
Lailatul Qadr Ki Fazeelat Ka Bayaan. Baab - Lailatul Qadr Ki Fazeelat. Aur Allaah Paak Ka Yeh Irshaad, Beshak Hamne Ise Shabe Qadar Me'n Utaara, Aur Tumne Kya Jaana Kya Shabe Qadar, Shab e Qadar 1000 Maheeno'n Se Behtar, Isme'n Farishte Aur Jibra'eel Utarte Hai'n Apne Rab Ke Hukm Se Har Kaam Keliye, Woh Salaamati Hai Subah Chamakne Tak. (Suratul Qadar) Sufiyaan Bin Uyaiyna Ne Kaha, Qur'aan Majeed Me'n Jis Jagah "Aap Kya Samjhe" Aaya Hai To Allaah Paak Ne Uska Ilm Aapko Bata Diya Hai Aur Jis Jagah "Aap Kya Samjhe'nge" Aaya Hai Uska Ilm Aap Ko Nahee'n Bataaya, Note - Yahaa'n Bukhaari Shareef Me'n Jo Yeh Naqal Kiya Gaya Hai Ke "Aur Jis Jagah" Aap Kya Samjhe'nge" Aaya Hai Uska Ilm Aapko Nahee'n Bataaya, Uske Muta'alliq Haafiz Ibne Hajar Likhte Hai'n, Mai'n Ne Hafiz Ziya Ki Likhi Huwi Tafseer Ibne Uyaiyna Ko Dekha Hai Usme'n Yeh Ibaarat Nahee'n Hai, (Fat'hul Baari, Jild No.3, Safha No.506, Daarul Ma'arfa, Bairoot) Aur Allaama Badruddeen Ayni Alaihir Rahma Likhte Hai'n, Iss Ibaarat Se Be Adabi Zaahir Hoti Hai, Haafiz Ziya Ke Likhe Huwe Nuskhe Me'n Iss Ibaarat Ka Na Milna Isko Kab Mustalzam Hai Ke Tafseer Ibne Uyaiyna Ke Kisi Nuskhe Me'n Yeh Ibaarat Na Ho, Aakhir Imaam Bukhaari Ne Kisi Na Kisi Nuskhe Se To Yeh Ibaarat Naqal Ki Hai, (Umdatul Qaari, Jild No.11, Safha No.180, Daaarul Kutub Ilmiya, Bairoot), Kehna Yeh Hai Ke Bukhaari Ki Iss Ibaarat (Aur Jis Jagah "Aap Kya Samjhe'nge" Aaya Hai Uska Ilm Aapko Nahee'n Bataaya) Ko Pesh Karke Ya Padh Kar Koi Yeh Na Samjhe Ke Huzoor Ko In Baato'n Ka Ilm Nahee'n Diya Gaya, Balke Yahaa'n Aehtemaal Waaqe Ho Gaya Ke Ma'loom Nahee'n Yeh Ibaarat Ibne Uyaiyna Ki Tafseer Me'n Thi Ke Nahee'n Ya Imaam Bukhaari Se Naqal Me'n Galti Waaqe Ho Gayi Kuchh Bhi Ho Sakta Hai, Magar Ham Itna Kehte Hai'n Jab Aehtemaal Waaqe Ho Gaya Jaisa Ke Allaama Ibne Hajar Aur Allaama Ayni Ki Tashreehaat Upar Dekh Chuke Is Hawaale Se To Ham Kehte Hai'n Jab Kisi Baat Par Aehtemaal Waaqe Ho To Usse Istedlaal Durust Nahee'n Hai. Hadees - Riwaayat Hai Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Jis Shakhs Ne Imaan Ke Saath Aur Sawaab Ki Niyat Se Ramzaan Ke Maheene Ka Rozah Rakha Uske Pichhle Gunaah Mu'aaf Kardiye Jaaye'nge Aur Jis Shakhs Ne Imaan Ke Saath Aur Sawaab Ki Niyat Se Shabe Qadar Me'n Qayaam Kiya Uske (Bhi) Pichhle Gunaah Mu'aaf Kar Diye Jaaye'nge, Iss Hadees Ki Riwaayat Me'n Sufiyaan Ki Mutaabe'at Sulemaan Bin Kaseer Ne Ki Hai Az Zohri.
