Surah A'araaf (7)
Ayah 155
Aur Moosa Ne Apni Qaum Se Sattar (70) Mard Hamaare Wa'de Keliye Chune Phir Jab Unhe'n Zalzale Ne Liya Moosa Ne Arz Ki Aye Rab Mere Tu Chaahta To Pehle Hi Unhe'n Aur Mujhe Halaak Kar Deta Kya Tu Hame'n Uss Kaam Par Halaak Farmaayega Jo Hamaare Be Aqlo'n Ne Kiya Woh Nahee'n Magar Tera Aazmaana Tu Usse Behkaaye Jise Chaahe Aur Raah Dikhaaye Jise Chaahe Tu Hamaara Maula Hai Tu Hame'n Bakhsh De Aur Ham Par Mohar Kar Aur Tu Sabse Behtar Bakhshne Waala Hai.