
Ae'tekaaf Ka Bayaan. Fuqaha e Ahnaaf Ke Nazdeek Ae'tekaaf Ke Zaroori Masaa'il :- Allaama Muhammad Bin Ali Haskafi Mutawaffi 1088 Hijri Likhte Hai'n, Ae'tekaaf Aisi Masjid Me'n Kiya Jaaye, Jisme'n Jamaa'at Hoti Ho, Ya'ni Uss Masjid Me'n Imaam Aur Mo'azzin Ho Aur Usme'n Paa'nch Namaaze'n Padhi Jaati Ho'n, Aur Jaama Masjid Me'n Mutlaqan Ae'tekaaf Saheeh Hai, Aur Aurat Apne Ghar Me'n Masjid Ki Jagah Me'n Ae'tekaaf Kare Aur Aurat Ka Masjid Me'n Ae'tekaaf Makrooh e Tanzeehi Hai, Aur Ghar Me'n Jo Masjid Ki Jagah Na Ho Wahaa'n Uska Ae'tekaaf Karna Saheeh Nahee'n Hai Aur Khansa (Hijde) Ka Ae'tekaaf Saheeh Nahee'n Hai. Ae'tekaaf Ki Ta'reef :- Ae'tekaaf Ki Ta'reef Yeh Hai Ke Musalmaan Aa'qil Jo Janaabat Aur Haiz Wa Nifaas Se Paak Ho Woh Masjid Me'n Thehre, Ae'tekaaf Ki Teen Qisme'n Hai'n :- (1) Nazar Maanne Se Ae'tekaaf Waajib Hai, (2) Ramzaan Ke Aakhri Ashre Me'n Ae'tekaaf Sunnat e Mo'akkedah Hai Aur Yeh Sunnat e Kifaaya Hai, Kyu'nke Jin Sahaaba Ne Ae'tekaaf Nahee'n Kiya Aap A'laihissalaam Ne Unpar Inkaar Nahee'n Kiya, (3) Iske Alaawah Ae'tekaaf Mustahab Hai, Aur Jo Ae'tekaaf Waajib Hai Uske Liye Rozah Rakhna Shart Hai, Kam Az Kam Ae'tekaaf Din Aur Raat Me'n Se Ek Ghante Ka Hai, Jo Ae'tekaaf Waajib Ya Sunnat e Mo'akkedah Hai, Usme'n Sirf Qaza e Haajat Keliye Masjid Se Nikal Sakta Hai Ya Agar Aehtelaam Ho Jaaye To Gusl Keliye Masjid Se Baahar Ja Sakta Hai Ya Agar Mo'azzin Ho To Azaan Dene Keliye Masjid Ke Minaare Par Ja Sakta Hai, Aur Agar Woh Ae'tekaaf e Waajib Me'n Ya Ae'tekaaf e Sunnat e Mo'akkedah Me'n Ek Lamhe Keliye Bhi Zaroorat e Sharayi Ya Zaroorat e Tabayi Ke Bagair Masjid Se Baahar Nikal Gaya To Uska Ae'tekaaf Faasid Ho Jaayega, Ae'tekaaf Me'n Siwaaye Nek Baato'n Ke Aur Koi Baat Na Kare, Zaroorat Ke Waqt Duniyaawi Baat Kar Sakta Hai, Aur Bila Zaroorat Masjid Me'n Duniyaawi Baate'n Karna Nekiyo'n Ko Iss Tarah Kha Jaata Hai Jis Tarah Aag Lakdi Ko Kha Jaati Hai, Nek Kalaam Ki Misaal Hai, Qur'aan e Majeed Padhna, Ya Hadees Shareef Padhna, Ya Ilmi Baate'n Karna, Aur Rasoolullaah ﷺ Ki Seerat Aur Ambiya e Kiraam Ke Waaqe'aat Padhna Ya Saaleheen Ki Hikaayaat Padhna Aur Deeni Masaa'il Padhna Wagairah. (Durrul Mukhtaar, Jild No.1, Safha No.100 Ta 158 Ba Hawaala Ne'matul Baari Fee Sharah Saheeh Bukhaari, Jild No.4, Kitaabul Ae'tekaaf Ki Tashreeh Ke Tahet) Baab - Ae'tekaaf Ke Abwaab. Baab - Ramzaan Ke Maheene Ke Aakhri Ashre Me'n Ae'tekaaf Karna Aur Tamaam Masaajid Me'n Ae'tekaaf Karna. Aur Allaah Paak Ka Irshaad Hai, Aur Aurato'n Ko Haath Na Lagaao Jab Tum Masjido'n Me'n Ae'tekaaf Se Ho Yeh Allaah Ki Hade'n Hai'n Unke Paas Na Jaao Allaah Yoo'n Hi Bayaan Karta Hai Logo'n Se Apni Aayate'n Ke Kahee'n Unhe'n Parhezgaari Mile, (Sureh Baqarah, Aayat No.187) Hadees - Hazrat Abdullaah Bin Umar Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Rasoole Akram ﷺ Ramzaan Ke Maheene Ke Aakhri Ashre Me'n Ae'tekaaf Karte The.
Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ramzaan Ke Aakhri Ashre Me'n Ae'tekaaf Karte The Hatta Ke Allaah Paak Ne Aapko Wafaat Dedi, Phir Aapke Ba'ad Aapki Azwaaj Ne Ae'tekaaf Kiya.
Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Rasool e Kareem ﷺ Ramzaan Ke Maheene Ke Darmiyaani Ashre Me'n Ae'tekaaf Karte The, Pas Aap Ne Ek Saal Ae'tekaaf Kiya, Hatta Ke Jab 21vi Raat Aayi Aur Yeh Woh Raat Thi Jiski Subah Ko Aap Ae'tekaaf Se Baahar Aa Jaate The Uss Waqt Aapne Farmaaya, Jisne Mere Saath Ae'tekaaf Kiya Hai Woh Aakhri Das Raato'n Me'n Ae'tekaaf Kare Aur Mujhe Iss Raat Shabe Qadar Dikhaayi Gayi Thi, Phir Mujhe Bhula Di Gayi Aur Beshak Mai'n Ne Iski Subah Ko Khwaab Dekha Ke Mai'n Keechad Me'n Sajdah Kar Raha Hoo'n, Pas Tum Shabe Qadar Ko Aakhri Das Raato'n Me'n Talaash Karo Aur Tum Isko Har Taaq Raat Me'n Talaash Karo, Phir Uss Raat Baarish Huwi Aur Masjid Ki Chhat Khajoor Ki Shaakho'n Se Bani Huwi Thi, Lehaaza Masjid Tapakne Lagi, (Hazrat Abu Sa'eed Kehte Hai'n Ke) Pas Meri Aa'nkho'n Ne Dekha Ke 21vi (Taareekh Ki) Subah Ko Rasoolullaah ﷺ Ki Peshaani Mubaarak Par Keechad Ka Asar Tha.
Baab - Haa'iza Aurat Mo'takif Ko Ka'nghi Kar Sakti Hai. Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Jab Masjid Me'n Mo'takif The To Aapne Apna Sar e Aqdas Mere Qareeb Kiya To Mai'n Ne Usme'n Ka'nghi Ki Aur Uss Waqt Mai'n Haa'iza Thi.
Baab - Mo'takif Ka Bagair (Sharayi Ya Tabayi) Zaroorat Ke Ghar Me'n Daakhil Na Hona. Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Mere Paas Apna Sar e Mubaarak Daakhil Karte Aur Aap Masjid Me'n Hote The, Pas Mai'n Aapke Sar e Mubaarak Me'n Ka'nghi Karti Aur Jab Aap Mo'takif Hote The To Bagair Kisi (Sharayi Ya Tabayi) Haajat Ke Ghar Me'n Daakhil Nahee'n Hote The.
Baab, Mo'takif Ka Gusl Karna. Hazrat Aa'yesha Radiallaahu A'nha Bayaan Karti Hai'n Ke Rasoole Akram ﷺ Mujhe Apne Saath Lipta Lete The Aur Mai'n Uss Waqt Haa'iza Hoti Thi.
(Aur Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Aage Mazeed Farmaati Hai'n Ke) Aur Aap Apna Sar Mubaarak Masjid Se Nikaalte Aur Aap Mo'takif Hote The Aur Mai'n Aapka Sar Mubaarak Dhoti Aur Mai'n Haa'iza Hoti Thi.
Baab - Raat Ko Ae'tekaaf Karna. Riwaayat Hai Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Se, Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Nabi e Kareem ﷺ Se Sawaal Kiya Ke Mai'n Ne Zamaana e Jaahiliyat Me'n Yeh Nazar Maani Thi Ke Mai'n Ek Raat Masjid e Haraam Me'n Ae'tekaaf Karoo'nga, Aapne Farmaaya, Tum Apni Nazar Poori Karo.