Baab - Aakhri Saath Raato'n Me'n Shabe Qadar Ko Talaash Karna. Riwaayat Hai Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhu Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ke As'haab Me'n Se Kuchh Logo'n Ko Lailatul Qadr Aakhri Saat Dino'n Me'n Khwaab Me'n Dikhaayi Gayi To Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Mai'n Dekhta Hoo'n Ke Tumhaara Khwaab Aakhri Saat Dino'n Ke Muwaafiq Ho Gaya Hai, Pas Jo Shakhs Lailatul Qadar Ko Talaash Karne Waala Ho Woh Usko Aakhri Saat Dino'n Me'n Talaash Kare.
Ibne Salma Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Hazrat Abu Sa'eed Radiallaahu Anhu Se Sawaal Kiya Aur Woh Mere Dost The, Unho'n Ne Kaha Ke Hamne Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Ramzaan Ke Darmiyaani Ashre Me'n Ae'tekaaf Kiya, So Nabi e Kareem ﷺ Beeswe Roze Ki Subah Ko Baahar Nikle, Pas Aapne Hame Khutba Diya Aur Farmaaya, Pas Beshak Mujhe Shabe Qadar Dikhaayi Gayi Thi, Phir Mujhe Woh Bhula Di Gayi, Ya Mai'n Usko Bhool Gaya, Pas Tum Usko Aakhri Ashre Ki Taaq Raato'n Me'n Talaash Karo Aur Beshak Mai'n Ne Khwaab Me'n Dekha Ke Mai'n Paani Aur Mitti Me'n Sajdah Kar Raha Hoo'n, Pas Jisne Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Ae'tekaaf Kiya Hai, Woh Waapas Chala Jaaye, So Ham Waapas Gaye Aur Ham Aasmaan Me'n Koi Baadal Nahee'n Dekh Rahe The, Pas Achaanak Ek Baadal Aaya Aur Woh Barasne Laga Hatta Ke Masjid Ki Chhat Tapakne Lagi Aur Masjid Ki Chhat Khajoor Ke Darakht Ki Shaakho'n Se Bani Huwi Thi Aur Namaaz Qaayem Ki Gayi, Pas Mai'n Ne Dekha Ke Rasoolullaah ﷺ Paani Aur Mitti Me'n Sajdah Kar Rahe The Hatta Ke Mai'n Ne Aapki Peshaani Par Mitti Ke Nishaan Dekhe.
Baab - Shabe Qadar Ko Ramzaan Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato'n Me'n Talaash Karna. Iss Unwaan Ke Muta'alliq Hazrat Ubaadah Bin Saamit Radiallaahu Anhu Ki Riwaayat Hai. Hadees - Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Rasoole Akram ﷺ Ne Farmaaya, Shabe Qadar Ko Ramzaan Ke Maheene Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato'n Me'n Talaash Karo.
Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Rasoole Akram ﷺ Ramzaan Ke Maheene Ke Darmiyaani Ashre Me'n Ae'tekaaf Me'n Baithte The, 20 Raato'n Ke Guzarne Ke Baad Jab 21vi Raat Aati To Aap Shaam Ko Ghar Laut Jaate Aur Sahaaba Aapke Saath Ae'tekaaf Me'n Hote The, Woh Bhi Apne Gharo'n Ko Laut Jaate The, Aur Ramzaan Ke Ek Maheene Me'n Jab Aap Ae'tekaaf Me'n The To Jis Raat Me'n Aapko Ghar Jaane Ki Aa'dat Thi Usme'n Aapne Logo'n Ko Khutba Diya, Phir Allaah Paak Ne Jo Chaaha Aapne Unko Hukm Diya, Phir Aapne Farmaaya, Mai'n Iss (Darmiyaani) Ashre Me'n Ae'tekaaf Kiya Karta Tha, Phir Ab Mujh Ko Yeh Ma'loom Huwa Hai Ke Mujhe Is Maheene Ke Aakhri Ashre Me'n Ae'tekaaf Karna Chaahiye, Lehaaza Jo Log Mere Saath Ae'tekaaf Me'n Baithe The Woh Apni Ae'tekaaf Gaah Me'n Rahe'n Aur Iss Raat Me'n Shabe Qadar Dikhaayi Gayi Thi, Phir Bhula Di Gayi, So Ab Tum Usko Aakhri Ashre Ki Raato'n Me'n Talaash Karo Aur Usko Har Taaq Raat Me'n Talaash Karo, Aur Mai'n Ne Khwaab Me'n Dekha Ke Mai'n Paani Aur Mitti Me'n Sajdah Kar Raha Hoo'n, Aur Hazrat Abu Sa'eed Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Uss Raat Aasmaan Par Abar Chha Gaya, Phir Baarish Huwi Aur Nabi e Kareem ﷺ Ki Namaaz Ki Jagah Par Chhat Tapakne Lagi, Yeh 21vi Raat Ka Waaqe'ah Hai, Mai'n Ne Khud Apni Aa'nkho'n Se Dekha Ke Nabi e Kareem ﷺ Subah Ki Namaaz Ke Ba'ad Waapas Ja Rahe The, Aur Aapke Mubaarak Chehre Par Keechad Aur Paani Laga Huwa Tha.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, (Shabe Qadar Ko) Talaash Karo.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ramzaan Ke Maheene Ke Aakhri Ashre Ki Raato'n Me'n Ae'tekaaf Me'n Baithte The Aur Farmaate The Ke Ramzaan Ke Maheene Ke Aakhri Ashre Ki Raato'n Me'n Shabe Qadar Ko Talaash Karo.
Hazrat Abdullaah Bin Abbaas Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Shabe Qadar Ko Ramzaan Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato'n Me'n Talaash Karo, Ya'ni Jab Nav Din Baaqi Ho'n, Jab Saat Din Baaqi Ho'n Aur Jab Paa'nch Din Baaqi Ho'n.
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Shabe Qadar Ramzaan Ke Aakhri Ashre Ki Raato'n Me'n Hoti Hai, Jab Nav Raate'n Guzar Jaaye Ya Jab Saat Raate'n Baaqi Reh Jaaye, Ya'ni Shabe Qadar Me'n, Waheeb Ki Abdul Wahaab Ne Mutaabe'at Ki Hai Az Ayyoob Aur Az Khaalid Az Ikrama Az Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhu Ne Kaha Ke 24vi Raat Me'n Shabe Qadar Ko Talaash Karo.
Baab - Logo'n Ke Jhagadne Ki Wajah Se Shabe Qadar Ki Ma'refat Ka Utha Liya Jaana. Hazrat Ubaadah Bin Saamit Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Baahar Nikle Taake Hame'n Shabe Qadar Ki Khabar De'n, Pas Do Musalmaan Shakhs Ladh Rahe The, Pas Aapne Farmaaya, Mai'n Tumhe'n Shabe Qadar (Ki Ta'ayyun) Ki Khabar Dene Nikla Tha To Fulaa'n Aur Fulaa'n Lad Pade, So Iski (Ta'ayyun) Utha Li Gayi, Aur Ho Sakta Hai Isme'n Tumhaare Liye Khair Ho, Lehaaza Tum 29vi, 27vi Aur 25vi Taareekh Me'n Shabe Qadar Talaash Karo.
Baab - Ramzaan Ke Maheene Ke Aakhri Ashre Me'n Amal Karna. Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Jab Aakhri Ashrah Daakhil Hota To Nabi e Kareem ﷺ Apna Tehband (Kas Kar) Baa'ndh Lete Aur Uss Raat Ko Zindah Rakhte Aur Apne Ghar Waalo'n Ko Bedaar Karte.
Bukhari Shareef : Kitaabu Fazlu Lailatil Qadr
|
Bukhari Shareef : كِتَابٌ فَضْلُ لَيْلَةِ الْقَدْرِ
|
•