Surah A'araaf (7)
Ayah 37
To Usse Badh Kar Zaalim Kaun Jisne Allaah Par Jhoot Baa'ndha Ya Uski Aayate'n Jhutlaayee'n Unhe'n Unke Naseeb Ka Likha Paho'nchega Yahaa'n Tak Ke Jab Unke Paas Hamaare Bheje Huwe Unki Jaan Nikaalne Aaye'n To Unse Kehte Hai'n Kahaa'n Hai'n Woh Jinko Tum Allaah Ke Siwa Poojte The Kehte Hai'n Woh Hamse Gum Gaye Aur Apni Jaano'n Par Aap Gawaahi Dete Hai'n Ke Woh Kaafir The.