Baab, Aurato'n Ka Ae'tekaaf Karna. Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Rasool e Akram ﷺ Ramzaan Ke Maheene Ke Aakhri Ashre Me'n Ae'tekaaf Karte The, Pas Mai'n Aapke Liye (Masjid Me'n) Khaima Laga Deti, So Aap Subah Ki Namaaz Padh Kar Uss Khaime Me'n Daakhil Hote, Phir Hazrat Hafsa Radiallaahu Anha Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Apne Liye Khaima Lagaane Ki Ijaazat Maa'ngi, Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Unko Ijaazat De Di, To Unho'n Ne Khaima Laga Liya, Phir Jab Hazrat Zainab Bint Jahesh Radiallaahu Anha Ne Uss Khaime Ko Dekha To Unho'n Ne Bhi Ek Khaima Laga Liya, Jab Nabi e Kareem ﷺ Ne Subah Ko Yeh Khaime Dekhe To Poochha Yeh Kya Hai'n? To Aapko Bataaya Gaya, Aapne Farmaaya, Kya Tumhaari Raaye Me'n In Khaimo'n Ko Neki Ke Iraade Ki Wajah Se Lagaaya Gaya Hai? Phir Aapne Uss Maheene Ae'tekaaf Ko Tark Kar Diya, Phir Shawwaal Me'n Das Din Ae'tekaaf Kiya.
Baab, Masjid Me'n Khaime Lagaana, Riwaayat Hai Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Ke Nabi e Kareem ﷺ Ne Ae'tekaaf Ka Iraadah Kiya, Jab Aap Uss Jagah Waapas Aaye Jahaa'n Aapne Ae'tekaaf Ka Iraadah Kiya Tha To Aapne Dekha Wahaa'n Par Khaime Lage Huwe Hai'n, Wahaa'n Par Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ka Khaima Tha, Aur Hazrat Hafsa Radiallaahu Anha Ka Khaima Tha, Aur Hazrat Zainab (Bint Jahesh) Radiallaahu Anha Ka Khaima Tha, Aapne Farmaaya, Kya Tum Yeh Kehte Ho Ke Unho'n Ne Nek Kaam Ki Niyat Se Aisa Kiya Hai ! Phir Aap Waapas Chale Gaye Aur Aapne Ae'tekaaf Nahee'n Kiya, Hatta Ke Shawwaal Ke Das Dino'n Me'n Aapne Ae'tekaaf Kiya.
Baab, Kya Mo'takif Apni Zarooriyaat Poori Karne Keliye Masjid Ke Darwaaze Tak Aa Sakta Hai? Hazrat Ali Bin Husain Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Unko Hazrat Safiya Radiallaahu Anha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Ne Khabar Di Ke Woh Ramzaan Ke Aakhri Ashre Ke Ayyaam Me'n Masjid e Nabavi Me'n Rasoolullaah ﷺ Ke Ae'tekaaf Ki Jagah Me'n Aapse Mulaaqaat Keliye Aayee'n, Phir Aapke Paas Kuchh Der Baate'n Karti Rahee'n, Phir Waapas Jaane Keliye Khadi Ho Gayee'n, Nabi e Kareem ﷺ Unke Saath Jaane Keliye Khade Huwe Hatta Ke Jab Woh Hazrat Umme Salma Radiallaahu Anha Ke Darwaaze Ke Qareeb Masjid Ke Darwaaze Ke Paas Paho'nchee'n To Ansaar Ke Do Mard Guzre, Pas Unho'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ko Salaam Kiya, Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Tum Wahee'n Thehro, Yeh Sirf Safiya Bint Hayya Hai'n ! To Un Dono'n Ne Kaha, Sub'haan Allaah ! Ya Rasoolallaah ﷺ ! Aur Unko Yeh Wazaahat Bahot Sakht Lagi, Tab Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Beshak Shaitaan Insaan Ke Khoon Ki Jagah Me'n Paho'nch Jaata Hai, Aur Mujh Ko Khauf Huwa Ke Woh Tumhaare Dilo'n Me'n Koi Cheez Daal Dega.
