
Haiz Ka Bayaan = Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Allaah Paak Ka Irshaad Hai, Aur Aapse (Log) Haiz Ke Muta'alliq Sawaal Karte Hai'n, Aap Farmaa'iye Woh Najaasat Hai, So Tum Ayyaam e Haiz Me'n Aurato'n Se Mujtanib Raho (Jima Karne Se Bache Raho) (Yahaa'n Tak Ke Woh Paak Ho Jaaye'n) Aur Allaah Paakeezgi Ikhtiyaar Karne Waalo'n Se Mohabbat Farmaata Hai, (Sureh Baqarah, Aayat No.222), Phir Imaam Bukhaari Baab Qaayem Karte Huwe Likhte Hai'n Ke, Haiz Ki Ibteda Kis Tarah Huwi, Aur Nabi e Kareem ﷺ Ka Irshaad Hai, Yeh Woh Cheez Hai Jisko Allaah Ne Aadam Ki Betiyo'n Par Likh Diya Hai, Phir Imaam Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Aur Ba'az Ne Kaha Ke, Sabse Pehle Haiz Bani Israa'eel Par Bheja Gaya Tha, Phir Imaam Abdullaah Bukhaari Farmaate Hai'n Ke, Nabi e Kareem ﷺ Ki Hadees Aksar Hai, Phir Imaam Bukhaari Yeh Baab Qaayem Karte Hai'n, Nifaas Waali Aurato'n Ko Jab Nifaas Aaye To Unhe Hukm Dena, Phir Imaam Bukhaari Yeh Hadees Naql Karte Hai'n Ke, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Ham Ghar Se Nikle Aur Ham Sirf Hajj Ka Iraadah Kar Rahe The, Jab Ham Maqaam e Sarf Par Paho'nche To Mujhe Haiz Aa Gaya, Nabi e Kareem ﷺ Mere Paas Aaye, Uss Waqt Mai'n Ro Rahi Thi, Nabi e Kareem ﷺ Ne Poochha Tumhe'n Kya Huwa, Kya Tumhe'n Haiz Aa Gaya? Mai'n Ne Kaha Ji Haa'n ! Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Yeh Woh Cheez Hai Jisko Allaah Paak Ne Aadam Ki Betiyo'n Par Likh Diya Hai, Pas Tum Woh Af'aal Karo Jo Hajj Karne Waale Karte Hai'n, Siwa Iske Ke Tum Baitullaah Ka Tawaaf Na Karna, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Apni Azwaaj Ki Taraf Se Gaaye Ki Qurbaani Ki.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Mai'n Rasoolullaah ﷺ Ke Sar Me'n Ka'nghi Karti Thi Aur Mai'n Uss Waqt Haa'iz Hoti Thi.
Urwaah Se Riwaayat Hai Ke Unse Sawaal Kiya Gaya Ke, Aaya Haa'iz Meri Khidmat Kar Sakti Hai? Ya Aurat Agar Junubi Ho To Mere Qareeb Ho Sakti Hai? Urwaah Ne Kaha, Yeh Sab Cheeze'n Mere Upar Aasaan Hai'n Aur Meri Beewi Iss Tarah Meri Khidmat Karti Hai Aur Isme'n Kisi Keliye Bhi Koi Harj Nahee'n Hai, (Phir Unho'n Ne Kaha Ke) Mujhe Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Khabar Di Ke, Woh Rasoolullaah ﷺ Ke Sar Me'n Ka'nghi Karti Thi, Aur Woh Haa'iz Hoti Thi, Aur Rasoolullaah ﷺ Masjid Me'n Mo'takif Hote The, Nabi e Kareem ﷺ Apna Sar Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ke Qareeb Karte Aur Woh Apne Hujre Me'n Hoti Thi, Pas Woh Nabi e Kareem ﷺ Ke Sar Me'n Ka'nghi Kartee'n Aur Woh Haa'iz Hoti Thee'n.
Yeh Baab Hai Ke, Mard Ka Apni Haa'iz Beewi Ki God Me'n Qur'aan Padhna, Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke, Aur Abu Waa'il Apni Khaadima Ko Abu Razeen Ki Taraf Bhejte The Aur Woh Haa'iz Hoti Thi, Phir Woh Unke Paas Mus'haf Ko Lekar Aati Thi Aur Usko Mus'haf Ke Gilaaf Ki Dori Se Pakadti Thi, Phir Imaam Bukhaari Yeh Hadees Naqal Karte Hai'n Ke, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Hadees Bayaan Ki Ke, Beshak Nabi e Kareem ﷺ Meri God Me'n Tek Lagaaye Huwe The Aur Mai'n Haa'iz Thi Phir Nabi e Kareem ﷺ Qur'aan Padhte The.
Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Se Riwaayat Hai Unho'n Ne Kaha Ke Jis Waqt Nabi e Kareem ﷺ Chaukor Munaqqash Chaadar Me'n Lete Huwe The, Mujhe Haiz Aa Gaya, Mai'n Chupke Se Nikal Gayi, Pas Mai'n Ne Apne Haiz Ke Kapde Liye, Nabi e Kareem ﷺ Ne Poochha, Kya Tumko Nifaas Aa Gaya Hai? Mai'n Ne Kaha Haa'n ! Aapne Mujhko Bulaaya Pas Mai'n Aapke Saath Chaadar Me'n Let Gayi.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Mai'n Aur Nabi e Kareem ﷺ Ek Bartan Se Paani Lekar Gusl Karte The, Aur Ham Dono'n Junubi Hote The.
Imaam Bukhaari Riwaayat Karte Hai'n Ke (Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke) Aur Aap Mujhe Hukm Dete To Mai'n Tehband Baa'ndh Leti, Phir Aap Mujhe Apne Saath Liptaate Aur Mai'n Haa'iz Hoti.
Aur Rasoolullaah ﷺ Meri Taraf (Ya'ni Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ki Taraf) Sar Nikaalte (Masjid e Nabawi Se) Aur Nabi e Kareem ﷺ Iss Haal Me'n Mo'takif Hote, Pas Mai'n (Aa'yesha Radiallaahu Anha) Nabi e Kareem ﷺ Ka Sar Dhoti Aur Mai'n Uss Waqt Haa'iz Hoti.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Jab Ham (Azwaajun Nabi) Me'n Se Koi Aurat Haa'iza Hoti, Pas Rasoolullaah ﷺ Uske Saath Apne Jism Ko Liptaana Chaahte To Aap ﷺ Usko Hukm Dete, Woh Haiz Ke Josh Ke Upar Tehband Baa'ndh Leti, Phir Aap ﷺ Usko Apne Jism Ke Saath Lipta Lete, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Farmaaya, Tum Me'n Se Kaun Apni Khwaahish Par Zabt Kar Sakta Hai? Jis Tarah Nabi e Kareem ﷺ Apni Khwaahish Par Zabt Karte The, Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke Ali Bin Mus'hir Ki Mutaabe'at Khaalid Aur Jareer Ne Ki Hai Az Shaibaani.
Abdullaah Bin Shaddaad Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha Ke, Mai'n Ne Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Ko Yeh Bayaan Karte Huwe Suna Hai Ke Rasoolullaah ﷺ Jab Apni Azwaaj Me'n Se Kisi Aurat Ko Apne Saath Liptaana Chaahte To Usko Tehband Baa'ndhne Ka Hukm Dete Aur Woh Uss Waqt Haa'iz Hoti, Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke Aur Iss Hadees Ko Sufyaan Ne Shaibaani Se Riwaayat Kiya Hai.
Hazrat Abi Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Se Riwaayat Hai, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Eidul Az'ha Ya Eidul Fitr Me'n Eidgaah Ki Taraf Nikle, Aap ﷺ Khwaateen Ke Paas Se Guzre To Aapne Irshaad Farmaaya, Aye Aurato'n Ki Jamaa'at ! Tum Sadqa Kiya Karo Kyu'nke Mujhe Dikhaaya Gaya Hai Ke Tum Aurate'n Aksar Ahle Dozakh Ho, Aurato'n Ne Arz Ki, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Woh Kis Wajah Se? Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Tum Aurat La'nat Bahot Karti Ho Aur Khaawind Ki Na Shukri Karti Ho, (Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya) Mai'n Ne Koi Naaqis Aqal Aur Naaqis Deen Waali Aisi Nahee'n Dekhi, Jo Kisi Mohtaat Mard Ki Aqal Ko Zaa'il Karne Waali Ho, Aurato'n Ne Arz Ki, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Hamaare Deen Aur Hamaari Aqal Ka Nuqsaan Kya Hai? Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Kya Aisa Nahee'n Hai Ke Aurat Ki Gawaahi Mard Ki Gawaahi Ki Nisf Ki Misl Hoti Hai? Aurato'n Ne Arz Ki Kyu'n Nahee'n ! Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Yeh Aurato'n Ki Aqal Ka Nuqsaan Hai, (Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya) Kya Aisa Nahee'n Hai Ke Aurato'n Ko Jab Haiz Aata Hai To Woh Namaaz Padhti Hai Na Rozah Rakhti Hai? Aurato'n Ne Arz Ki, Kyu'n Nahee'n ! Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Yeh Aurato'n Ke Deen Ka Nuqsaan Hai.
