
Kitaab - Sulah Ka Bayaan. Baab - Logo'n Ke Darmiyaan Sulah Karaana. Aur Allaah Paak Ka Irshaad Hai, Unke Aksar Mashwaro'n Me'n Kuchh Bhalaayi Nahee'n Magar Jo Hukm De Khairaat Ya Achchhi Baat Ya Logo'n Me'n Sulah Karne Ka Aur Jo Allaah Ki Raza Chaahne Ko Aisa Kare Use Anqareeb Ham Bada Sawaab De'nge. (Sureh Nisa, Aayat No.114) Aur Sarbaraah Ka Apne As'haab Ke Saath Logo'n Ke Darmiyaan Sulah Karaane Keliye Mukhtalif Jagho'n Par Jaana. Hazrat Sahal Bin Sa'ad Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke (Quba Ke) Banu Amro Bin Auf Me'n Aapas Me'n Kuchh Takraar Ho Gayi Thi To Rasoolullaah ﷺ Apne Kayi As'haab Ko Saath Lekar Unke Yahaa'n Unme'n Sulah Karaane Keliye Gaye Aur Namaaz Ka Waqt Ho Gaya, Lekin Nabi e Kareem ﷺ Tashreef Na La Sake, Chunaanche Hazrat Bilaal Radiallaahu Anhu Ne Aage Badh Kar Azaan Di, Abhi Tak Choo'nke Nabi e Kareem ﷺ Tashreef Nahee'n Laaye The Isliye Woh (Nabi e Kareem ﷺ Hi Ki Hidaayat Ke Mutaabiq) Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Ke Paas Aaye Aur Unse Kaha Ke Nabi e Kareem ﷺ Wahee'n Ruk Gaye Hai'n Aur Namaaz Ka Waqt Ho Gaya Hai, Kya Aap Logo'n Ko Namaaz Padha De'nge? Unho'n Ne Kaha Ke Haa'n Agar Tum Chaaho, Uske Ba'ad Hazrat Bilaal Radiallaahu Anhu Ne Namaaz Ki Takbeer Kahi Aur Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Aage Badhe, (Namaaz Ke Darmiyaan) Nabi e Kareem ﷺ Safo'n Ke Darmiyaan Se Guzarte Huwe Pehli Saf Me'n Aa Paho'nche, Log Baar Baar Haath Par Haath Maarne Lage, Magar Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Namaaz Me'n Kisi Doosri Taraf Mutawajjeh Nahee'n Hote The, (Magar Jab Baar Baar Aisa Huwa To) Aap Mutawajjeh Huwe Aur Ma'loom Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Aapke Peechhe Hai'n, Nabi e Kareem ﷺ Ne Apne Haath Ke Ishaare Se Unhe'n Hukm Diya Ke Jis Tarah Woh Namaaz Padha Rahe Hai'n, Use Jaari Rakhe'n, Lekin Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Ne Apna Haath Utha Kar Allaah Ki Hamd Bayaan Ki Aur Ulte Paao'n Peechhe Aagaye Aur Saf Me'n Mil Gaye, Phir Nabi e Kareem ﷺ Aage Badhe Aur Namaaz Padhaayi, Namaaz Se Faarig Hokar Nabi e Kareem ﷺ Logo'n Ki Taraf Mutawajjeh Huwe Aur Unhe'n Hidaayat Ki Ke Aye Logo ! Jab Namaaz Me'n Koi Baat Pesh Aati Hai To Tum Haath Par Haath Maarne Lagte Ho, Haath Par Haath Maarna Aurato'n Keliye Hai (Mardo'n Ko) Jiski Namaaz Me'n Koi Baat Pesh Aaye To Use Sub'haan Allaah Kehna Chaahiye, Kyu'nke Yeh Lafz Jo Bhi Sunega Woh Mutawajjeh Ho Jaayega, Aye Abu Bakar ! Jab Mai'n Ne Ishaarah Bhi Kar Diya Tha To Phir Aap Logo'n Ko Namaaz Kyu'n Nahee'n Padhaate Rahe? Unho'n Ne Arz Kiya, Abu Quhaafa Ke Bete Keliye Yeh Baat Munaasib Na Thi Ke Woh Rasoolullaah ﷺ Ke Hote Huwe Namaaz Padhaaye.
Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Se Arz Kiya Gaya, Agar Aap Abdullaah Bin Ubayi (Munaafiq) Ke Yahaa'n Tashreef Le Chalte To Behtar Tha, Nabi e Kareem ﷺ Uske Yahaa'n Ek Gadhe Par Sawaar Hokar Tashreef Le Gaye, Sahaaba e Kiraam Ridwaanullaahi Alaihim Ajma'een Paidal Nabi e Kareem ﷺ Ke Hamraah The, Jidhar Se Nabi e Kareem ﷺ Guzar Rahe The Woh Shor Waali Zameen Thi, Jab Nabi e Kareem ﷺ Uske Yahaa'n Paho'nche To Woh Kehne Laga, Zara Aap Door Hi Rahiye Aapke Gadhe Ki Boo (Smell) Ne Mera Dimaag Pareshaan Kar Diya Hai, Uspar Ek Ansaari Sahaabi Bole Ke Allaah Ki Qasam ! Rasoolullaah ﷺ Ka Gadha Tujhse Zyaadah Khusbudaar Hai, Abdullaah (Munaafiq) Ki Taraf Se Uski Qaum Ka Ek Shakhs Uss Sahaabi Ki Uss Baat Par Gussa Ho Gaya Aur Dono'n Ne Ek Doosre Ko Bura Bhala Kaha, Phir Dono'n Taraf Se Dono'n Ke Himaayati Mushta'il Ho Gaye Aur Haatha Paayi, Chhadi Aur Joote Tak Naubat Paho'nch Gayi, Hame'n Ma'loom Huwa Hai Ke Yeh Aayat Usi Mauqe Par Naazil Huwi Thi, Tarjuma - Aur Agar Musalmaano'n Ke Do Giroh Aapas Me'n Lade'n To Unme'n Sulah Karaao. (Sureh Hujuraat, Aayat No.9)
Baab - Jo Shakhs Logo'n Ke Darmiyaan Sulah Karaaye Woh Jhoota Nahee'n Hai. Humaid Bin Abdur Rahmaan Ne Khabar Di Ke Unki Waalidah Umme Kulsum Binte Uqba Ne Unhe'n Khabar Di Aur Unho'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Yeh Farmaate Suna Tha Ke Jhoota Woh Nahee'n Hai Jo Logo'n Me'n Baaham Sulah Karaane Ki Koshish Kare Aur Uske Liye Kisi Achchhi Baat Ki Chugli Khaaye Ya Usi Silsile Ki Aur Koi Achchhi Baat Keh De.
Baab - Sarbaraah Apne As'haab Se Kahe Hame'n Sulah Karaane Keliye Le Chalo. Hazrat Sahal Bin Sa'ad Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Quba Ke Logo'n Ne Aapas Me'n Jhagda Kiya Aur Naubat Yahaa'n Tak Paho'nchi Ke Ek Ne Doosre Par Pat'thar Phe'nke, Nabi e Kareem ﷺ Ko Jab Uski Ittela Di Gayi To Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Chalo Ham Unme'n Sulah Karaaye'nge.
Baab - Allaah Paak Ka Irshaad Hai, (Khaawind Aur Beewi) Aapas Me'n Sulah Karle'n Aur Sulah Khoob Hai. (Sureh Nisa, Aayat No.128) Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne (Allaah Paak Ke Iss Farmaan Ki Tafseer Me'n Farmaaya), Tarjuma - Aur Agar Koi Aurat Apne Shauhar Se Zyaadati Aur Be Ragbati Ka Andesha Kare. (Sureh Nisa, Aayat No.128), To Isse Muraad Aisa Shauhar Hai Jo Apni Beewi Me'n Aisi Cheeze'n Paaye Jo Use Pasand Na Ho'n, Umar Ki Zyaadati Wagairah Aur Isliye Use Apne Se Juda Karna Chaahta Ho Aur Aurat Kahe Ke Mujhe Juda Na Karo (Nafqa Wagairah) Jis Tarah Tum Chaaho Dete Rehna, To Unho'n Ne Farmaaya Ke Agar Dono'n Uspar Raazi Ho Jaaye'n To Koi Harj Nahee'n Hai.
Baab - Agar Fareeqain Zulm Par Sulah Karle To Woh Sulah Mardood. Ubaidullaah Bin Abdullaah Ne Bayaan Kiya Ke Unse Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Aur Hazrat Zaid Bin Khaalid Juhani Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Ek Dehaati Aaya Aur Arz Kiya, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Hamaare Darmiyaan Kitaabullaah Se Faisla Kar Deejiye, Doosre Fareeq Ne Bhi Yehi Kaha Ke Usne Sach Kaha Hai, Aap Hamaara Faisla Kitaabullaah Ke Mutaabiq Karde'n, Dehaati