
Yeh Kitaab Hai Gusl Ke Bayaan Me'n, Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke, Aur Allaah Paak Ka Yeh Irshaad Hai Ke, Aur Agar Tum Junubi (Naapaak) Ho To Achchhi Tarah Paakeezgi Haasil Karlo Aur Agar Tum Beemaar Ho Ya Musaafir Ho Ya Tum Me'n Se Koi Qaza e Haajat Karke Aaye Ya Tumne Aurato'n Se Mubaasherat Ki Ho, Pas Tum Paani Ko Na Paao To Tum Paak Mitti Se Tayammum Karo, So Tum Apne Chehro'n Aur Apne Haatho'n Par Iss Paak Mitti Se Masah Karo, Allaah Tum Par Ta'ngi Karna Nahee'n Chaahta, Lekin Woh Tumko Khoob Paak Karna Chaahta Hai Taake Woh Tum Par Apni Ne'mat Ko Poora Karde Shaayad Tum Shukr Ada Karo, (Sureh Maa'idah Aayat No.6) Aur Allaah Paak Ka Qaul Hai Ke, Aye Imaan Waalo ! Nashe Ki Haalat Me'n Namaaz Ke Qareeb Na Jaao Hatta Ke Tum Yeh Jaan Lo Ke Tum Kya Keh Rahe Ho Aur Na Janaabat Ki Haalat Me'n, Magar Yeh Ke Tum Musaafir Ho Hatta Ke Tum Gusl Karlo Aur Agar Tum Beemaar Ho Ya Safar Me'n Ho Ya Tum Me'n Se Koi Shakhs Qaza e Haajat Karke Aaye Ya Tumne Aurato'n Se Maqaarebat Ki Ho, Phir Tum Paani Na Paao To Tum Paak Mitti Se Tayammum Karlo, So Tum Apne Chehro'n Aur Apne Haatho'n Par Masah Karo, Beshak Allaah Nihaayat Mu'aaf Karne Waala Bahot Bakhshne Waala Hai, (Sureh Maa'idah, Aayat No.43) (Phir Imaam Bukhaari Aage Baab Qaayem Karte Huwe Likhte Hai'n Ke (Gusl Se Pehle Wazu Karna) (Phir Iss Baab Ke Tahet Yeh Hadees Laate Hai'n Ke) Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Jab Gusl e Janaabat Karte To Pehle Apne Haatho'n Ko Dhote, Phir Iss Tarah Wazu Karte Jis Tarah Namaaz Ka Wazu Karte The, Phir Apni U'ngliyaa'n Paani Me'n Daakhil Karke Baalo'n Ki Jado'n Me'n Khilaal Karte, Phir Apne Haatho'n Se 3 Chullu Paani Lekar Sar Par Bahaate, Phir Apne Tamaam Jism Par Paani Bahaate.
Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Bayaan Karti Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Iss Tarah Wazu Kiya Jis Tarah Namaaz Keliye Wazu Karte Hai'n Maasiwa Apne Pairo'n Ke Aur Sharmgaah Ko Dhoya Aur Uspar Jo Najaasat Thi Usko Dhoya, Phir Apne Upar Paani Bahaaya, Phir Apne Pairo'n Ko Ek Taraf Rakh Kar Unhe'n Dhoya, Yeh Aap ﷺ Ka Gusl e Janaabat Tha.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Mai'n Aur Nabi e Kareem ﷺ Ek Bartan Se Paani Lekar Gusl Karte The, (Woh Bartan) Jisko Faraq Kaha Jaata Tha (Aur Usme'n Taqreeban 8 Litre Paani Tha Allaama Ayeni Ke Mutaabiq).