Yeh Baab Hai Iss Baare Me'n Ke, Haa'iz Aurat Tamaam Manaasik e Hajj Ada Kare Siwaaye Baitullaah Ke Tawaaf Ke, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Ibraaheem (Nakhayi) Ne Kaha Ke, Haa'iz Ke Ek Aayat Padhne Me'n Koi Harj Nahee'n Hai, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Junubi Keliye Qur'aan Majeed Padhne Me'n Koi Harj Nahee'n Samajhte The, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Nabi e Kareem ﷺ Tamaam Auqaat Me'n Allaah Paak Ka Zikr Karte The, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Hazrat Umme Atiya Radiallaahu Anha Ne Kaha Ke Hame'n Hukm Diya Jaata Tha Ke Haa'iz Aurate'n Nikle'n, Pas Woh Musalmaano'n Ki Takbeer Ke Saath Takbeer Padhe'n Aur Du'aa Kare'n, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Bayaan Farmaaya Hai Ke Mujhe Abu Sufyaan Radiallaahu Anhu Ne Khabar Di Ke Hiraql Ne Nabi e Kareem ﷺ Ka Maktoob Ma'ngaaya, Phir Usko Padha To Usme'n Likha Huwa Tha, Allaah Ke Naam Se Shuru Jo Nihaayat Rahem Karne Waala Aur Bahot Maherbaan Hai, Aye Ahle Kitaab Aao Aisi Baat Ki Taraf (Sureh Aale Imraan, Aayat No.64) (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Ata Ne Az Jaabir Kaha Ke Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ko Haiz Aa Gaya To Unho'n Ne Baitullaah Ke Tawaaf Ke Siwa Tamaam Manaasik e Hajj Ada Kiye Aur Woh Namaaz Nahee'n Padhti Thi, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Hakam Ne Kaha Beshak Mai'n Haalat e Janaabat Me'n Zibah Karta Hoo'n Aur Allaah Paak Ne Farmaaya Hai, Aur Jis Jaanwar Par Allaah Ka Naam Na Zikr Kiya Jaaye Usko Mat Khaao, (Sureh An'aam, Aayat No.121) (Phir Imaam Bukhaari Aage Yeh Hadees Naqal Karte Hai'n Ke) Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Ham Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Gaye, Ham Sirf Hajj Ka Zikr Kar Rahe The, Jab Ham Maqaam e Sarif Par Paho'nche To Mujhe Haiz Aa Gaya, Pas Nabi e Kareem ﷺ Mere Paas Aaye Aur Mai'n Ro Rahi Thi, Nabi e Kareem ﷺ Ne Poochha, Tum Kyu'n Ro Rahi Ho? Mai'n Ne Kaha, Mai'n (Hajj Karna) Chaahti Thi Aur Allaah Ki Qasam ! Mai'n Iss Saal Hajj Nahee'n Kar Sakoo'ngi, Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Shaayad Tumko Nifaas (Haiz) Aa Gaya Hai? Mai'n Ne Kaha Ji Haa'n ! Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Yeh Woh Cheez Hai Jisko Allaah Paak Ne Aadam Alaihissalaam Ki Betiyo'n Par Likh Diya Hai, Pas Tum Woh Sab Karo Jo Hajj Karne Waale Karte Hai'n Siwa Iske Ke Tum Baitullaah Ka Tawaaf Na Karna, Hatta Ke Tum (Haiz Se) Paak Ho Jaao.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Hazrat Faatema Bint Abi Hubaish Radiallaahu Anha Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Arz Ki, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Beshak Mai'n Paak Nahee'n Hoti, Kya Mai'n Namaaz Chhod Doo'n? Tab Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Yeh Sirf Rag (Ka Khoon Hai) Aur Yeh Haiz Nahee'n Hai, Pas Jab Haiz Aaye To Tum Namaaz Chhod Do Aur Jab Haiz Ki Miqdaar Chali Jaaye To Tum Apne Jism Se Khoon Ko Dhokar Namaaz Padho.
Hazrat Asma Bint Abi Bakar Siddeeq Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Ek Aurat Ne Rasoolullaah ﷺ Se Sawaal Kiya, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Yeh Bataaye'n Ke Jab Ham Me'n Se Kisi Ek Ke Kapde Par Haiz Ka Khoon Lag Jaaye To Woh Kya Kare? Tab Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Tum Me'n Se Kisi Ek Ke Kapde Par Haiz Ka Khoon Lag Jaaye To Woh Usko Khurche, Phir Usko Paani Se Dho Le, Phir Usme'n Namaaz Padhe.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Kaha Ke Ham (Azwaajun Nabi) Me'n Se Kisi Ek Ko Haiz Aata, Phir Woh Usko Paak Karne Ke Waqt Uske Khoon Ko Khurachti, Phir Usko Dhoti, Phir Saare Kapde Ko Dhoti, Phir Usme'n Namaaz Padhti.
Riwaayat Hai Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Aapki Azwaaj Me'n Se Koi Ek Ae'tekaaf Me'n Baith Gayee'n Aur Woh Mustahaaza Thee'n, Khoon Ko Dekhti Thee'n, Pas Ba'az Auqaat Woh Khoon Ki Wajah Se Apne Neeche Thaal Ko Rakh Letee'n (Taake Khoon Masjid Me'n Na Gire) (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Ikrama Ne Kaha Ke Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Zard Ra'ng Ka Paani Dekha To Unho'n Ne Kaha, Goya Yeh Woh Cheez Hai Jo Fulaana (Zauja) Dekhti Thee'n.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Aapki Azwaaj Me'n Se Ek Khaatoon Ae'tekaaf Me'n Baithee'n, Pas Woh Khoon Ko Aur Zard Ra'ng Ko Dekhtee'n Thee'n Aur Unke Neeche Thaal Tha Aur Woh Namaaz Padhti Thi.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Riwaayat Hai Ke Beshak Ummahaatul Momineen Me'n Se Koi Ae'tekaaf Me'n Baithee'n Aur Woh Mustahaaza Thee'n.