Ne Kaha Ke Mera Ladka Uske Yahaa'n Mazdoor Tha, Phir Usne Uski Beewi Se Zina Kiya, Qaum Ne Kaha Tumhaare Ladke Ko Rajam Kiya Jaayega, Lekin Mai'n Ne Apne Ladke Ke Iss Jurm Ke Badle Me'n 100 Bakriyaa'n Aur Ek Baa'ndi Dedi, Phir Mai'n Ne Ilm Waalo'n Se Poochha To Unho'n Ne Bataaya Ke Iske Siwa Koi Soorat Nahee'n Ke Tumhaare Ladke Ko 100 Kode Lagaaye Jaaye'n Aur Ek Saal Keliye Mulk Badar Kar Diya Jaaye, Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Mai'n Tumhaara Faisla Kitaabullaah Hi Se Karoo'nga, Baa'ndi Aur Bakriyaa'n To Tumhe'n Waapas Lauta Di Jaati Hai'n, Albatta Tumhaare Ladke Ko 100 Kode Lagaaye Jaaye'nge Aur Ek Saal Keliye Mulk Badar Kiya Jaayega Aur Unais Tum (Yeh Qabeela Aslam Ke Sahaabi The) Uss Aurat Ke Ghar Jaao Aur Use Rajam Kardo (Agar Woh Zina Ka Iqraar Karle), Chunaanche Unais Gaye, Aur (Choo'nke Usne Bhi Zina Ka Iqraar Karliya Tha Isliye) Use Rajam Kardiya.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Rasoole Akram ﷺ Ne Farmaaya, Jisne Hamaare Iss Deen Me'n Koi Aisi Nayi Cheez Ijaad Ki Jo Iss Deen Me'n Nahee'n Thi To Mardood Hai. Is Hadees Ko Abdullaah Bin Ja'far Makhrami Aur Abdul Waahid Bin Abi Aun Ne Az Sa'ad Bin Ibraaheem Riwaayat Kiya Hai. Tashreeh - Deen Me'n Nayi Cheez Ijaad Karne Ka Matlab Bayaan Karte Huwe Allaama Badruddeen Ayni Sharah Bukhaari Umdatul Qaari Me'n Farmaate Hai'n Ke, Iss Hadees Me'n Mazkoor Hai Ke, Jisne Hamaare Iss Amar Me'n Ahdaas Kiya, Nabi Ke Aamir Me'n Ahdaas Ka Ma'ni Yeh Hai Ke Aap Alaihissalaam Ke Deen Me'n Kisi Aise Naye Kaam Ka Irtekaab Kiya Jaaye Jiski Asal Kitaab Wa Sunnat Me'n Na Ho, Aur Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Aisa Kaam Mardood Hai Ya'ni Woh Baatil Hai Aur Qaabile Shumaar Nahee'n Hai, Isse Un Bid'aat Ka Radd Maqsood Hai Jinki Asal Deen Me'n Nahee'n Hai. (Umdatul Qaari Jild No.13, Safha No.274)
Baab - Sulah Naama Kis Tarah Likha Jaayega? (Kya Iss Tarah Ke) Yeh Woh Sulah Naama Hai Jispar Fulaa'n Bin Fulaa'n Ne Sulah Ki Khwaah Uske Qabeele Ya Nasab Ki Taraf Nisbat Na Ki Ho. Saheeh Bukhaari Kitaab - Sulah Ka Bayaan Hazrat Bara Bin Aa'zib Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Jab Rasoolullaah ﷺ Ne Hudaibiya Ki Sulah (Quraish Se) Ki To Dastaawez Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Ne Likhi Thi, Unho'n Ne Usme'n Likha Muhammad Allaah Ke Rasool (ﷺ) Ki Taraf Se, Mushrikeen Ne Uspar Ae'teraaz Kiya Ke Lafz Muhammad Ke Saath Rasoolullaah Na Likho, Agar Aap (Hamaare Nazdeek) Rasoolullaah Hote To Ham Aapse Ladte Hi Kyu'n? Nabi e Kareem ﷺ Ne Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Se Farmaaya, Rasoolullaah Ka Lafz Mitaado, Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Ne Kaha Ke Mai'n Ne Kaha Ke Mai'n To Ise Nahee'n Mita Sakta, To Nabi e Kareem ﷺ Ne Khud Apne Haath Se Woh Lafz Mita Diya Aur Mushrikeen Ke Saath Iss Shart Par Sulah Ki Ke Aap Apne As'haab Ke Saath (Aa'indah Saal) Teen Din Keliye Makka Aaye'n Aur Hathiyaar Miyaan Me'n Rakh Kar Daakhil Ho'n, Shaagirdo'n Ne Poochha Ke Julubbaanis Silaah (Jiska Yahaa'n Zikr Hai) Kya Cheez Hoti Hai? To Unho'n Ne Bataaya Ke Miyaan Aur Jo Cheez Uske Andar Hoti Hai.(Uska Naam Julubbaan Hai).