Sho'ba Ne Hadees Bayaan Ki Aur Unho'n Ne Kaha Ke Mujhe Abu Bakar Bin Hafs Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha Ke Mai'n Ne Abu Salma Se Suna, Unho'n Ne Kaha Ke Mai'n Aur Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Bhaayi, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Paas Gaye, Pas Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Bhaayi Ne Unse Rasoolullaah ﷺ Ke Gusl Ke Muta'alliq Sawaal Kiya, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Taqreeban 4 Litre Paani Ka Ek Bartan Ma'ngaaya, Phir Aapne Gusl Kiya Aur Apne Sar Ke Upar Paani Daala Aur Hamaare Aur Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Darmiyaan Hijaab Tha, (Imaam Abdullaah Bukhaari Ne Kaha, Yazeed Bin Haaroon Aur Bahz Aur Juddi Ne Sho'ba Se Riwaayat Ki Hai, Andaazan 4 Litre)
Abu Ja'far Ne Hadees Bayaan Ki Ke Woh Aur Unke Waalid Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Ke Paas The Aur Unke Paas Aur Log Bhi The, Un Logo'n Ne Hazrat Jaabir Radiallaahu Anhu Se Gusl Ke Muta'alliq Sawaal Kiya, Hazrat Jaabir Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Tumhaare Liye Ek Saa (4 Litre Paani) Kaafi Hai, Ek Shakhs Ne Kaha, Mere Liye Yeh Kaafi Nahee'n Hai, Hazrat Jaabir Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Jinke Tumse Zyaadah Baal The Aur Jo Tumse Zyaadah Afzal The, Unke Liye Itna Paani Kaafi Hota Tha (Ya'ni Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Ki Muraad Uss Zaat Se Nabi e Kareem ﷺ The), Phir Hazrat Jaabir Radiallaahu Anhu Ne Hame'n Ek Kapde Me'n Namaaz Padhaayi. (Yaad Rahe Isi Hadees Se Gair Muqallideen Bagair Topi Ke Namaaz Padhne Par Zor Dene Ki Koshish Karte Hai'n To Un Gair Muqallideen Se Kaho Phir Saara Kapda Utaar Kar Sirf Ek Tehband Me'n Namaaz Padho Sirf Topi Kyu'n Utaarte Ho)
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Aur Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Ek Bartan Se Paani Lekar Gusl Karte The, Aur Yazeed Bin Haaroon Aur Bahz Aur Juddi Ne Az Sho'ba Bayaan Kiya Ke, Woh Bartan Ek Saa Ke Andaaze Ka Tha (Ya'ni Jisme'n 4 Litre Ke Qareeb Paani Aata Hai) Imaam Abdullaah Bukhaari Ne Kaha, Ibne Uyaiyna Ne Akheer Me'n Kaha, Az Hazrat Ibne Abbaas Az Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Riwaayat Hai Aur Saheeh Woh Hai Jo Abu No'aim Ne Riwaayat Ki Hai.
Hazrat Jubair Bin Mut'im Radiallaahu Anhu Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Raha Mai'n (Muhammad ﷺ) To Mai'n Apne Sar Par 3 Baar Paani Daalta Hoo'n, Aur Apne Dono'n Haatho'n Ki Taraf Ishaarah Kiya.
Hazrat Jaabir Bin Abdullaah Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Nabi e Kareem ﷺ Sar Par 3 Baar Paani Daalte The.
Abu Ja'far Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha Ke Mujhse Hazrat Jaabir Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya, Unho'n Ne Kaha, Mere Paas Aapke Amzaad (Chacha Zaad) Aaye The, Isse Unki Muraad Hasan Bin Muhammad Hanfiya The, Unho'n Ne Kaha, Gusl e Janaabat Kis Tarah Hota Hai? To Mai'n Ne Kaha, Nabi e Kareem ﷺ Teen Baar Hatheliyo'n Me'n Paani Lete Aur Usko Apne Sar Par Daalte, Phir Apne Tamaam Jism Par Paani Daalte, Mujhse Hasan Ne Kaha, Mai'n Bahot Zyaadah Baalo'n Waala Shakhs Hoo'n, To Mai'n Ne Kaha, Nabi e Kareem ﷺ Ke Baal Aapse Bahot Zyaadah The.