Riwaayat Hai Mujaahid Se, Unho'n Ne Bayaan Kiya Ke Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bataaya Ke Ham Me'n Se Kisi Ek Ke Paas Sirf Ek Kapda Hota Tha Jisme'n Usko Haiz Aa Jaata Tha, Pas Jab Uss Kapde Me'n Kuchh Khoon Lag Jaata To Woh Uspar Apna Thook Lagaati, Phir Usko Apne Naakhoon Se Khurach Deti.
Hazrat Umme Atiya Radiallaahu Anha Farmaati Hai'n Ke Hame'n Mayyat Par 3 Din Se Zyaadah Sog Karne Se Mana Kiya Jaata Tha Maasiwa Khaawind Ke, Isme'n 4 Maah 10 Din Sog Hota Tha, Ham (Sog Me'n) Surma Lagaati Thee'n Na Khushbu Lagaati Thee'n Na Ra'nga Huwa Kapda Pahenti Thee'n, Siwa Uss Kapde Ke Jo Ra'ng Me'n Bana Huwa Hota Tha, Aur Hame'n Yeh Ijaazat Di Gayi Thi Ke Ham Haiz Se Tahaarat Keliye Jab Gusl Kare'n To (Uss Jagah) Thodi Si Khushbu Laga Le'n Aur Hamko Janaa'iz Ke Peechhe Jaane Se Mana Kiya Jaata Tha, Imaam Bukhaari Ne Kaha, Iss Hadees Ko Hishaam Bin Hassaan Ne Az Hafsa Az Umme Atiya Az Nabi e Kareem ﷺ Riwaayat Kiya Hai.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Ek Aurat Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Haiz Ke Gusl Ke Muta'alliq Sawaal Kiya? Nabi e Kareem ﷺ Ne Usko Hukm Diya Ke Woh Kaise Gusl Kare, Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Ke Tum Mushk Ka Tukda Lo Aur Usse Tahaarat Haasil Karo, Usne Kaha, Kaise Tahaarat Haasil Karoo'n? Aapne Farmaaya, Sub'haan Allaah Usse Tahaarat Haasil Karo, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Kehti Hai'n, Mai'n Ne Usko Apni Taraf Khee'nch Kar Kaha Iss Mushk Ke Tukde Se Khoon Ke Nishaan Ko (Mal Kar) Saaf Karo.
Riwaayat Hai Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Ke Ansaar Ki Ek Aurat Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Arz Kiya, Mai'n Haiz Se Kis Tarah Gusl Karoo'n? Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Mushk Ka Tukda Lekar Usse 3 Martaba Tahaarat Haasil Karo, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Haya Se Apna Chehra Doosri Taraf Pher Liya Ya Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Usse Tahaarat Haasil Karo, Phir Mai'n (Aa'yesha Radiallaahu Anha) Ne Uss (Aurat Ko) Pakad Kar Apni Taraf Khee'ncha Aur Usko Bataaya Ke Nabi e Kareem ﷺ Ki Kya Muraad Hai.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Mai'n Ne Hajjatul Wada Me'n Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Ahraam Baa'ndha, Mai'n Un Logo'n Me'n Se Thi Jinho'n Ne Hajj e Tamatta Ka Ahraam Baa'ndha Tha, Aur Huda (Qurbaani Ka Jaanwar) Rawaana Nahee'n Ki Thi, Phir Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bataaya Ke Unko Haiz Aa Gaya Aur Woh Paak Nahee'n Huwee'n, Hatta Ke Arfa Ki Raat Aa Gayi, Pas Unho'n Ne Kaha, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Yeh Arfa Ki Raat Hai Aur Mai'n Umrah Ki Niyat Kar Chuki Thi, Tab Rasoolullaah ﷺ Ne Unse Farmaaya, Apne Sar Ke Baal Khol Do Aur Ka'nghi Karlo Aur Apne Umrah Ko Mauqoof Kardo, Pas Mai'n Ne Iss Tarah Kiya, Phir Jab Mai'n Ne Hajj Ada Kar Liya To Nabi e Kareem ﷺ Ne Hazrat Abdur Rahmaan (Bin Abi Bakar Siddeeq Radiallaahu Anhuma) Ko Lailatul Hasbah (Jis Din Ayyaam e Tashreeq Ke Ba'ad Mana Se Waapsi Me'n Waadi e Mehsab Me'n Thaherte The Aur Rasoolullaah ﷺ Bhi Wahaa'n Thehre The) Me'n Hukm Diya Ke Mai'n Ne Jis Umrah Ka Ahraam Baa'ndha Tha, Uski Jagah Mujhe Maqaam e Tan'eem (Jahaa'n Aaj Masjid e Aa'yesha Qaayem Hai) Se Umrah Karaaye'n.