Surah A'araaf (7)
Ayah 89
Zaroor Ham Allaah Par Jhoot Baa'ndhe'nge Agar Tumhaare Deen Me'n Aajaaye'n Ba'ad Iske Ke Allaah Ne Hame'n Usse Bachaaya Hai Aur Ham Musalmaano'n Me'n Kisi Ka Kaam Nahee'n Ke Tumhaare Deen Me'n Aaye Magar Yeh Ke Allaah Chaahe Jo Hamaara Rab Hai Hamaare Rab Ka Ilm Har Cheez Ko Muheet Hai Hamne Allaah Hi Par Bharosa Kiya Aye Rab Hamaare Ham Me'n Aur Hamaari Qaum Me'n Haq Faisla Kar Aur Tera Faisla Sabse Behtar.