Hazrat Bara Bin Aa'zib Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Zee Qa'dah Ke Maheene Me'n Umrah Ka Aehraam Baa'ndha, Lekin Makka Waalo'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Shaher Me'n Daakhil Nahee'n Hone Diya, Aakhirkaar Sulah Ispar Huwi Ke (Aa'indah Saal) Nabi e Kareem ﷺ Makka Me'n Teen Roz Qayaam Kare'nge, Jab Sulah Naama Likha Jaane Laga To Usme'n Likha Gaya Ke Yeh Woh Sulah Naama Hai Jo Muhammad Rasoolullaah ﷺ Ne Kiya Hai, Lekin Mushrikeen Ne Kaha Ke Ham To Ise Nahee'n Maante, Agar Hame'n Yaqeen Ho Jaata Ke Aap Allaah Ke Rasool Hai'n To Ham Aapko Na Rokte, Lekin Aap Muhammad Bin Abdullaah Hai'n, Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya Ke Mai'n Rasoolullaah Bhi Hoo'n Aur Muhammad Bin Abdullaah Bhi Hoo'n, Uske Ba'ad Nabi e Kareem ﷺ Ne Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Se Farmaaya Ke Rasoolullaah Ka Lafz Mitaado, Unho'n Ne Arz Kiya Nahee'n Allaah Ki Qasam ! Mai'n To Yeh Lafz Kabhi Na Mitaau'nga, Aakhir Nabi e Kareem ﷺ Ne Khud Dastaawez Li Aur Likha Ke Yeh Uski Dastaawez Hai Ke Muhammad Bin Abdullaah Ne Iss Shart Par Sulah Ki Hai Ke Makka Me'n Woh Hathiyaar Miyaan Me'n Rakhe Bagair Daakhil Na Ho'nge, Agar Makka Ka Koi Shakhs Unke Saath Jaana Chaahega To Woh Use Saath Na Le Jaaye'nge, Lekin Agar Unke As'haab Me'n Se Koi Shakhs Makka Me'n Rehna Chaahega To Use Woh Na Roke'nge, Jab (Aa'indah Saal) Nabi e Kareem ﷺ Makka Tashreef Legaye Aur (Makka Me'n Qayaam Ki) Muddat Poori Ho Gayi To Quraish Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Ke Paas Aaye Aur Kaha Ke Apne Saahib Se Kahiye Ke Muddat Poori Ho Gayi Hai Aur Ab Woh Hamaare Yahaa'n Se Chale Jaaye'n, Chunaanche Nabi e Kareem ﷺ Makka Se Rawaana Hone Lage, Uss Waqt Hazrat Hamzah Radiallaahu Anhu Ki Ek Bachchi Chacha Chacha Karti Huwi Aayee'n, Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Ne Unhe'n Apne Saath Leliya, Phir Hazrat Faatima Radiallaahu Anha Ke Paas Haath Pakad Kar Laaye Aur Farmaaya, Apni Chacha Zaad Bahen Ko Bhi Saath Lelo, Unho'n Ne Usko Apne Saath Sawaar Karliya, Phir Hazrat Ali Radiallaahu Anhu, Hazrat Zaid Radiallaahu Anhu Aur Hazrat Ja'far Radiallaahu Anhu Ka Jhagda Huwa, Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya Ke Iska Mai'n Zyaadah Mustahiq Hoo'n, Yeh Mere Chacha Ki Bachchi Hai, Hazrat Ja'far Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya Ke Yeh Mere Bhi Chacha Ki Bachchi Hai Aur Iski Khaala Mere Nikaah Me'n Bhi Hai'n, Hazrat Zaid Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya Ke Mere Bhaayi Ki Bachchi Hai, Nabi e Kareem ﷺ Ne Bachchi Ki Khaala Ke Haq Me'n Faisla Kiya Aur Farmaaya Ke Khaala Maa'n Ki Jagah Hoti Hai, Phir Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Se Farmaaya Ke Tum Mujhse Ho Aur Mai'n Tumse Hoo'n, Hazrat Ja'far Radiallaahu Anhu Se Farmaaya Ke Tum Soorat Aur Aa'daat Wa Akhlaaq Sab Me'n Mujhse Mushaaba Ho, Hazrat Zaid Radiallaahu Anhu Se Farmaaya Ke Tum Hamaare Bhaayi Bhi Ho Aur Hamaare Maula Bhi.
Baab - Mushrikeen Ke Saath Sulah Ka Bayaan. Iss Baab Me'n Hazrat Abu Sufiyaan Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai. Aur Hazrat Auf Bin Maalik Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Rasoole Akram ﷺ Ne Farmaaya, Phir Tumhaare Aur Romiyo'n Ke Darmiyaan Sulah Ho Jaayegi. Aur Iss Baab Me'n Sahal Bin Hunaif Radiallaahu Anhu Ki Riwaayat Hai. Aur Hazrat Asma Radiallaahu Anha Aur Hazrat Miswar Radiallaahu Anhu Ne Bhi Iss Baab Me'n Nabi e Kareem ﷺ Se Hadees Riwaayat Ki Hai. Hazrat Bara Bin Aa'zib Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Hudaibiya Ke Din Mushrikeen Se Teen Baato'n Par Sulah Ki (1) Yeh Ke Mushrikeen Me'n Se Agar Koi Aadmi Nabi e Kareem ﷺ Ke Paas Aajaaye To Nabi e Kareem ﷺ Use Waapas Karde'nge, Lekin Agar Musalmaano'n Me'n Se Koi Mushrikeen Ke Yahaa'n Panaah Lega To Yeh Log Aise Shakhs Ko Waapas Nahee'n Kare'nge, (2) Yeh Ke Nabi e Kareem ﷺ Aa'indah Saal Makka Aa Sake'nge Aur Sirf Teen Din Thehre'nge, (3) Yeh Ke Hathiyaar, Talwaar, Teer Wagairah Niyaam Aur Turkash Me'n Daal Kar Hi Makka Me'n Daakhil Ho'nge, Chunaanche Hazrat Abu Jandal Radiallaahu Anhu (Jo Musalmaan Ho Gaye The Aur Quraish Ne Unko Qaid Kar Rakha Tha) Bediyo'n Ko Ghaseet'te Huwe Aaye, To Nabi e Kareem ﷺ Ne Unhe'n (Sharaa'ite Mu'aahedah Ke Mutaabiq) Mushriko'n Ko Waapas Kar Diya, Imaam Bukhaari Rahimahullaah Ne Kaha Ke Mu'ammal Ne Sufiyaan Se Abu Jandal Ka Zikr Nahee'n Kiya Hai Aur "إِلَّا بِجُلُبَّانِ السِّلَاحِ" Ke Bajaaye "إِلَّا بِجُلُبِّ السِّلَاحِ" Ke Alfaaz Naqal Kiye Hai'n.
Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Umrah Ka Aehraam Baa'ndh Kar Nikle, To Kuffaare Quraish Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Baitullaah Jaane Se Rok Diya, Isliye Nabi e Kareem ﷺ Ne Qurbaani Ka Jaanwar Hudaibiya Me'n Zibah Kardiya Aur Sar Bhi Wahee'n Mu'ndwa Liya Aur Kuffaare Makka Se Nabi e Kareem ﷺ Ne Iss Shart Par Sulah Ki Thi Ke Nabi e Kareem ﷺ Aa'indah Saal Umrah Kar Sake'nge, Talwaaro'n Ke Siwa Aur Koi Hathiyaar Saath Na Laaye'nge, (Aur Woh Bhi Niyaam Me'n Ho'nge) Aur Quraish Jitne Din Chaahe'nge Usse Zyaadah Makka Me'n Na Thaher Sake'nge, (Ya'ni Teen Din), Chunaanche Nabi e Kareem ﷺ Ne Aa'indah Saal Umrah Kiya Aur Sharaa'it Ke Mutaabiq Nabi e Kareem ﷺ Makka Me'n Daakhil Huwe, Phir Jab Teen Din Guzar Chuke To Quraish Ne Makke Se Chale Jaane Keliye Kaha Aur Nabi e Kareem ﷺ Wahaa'n Se Waapas Chale Aaye.
Hazrat Sahal Bin Abi Hasma Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Abdullaah Bin Sahal Radiallaahu Anhu Aur Muhayyisa Bin Mas'ood Bin Zaid Radiallaahu Anhu Khaibar Gaye, Khaibar Ke Yahoodiyo'n Se Musalmaano'n Ki Un Dino'n Sulah Thi.
Baab - Diyat Me'n Sulah Karna. Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nazar Ki Beti Rabee Ne Ek Ladki Ke Daa'nt Tod Diye, Uspar Ladki Waalo'n Ne Taawaan Maa'nga Aur Un Logo'n Ne Mu'aafi Chaahi, Lekin Mu'aaf Karne Se Unho'n Ne Inkaar Kiya, Chunaanche Nabi e Kareem ﷺ Ki Khidmat Me'n Haazir Huwe To Nabi e Kareem ﷺ Ne Badla Lene Ka Hukm Diya, (Ya'ni Unka Bhi Daa'nt Tod Diya Jaaye), Hazrat Anas Bin Nazar Radiallaahu Anhu Ne Arz Kiya, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Rabee Ka Daa'nt Kis Tarah Toda Ja Sakega, Nahee'n Uss Zaat Ki Qasam Jisne Aapko Haq Ke Saath Mab'oos Farmaaya Hai, Uska Daa'nt Nahee'n Toda Jaayega, Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya Aye Anas ! Kitaabullaah Ka Faisla To Badla Lene (Qasaas) Hi Ka Hai, Chunaanche Yeh Log Raazi Ho Gaye Aur Mu'aaf Kar Diya, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya Ke Allaah Ke Kuchh Bande Aise Bhi Hai'n Ke Agar Woh Allaah Ki Qasam Kha Le'n To Allaah Paak Khud Unki Qasam Poori Karta Hai, Fazaari Ne (Apni Riwaayat Me'n) Humaid Se, Aur Unho'n Ne Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Se Yeh Zyaadati Naqal Ki Hai Ke Woh Log Raazi Ho Gaye Aur Taawaan Le Liya.