Baab, Ae'tekaaf Karna Aur Nabi e Kareem ﷺ Ka 20vi (Raat) Ki Subah Ko Ae'tekaaf Se Nikalna. Abu Salma Bin Abdur Rahmaan Ne Kaha Ke Mai'n Ne Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Se Sawaal Kiya, Mai'n Ne Poochha, Kya Aapne Rasoolullaah ﷺ Se Lailatul Qadar Ka Zikr Suna Hai? Unho'n Ne Kaha, Haa'n ! Hamne Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Ramzaan Ke Maheene Ke Darmiyaani Ashre Me'n Ae'tekaaf Kiya, Pas Ham 20vi Raat Ki Subah Ko Ae'tekaaf Se Nikal Aaye, Phir Rasoolullaah ﷺ Ne 20vi Raat Ki Subah Ko Hamse Khitaab Kiya, Pas Aapne Farmaaya, Mujhe Shabe Qadar Dikhaayi Gayi, Aur Beshak Mai'n Usko Bhool Gaya, Pas Tum Usko Ramzaan Ke Maheene Ke Aakhri Ashre Ki Taaq Raato'n Me'n Talaash Karo, Pas Beshak Mai'n Ne Dekha Ke Mai'n Paani Aur Mitti Me'n Sajdah Kar Raha Hoo'n, Aur Jisne Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Ae'tekaaf Kiya Hai Woh Waapas Jaaye, Pas Log Masjid Ki Taraf Laut Gaye, Aur Ham Aasmaan Me'n Baadal Ka Koi Tukda Nahee'n Dekh Rahe The, Hazrat Abu Sa'eed Ne Kaha, Pas (Achaanak) Baadal Aaye Aur Barse, Aur Namaaz Qaayem Ki Gayi, Phir Rasoolullaah ﷺ Ne Mitti Aur Paani Me'n Sajdah Kiya Hatta Ke Mai'n Ne Aapki Naak Aur Peshaani Par Mitti Ka Nishaan Dekha.
Baab - Mustahaaza Ka Ae'tekaaf Karna. Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Aapki Azwaaj Me'n Se Ek Khaatoon Ne Iss Haalat Me'n Ae'tekaaf Kiya Ke Woh Mustahaaza Thee'n, Pas Woh Surkh Aur Zard Ra'ng Dekhti Thee'n, Pas Ba'az Auqaat Ham Unke Neeche Tasht Rakh Dete The Aur Woh Namaaz Padh Rahi Hoti Thee'n.
Baab - Beewi Ka Apne Khaawind Se Ae'tekaaf Me'n Mulaaqaat Karna. Hazrat Ali Bin Husain Radiallaahu Anhuma Se Riwaayat Hai Ke Hazrat Safiya Radiallaahu Anha Zauja Nabi e Kareem ﷺ Ne Unko Bataaya, (Phir Imaam Bukhaari Ne Doosri Sanad Bayaan Ki, Hazrat Ali Bin Husain Radiallaahu Anhuma Ne Bayaan Farmaaya Ke) Nabi e Kareem ﷺ Masjid Me'n (Mo'takif) The Aur Aapke Paas Aapki Azwaaj Baithi Huwi Thee'n, Phir Woh Jaane Lagee'n To Aapne Hazrat Safiya Bint Hayya Se Farmaaya, Tum Jaldi Na Karo Hatta Ke Mai'n Tumhe'n (Rukhsat Karne) Chalta Hoo'n, Aur Unka Hujrah Hazrat Usaama Radiallaahu Anhu Ki Haweli Me'n Tha, Phir Nabi e Kareem ﷺ, Hazrat Safiya Radiallaahu Anha Ke Saath Nikle, Pas Aapse Ansaar Ke Do Aadmi Mile, Unho'n Ne Nabi e Kareem ﷺ Ki Taraf Dekha, Phir Guzar Gaye, Nabi e Kareem ﷺ Ne Unse Farmaaya, Tum Dono'n Yahaa'n Aao ! Yeh Safiya Bint Hayya Hai'n, Un Dono'n Ne Kaha, Sub'haan Allaah ! Ya Rasoolallaah ﷺ ! Aapne Farmaaya, Beshak Shaitaan Insaan Ke Khoon Ki Gardish Ki Jagah Me'n Paho'nch Jaata Hai Aur Mujhe Yeh Khauf Huwa Ke Woh Tumhaare Dil Me'n Koi Cheez Daal Dega.