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Kaha Ke, Ham Hilaal Zul Hijjah Ki Pehli Taareekh Ko Nikle, To Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Jo Umrah Ka Ahraam Baa'ndhna Chaahta Ho, Woh Umrah Ka Ahraam Baa'ndh Le Kyu'nke Agar Mai'n Ne Huda (Qurbaani Ka Jaanwar) Rawaana Na Kiya Hota To Mai'n Bhi Umrah Ka Ahraam Baa'ndhta, Pas Ba'az Sahaaba Ne Umrah Ka Ahraam Baa'ndh Liya, Aur Ba'az Sahaaba Ne Hajj Ka Ahraam Baa'ndha, Aur Mai'n (Aa'yesha Radiallaahu Anha) Un Logo'n Me'n Se Thi Jinho'n Ne Umrah Ka Ahraam Baa'ndha, Phir Mujhe Yaume Arfa Ne Iss Haal Me'n Paaya Ke Mai'n Haa'iz Thi, Mai'n Ne Iski Nabi e Kareem ﷺ Se Shikaayat Ki, Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Tum Apne Umrah Ko Chhod Do Aur Apne Sar Ke Baal Khol Do Aur Ka'nghi Karlo Aur Hajj Ka Ahraam Baa'ndh Lo, So Mai'n Ne Aisa Kar Liya, Phir Jab Hasbah Ki Raat Aayi, To Nabi e Kareem ﷺ Ne Mere Saath Mere Bhaayi Hazrat Abdur Rahmaan Bin Abi Bakar Ko Bheja, Pas Mai'n Maqaam e Tan'eem (Aaj Jahaa'n Masjid e Aa'yesha Qaayem Hai) Ki Taraf Gayi, Phir Mai'n Ne Apne (Pehle) Umrah Ki Jagah Umrah Ka Ahraam Baa'ndha, Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke Hishaam Ne Kaha Usme'n Koi Cheez Laazim Nahee'n Thi, Hadi Na Rozah Na Sadqa.
Hazrat Anas Bin Maalik Radiallaahu Anhu Nabi e Kareem ﷺ Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Beshak Allaah Paak Ne Rahem Ke Saath Ek Farishta Muqarrar Kar Diya Hai, Jo Kehta Hai, Ya Rab, Nutfa, Ya Rab, Jama Huwa Khoon, Ya Rab, Gosht Ka Lothda, Pas Jab Allaah Uski Takhleeq Ka Iraadah Karta Hai To Farishta Kehta Hai, Muzakkar Ya Mo'annas? Bad Bakht Ya Nek Bakht? Uska Rizq Kitna? Aur Uski Muddat e Hayaat Kitni Hai? Phir Woh Sab Uski Maa'n Ke Pet Me'n Likh Diya Jaata Hai. (Mere Bhaa'iyo'n, Iss Hadees Se Saabit Huwa Ke Farishte Ko Bhi Allaah Paak Yeh Bata Deta Hai Ke Maa'n Ke Pet Me'n Bachcha Hai Ya Bachchi, Nek Bakht Hai Ya Bad Bakht, Uska Rizq Kitna Hoga Aur Woh Kitne Muddat Tak Jiyega, Ya'ni Gaib Ki Baate'n Farishte Bhi Jaante Hai'n, Isse Un Logo'n Ko Sabaq Lena Chaahiye Jo Rasoolullaah ﷺ Ke Ilm e Gaib e Ataayi Ke Munkir Hai'n. Ahle Sunnat Ka Aqeedah Hai Ke Rasoolullaah ﷺ Ko Allaah Paak Ne Ilm e Gaib Ata Kiya Hai)
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Ham Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Hajjatul Wada Me'n Gaye, Ham Me'n Se Ba'az Ne Umrah Ka Ahraam Baa'ndha Aur Ham Me'n Se Ba'az Ne Hajj Ka Ahraam Baa'ndha, Pas Ham Makka Me'n Aaye To Rasoolullaah ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jisne Umrah Ka Ahraam Baa'ndha Hai Aur Huda (Qurbaani Ka Jaanwar) Rawaana Nahee'n Kiya Woh Ahraam Khol De, Aur Jisne Umrah Ka Ahraam Baa'ndha Aur Huda (Qurbaani Ka Jaanwar) Rawaana Kiya Hai Woh Uss Waqt Tak Ahraam Na Khole Jab Tak Ke Uska Huda (Qurbaani Ka Jaanwar) Naher Na Kar Diya Jaaye, Aur Jisne Hajj Ka Ahraam Baa'ndha Hai Woh Apne Hajj Ko Poora Kare, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Kaha, Mujhe (Uss Dauraan) Haiz Aa Gaya Aur Mai'n Musalsal Haa'iz Rahi Hatta Ke Arfa Ka Din Aa Gaya Aur Mai'n Ne Sirf Umrah Ka Ahraam Baa'ndha Tha, Pas Mujhe Nabi e Kareem ﷺ Ne Hukm Diya Ke Mai'n Apne Sar Ke Baal Khol Doo'n Aur Ka'nghi Karu'n Aur Hajj Ka Ahraam Baa'ndh Loo'n Aur Umrah Ko Tark Kar Doo'n, Pas Mai'n Ne Aisa Kar Liya Hatta Ke Mai'n Ne Hajj Ada Kar Liya, Phir Nabi e Kareem ﷺ Ne Mere Saath Hazrat Abdur Rahmaan Bin Abi Bakar Ko Bheja Aur Mujhe Hukm Diya Ke Mai'n Apne Umrah Ki Jagah Maqaam e Tan'eem Se (Ya'ni Jahaa'n Masjid e Aa'yesha Hai Wahaa'n Se) Umrah Karoo'n.