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Ne Kaha, Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ke Gusl Keliye Paani Rakha, Nabi e Kareem ﷺ Ne 2 Ya 3 Baar Haatho'n Ko Dhoya, Phir Apne Baaye'n Haath Par Paani Daala, Phir Apni Sharmgaah Ko Dhoya, Phir Apne Haatho'n Ko Zameen Par Ragda, Phir Kulli Ki, Aur Naak Me'n Paani Daala, Aur Apne Chehre Aur Dono'n Haatho'n Ko Dhoya, Phir Apne Tamaam Jism Par Paani Bahaaya, Phir Uss Jagah Se Muntaqil Huwe Aur Apne Pairo'n Ko Dhoya.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Jab Nabi e Kareem ﷺ Gusl e Janaabat Karte To Hilaab Ki Misl Koi Bartan Mangwaate, Phir Hatheli Me'n Paani Lekar Sar Ki Daaye'n Jaanib Se Ibteda Karte, Phir Baaye'n Jaanib, Phir Dono'n Hatheliyo'n Se Sar Ke Darmiyaan Me'n Paani Daalte. (Yaad Rahe Hilaab Uss Bartan Ko Kehte Hai'n Jisme'n Oo'ntni Ka Ek Martaba Doha Huwa Poora Doodh Sama Sake)
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Hame'n Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Ne Hadees Bayaan Ki, Woh Bayaan Karti Hai'n Ke Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ke Gusl Keliye (Bartan Me'n) Paani Daala, To Nabi e Kareem ﷺ Ne Daaye'n Haath Se Baaye'n Haath Par Paani Daala, Phir Dono'n Haatho'n Ko Dhoya, Phir Apni Sharmgaah Ko Dhoya, Phir Apne Haath Ko Zameen Par Rakh Kar Mitti Ke Saath Mala, Phir Uss Haath Ko Dhoya, Phir Kulli Ki, Aur Naak Me'n Paani Daala, Phir Apne Chehre Ko Dhoya, Aur Apne Sar Par Paani Bahaaya, Phir Ek Taraf Gaye Aur Apne Dono'n Pairo'n Ko Dhoya, Phir Tauliya Laaya Gaya To Aapne Usse Badan Nahee'n Po'nchha.
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Riwaayat Karte Hai'n, Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Gusl e Janaabat Kiya (To Uska Tareeqa Yeh Tha Ke) Nabi e Kareem ﷺ Ne Apni Sharmgaah Ko Apne (Daaye'n) Haath Se Dhoya, Phir Apne Haath Ko Deewaar Par Mala, Phir Uss Haath Ko Dhoya, Phir Namaaz (Ke Jaisa) Wazu Kiya, Phir Gusl Se Faarig Ho Gaye To Apne Pairo'n Ko Dhoya.
Yeh Baab Hai, Jab Ju'nubi Ke Haath Par Janaabat Ke Alaawah Koi Aur Najaasat Na Ho To Kya Woh Haath Dhone Se Pehle Bartan Me'n Haath Daal Sakta Hai? (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Hazrat Ibne Umar Aur Hazrat Bara Bin Aa'zib Radiallaahu Anhum Ajma'een Ne Apna Haath Paani Me'n Daala Aur Usko Dhoya Nahee'n, Phir Wazu Kiya, Aur Hazrat Ibne Umar Aur Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhum Ajma'een Ke Nazdeek Gusl e Janaabat Se Jo Chhee'nte'n Udte Hai'n, Unme'n Koi Harj Nahee'n Hai, (Phir Imaam Bukhaari Aage Yeh Hadees Riwaayat Karte Hai'n Ke) Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Mai'n Aur Nabi e Kareem ﷺ Ek Bartan Se Paani Lekar Gusl Karte The Aur Hamaare Haath Uss Bartan Me'n Aage Peechhe Daakhil Hote The.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Jab Rasoolullaah ﷺ Gusl e Janaabat Karte To Apna Haath Dhote.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Mai'n Aur Rasoolullaah ﷺ Ek Bartan Se Paani Lekar Gusl e Janaabat Karte The, (Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Az Abdullaah Bin Qaasim Az Waalid Khud Az Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Iski Misl Marwi Hai.
Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Aur Aapki Azwaaj Me'n Se Ek Khaatoon, Dono'n Ek Bartan Se Paani Lekar Gusl Karte The, (Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke, Muslim Aur Wahab Ne Az Sho'ba Yeh Izaafa Kiya Ke, Janaabat Se Ya'ni Gusl e Janaabat Karte The).
Yeh Baab Hai, Gusl Aur Wazu Alag Alag Karne Ke Muta'alliq, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Se Zikr Kiya Jaata Hai Ke Unho'n Ne Aa'za e Wazu Khushk Hone Ke Ba'ad Apne Pairo'n Ko Dhoya, (Phir Imaam Bukhaari Yeh Hadees Riwaayat Karte Hai'n Ke) Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Ne Bayaan Farmaaya Ke, Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ke Gusl Keliye Paani Rakha, Pas Nabi e Kareem ﷺ Ne Haatho'n Par Paani Daala, Phir Haatho'n Ko 2 Ya 3 Baar Dhoya, Phir Apne Daaye'n Haath Se Baaye'n Haath Par Paani Daala, Phir Apni Sharmgaah Ko Dhoya, Phir Apne Uss Haath Ko Zameen Par Ragda, Phir Kulli Ki Aur Naak Me'n Paani Daala, Phir Apne Chehre Ko Aur Apne Haatho'n Ko Dhoya, Aur Apne Sar Ko 3 Baar Dhoya, Phir Apne Poore Jism Par Paani Bahaaya, Phir Uss Jagah Se Ek Taraf Ho Gaye, Pas Apne Pairo'n Ko Dhoya.
