Surah A'araaf (7)
Ayah 54
Beshak Tumhaara Rab Allaah Hai Jisne Aasmaan Aur Zameen 6 Din Me'n Banaaye Phir Arsh Par Istawa Farmaaya Jaisa Uski Shaan Ke Laayeq Hai Raat Din Ko Ek Doosre Se Dhaa'nkta Hai Ke Jald Uske Peechhe Laga Aata Hai Aur Sooraj Aur Chaa'nd Aur Taaro'n Ko Banaaya Sab Uske Hukm Ke Dabe Huwe Sun Lo Usi Ke Haath Hai Paida Karna Aur Hukm Dena Badi Barkat Waala Hai Allaah Rab Saare Jahaan Ka.