Yeh Baab Hai, Haiz Ke Aane Aur Jaane Ke Muta'alliq, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Khawaateen Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ki Taraf Ek Dabba Bhejti Thee'n Jisme'n Haiz Ke Kapde Hote The Usme'n Zard Ra'ng Hota Tha, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Farmaati, Tum Jaldi Na Karo Hatta Ke Tum Khaalis Safedi Dekho, Usse Aap Haiz Se Tahar (Paaki) Ka Iraadah Karti Thee'n, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Hazrat Zaid Bin Saabit Radiallaahu Anhu Ki Beti Ko Yeh Khabar Paho'nchi Ke Khawaateen Aadhi Raat Ko Uth Kar Chiraag Me'n Tahar (Paaki) Ko Dekhti Hai'n To Unho'n Ne Kaha, Yeh Aurate'n Kya Karti Hai'n Aur Unki Mazammat Kartee'n, (Phir Imaam Bukhaari Aage Yeh Hadees Naqal Karte Hai'n Ke) Riwaayat Hai Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Ke Hazrat Faatema Bint Abi Hubaish Ka Khoon Jaari Rehta Tha, Unho'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Sawaal Kiya (Iss Baare Me'n) Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Yeh Rag (Ka Khoon) Hai Aur Haiz Nahee'n Hai Pas Jab Haiz Aaye To Tum Namaaz Ko Chhod Do Aur Jab Haiz Chala Jaaye To Tum Gusl Karke Namaaz Padho.
Yeh Baab Hai Iss Muta'alliq Ke, Haa'iz Namaaz Ki Qaza Na Kare, Aur Hazrat Jaabir Aur Hazrat Abu Sa'eed Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Riwaayat Kiya Hai Ke, Namaaz Ko (Haa'iz) Chhod De, (Phir Imaam Bukhaari Aage Yeh Hadees Naqal Karte Hai'n Ke) Hazrat Ma'aaz Radiallaahu Anhu Ne Hadees Bayaan Ki Ke Ek Aurat Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Kaha, Kya Ham Me'n Se Kisi Ek Keliye Yeh Kaafi Hai Ke Jab Woh Haiz Se Paak Hojaaye To Woh (Pichhli) Namaaze'n Padhe? Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Farmaaya, Kya Tum Harooriyya Ho? (Phir Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Farmaaya) Hame'n Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Haiz Aata Tha To Aap Hame'n Namaaz Padhne Ka Hukm Nahee'n Dete The Ya Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Farmaaya, Ham Yeh Nahee'n Karte The Ya'ni Namaaz Nahee'n Padhte The.
Zainab Bint Abi Salma Bayaan Karti Hai'n Ke Unko Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Ne Hadees Bayaan Ki Ke Mai'n Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Ek Chaadar Me'n (Leti Huwi) Thi Ke Mujhe Haiz Aa Gaya, Mai'n Chupke Se Uthi Aur Bistar Se Nikal Gayi, Phir Mai'n Ne Apne Haiz Ke Kapde Lekar Unko Pehna, Pas Rasoolullaah ﷺ Ne Mujhse Farmaaya, Kya Tumko Nifaas (Haiz) Aa Gaya? Mai'n Ne Kaha Ji Haa'n ! Pas Nabi e Kareem ﷺ Ne Mujhe Bulaaya Aur Mujhe Apne Saath Chaadar Me'n Daakhil Kar Liya, Zainab Bint Abi Salma Ne Kaha, Aur Hazrat Umme Salama Ne Mujhe Yeh Hadees Bayaan Ki Ke Mai'n Roze Se Hoti Thi Aur Nabi e Kareem ﷺ Mujhe Bosa Dete The Aur Mai'n Aur Nabi e Kareem ﷺ Ek Bartan Se Paani Lekar Gusl e Janaabat Karte The.
Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Jis Waqt Mai'n Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Ek Chaadar Me'n Leti Huwi Thi, Mujhe Haiz Aa Gaya, Mai'n Chupke Se Bistar Se Nikal Gayi, Mai'n Ne Apne Haiz Ke Kapde Liye, Nabi e Kareem ﷺ Ne Poochha, Kya Tumhe'n Nifaas (Haiz) Aa Gaya? Mai'n Ne Kaha Ji Haa'n ! Nabi e Kareem ﷺ Ne Mujhe Bulaaya, Mai'n Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath Ek Chaadar Me'n Let Gayi.
Hazrat Hafsa Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Ham Naujawaan Ka'nwaari Aurato'n Ko Eidgaah Me'n Jaane Se Mana Karti Thee'n, Pas Ek Aurat Aayi Aur Woh Qasr Bin Khalaf Me'n Thehri, Usne Apni Bahen Se Hadees Riwaayat Ki, Uski Bahen Ka Khaawind Nabi e Kareem ﷺ Ke Saath 12 Gazwaat Me'n Shareek Raha Tha, Aur Meri Bahen Apne Shauhar Ke Saath 6 Gazwaat Me'n Shareek Rahi Thi, Usne Kaha, Ham Zakhmiyo'n Ki Dawa Daaru Karti Thee'n Aur Beemaaro'n Ki Teemaardaari Karti Thee'n, Phir Meri Bahen Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Sawaal Kiya, Aaya Ham Me'n Se Kisi Par Koi Harj Hai Jab Uske Paas Chaadar Na Ho To Woh Ghar Se Na Nikle? Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Uski Saheli Usko Chaadar Pehna De Aur Woh Neki Aur Musalmaano'n Ki Du'aa Ke Mawaaqe Par Haazir Ho, Phir Jab Hazrat Umme Atiya Radiallaahu Anha Aayee'n To Mai'n Ne Unse Poochha, Kya Aapne Nabi e Kareem ﷺ Se Iss Baat Ko Suna Hai? Unho'n Ne Kaha, Haa'n ! Aap ﷺ Par Mere Baap Fida Ho'n ! Aur Woh Jab Bhi Nabi e Kareem ﷺ Ka Zikr Karti Thee'n To Kehti Thee'n Haa'n ! Aap ﷺ Par Mere Baap Fida Ho'n ! Mai'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Yeh Farmaate Huwe Suna Hai, Naujawaan Aurate'n Aur Pardah Daar Aurate'n Ghar Se Nikle Ya Naujawaan Pardah Daar Aurate'n Aur Haiz Waali Aurate'n Gharo'n Se Nikle'n Aur Neki Aur Musalmaano'n Ki Du'aa Ke Mawaaqe Me'n Haazir Ho'n Aur Haiz Waali Aurate'n Eidgaah Se Baahar Rahe'n, Hazrat Hafsa Bayaan Karti Hai'n, Mai'n Ne Kaha Haiz Waali Aurate'n, Uss Khaatoon Ne Kaha, Kya Woh Maidaan e Arfaat Me'n Fulaa'n Fulaa'n Jagah Nahee'n Jaatee'n.
Yeh Baab Hai Iss Muta'alliq Ke, Jab Aurat Ko Ek Maah Me'n 3 Haiz Aaye'n Aur Haiz Aur Hamal Me'n Aurato'n Ki Jo Tasdeeq Ki Jaati Hai Aur Unke Haiz Ko Uss Soorat Par Mehmool Kiya Jaata Hai Jo Mumkin Ho, Kyu'nke Allaah Paak Ka Irshaad Hai, Aur Aurato'n Keliye Yeh Jaa'iz Nahee'n Hai Ke Allaah Paak Ne Unke Arhaam Me'n Jo Paida Kiya Hai Usko Chhupaaye'n, (Sureh Baqarah, Aayat No.228) (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Hazrat Ali Radiallaahu Anhu Aur Hazrat Shareeh Se Zikr Kiya Jaata Hai Ke Agar Aurat Apne Ghar Ke Afraad Me'n Se Koi Aisa Gawaah Le Aaye Jo Uske Ahwaal Ko Jaanta Ho Aur Jiska Deen Pasandeedah Ho Ke Usko Ek Maah Me'n 3 Haiz Aa Gaye Hai'n To Uski Tasdeeq Ki Jaayegi, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Ata Ne Kaha Hai Ke Aurat Ke Haiz Ki Muddat Wohi Hogi Jo Pehle Hoti Thi, Ibraaheem Nakhayi Ka Bhi Yehi Qaul Hai, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Ata Ne Kaha Haiz Ke Muddat 1 Din Se 15 Din Tak Hai, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Aur Mo'tamir Apne Waalid Se Riwaayat Karte Hai'n Ke Mai'n Ne Ibne Seereen Se Uss Aurat Ke Muta'alliq Sawaal Kiya, Jo Taher Ke 5 Dino'n Ke Ba'ad Khoon Ko Dekhti Hai? Unho'n Ne Kaha, Aurate'n Usko Zyaadah Jaanti Hai'n, (Phir Imaam Bukhaari Aage Yeh Hadees Naqal Karte Hai'n Ke) Riwaayat Hai Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Ke Hazrat Faatema Bint Abi Hubaish Radiallaahu Anha Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Sawaal Kiya Ke Mera Khoon Jaari Rehta Hai, Lehaaza Mai'n Paak Nahee'n Hoti, Kya Mai'n Namaaz Tark Kar Doo'n? Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya Nahee'n Yeh Rag (Se Khoon Nikalta) Hai Lekin Jitne Ayyaam Me'n Tumhe'n Haiz Aata Tha Utne Ayyaam Tak Tum Namaaz Chhod Do, Phir Gusl Karo Aur Namaaz Padho.
