Surah A'araaf (7)
Ayah 38
Allaah Unse Farmaata Hai Ke Tumse Pehle Jo Aur Jamaa'ate'n Jinn Aur Aadmiyo'n Ki Aag Me'n Gayee'n Unhee'n Me'n Jaao Jab Ek Giroh Daakhil Hota Hai Doosre Par La'nat Karta Hai Yahaa'n Tak Ke Jab Sab Usme'n Ja Pade To Pichhle Pehlo'n Ko Kahe'nge Aye Rab Hamaare Inho'n Ne Hamko Behkaaya Tha To Inhe'n Aag Ka Doona (Dugna) Azaab De Farmaayega Sabko Doona (Dugna) Hai Magar Tumhe'n Khabar Nahee'n.