Baab - Hazrat Hasan Bin Ali Radiallaahu Anhuma Keliye Nabi e Kareem ﷺ Ka Yeh Irshaad Ke, Mera Yeh Beta Sayyad Hai Aur Ho Sakta Hai Allaah Paak Inke Sabab Se Do Azeem Jamaa'ato'n Ke Darmiyaan Sulah Karaade, Aur Allaah Paak Ka Irshaad Hai, To Unke Darmiyaan Sulah Karaado,(Sureh Hujuraat, Aayat No.9) Hazrat Imaam Hasan Basri Bayaan Karte The Ke Qasam Allaah Ki Jab Hazrat Hasan Bin Ali Radiallaahu Anhuma (Hazrat Mu'aaviya Radiallaahu Anhu Ke Muqaable Me'n) Pahaado'n Me'n Lashkar Lekar Paho'nche, To Hazrat Amro Bin Aa's Radiallaahu Anhu Ne Kaha (Jo Hazrat Ameer Mu'aaviya Radiallaahu Anhu Ke Musheere Khaas The) Ke Mai'n Aisa Lashkar Dekh Raha Hoo'n Jo Apne Muqaabil Ko Neest Wa Naabood Kiye Bagair Waapas Na Jaayega, Hazrat Ameer Mu'aaviya Radiallaahu Anhu Ne Ispar Kaha, Aur Allaah Ki Qasam ! Woh Un Dono'n As'haab Me'n Zyaadah Achchhe The, Ke Aye Amro ! Agar Iss Lashkar Ne Uss Lashkar Ko Qatal Kar Diya, Ya Usne Isko Qatal Kar Diya, To (Allaah Paak Ki Baargah Me'n) Logo'n Ke Umoor (Ki Jawaab Dahi Keliye) Mere Saath Kaun Zimmedaari Lega, Logo'n Ki Bewah Aurato'n Ki Khabar Geeri Ke Silsile Me'n Mere Saath Kaun Zimmedaar Hoga, Logo'n Ki Aal Aulaad Ke Silsile Me'n Mere Saath Kaun Zimmedaar Hoga, Aakhir Hazrat Mu'aaviya Radiallaahu Anhu Ne Hazrat Hasan Radiallaahu Anhu Ke Yahaa'n Quraish Ki Shaakh Banu Abdi Shams Ke Do Aadmi Bheje, Abdur Rahmaan Bin Samurah Aur Abdullaah Bin Aa'mir Bin Kuraiz, Aapne Un Dono'n Se Farmaaya Ke Hazrat Hasan Bin Ali Radiallaahu Anhuma Ke Yahaa'n Jaao Aur Unke Saamne Sulah Pesh Karo, Unse Ispar Guftagu Karo Aur Faisla Unhee'n Ki Marzi Par Chhod Do, Chunaanche Yeh Log Aaye Aur Aapse Guftagu Ki Aur Faisla Aap Hi Ki Marzi Par Chhod Diya, Hazrat Hasan Bin Ali Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya, Ham Abdul Muttalib Ki Aulaad Hai'n Aur Hame'n Iss Maal Se Hissa Mila Hai, Aur Hamaare Saath Yeh Log Hai'n, Aur Yeh Log Khoon Kharaaba Karne Ke Taaq Me'n Hai'n, Woh Kehne Lage Ameer Mu'aaviya Radiallaahu Anhu Ne Aapko Itna Itna Maal Dene Ki Peshkash Ki Hai Aur Aapse Sulah Karna Chaahte Hai'n, Faisla Aap Ki Marzi Par Chhoda Hai Aur Aapse Poochha Hai, Hazrat Hasan Radiallaahu Anhu Ne Farmaaya Ke Iski Zimmedaari Kaun Lega? Un Dono'n Qaasido'n Ne Kaha Ke Ham Uske Zimmedaar Hai'n, Hazrat Hasan Radiallaahu Anhu Ne Jis Cheez Ke Muta'alliq Bhi Poochha, To Unho'n Ne Yehi Kaha Ke Ham Iske Zimmedaar Hai'n, Aakhir Aapne Sulah Karli, Phir Farmaaya Ke Mai'n Ne Hazrat Abu Bakrah Radiallaahu Anhu Se Suna Tha, Woh Bayaan Karte The Ke Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Ko Mimbar Par Yeh Farmaate Suna Hai Aur Hasan Bin Ali Radiallaahu Anhuma Nabi e Kareem ﷺ Ke Pehlu Me'n The, Nabi e Kareem ﷺ Kabhi Logo'n Ki Taraf Mutawajjeh Hote Aur Kabhi Hazrat Hasan Radiallaahu Anhu Ki Taraf Aur Farmaate Ke Mera Yeh Beta Sayyad (Sardaar) Hai Aur Shaayad Iske Zariye Allaah Paak Musalmaano'n Ke Do Azeem Giroho'n Me'n Sulah Karaayega, Imaam Bukhaari (Rahmatullaah Alaih) Ne Kaha, Mujhse Ali Bin Abdullaah Madyani Ne Bayaan Kiya Ke Hamaare Nazdeek Iss Hadees Se Hasan Basri Ka Abu Bakrah Radiallaahu Anhu Se Sunna Saabit Hua Hai.
Baab - Kya Imaam Sulah Keliye Fareeqain Ko Ishaarah Kar Sakta Hai? Abur Rijaal Muhammad Bin Abdur Rahmaan Ne Bayaan Kiya Ke Unse Unki Waalidah Amrah Binte Abdur Rahmaan Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Suna, Unho'n Ne Kaha Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Darwaaze Par Do Jhagda Karne Waalo'n Ki Aawaaz Suni Jo Buland Ho Gayi Thi, Waaqe'ah Yeh Tha Ke Ek Aadmi Doosre Se Qarz Me'n Kuchh Kami Karne Aur Taqaaze Me'n Kuchh Narmi Baratne Keliye Keh Raha Tha Aur Doosra Kehta Tha Ke Allaah Ki Qasam ! Mai'n Yeh Nahee'n Karoo'nga, Aakhir Rasoolullaah ﷺ Unke Paas Gaye Aur Farmaaya Ke Iss Baat Par Allaah Ki Qasam Khaane Waale Saahib Kahaa'n Hai'n? Ke Woh Ek Achchha Kaam Nahee'n Kare'nge, Un Sahaabi Ne Arz Kiya, Mai'n Hi Hoo'n Ya Rasoolallaah ﷺ ! Ab Mera Bhaayi Jo Chaahta Hai Wohi Mujhko Bhi Pasand Hai.