Hazrat Maimoona Bint Haaris Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Mai'n Ne Rasoolullaah ﷺ Ke Gusl Keliye Paani Rakha, Aur Nabi e Kareem ﷺ Par Pardah Kiya, (Taake Aap Gusl Kare'n To Nabi e Kareem ﷺ Ne Iss Tarah Gusl Kiya Ke) Nabi e Kareem ﷺ Ne Apne (Daaye'n) Haath Par 1 Baar Ya 2 Baar Paani Daal Kar Dhoya, (Yahaa'n Raawi Salmaan Ne Kaha Mujhe Pata Nahee'n, Unho'n Ne Teesri Baar Ka Zikr Kiya Tha Ya Nahee'n), Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Apne Daaye'n Haath Se Baaye'n Haath Par Paani Daala, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Apni Sharmgaah Ko Dhoya, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Apna Haath Zameen Par Ya Deewaar Par Ragda, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Kulli Ki Aur Naak Me'n Paani Daala, Aur Apne Chehre Ko Dhoya, Aur Haatho'n Ko Aur Sar Ko Dhoya, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Apne Poore Jism Par Paani Bahaaya, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ek Taraf Ho Gaye, Aur Apne Pairo'n Ko Dhoya, Phir Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Tauliya Diya, Pas Aapne Haath Se Ishaarah Kiya Aur Uska Iraadah Nahee'n Kiya.
Ibraaheem Bin Muhammad Bin Muntashir Apne Waalid Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Unke Waalid Ne Kaha Ke, Mai'n Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Iska Zikr Kiya, Unho'n Ne Kaha Ke, Allaah Paak Abu Abdur Rehmaan Par Rahem Farmaaye, Mai'n Rasoolullaah ﷺ Ko Khushbu Lagaati Thi, Phir Nabi e Kareem ﷺ Tamaam Azwaaj Ke Paas Ghoomte The (Ya'ni Ek Hi Raat Me'n Nabi e Kareem ﷺ Jumla Azwaaj e Mutahharaat Ke Paas Jaate The), Phir Subah Ahraam Baa'ndhte The, Aur Nabi e Kareem ﷺ Ke Jism Se Khushbu Aa Rahi Hoti Thi.
Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Ne Hadees Bayaan Ki Ke Nabi e Kareem ﷺ Din Aur Raat Ki Ek Saa'at Me'n Apni Tamaam Azwaaj Ko Amal e Zaujiyat Se Musharraf Farmaate The, Aur Woh 11 Azwaaj e Mutahharaat Thee'n, Qataadah Kehte Hai'n, Mai'n Ne Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Se Poochha, Kya Nabi e Kareem ﷺ Iski Taaqat Rakhte The? (Ya'ni Ek Hi Raat Me'n Apni Tamaam Azwaaj Se Amal e Zaujiyat Ki Taqaat Rakhte The?) To Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Ham Yeh Baate'n Karte The Ke Nabi e Kareem ﷺ Ko 30 Mardo'n Ki Taaqat Di Gayi Thi, Aur Sa'eed Ne Kaha Az Qataadah Ke Hazrat Anas Radiallaahu Anhu Ne Unko Hadees Bayaan Ki Ke Nabi e Kareem ﷺ Ki 9 Azwaaj Thee'n.
Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Aisa Shakhs Tha, Jisko Mazi Bahot Aati Thi, Mai'n Ne Ek Shakhs Ko Hukm Diya Ke Woh Nabi e Kareem ﷺ Se Iske Muta'alliq Sawaal Kare, Nabi e Kareem ﷺ Ki Saahebzaadi Ki Wajah Se (Khud Sawaal Nahee'n Kiya Hazrat Ali Ne) To (Jinko Sawaal Karne Ka Hukm Diya Tha) Unho'n Ne Sawaal Kiya, (To) Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Wazu Karo Aur Apne Aala Ko Dho Lo.