Hazrat Umme Atiya Radiallaahu Anha Ne Kaha Ke Ham Matyaale Aur Peele Ra'ng Ko Kuchh Shumaar Nahee'n Karte The, (Ya'ni Haiz Shumaar Nahee'n Karte The).
Riwaayat Hai Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Jo Zauja Hai'n Nabi e Kareem ﷺ Ki, Woh Farmaati Hai'n Ke Hazrat Umme Habeeba Radiallaahu Anha Ko 7 Saal Se Khoon Jaari Tha, Unho'n Ne Iss Muta'alliq Nabi e Kareem ﷺ Se Sawaal Kiya, Nabi e Kareem ﷺ Ne Unhe'n Gusl Karne Ka Hukm Diya, Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Yeh Rag (Ka Khoon) Hai, Phir Woh Har Namaaz Keliye Gusl Karti Thee'n.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Ne Rasoolullaah ﷺ Se Kaha Ke Ya Rasoolallaah ﷺ ! Beshak Safiya Bint Hayya Radiallaahu Anha Ko Haiz Aa Gaya Hai, Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Shaayad Yeh Hamko Rokne Waali Hai'n, Kya Unho'n Ne Tumhaare Saath Tawaaf (Ziyaarat) Nahee'n Kiya Tha? Logo'n Ne Kaha Kyu'n Nahee'n ! Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Phir Woh Rawaana Ho'n.
Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Bayaan Kiya Ke Haa'iz Ko Yeh Rukhsat Di Gayi Hai Ke Jab Use Haiz Aa Jaaye To Woh Qaafla Ke Saath Rawaana Ho Jaaye.
Taa'oos Riwaayat Karte Hai'n Ke Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Pehle Yeh Kehte The Ke Haa'iz (Tawaaf Wada Kiye Bagair) Rawaana Nahee'n Ho Sakti, Phir Mai'n Ne Unse Yeh Suna Ke Woh Rawaana Ho Sakti Hai, Beshak Rasoolullaah ﷺ Ne Iski Ijaazat Di Hai.
Yeh Baab Hai Iss Muta'alliq Ke, Jab Mustahaaza Taher Ko Dekh Le, (Phir Imaam Bukhaari Aage Likhte Hai'n Ke) Hazrat Ibne Abbaas Radiallaahu Anhuma Ne Kaha, Mustahaaza Gusl Kare Aur Namaaz Padhe Khwaah Ek Saa'at Keliye Haiz Munqate Huwa Ho, Aur Jab Woh Namaaz Padhle To Uska Khaawind Usse Mubaasherat Kare, Namaaz Aa'zam Hai, (Phir Imaam Bukhaari Aage Yeh Hadees Naqal Karte Hai'n Ke) Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Irshaad Farmaaya, Jab Haiz Aaye To Tum Namaaz Chhod Do Aur Jab Haiz Chala Jaaye To Tum Apne Jism Se Khoon Ko Dhowo Aur Namaaz Padho.
Hazrat Samurah Bin Jundub Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Ek Aurat Ka Zachki Me'n Inteqaal Ho Gaya To Nabi e Kareem ﷺ Ne Uski Namaaz e Janaazah Padhaayi Aur Nabi e Kareem ﷺ Uske Wast (Darmiyaan) Me'n Khade Huwe.
Yahya Bin Hammaad Ne Hadees Bayaan Ki, Unho'n Ne Kaha Ke Hame'n Abu Awaana Ne Khabar Di, Unka Naam Unki Kitaab Me'n Waddaah Hai, Unho'n Ne Kaha Ke Hame'n Sulemaan Shaibaani Ne Khabar Di Az Abdullaah Bin Shaddaad, Unho'n Ne Kaha Ke Mai'n Ne Apni Khaala Hazrat Maimoona Radiallaahu Anha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Se Suna Ke Woh Haa'iz Thee'n, (Aur Uss Haalat Me'n Woh) Namaaz Nahee'n Padhti Thee'n, Aur Woh Rasoolullaah ﷺ Ki Sajdah Gaah Ke Saamne Leti Huwi Thee'n Aur Nabi e Kareem ﷺ Apne Musalle Par Namaaz Padh Rahe The Aur Jab Nabi e Kareem ﷺ Sajdah Karte To Aapka Kuchh Kapda Mujhe Lagta.
Bukhari Shareef : Kitaabul Haiz
|
Bukhari Shareef : کتاب الحیض
|
•