Surah A'araaf (7)
Ayah 176
Aur Ham Chaahte To Aayato'n Ke Sabab Use Utha Lete Magar Woh To Zameen Pakad Gaya Aur Apni Khwaahish Ka Taabe Huwa To Uska Haal Kutte Ki Tarah Hai To Uspar Hamla Kare To Zabaan Nikaale Aur Chhod De To Zabaan Nikaale Yeh Haal Hai Unka Jinho'n Ne Hamaari Aayate'n Jhutlaayee'n To Tum Naseehat Sunaao Ke Kahee'n Woh Dhyaan Kare'n.