Ibraaheem Bin Muhammad Bin Muntashir Apne Waalid Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Unke Waalid Ne Kaha Ke Mai'n Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Sawaal Kiya Aur Unse Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Ka Yeh Qaul Zikr Kiya, (Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Ka Qaul Yeh Tha Ke Mujhe Yeh Pasand Nahee'n Ke Mai'n Subah Ko Haalat e Ahraam Me'n Uthoo'n Aur Mere Jism Se Khushbu Aa Rahi Ho), Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Kaha, Mai'n Rasoolullaah ﷺ Ke Jism Par Khushbu Lagaati Thi, Phir Nabi e Kareem ﷺ Apni Tamaam Azwaaj Ke Paas Jaate The, Phir Subah Ko Haalat e Ahraam Me'n Hote The.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Goya Ke Mai'n Nabi e Kareem ﷺ Ki Maa'ng Ki Jagah Me'n Khushbu Ki Chamak Ko Dekhti Thi Aur Nabi e Kareem ﷺ Haalat e Ahraam Me'n Hote The.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Jab Rasoolullaah ﷺ Gusl e Janaabat Karte The To Apne Dono'n Haatho'n Ko Dhote Aur Namaaz (Ke Jaisa) Wazu Karte, Phir Gusl (Shur'u) Karte, Phir Apne Haath Se Apne Baalo'n Me'n Khilaal Karte Aur Jab Yaqeen Ho Jaata Ke Khaal Tak Paani Paho'nch Gaya Hai To Phir Apne Upar 3 Martaba Paani Daalte, Phir Tamaam Jism Ko Dhote.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Aur Rasoolullaah ﷺ Ek Bartan Se Paani Lekar Gusl Karte The, Ham Ikat'the Chullu Me'n Paani Lete The.
Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ke Gusl e Janaabat Keliye Paani Rakha, Nabi e Kareem ﷺ Ne 2 Ya 3 Baar Daaye'n Haath Se Baaye'n Haath Par Paani U'ndela, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Apni Sharmgaah Ko Dhoya, Phir Aapne 2 Ya 3 Martaba Apna Haath Zameen Ya Deewaar Par Ragda, Phir Kulli Ki, Aur Naak Me'n Paani Daala, Aur Apne Chehre Ko Aur Apni Kalaa'iyo'n Ko Dhoya, Phir Apne Sar Par Paani Daala, Phir Apne Jism Ko Dhoya, Phir Ek Taraf Gaye, Aur Apne Pairo'n Ko Dhoya, Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Kehti Hai'n Ke, Pas Mai'n Nabi e Kareem ﷺ Ke Paas Tauliya Laayi To Nabi e Kareem ﷺ Ne Uska Iraadah Nahee'n Kiya, Aur Apne Haath Se Paani Jhaadne Lage.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Namaaz Qaayem Ki Gayi Aur Log Khade Huwe, Safe'n Baraabar Ki Gayee'n, Pas Rasoolullaah ﷺ Hamaari Taraf Nikal Aaye, Pas Jab Aap Mussalle Par Khade Huwe To Aapko Yaad Aaya Ke Aap Junubi Hai'n, Aapne Farmaaya, Tum Log Isi Tarah Khade Raho, Phir Aap Gaye, Pas Aapne Gusl Kiya, Phir Hamaari Taraf Nikal Aaye, Iss Haal Me'n Ke Aapke Sar Se Paani Ke Qatre Tapak Rahe The, Pas Hamne Aapke Saath Namaaz Padhi, Usmaan Bin Ali Ki Abdul Aa'la Ne Mutaabe'at Ki Hai Az Mo'mar Bin Raashid Az Muhammad Bin Muslim Zohri Aur Iss Hadees Ko Abdur Rehmaan Auzaa'yi Ne Muhammad Bin Muslim Zohri Se Riwaayat Kiya Hai.
Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ke Gusl Keliye Paani Rakha, Phir Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Par Ek Kapde Se Satr Kiya (Pardah Kiya) Aur Nabi e Kareem ﷺ Ne Apne Dono'n Haatho'n Par Paani Bahaaya, Phir Unko Dhoya, Phir Apne Daaye'n Haath Se Baaye'n Haath Par Paani Daala, Pas Apni Sharmgaah Ko Dhoya, Phir Apna Haath Zameen Par Maara, Phir Usko Mala, Phir Usko Dhoya , Phir Kulli Ki Aur Naak Me'n Paani Daala, Aur Apne Chehre Ko Aur Apni Kalaa'iyo'n Ko Dhoya, Phir Apne Sar Par Paani Daala, Aur Apne Poore Jism Par Paani Bahaaya, Phir Ek Taraf Gaye Aur Apne Dono'n Pairo'n Ko Dhoya, (Phir) Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Tauliya Diya, Aapne Usko Nahee'n Liya Aur Chale Gaye Aur Aap Apne Dono'n Haatho'n Ko Jhaad Rahe The.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Jab Ham (Azwaaj e Nabi) Me'n Se Kisi Ko Janaabat Paho'nchti To Woh Apne Dono'n Haatho'n Se 3 Baar Paani Lekar Sar Par Daalti, Phir Apne Haatho'n Me'n Paani Lekar Sar Ke Daaye'n Jaanib Daalti, Phir Apne Haath Me'n Paani Lekar Sar Ke Baaye'n Jaanib Daalti.
