darmiyaan Sulah Karaane Keliye Nikle, Pas Rasoolullaah ﷺ Ko Wahaa'n Taakheer Ho Gayi, Aur Udhar Namaaz Ka Waqt Aa Gaya, To Hazrat Bilaal Radiallaahu Anhu Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Ke Paas Aaye, Pas Unho'n Ne Kaha, Aye Abu Bakar ! Beshak Rasoolullaah ﷺ Ko Wahaa'n Taakheer Ho Gayi Hai, Aur Namaaz Ka Waqt Aa Gaya Hai, Pas Aapki Kya Raaye Hai Ke Aap Logo'n Ko Namaaz Padhaaye'n, Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Haa'n Agar Tum Chaaho, Pas Hazrat Bilaal Radiallaahu Anhu Ne Iqaamat Kahi, Aur Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Aage Badh Gaye, Pas Logo'n Keliye Allaahu Akbar Kaha, Pas Rasoolullaah ﷺ Aa Gaye, Aap ﷺ Safo'n Me'n Chalte Huwe Aaye, Hatta Ke Pehli Saf Me'n Khade Ho Gaye, Phir Log Taaliyaa'n Bajaane Lage Aur Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Namaaz Me'n Idhar Udhar Iltefaat Nahee'n Karte The, Phir Jab Logo'n Ne Bahot Zyaadah Taaliyaa'n Bajaayee'n, To Unho'n Ne Dekha Ke Rasoolullaah ﷺ Hai'n, Pas Rasoolullaah ﷺ Ne Unko Ishaare Se Yeh Hukm Diya Ke Woh Namaaz Padhaate Rahe'n, Phir Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Ne Apne Dono'n Haath Buland Kiye, Pas Allaah Ka Shukr Ada Kiya Aur Apni Aediyo'n Ke Bal Peechhe Laute, Hatta Ke Saf Me'n Khade Ho Gaye, Phir Rasoolullaah ﷺ Aage Badh Gaye, Aur Aap ﷺ Ne Logo'n Ko Namaaz Padhaayi, Pas Jab Aap ﷺ Namaaz Se Faarig Ho Gaye To Namaaziyo'n Ki Taraf Mude, Pas Farmaaya, Aye Logo ! Tumhe'n Kya Huwa Jab Tumhe'n Namaaz Me'n Koi Cheez Achaanak Pesh Aa Jaaye Tum Taaliyaa'n Bajaate Ho, Taaliyaa'n Bajaana Sirf Aurato'n Keliye Jaa'iz Hai Jis Shakhs Ko Uski Namaaz Me'n Achaanak Koi Cheez Pesh Aa Jaaye To Usko Sub'haan Allaah Kehna Chaahiye, Kyu'nke Jab Woh Sub'haan Allaah Kahega To Jo Shakhs Bhi Usko Sunega Woh Mutawajjeh Hoga, Aye Abu Bakar ! Jab Mai'n Ne Tumko Namaaz Padhaate Rehne Ka Ishaarah Kiya Tha To Tumko Namaaz Padhaate Rehne Se Kisne Mana Kiya Tha? Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Ne Arz Kiya, Abu Quhaafa Ke Bete Keliye Yeh Laayeq Nahee'n Hai Ke Woh Rasoolullaah ﷺ Ke Saamne Namaaz Padhaata Rahe.
Hazrat Asma Radiallaahu Anha Ne Kaha, Mai'n Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Paas Gayi Aur Woh Khadi Huwi Namaaz Padh Rahi Thee'n, Aur Deegar Namaazi Khade Huwe The, Mai'n Ne Poochha, Logo'n Ko Kya Huwa Hai? To Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Sar Se Aasmaan Ki Taraf Ishaarah Kiya, Mai'n Ne Poochha, Yeh Koi Alaamat Hai? To Unho'n Ne Sar Se Ishaarah Kiya Ya'ni Haa'n !
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Nabi e Kareem ﷺ Ki Beewi Woh Bayaan Karti Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Beemaar The To Aap ﷺ Ne Apne Ghar Me'n Baith Kar Namaaz Padhi, Aur Logo'n Ne Aap ﷺ Ke Peechhe Khade Hokar Namaaz Padhi To Aap ﷺ Ne Unki Taraf Ishaarah Kiya Ke Woh Baith Jaaye'n, Pas Jab Aap ﷺ Namaaz Se Faarig Huwe To Aap ﷺ Ne Farmaaya, Imaam Sirf Isliye Banaaya Jaata Hai Ke Uski Iqteda Ki Jaaye, Pas Jab Woh Ruku Kare To Tum Ruku Karo Aur Jab Woh Ruku Se Sar Uthaaye To Tum Ruku Se Sar Uthaao.
Bukhari Shareef : Kitaabus Sahw
|
Bukhari Shareef : کتاب السهو
|
•