Surah A'araaf (7)
Ayah 142
Aur Hamne Moosa Se Tees Raat Ka Wa'dah Farmaaya Aur Unme'n Das Aur Badha Kar Poori Kee'n To Uske Rab Ka Wa'dah Poori Chaalees Raat Ka Huwa Aur Moosa Ne Apne Bhaayi Haaroon Se Kaha Meri Qaum Par Mere Naayeb Rehna Aur Islaah Karna Aur Fasaadiyo'n Ki Raah Ko Dakhal Na Dena.