Yeh Baab Hai, Jisne Tanhaayi Me'n Barhana Gusl Kiya Aur Jisne Satr Kiya To Satr Afzal Hai, Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke, Aur Bahz Ne Apne Waalid Se, Woh Apne Daada Se Yeh Riwaayat Bayaan Ki Hai Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Logo'n Ki Ba Nisbat Allaah Iska Zyaadah Haqdaar Hai Ke Usse Haya Ki Jaaye, Phir Imaam Bukhaari Aage Yeh Hadees Likhte Hai'n Ke, Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Riwaayat Karte Hai'n Nabi e Kareem ﷺ Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Bayaan Farmaaya Ke Bani Israa'eel Barhana Gusl Karte The, (Aur) Ek Doosre Ki Taraf Dekhte Rehte The, Aur Hazrat Moosa Alaihissalaam Akele Gusl Karte The, (To) Unho'n Ne Kaha, Allaah Ki Qasam Moosa Ko Hamaare Saath Gusl Karne Se Aur Koi Cheez Maane Nahee'n Siwaaye Iske Ke Unke Khusiye Sooje Huwe Hai'n Ya Bahot Bade Hai'n, Pas Ek Din Hazrat Moosa Alaihissalaam Gusl Kar Rahe The Aur Unho'n Ne Apne Kapde Ek Pat'thar Par Rakh Diye The, To Woh Pat'thar Unke Kapde Lekar Bhaag Pada, Pas Moosa Alaihissalaam Uss Pat'thar Ke Peechhe Yeh Kehte Huwe Nikle, Aye Pat'thar ! Mere Kapde, Aye Pat'thar ! Mere Kapde Hatta Ke Bani Israa'eel Ne Hazrat Moosa Alaihissalaam Ko Dekh Liya, Phir Woh Kehne Lage, Allaah Ki Qasam ! Moosa Alaihissalaam Me'n To Koi Ayb Nahee'n Hai Aur Hazrat Moosa Alaihissalaam Ne Apne Kapde Le Liye Aur Pat'thar Ko Maarna Shuru Kar Diya, Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Allaah Ki Qasam ! Pat'thar Me'n 6 Ya 7 Zarb Ke Nishaan The.
Aur Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Ke, Jis Waqt Hazrat Ayyoob Alaihissalaam Barhana Gusl Kar Rahe The, Unke Upar Sone Ki Tiddi Gir Gayi, Hazrat Ayyoob Alaihissalaam (Uss Tiddi Ko Pakadne Keliye) Uspar Kapda Daalne Lage, To Unko Unke Rab Ne Nida Ki, Aye Ayyoob ! Aap Jo Kuchh Dekh Rahe Hai'n Kya Mai'n Ne Aapko Usse Mustagni Nahee'n Kar Diya? Hazrat Ayyoob Alaihissalaam Ne Kaha, Kyu'n Nahee'n ! Teri Izzat Ki Qasam ! Lekin Mai'n Teri Barkat Se Mustagni Nahee'n Hoo'n, Iss Hadees Ko Ibraaheem Ne Riwaayat Kiya Hai Az Moosa Bin Uqba Az Safwaan Bin Sulaim Az Ata Bin Yasaar Az Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Az Nabi e Kareem ﷺ Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Hazrat Ayyoob Alaihissalaam Barhana Gusl Kar Rahe The.
Abu Murrah Hazrat Umme Haani Bint Abi Taalib Ke Aazaad Kardah Gulaam Ne Khabar Di Ke Unho'n Ne Kaha Ke (Mai'n Ne) Hazrat Umme Haani Bint Abi Taalib Radiallaahu Anha Se Suna, Woh Bayaan Karti Thee'n Ke Mai'n Fateh Makkah Ke Saal Rasoolullaah ﷺ Ke Paas Gayi, Mai'n Ne Aapko Gusl Karte Huwe Paaya, Aur Hazrat Faatema Radiallaahu Anha Aap Par Pardah Kar Rahi Thee'n, Aapne Poochha Yeh Kaun Hai'n? Pas Mai'n Ne Kaha, Mai'n Umme Haani Hoo'n.
Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Par Satr Kiya, Aur Uss Waqt Aap Gusl e Janaabat Kar Rahe The, Aapne Apne Dono'n Haatho'n Ko Dhoya, Phir Aapne Apne Daaye'n Haath Se Baaye'n Haath Par Paani Daala, Phir Apni Sharmgaah Ko Aur Jo Cheez Uspar Lagi Thi Usko Dhoya, Phir Apne Haath Ko Zameen Ya Deewaar Par Mala, Phir Namaaz (Jaisa) Wazu Kiya, Siwaaye Apne Pairo'n Ke (Ya'ni Namaaz Jaisa Wazu Kiya Magar Uss Waqt Pairo'n Ko Nahee'n Dhoya) Phir Apne Poore Jism Par Paani Daala, Phir Ek Taraf Jaakar Apne Dono'n Pairo'n Ko Dhoya, Iss Hadees Me'n Satr Ke Lafz Me'n Sufiyaan Ki Abu Awaana Aur Ibne Fuzail Ne Mutaabe'at Ki Hai.
Hazrat Umme Salma Ummul Momineen Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Hazrat Abu Talha Ki Beewi Hazrat Umme Sulaim Radiallaahu Anha Rasoolullaah ﷺ Ke Paas Aayee'n, Pas Unho'n Ne Kaha, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Beshak (Jab) Allaah Paak Haq (Bayaan Karne) Se Haya Nahee'n Karta, (To Mai'n Haq Bayaani Se Kyu'n Haya Karu'n To Mera Yeh Sawaal Hai Ke) Aaya Aurat Par Bhi Gusl Waajib Hota Hai Jab Use Ahtelaam Ho Jaaye? To Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Haa'n ! Jab Woh Paani Dekhle.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Woh Nabi e Kareem ﷺ Se Madeena Ke Kisi Raaste Me'n Mile Aur Woh Junubi The, (Woh Kehte Hai'n Ke) Mai'n Laut Kar Aap ﷺ Se Mo'akhkhar Ho Gaya (Ya'ni Nabi e Kareem ﷺ Se Peechhe Ho Gaya) Phir Mai'n Ne Jaakar Gusl Kiya, Phir Aa Gaya, Nabi e Kareem ﷺ Ne Poochha, Aye Abu Hurairah ! Tum Kahaa'n The? Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Mai'n Junubi Tha, Mai'n Ne Aapke Paas (Iss Haalat Me'n) Baithna Na Pasand Kiya Aur Mai'n Uss Waqt Tahaarat Par Nahee'n Tha, Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Subhaan Allaah Beshak Musalmaan Najis Nahee'n Hota.
Yeh Baab Ispar Ke, Junubi Nikle Aur Baazaar Wagairah Me'n Chale, Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke, Aur Ata Ne Kaha, Junubi Fasad Lagaaye Aur Apne Naakhun Taraashe Aur Apna Sar Mu'nde Khwaah Usne Wazu Na Kiya Ho, Phir Imaam Bukhaari Aage Yeh Hadees Naql Karte Hai'n Ke, Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Ne Hadees Bayaan Ki Ke Nabi e Kareem ﷺ Ek Raat Me'n Apni Tamaam Azwaaj Ke Paas Gaye Aur Un Dino'n Aapki 9 Azwaaj Thee'n.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Kehte Hai'n Ke Mujhse Rasoolullaah ﷺ Mile, Aur Mai'n (Abu Hurairah Radiallaahu Anhu) Uss Waqt Junubi Tha, Nabi e Kareem ﷺ Ne Mera Haath Pakad Liya, Pas Mai'n Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Chal Pada, Hatta Ke Nabi e Kareem ﷺ Baith Gaye, Mai'n Chupke Se Nikal Gaya, Phir Mai'n Ghar Aaya, Pas Mai'n Ne Gusl Kiya, Phir Mai'n Aaya (Nabi e Kareem ﷺ Ke Paas) Aur Nabi e Kareem ﷺ Baithe Huwe The, Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya Aye Abu Hurairah ! Tum Kahaa'n The? To Mai'n Ne Aapko Bataaya, (Saari Baate'n) Pas Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Sub'haan Allaah Aye Abu Hurairah ! Beshak Momin Najis Nahee'n Hota.
