Surah A'araaf (7)
Ayah 160
Aur Hamne Unhe'n Baa'nt Diya Baarah Qabeele Giroh Giroh Aur Hamne Wahi Bheji Moosa Ko Jab Usse Uski Qaum Ne Paani Maa'nga Ke Uss Pat'thar Par Apna Asa Maaro To Usme'n Se Baarah Chashme Phoot Nikle Har Giroh Ne Apna Ghaat Pehchaan Liya Aur Hamne Unpar Abr Saaibaan Kiya Aur Unpar Mann Wa Salwa Utaara Khaao Hamaari Di Huwi Paak Cheeze'n Aur Unho'n Ne Hamaara Kuchh Nuqsaan Na Kiya Lekin Apni Hi Jaano'n Ka Bura Karte The.