Hazrat Ka'ab Bin Maalik Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Abdullaah Bin Hadrad Aslami Radiallaahu Anhu Par Unka Qarz Tha, Unse Mulaaqaat Huwi To Unho'n Ne Unka Peechha Kiya, (Aakhir Takraar Me'n) Dono'n Ki Aawaaz Buland Ho Gayi, Phir Nabi e Kareem ﷺ Udhar Se Guzre To Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Aye Ka'ab ! Aur Apne Haath Se Ishaarah Kiya, Jaise Aap Keh Rahe Ho'n Ke Aadha (Qarz Kam Karde) Chunaanche Unho'n Ne Aadha Qarz Chhod Diya Aur Aadha Liya.
Baab - Logo'n Ke Darmiyaan Islaah Karne Aur Adal Karne Ki Fazeelat. Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Insaan Ke Badan Ke (360 Jodo'n Me'n Se) Har Jod Par Uss Din Ka Sadqa Waajib Hai Jisme'n Sooraj Tulu Hota Hai Aur Logo'n Ke Darmiyaan Insaaf Karna Bhi Ek Sadqa Hai.
Baab - Jab Sarbaraah Sulah Ka Ishaarah Kare Aur Koi Shakhs Na Maane To Phir Wa'dah Ke Mutaabiq Faisla Kare. Zohri Ne Bayaan Kiya Ke Unhe'n Urwah Bin Zubair Ne Khabar Di Ke Hazrat Zubair Radiallaahu Anhu Bayaan Karte The Ke Unme'n Aur Ek Ansaari Sahaabi Me'n Jo Badar Ki Ladaayi Me'n Bhi Shareek The, Madeena Ki Pathreeli Zameen Ki Naali Ke Baare Me'n Jhagda Huwa, Woh Apna Muqadma Rasoolullaah ﷺ Ki Khidmat Me'n Le Gaye, Dono'n Hazraat Uss Naale Se (Apne Baag) Sairaab Kiya Karte The, Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Aye Zubair ! Tum Pehle Sairaab Karlo, Phir Apne Padosi Ko Bhi Sairaab Karne Do, Ispar Ansaari Ko Gussa Aagaya Aur Kaha, Ya Rasoolallaah ﷺ ! (Yeh Faisla) Iss Wajah Se Ke Yeh Aapki Phoophi Ke Ladke Hai'n, Ispar Rasoolullaah ﷺ Ke Chehre Ka Ra'ng Badal Gaya Aur Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Aye Zubair ! Tum Sairaab Karo Aur Paani Ko (Apne Baag Me'n) Itni Der Tak Aane Do Ke Deewaar Tak Chadh Jaaye, Iss Martaba Rasoolullaah ﷺ Ne Hazrat Zubair Radiallaahu Anhu Ko Unka Poora Haq Ata Farmaaya, Isse Pehle Nabi e Kareem ﷺ Ne Aisa Faisla Kiya Tha, Jisme'n Hazrat Zubair Radiallaahu Anhu Aur Ansaari Sahaabi Dono'n Ki Ri'aayat Thi, Lekin Jab Ansaari Ne Rasoolullaah ﷺ Ko Gussa Dilaaya To Nabi e Kareem ﷺ Ne Hazrat Zubair Radiallaahu Anhu Ko Qaanoon Ke Mutaabiq Poora Haq Ata Farmaaya, Urwah Ne Bayaan Kiya Ke Hazrat Zubair Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya, Qasam Allaah Ki ! Mera Khayaal Hai Ke Yeh Aayat Usi Waaqe'ah Par Naazil Huwi Thi, Tarjuma - To Aye Mehboob Tumhaare Rab Ki Qasam Woh Musalmaan Na Ho'nge Jab Tak Apne Aapas Ke Jhagde Me'n Tumhe'n Haakim Na Banaaye'n. (Sureh Nisa, Aayat No.65).