Abu Salma Bayaan Karte Hai'n Ke Mai'n Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Sawaal Kiya Ke, Aaya Nabi e Kareem ﷺ Haalat e Janaabat Me'n So Jaate The? Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Kaha, Haa'n ! Aur Aap ﷺ Wazu Karte The.
Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai Ke Unho'n Ne Rasoolullaah ﷺ Se Sawaal Kiya Ke, Aaya Ham Me'n Se Koi Shakhs Haalat e Janaabat Me'n So Sakta Hai? Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Haa'n ! Jab Tum Me'n Se Koi Shakhs Wazu Kare To Woh Haalat e Janaabat Me'n So Jaaye.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Jab Nabi e Kareem ﷺ Sone Ka Iraadah Karte Aur Aap Junubi Hote To Apni Sharmgaah Ko Dhote Aur Namaaz (Jaisa) Wazu Karte.
Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Dariyaaft Kiya Ke, Aaya Ham Me'n Se Koi Shakhs So Sakta Hai Jab Woh Junubi Ho? Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Haa'n ! Jab Woh Wazu Karle.
Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallaahu Anhu Ne Rasoolullaah ﷺ Se Zikr Kiya Ke Woh Raat Ko Junubi Ho Jaate Hai'n (To Kya Kare)? To Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Tum Wazu Karo Aur Apne Aala Ko Dholo Phir So Jaao.
Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Riwaayat Karte Hai'n Nabi e Kareem ﷺ Se Ke, Jab Mard Aurat Ki Chaar Shaakho'n Ke Darmiyaan Baith Jaaye, Phir Usko Thaka De To Beshak Uspar Gusl Waajib Ho Gaya, Hishaam Ki Amro Bin Marzooq Ne Mutaabe'at Ki Hai Az Sho'ba, Iss Hadees Ki Misl Me'n, Aur Moosa Ne Kaha, Hame'n Abaan Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha, Hame'n Qataadah Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha Ke, Hame'n Hasan Ne Iss Hadees Ki Misl Khabar Di.
Ata Bin Yasaar Kehte Hai'n Ke Unko Hazrat Zaid Bin Khaalid Juhani Ne Khabar Di Ke Unho'n Ne Hazrat Usmaan Bin Affaan Radiallaahu Anhu Se Sawaal Kiya Ke Yeh Bataaye'n Ke Jab Mard Apni Aurat Ke Saath Jima Kare Aur Uski Mani Na Nikle (To Kya Kare?) To Hazrat Usmaan Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Woh Iss Tarah Wazu Kare Jis Tarah Namaaz Keliye Wazu Karta Hai Aur Apne Aala Ko Dhole, Hazrat Usmaan Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Mai'n Ne Yeh Rasoolullaah ﷺ Se Suna Hai, Mai'n Ne Iska Hazrat Ali Bin Abi Taalib, Hazrat Zubair Bin Awwaam, Hazrat Talha Bin Ubaidullaah, Aur Hazrat Ubayi Bin Ka'ab Radiallaahu Anhum Ajma'een Se Sawaal Kiya To Un Sabne Yehi Hukm Diya Aur Yahya Ne Kaha, Aur Mujhe Abu Salma Ne Khabar Di Ke Urwaah Bin Zubair Ne Unko Khabar Di Ke Hazrat Abu Ayyoob Ne Unko Khabar Di Ke Unho'n Ne Isko Rasoolullaah ﷺ Se Suna Hai.
Hazrat Ubayi Bin Ka'ab Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Mai'n Ne Arz Kiya Ya Rasoolallaah ﷺ ! Jab Koi Shakhs Apni Beewi Se Jima Kare, Pas Usko Inzaal Na Ho, (To Kya Hukm Hai?) Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Aurat Ke Saath Jima Karne Se Jo Ratoobat Uske Jism Par Lagi Ho Usko Dhole, Phir Wazu Kare Aur Namaaz Padhe, Imaam Abu Abdullaah Ne Kaha, Gusl Karne Me'n Zyaadah Ahtiyaat Hai Aur Yehi Aakhri Hukm Hai, Hamne Isko Sirf Unke Ikhtelaaf Ki Wajah Se Bayaan Kiya.
Bukhari Shareef : Kitaabul Gusl
|
Bukhari Shareef : کتاب الغسل
|
•