Baab - Kya Mo'takif Apne Upar Se Kisi Bad Gumaani Ko Door Kar Sakta Hai? Hazrat Ali Bin Husain Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Safiya Radiallaahu Anha Ne Unko Bataaya, (Phir Imaam Bukhaari Ne Doosri Sanad Bayaan Ki), Woh Kehte Hai'n Ke Hazrat Safiya Radiallaahu Anha Nabi e Kareem ﷺ Ke Paas Aayee'n, Aur Uss Waqt Aap Mo'takif The, Jab Lautne Lagi To Aap Bhi Unke Saath Chalne Lage, Pas Ansaar Ke Ek Aadmi Ne Aapko Dekha, Jab Usne Aapki Taraf Dekha To Aapne Farmaaya, Idhar Aao, Woh Safiya Hai'n ! Aur Kabhi Sufiyaan Ne Yoo'n Kaha, Yeh Safiya Hai'n, Kyu'nke Shaitaan Ibne Aadam Ke Khoon Ki Gardish Ki Jagah Me'n Paho'nch Jaata Hai, Raawi Kehte Hai'n, Mai'n Ne Sufiyaan Se Poochha, Kya Hazrat Safiya Radiallaahu Anha Raat Ko Aayi Thee'n? Unho'n Ne Kaha, Yeh Raat Hi Ka To Waaqe'ah Hai.
Baab - Jo Subah Ke Waqt Apne Ae'tekaaf Ki Jagah Se Nikla. Hazrat Abu Sa'eed Khudri Radiallaahu Anhu Ne Bayaan Kiya Ke Hamne Rasoolullaah ﷺ Ke Saath Ramzaan Ke Darmiyaani Ashre Me'n Ae'tekaaf Kiya, Pas Jab 20vi Raat Ki Subah Huwi To Hamne Masjid Se Apna Saamaan Utha Liya, Phir Rasoolullaah ﷺ Hamaare Paas Aaye Aur Farmaaya, Jisne Ae'tekaaf Kiya Tha, Woh Apne Ae'tekaaf Ki Jagah Par Waapas Aajaaye, Kyu'nke Mai'n Ne Aajki Raat Khwaab Me'n Shabe Qadar Ko Dekha Hai, Aur Mai'n Ne Khwaab Me'n Dekha Hai Ke Mai'n Paani Aur Mitti Me'n Sajdah Kar Raha Hoo'n, Pas Jab Aap Apne Ae'tekaaf Ki Jagah Par Waapas Aa Gaye To Achaanak Aasmaan Par Baadal Aa Gaye Aur Ham Par Baarish Huwi, Pas Uss Zaat Ki Qasam ! Jisne Aap Alaihissalaam Ko Haq Dekar Bheja Hai ! Uss Din Ke Aakhri Waqt Me'n Baarish Huwi Thi Aur Masjid Khajoor Ki Shaakho'n Ki Bani Huwi Thi, Pas Mai'n Ne Aapki Naak Aur Peshaani Par Paani Aur Mitti Ke Nishaan Dekhe.
Baab - Shawwaal Me'n Ae'tekaaf Karna. Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Har Ramzaan Me'n Ae'tekaaf Karte The Aur Jab Subah Ki Namaaz Padhte To Apne Ae'tekaaf Ki Jagah Me'n Daakhil Ho Jaate, Pas Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Aapse Ae'tekaaf Ki Ijaazat Talab Ki, Aapne Unko Ijaazat De Di, Pas Unho'n Ne Masjid Me'n Ek Khaima Lagaaya, Pas Hazrat Hafsa Radiallaahu Anha Ne Yeh Suna To Unho'n Ne Bhi Ek Khaima Laga Liya, Hazrat Zainab Radiallaahu Anha Ne Yeh Suna To Unho'n Ne Bhi Ek Khaima Laga Liya, Phir Jab Rasoolullaah ﷺ Subah Ki Namaaz Padh Kar Aaye To Aapne Chaar Khaime Lage Huwe Dekhe, Aapne Poochha, Yeh Kaise Khaime Hai'n? To Aapko Khabar Di Gayi Ke Azwaaj e Mutah'haraat Ne Yeh Khaime Lagaaye Hai'n, Aapne Farmaaya, Unko Iss Cheez Par Kisne Ubhaara Hai? Kya Yeh Neki Ka Kaam Hai ! In Khaimo'n Ko Ukhaad Do, So Mai'n Unko (Dobaarah) Na Dekhoo'n ! Phir Un Khaimo'n Ko Ukhaad Diya Gaya, Phir Aapne Uss Ramzaan Me'n Ae'tekaaf Nahee'n Kiya Hatta Ke Shawwaal Ke Aakhri Ashre Me'n Ae'tekaaf Kiya.