Baab - Mayyat Ke Waariso'n Aur Maqroozo'n Ke Darmiyaan Sulah Karna Aur Andaaze Se Qarz Ada Karna. Aur Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Kaha Ke Isme'n Koi Harj Nahee'n Hai Ke Do Shareek Yeh Tay Karle'n Ke Ek Shakhs Qarz Wasool Karega Aur Doosra Shakhs Naqad Raqam Lega, Phir Agar Unme'n Se Ek Ka Hissa Doob Jaaye (Ya'ni Qarz Wasool Na Ho) To Woh Doosre Shareek Se Ruju Nahee'n Karega. Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhuma Ne Bayaan Kiya Ke Mere Waalid Jab Shaheed Huwe To Unpar Qarz Tha, Mai'n Ne Unke Qarz Khwaaho'n Ke Saamne Yeh Soorat Rakhi Ke Qarz Ke Badle Me'n Woh (Iss Saal Ki Khajoor Ke) Phal Le Le'n, Unho'n Ne Isse Inkaar Kiya, Kyu'nke Unka Khayaal Tha Ke Usse Qarz Poora Nahee'n Ho Sakega, Mai'n Nabi e Kareem ﷺ Ki Khidmat Me'n Haazir Huwa Aur Nabi e Kareem ﷺ Se Iska Zikr Kiya, Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya Ke Jab Phal Tod Kar Marbad (Woh Jagah Jahaa'n Khajoor Khushk Karte The) Me'n Jama Kardo (To Mujhe Khabar Do), Chunaanche Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Khabar Di, Nabi e Kareem ﷺ Tashreef Laaye, Saath Me'n Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Aur Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Bhi The, Nabi e Kareem ﷺ Wahaa'n Khajoor Ke Dher Par Baithe Aur Usme'n Barkat Ki Du'aa Farmaayi, Phir Farmaaya Ke Ab Apne Qarz Khwaaho'n Ko Bula La Aur Unka Qarz Ada Karde, Chunaanche Koi Shakhs Aisa Baaqi Na Raha Jiska Mere Baap Par Qarz Raha Aur Mai'n Ne Use Ada Na Kar Diya Ho, Phir Bhi 13 Wasq Khajoor Baaqi Bach Gayi, Saat Wasq Ajwah Me'n Se Aur Chhe Wasq Lawn Me'n Se, Ya Chhe Wasq Ajwah Me'n Se Aur Saat Wasq Lawn Me'n Se, Ba'ad Me'n Mai'n Rasoolullaah ﷺ Se Magrib Ke Waqt Jaakar Mila Aur Nabi e Kareem ﷺ Se Uska Zikr Kiya To Nabi e Kareem ﷺ Ha'nse Aur Farmaaya, Abu Bakar Aur Umar Ke Yahaa'n Bhi Jaakar Unhe'n Bhi Yeh Waaqe'ah Bataado, Chunaanche Mai'n Ne Unhe'n Batlaaya, To Unho'n Ne Kaha Ke Rasoolullaah ﷺ Ko Jo Karna Tha Nabi e Kareem ﷺ Ne Woh Kiya, Hame'n Jabhi Ma'loom Ho Gaya Tha Ke Aisa Hi Hoga, Hishaam Ne Wahab Se Aur Unho'n Ne Jaabir Se Asar Ke Waqt (Hazrat Jaabir Radiallaahu Anhu Ki Haazri Ka) Zikr Kiya Hai Aur Unho'n Ne Na Hazrat Abu Bakar Radiallaahu Anhu Ka Zikr Kiya Aur Na Ha'nsne Ka, Yeh Bhi Bayaan Kiya Ke (Hazrat Jaabir Radiallaahu Anhu Ne Kaha) Mere Waalid Apne Upar 30 Wasq Qarz Chhod Gaye The Aur Ibne Is'haaq Ne Wahab Se Aur Unho'n Ne Hazrat Jaabir Radiallaahu Anhu Se Zohar Ki Namaaz Ka Zikr Kiya Hai.
Baab - Kuchh Naqad Dekar Qarz Ke Badle Sulah Karna. Hazrat Ka'ab Bin Maalik Radiallaahu Anhu Ne Khabar Di Ke Unho'n Ne Ibne Abi Hadrad Radiallaahu Anhu Se Apna Qarz Talab Kiya, Jo Unke Zimme Tha, Yeh Rasoolullaah ﷺ Ke Ahed Mubaarak Ka Waaqe'ah Hai, Masjid Ke Andar Un Dono'n Ki Aawaaz Itni Buland Ho Gayi Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Bhi Suni, Nabi e Kareem ﷺ Uss Waqt Apne Hujre Me'n Tashreef Rakhte The, Chunaanche Nabi e Kareem ﷺ Baahar Aaye Aur Apne Hujre Ka Pardah Utha Kar Hazrat Ka'ab Bin Maalik Radiallaahu Anhu Ko Aawaaz Di, Nabi e Kareem ﷺ Ne Pukaara Aye Ka'ab ! Unho'n Ne Kaha Ya Rasoolallaah, Mai'n Haazir Hoo'n, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Apne Haath Ke Ishaare Se Farmaaya Ke Aadha Mu'aaf Karde, Hazrat Ka'ab Radiallaahu Anhu Ne Kaha Ke Mai'n Ne Aadha Mu'aaf Kar Diya Ya Rasoolullaah ﷺ ! Nabi e Kareem ﷺ Ne (Ibne Abi Hadrad Radiallaahu Anhu Se) Farmaaya Ke Ab Utho Aur Qarz Ada Kardo.
Bukhari Shareef : Kitaabus Sulah
|
Bukhari Shareef : كِتَابُ الصُّلْحِ
|
•