Baab - Jiske Nazdeek Ae'tekaaf Me'n Rozah Zaroori Nahee'n Hai. Hazrat Umar Bin Khattaab Radiallaahu Anhu Ne Kaha, Ya Rasoolallaah ﷺ ! Mai'n Ne Zamaana e Jaahiliyat Me'n Yeh Nazar Maani Thi Ke Mai'n Masjid e Haraam Me'n Poori Ek Raat Ae'tekaaf Karoo'nga, To Unse Nabi e Kareem ﷺ Ne Farmaaya, Tum Apni Nazar Poori Karo, To Unho'n Ne Poori Raat Ae'tekaaf Kiya.
Baab - Jab Kisi Shakhs Ne Zamaana e Jaahiliyat Me'n Ae'tekaaf Ki Nazar Maani Phir Woh Musalmaan Ho Gaya. Hazrat Ibne Umar Radiallaahu Anhuma Bayaan Karte Hai'n Ke Hazrat Umar Radiallaahu Anhu Ne Zamaana e Jaahiliyat Me'n Masjid e Haraam Me'n Ae'tekaaf Karne Ki Nazar Maani, Ubaid Ne Kaha Ke Mera Gumaan Hai Ke Unho'n Ne Poori Raat Ka Zikr Kiya Tha, Unse Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Tum Apni Nazar Poori Karo.
Baab - Ramzaan Ke Maheene Ke Darmiyaani Ashre Me'n Ae'tekaaf Karna. Hazrat Abu Hurairah Radiallaahu Anhu Bayaan Karte Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Har Ramzaan Me'n Das Din Ae'tekaaf Karte The, Pas Jis Saal Aapka Wisaal Ho Gaya, Uss Saal Aapne 20 Din Ka Ae'tekaaf Kiya.
Baab - Jisne Ae'tekaaf Ka Iraadah Kiya Phir Usne Ae'tekaaf Ko Tark Karne Ka Iraadah Kiya. Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Zikr Kiya Ke Aap Ramzaan Ke Maheene Ke Aakhri Ashre Me'n Ae'tekaaf Kare'nge, Pas Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Aapse Ae'tekaaf Karne Ki Ijaazat Talab Ki, Aapne Unko Ijaazat De Di, Aur Hazrat Hafsa Radiallaahu Anha Ne Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Se Uski Ijaazat Talab Ki To Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Ne Uski Ijaazat De Di, Phir Jab Hazrat Zainab Bint Jahesh Radiallaahu Anha Ne Yeh Dekha To Unho'n Ne Bhi Khaima Lagaane Ka Hukm Diya, Pas Unka Khaima Laga Diya Gaya, Hazrat Aa'yesha Radiallahu Anha Ne Bayaan Kiya Ke Jab Rasoolullaah ﷺ Namaaz Padh Kar Apne Ae'tekaaf Ki Jagah Laute To Aapne Un Khaimo'n Ko Dekha To Aapne Poochha, Yeh Kya Hai'n? To Logo'n Ne Bataaya Ke Yeh Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha, Hazrat Hafsa Radiallaahu Anha Aur Hazrat Zainab Radiallaahu Anha Ke Khaime Hai'n, Tab Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaaya, Kya Unho'n Ne Isse Kisi Neki Ka Iraadah Kiya Hai? Mai'n Ab Ae'tekaaf Karne Wala Nahee'n Hoo'n ! Aap Waapas Chale Gaye, Phir Eidul Fitr Ke Ba'ad Aapne Shawwaal Ke 10 Din Ae'tekaaf Kiya.
Baab - Mo'takif Apne Sar Ko Dhone Keliye Ghar Me'n Daakhil Kare. Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Bayaan Karti Hai'n Ke Woh Nabi e Kareem ﷺ Ke Ka'nghi Karti Thee'n Aur Uss Waqt Woh Haa'iza Thee'n Aur Aap Masjid Me'n Mo'takif The Aur Hazrat Aa'yesha Radiallaahu Anha Apne Hujre Me'n Thee'n Aur Aap Unke Paas Apna Sar Daakhil Kar Dete The.
Bukhari Shareef : Kitaabul Ae Tekaaf
|
Bukhari Shareef : کتاب الِاعْتِكَافُ
|
•